All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Saturday, June 28, 2008
Bewafa kabhi wafa nahi karte.....
kaise keh do ki tu bewafa hai......
Har apna aaj kal mujhse khafa hai,
Sabki juban par bas mere khata ka silsila hai,
Jab tha nahi main tere kaabil,
Fhir kaise keh do ki tu bewafa hai!
[written by romil arora - copyright reserved]
Wafa kya hoti hai.........
Us bewafa ko kya kharab......
Us bewafa ko kya kharab ki maine maut ko kyon gale lagaya,
Zindagi main bas har pal uske intezaar main beetaya,
Woh to sirf daulat main khoye rahe,
Bhul kar mujhko, gairon ki baahon main soye rahe!
[written by romil arora - copyright reserved]
Sanam ka Ehsaas
kuch dil ke alfaaz...
kuch dil ke alfaaz...
Mangi thi dua aashiana ki,
magar khandhar bhi naseeb na hua,
Chah thi dil mein mohabbat ki,
magar koi apna bhi naseeb na hua!
Anjaane mein mohabbat kar baithe,
zakhm hazaro dil par kha baithe,
mehboob ko apna banane ke liye is tarah hue deewane,
ki apna naam tak badal baithe,
chaha tha zindagi main jeene ko,
par saari umar gham-e-tanhai men beeta baithe!
[written by romil arora - copyright reserved]
Gum-e-Mohabbat
dil ki baatein....
Friday, June 27, 2008
haal-e-dil
Janta hu ek din manzil ko pa jayunga,
magar shayad rishtoo ki deewaron ko toodh jayunga,
ek din tanha main saahil par baitha honga,
aur apni akeli gumsum manzil ko dekh kar muskurayunga!
Jab woh thi nahi apni fhir usse mohabbat kyon hain?
Itne dhokhe khaye hai maine uski mohabbat main,
fhir bhi zalim uska intezaar kyon hain?
kaash tum maire dhadkan ko sun paati,
mohabbat kya hai yeh pehchan paati,
yeh badnaseebi to hai hamari,
jo hamari dil todh kar tum gair ki baahon main ho jaati!
Mujhse durr jaane ki majboori kya thi unki
mujhko bataya to hota,
bewafai kyon ki unhone mujhse kaash yeh samjhaya to hota,
unke liye to hum apni jaan bhi de daite muskurate hue,
yeh unhone dil-e-khawaish bataiye to hoti!
Intezaar-e-mohabbat
Intezaar-e-mohabbat
Udas chehar ko fhir se khila do....
Udas chehar ko fhir se khila do....
Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....
Ab to aaisa lagta hai jaise,
chand main chandani na ho,
mausam main aawaragi na ho,
phoolon main khusboo na ho,
panchiyoon main jaise aawaz na ho.....
Udaas chehar fhir se khila do,
khila do maira udaas chehara fhir se,
ab yeh veeraniya mujhe pasand nahi hai..
Rabb ka wasta hai tumko,
maire fariyad hai tumse,
ab na mujhko aur satao,
khila do maira udaas chehara fhir se,
ek baar mujhse milane tum aa jayo!
ek baar fhir apna chehara mujhe dekha jayo!
ek baar fhir apni aawaz mujhko suna jayo!
Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....
[written by romil arora - copyright reserved]
Us pyar ki kya baat ho!
Saawan ki pehli barsaat ho
aur maire haaton main taira haath ho
Us pyar ki kya baat ho!
Hoonth ho taire beeghe hue
aur maire hoonth bhi bekarar ho
Us pyar ki kya baat ho!
Beegha hua badan hum-dono ka
sulag raha ho barsaat main
baahon main ek dujhe ko bharne ko dil machal raha ho
Us pyar ki kya baat ho!
Rabb kare aaise roz saawan ki barsaat ho
tu ho maire naazaro ke samne aur pyar hi pyar ho
Us pyar ki kya baat ho!
Thursday, June 26, 2008
Shayari-e-dil
Jo log mohabbat ko jante honge....
Itni taraf, jisne dekhi hogi maire alfaazo main,
Woh tujhe maira rabb mante honge!
Maire tanha aankhen jab kisine dekhe hongi,
Intezaar ki hadh kya hogi samajhate honge!
Dekh kar shama main jalate hue parwane ko,
Log mohabbat ka naateza jante honge!
Dil-e-alfaaz
Dil-e-alfaaz
Maire haaton ki haatheli ke laakeeron se woh nikal gaya,
mairi haatheli fhir se woh suna kar gaya!
Baadi berukhi se usne daaman chud liya,
daulat se haaton main mohabbat ki mehandi racha liya!
Roz raat ko chand ko dekh kar yahi sochata hu,
Jaise yeh chand ki safed chandani mujh par kafan udha rahi ho!
Is kadar durr hokar bhi humne ehsaaso ka diya jalaya tha,
Jaise rabb ke ghar main rooh ki rooh se mohabbat ho rahe ho!
Aaj bhi log jab mujhko zinda dekha karte hai,
taire naazaron ko qaatil kahan karte hai!
[written by romil arora - copyright reserved]
Wednesday, June 25, 2008
yeh rishte...
is zindagi mein tumhari kami si hai....
mujhe is jahan se chale jana hai....
Monday, June 23, 2008
Na jaane woh kyon?
Na jaane woh kyon?
Jis par aitbaar rehta hai khud se jyada,
Na jaane woh kyon daaga de jaata hai...
Jis par pyar rehta hai jahaan se jyada,
Na jaane woh kyon bewafa ban jaata hai...
Jis par rehta hai aitbaar woh umar bhar saath rahega,
Na jaane woh kyon beech raahon main chod jaata hai...
Jisse daite hai hum dil ka tohfa,
Na jaane woh kyon dil par zakhm de jaata hai...
[written by romil arora - copyright reserved]
Kaun mera hai jo mere saath chalega.
Sunday, June 22, 2008
aur main raat bhar jagta raha.....
Raat main neend aane se pehle tumhara khayal aaya,
aur main raat bhar jagta raha.
Kuch toothe hue khawab,
Kuch beethe hue baatein yaad aaiye,
aur main raat bhar jagta raha.....
Kuch baatein bhuli hue,
Kuch baatein, khayalon main lipate hue, yaad aaye,
aur main raat bhar jagta raha.....
Barsaat ke mausam main,
Beqarari ke aalam main,
Tanhai main,
Khud-ba-khud sapne bunta hua,
aur main raat bhar jagta raha.....
Kuch pal sochata, fhir muskurata,
Tumse pyar kiya,
Tumhare haath, haaton main thama raha,
aur baahon main tumko bhar kar main so gaya....
[written by romil arora - copyright reserved]
Koi hota jisko hum apna kehte...
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jiske mann mein ek ehsaas ban kar rehte,
Jiske aankhon mein khawab ban kar rehte,
Suhane mausam mein yaad ban kar rehte,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mere liye sapne bunta,
Makhmali chaadar mein lipatkar baahon mein bharta,
Main roothata to woh mujhko manata,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mujhe apna pyar kehta,
Apna yaar, dil-e-beqarar kehta,
Jo apni aarzoo, apna sanam kehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mere liye dua mangata,
Jo gum mein mujhe khushi deta,
Jo saari duniya se juda hokar bhi mera apna rehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Main uske liye beqarar rehta,
Usse milne ke liye tahna rehta,
Yeh yaadon ka silsila zindagi bhar chalta rehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
[written by romil arora - copyright reserved]
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...
Saturday, June 21, 2008
tab humne....
Jab khushiyoon ne na diya sahara mujhko,
Tab humne dard ka sahara le liya,
Jab aapno ne maira saath chod diya,
Tab humne gairon ka saath kar liya,
Jab phoolon ki shejh nahi mili mujhko,
Tab humne kantoon par sona seekh liya,
Jab lagi, zindagi daman chudane apna,
Tab humne maut ka daman tham liya.....
fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....
fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....
Dard itna mila hai ki bataya nahi jaata,
aansoo ka koiye hisab lagaya nahi jaata.
Barsaat se kya gila apna,
jab kaachi mitti ka ghar tha apna,
Paani main beh jaye to fhir banaya nahi jaata.
Durr tak bas andhera hi andhera hai,
Roshani ka koiye deepak ab jalaya nahi jaata.
Har umeedh tooth chuki hai apni,
ab umeedon ka shehar banaya nahi jaata.
Kisse kahe apna haal-e-dil,
ab kisi se dil lagaya nahi jaata.
Har koiye to ab maira dushman hai,
dost kisi ko apna banaya nahi jaata.
sach kahu fhir se yeh dil lagaya nahi jaata...
[written by romil arora - copyright reserved]
Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai...
Kabhi......
Palke kabhi maire raahon main bichana.
Kabhi hooton par maira naam likhwana,
Dil par kabhi maire yaad saajana,
Dhadkan kabhi maire raahon main bichana.
Kabhi apne naam ke saath maira naam jodana,
Kabhi hum-tum ko saath samajhana,
Kabhi maire bina khud ko tanha samajhana.
Kabhi tum maire baare main sochana.... Kabhi....
Thursday, June 19, 2008
Maaf kar dena mujhko....
Monday, June 16, 2008
Tu hi tu yaar…
Tu hi tu yaar…
Tu hi tu yaar,
Maira mandir tu,
Maira mahzid tu,
Mairi dargarh bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Saawan bhi tu,
Sukha bhi tu,
Hariyali bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Ehsaas bhi tu,
Saansein bhi tu,
Rooh bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Zindagi bhi tu,
Maut bhi tu,
Rabb ka har paigam tu,
Tu hi tu yaar…
Yeh jism bhi tu,
Yeh jaan bhi tu,
Maire ishq ki pehchan tu,
Tu hi tu yaar…
Maira salam bhi tu,
Maira sajda bhi tu,
Maira deen-iman bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Mairi subah bhi tu,
Mairi shaam bhi tu,
Har pal ka ehsaas tu,
Tu hi tu yaar…
Dillagi bhi tu,
Aashiqui bhi tu,
Jeene ka sahara bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Dost bhi tu,
Yaar bhi tu,
Maire apne main tu,
Tu hi tu yaar…
Yaadon main tu,
Intezaar main tu,
Khawabon main tu,
Aankhon main tu,
Tu hi tu yaar…
Rabb bhi tu,
Main bhi tu,
Tu hi tu yaar…
Bas tu hi tu yaar.
[written by romil arora - copyright reserved]
Yeh taira mehboob hai…
Khamosh naazare mujhe kuch keh rahe hai,
Yeh sundar ka badan kuch keh raha hai,
Yeh saaza hua soola-singar mujhse keh raha hai,
Chum lo isse apne hooton se,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
Chand aur taare mujhse keh rahe hai,
Yeh shabnami chandani mujhse keh rahe hai,
Yeh raatein, yeh haawain mujhse keh rahe hai,
Bhar lo isse apne baahon main,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
Thami hue saansein mujhse keh rahe hai,
Ehsaas jo durr hokar bhi, kareeb sa lag raha hai, mujhse keh raha hai,
Beetata hua intezaar mujhse keh raha hai,
Apna bana lo isse,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Rabb, kaise maanu ki tu hai…
Aapke darbar ke baahar baitha hua ek majboor ko dekhata hu,
Jo aapke paanah main hamesha rehta hai,
Dono pair nahi hai uske,
Fhir bhi uski himmat dekhar main hairath main reh jaata hu…..
Roz roti ki ladai woh karta hai,
Ek-Ek rupiya ke liye dusare ke samne girgirata hai,
Unke peeche woh bhagta hai,
Tumhara wastha daita hai,
Fhir bhi woh kuch nahi pata hai,
Be-bas sa chehara lekar fhir tumhare darbar ke baahar aakar baith jaata hai.
Rabb, kaise maanu ki tu hai……
Ek maa, apni chaaati se lipate baache ko apne ek haat se pakade rehti hai aur
dusare haaton main maang ka katora liye rehti hai,
Taire darbar main aaye logon ke saamne khali katora badate hai,
Bhookhe baache ka wasta daite hai,
Tumhara wastha bhi daiti hai,
Logon ke tiraskar ke sewa woh kuch nahi pati hai,
Be-bas sa chehara lekar fhir tumhare darbar ke baahar aakar khadi ho jaati hai.
Rabb, kaise maanu ki tu hai……
Ek chota sa masoom sa baacha,
Barsaaton main, garmiyoon main, sardiyoon main
Roz taire darbar ke samne khada rehta hai,
Aane-jaane wale sab taire bandhon se maangata rehta hai,
Uske bachpan ki mazboori kisi ko dekhaiye nahi daite hai,
Kitna mayush hokar woh reh jaata hai.
Rabb, kaise maanu ki tu hai……
Tu hi bata rabb kaise maanu ki tu hai,
Rabb, kaise maanu ki tu hai……
Fhir bhi main vishwas ka deepak hamesha jalata rehta hu,
Taire darbar main roz sar jhuta hu,
Kabhi to tu nazare karam unpar bhi karega,
Bas yahi dilasha roz taire darbar se lekar chala aata hu….
Chand sa masoom baachaa…
Chand sa masoom baachaa…
Chand sa masoom baachaa roote hue puchata hai,
Jab saahash nahi thi mujhe apnane ki,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?
Maa ki chaathi se lipatane ke liye naa jaane main kitna tarafha hu,
Pita ke ungaali pakadh kar saath chale ke liye naa jaane main kitna tarafha hu,
Jab nahi de sakte the mujhe apna pyar, apna dulaar,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?
Sab baache maa-pita ke saath school jaate hai,
Park main saath khelate hai,
Diwali main patakhe-fhuljadiya jaalate hai,
Holi main rang-gulal khelate hai,
Eid main saath-saath ghumane jaate hai, saiwaiya khate hai,
Christmas main khoob gift kharedate hai, naye-naye kapade pehanate hai,
Jab nahi de sakte the mujhe itne suhane pal,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?
Kyon mujhe log gaaliya de kar bulate hai,
Kyon laawaris kehte hai,
Kyon maire sapne koiye poora nahi karta hai,
Kyon maire khushiya-ghum main maire saath nahi hota hai
Jab nahi de sakte the mujhe maire adhikaar,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?
[written by romil arora - copyright reserved]
Yahaan har shakhs apne mein jeeta hai...
Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?
Wednesday, June 11, 2008
kuch dil se alfaaz...
hum to kab ke marr chuke hai unki judai mein,
bas kambakht koi arthi nahi uthata...
doston ki jarurat nahi hai humko kandha dene ke liye,
hasino ke rumal par marne wale hum nahi,
hum to judai ko bhi dil ka sakun bana lete hai,
zakhmo se kuch is tarah khelte hai ki nasur bana lete hai...
faasle jism ko to door kar jaate hai,
par hum yaadon se dilon ka shaher bana lete hai...
aankhon se aankho ka rishta toot jaye magar,
hum to khwabon mein hi ashiyana bana lete hai...
[written by romil arora - copyright reserved]
maine bhi kissi se pyar kiya hain…
Agar har chehre mein uska chehra nazar aata hain,
agar har baatoon par uska naam leta hu,
agar isse pyar kehte hain, toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain.........
agar kisi ke intezaar karne mein samay nahin dekhate,
agar uske aane par dil jhoom uthata hain,
agar isse pyar kehte hain, toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain......
agar kisi ke door jane ke baad unki yaad satati hain,
agar sab ke saat rehte hue bhi akelapan mehsoos kartein hain,
agar isse pyar kehte hain, toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain.....
khudse baatein karna,
har pyare se gaane par sirf hum dono ka nazar aana,
agar isse pyar kehte hain, toh haan,
maine bhi kissi se pyar kiya hain…
agar uske dil mein maire pyar ki koi jagah nahin,
phir bhi uske haan ka intezaar karna,
agar isse pyar kehte hain, to haan
maine bhi kissi se pyar kiya hain…
[written by romil arora - copyright reserved]
Tuesday, June 10, 2008
kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho.....
Main Hoon......
Dil se alfaaz.....
“Dard ko tum aapne muskurahat bana lo,
Har zakhm ko tum apni pehchan bana lo,
Phir dekho na jhuk jaye yeh aasman,
tum aapni udaan ko aur ucha bana lo”
“Apno ka gum sabhi ko hota hai,
kabhi gairo se bhi mohabbat karke dekho,
zakhm tumhara hum bhar denge kabhi humse bhi izhar karke dekho”
“Main wo naav hu jiska koi saahil nahi,
Main wo panshi hu, jiska koi ghosala nahi,
Mujhe kya koi pyaar karege,
Main wo diya hu, jis diye main tail nahi”
"Naam main kya rakha hai naam to ek din kho jayega,
Majnu koi bhi ho uska naam laila ke baad hi aayega"
"Har khata par wo hamari mushkurate hai,
zalim zamane main aaise bhi dost hote hai"
[written by romil arora - copyright reserved]
dil se alfaaz...
dil se alfaaz...
"Har baar sochata hu ki dost ki daar par na jayu,
magar mera maan tere daar par hi aa kar marna chahata hai,
aur tum bhi zalim hai dost, baar-baar zakhm dekar zinda chod deta hai"
“BAHUT MIL JATE HAI,
PYAR KARNE KO,
MAGAR KOI DOST NAHI MILTA,
DO PAL GUM BATNE KO”
“Mohabbat, Mohabbat Hi Hote Hai,
Khanjar Nahi,
Yeh Alag Baat Hai,
Log Mohabbat Ke Zakhm Ko Nasur Bana Deta Hai”
"Na samajhana humko dost,
taire dil ko dhokha hoga,
main hu us talab ka keechad,
haath daloge to tumhari hi haath ganda hoga"
[written by romil arora - copyright reserved]