Monday, July 28, 2008

!*!Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Itni Mohabbat Kyon Main Sanam Se Karta Hu, Rabb Sab Janta Hai,
Mere Haal-E-Dil Ko Pehchanata Hai,
Bas Uske Pehlo Main Marr Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Meri Har Chahat Uske Liye,
Yeh Duniya Bhi Jannat Bana Du Uske Liye,
Har Veerani Main Phool Khila Du Uske Liye,
Saare Fiza Ko Rangeen Bana Du Uske Liye,
Bas Uski Khushi Main Fanaa Ho Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Gunehgar Hai Hum.....

!!Apni Barbaadi Ke Khud Gunehgar Hai Hum,
Mohabbat Jo Ki Thi, Khud Sazadar Hai Hum,
Ab Kisse Kahe Haal-E-Dil Apna,
Jalte Hue Ghar Ke Chirag Hai Hum!!

#Romil

अपनी बर्बादी के ख़ुद गुनहगार है हम,
मुहब्बत जो की थी, ख़ुद सज़ादार है हम,
कब किससे कहे हाल-ए-दिल अपना,
जलते हुए घर के चिराग़ है हम...

#रोमिल

Tarafate Hum Rehte Hai.....

Aapki Jhalak Paane Ke Liye Sanam Khayal Hum Dekhate Hai,
Magar Khayalon Se Raahat Nahi Milte,
Mil Jata Hai Sirf Zaara Sa Sakun,
Magar Saari Raat Tarafate Hum Rehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti aur pyar....

"Dosti Hamesha Hoonton Par Muskaan Laati Hai
Sang-Sang Haashati Hai
Gaale Lagati Hai, Saath Milati Hai
Pyar Badati Hai
Waafa Karti Hai
Aashiq Ko Saccha Insaan Banati Hai
"


"Pyar Hamesha Aankhon Main Aansoo Lata Hai
Tanhai Main Rulata Hai
Judai Lata Hai, Dooriyan Badata Hai,
Dushmani Badata Hai
Bewafai Karta Hai
Aashiq Ko Pagal Banata Hai
"


!!fhir bhi duniya-e-jahan dosti ko samaj nahi pati hai,
hamesha isse pyar ka naam daite hai,
jab ki dono ek dusare se juda hai,
dono ka apna alag-alag rang-roop hai,
fhir bhi duniya dosti ki kadar samaj nahi paati hai,
hamesha pyar ko dosti se baada samajhati hai!!
[written by romil arora - copyright reserved]

~~Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe~~


~~Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe~~
Woh Gudda-Gudiya Ki Shaadi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Baarishon Main Khoob Jhoom Kar Nachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Saawan Main Jhuula Jhulana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Chotey-Chotey Haanton Main Mehandi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Choti-Choti Baaton Par Ruuth Jaana, Fhir Ek-Dusare Ko Manana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Agey-Agey Mera Doodana, Peeche Sab Saathiyoon Ka Doodana, Woh Mil Kar Rail Gaadi Banana, Sabka Fhir Zor-Zor Se Chillana,
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Naaz...Main Kuch Bhi Nahi Bhula...
Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe

[written by romil arora - copyright reserved]

Saath Nibha Na Saka.....


Ya Rabba, Sanam Hamara Humko Jaan Na Saka,
Majboori Woh Hamari Pehchan Na Saka,
Kehta Tha Zindagi Bhar Pyar Karega,
Jo Do Kadam Saath Nibha Na Saka!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 26, 2008

!!Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!!

Janta Hu Tujhe Na Pa Sakenge Zindagi Bhar,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Janta Hu Haal-e-Dil Zindagi Bhar Kisi Ko Na Bata Sakenge Sanam,
Dil Hi Dil Main Rote Rahenge Hum,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Zindagi Main Sanam Ko Pa Lena Hi Sabse Badi Kamyabi Hai,
Hum Zindagi Bhar Apni Haar Ko Yaad Rakhenge Sanam,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dhoondata Hu.....

*****
Main Musafir Hu,
Manzil Dhoondata Hu.


Main Wafaadar Hu,
Humsafar Dhoondata Hu/


Main Dard-e-Dil Ka Maariz Hu,
Daava Dhoondata Hu/


Main Haar Chuka Hu Is Be-Dard Sanam Se,
Khud Ke Liye Kabar Dhoondata Hu.

*****
[written by romil arora - copyright reserved]

Aakhir Kyon

~*~Aakhir Kyon~*~

Har Rishtey Se Koi Na Koi Umeed Hoti Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Apne Ban Kar Log Dagaa Karte Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Jab Khawab Toot Jaya Karte Hai, Fir Aankhon Mein Aate Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Jise Hum Duniya-Jahan Se Jyada Pyar Karte Hai Woh Hi Humse Bewafai Karte Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Woh Humko Bhul Jaate Hai Aur Khush Rehte Hai,
Hum Unki Yadoon Main Aansoo Bahate Hai,

~*~Aakhir Kyon~*~

[written by romil arora - copyright reserved]

Main zinda hu...



Main zinda hu...


Tez haawaon main diya jal raha hai,
Fhir bhi main zinda hu...



Pathar hai logon ke haaton main, sheesha hai dil mera,
Fhir bhi main zinda hu...




Dulhan ke haanton ki tarah, zakhamo se saaza hua hai dil mera,
Fhir bhi main zinda hu...



Janta hu sab bewafa, matlabhi hai, main waafa kar raha hu,
main baandh aankhon se aaina dekh raha hu,
Fhir bhi main zinda hu...

[written by romil arora - copyright reserved]

khushi ki beekh mangege nahi!


Sar jhuka hai to sirf rabb ke samne jhuka hai,
kis aur ke samne kabhi jhukega nahi,
jo mangana hai usse mangege kisi aur se nahi mangege kabhi,
jo muqaddar main likha hoga gum usne,
kisi aur se khushi ki beekh mangege nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]

ek chota sa dil hamara....

ek chota sa dil hamara, jis par zakhm hazaar,
kis-kis ki dawa kare, jab har koi hai yahaan bewafa mere yaar!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 25, 2008

aadat purani hai...

aadat purani hai...

Baarishon mein tumhe yaad karne ki
aadat purani hai...

Tumhari yaadon mein aansoo bahane ki
aadat purani hai...

Tanha hokar Rab ko haal-e-dil sunane ki
aadat purani hai...

Tumhari waafon ki jhooti kahani logon ko sunane ki
aadat purani hai...

Sab kuch ujad gaya hai, fir bhi aashiyana basane ki
aadat purani hai...

Janta hu tum kabhi nahi aaogi, fir bhi tumhara intezar karne ki
aadat purani hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

baarish ki tarah hai....

Sanam Tera Pyar Bhi Baarish Ki Tarah Hai,
Jab Barastha Hai Kisi Par To Jhoom Kar Barasta Hai,
Jab Nahi To
Insaan Chahe Pyasa Marr Jaye,
Nahi Barasata Hai!!

[written by romil arora - copyright reserved]

mere yaar k naam...

~~Uski tamanna ke siwa zindagi mein koi tamanna nahi,
mujhe to zarre-zarre mein uska chehra nazar aata hai~~

!!Log kehte hai parwardigaar ke ghar jaaya kar,
main kehta hu usne abhi tak mujhe apna pata bataya nahi!!


~*~Log kehte hai rab ke saamne sar jhukaya kar,
main kehta hu woh kabhi saamne aaya nahi~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte

~*~
Kaise Jiye Hai Tumhare Bina Hum Bata Nahi Sakte
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Raanton Main Tarafana Mera, Khawabon Main Machalana Mera,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!


Tanhai Main Reh Kar Aansoo Bahana,
Sabke Samne Muskurana,

Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Khud Se Baatein Karna,
Tere Ehsaas Ke Saath Sona,
Woh Raatein Hum Bhula Nahi Sake,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh kehte hai.....




!!Woh kehte hai mujhe pyar karo,
Main apni zindagi-e-majboori usko gina daita hu!!


!!Woh kehte hai yeh jawani mujh par nisaar karo,
Main usko apne haalat-e-aansoo dekha daita hu!!


!!Woh kehte hai lipath jayo maire badan se,
Main hamesha apna dil-e-dard usko bata daita hu!!


!!Main Kitna Badnaseeb Hu,
Rabb Yeh Sirf Tu Janta Hai,
Dil Chahta Hai Usko Bepanah Pyar Karne Ke Liye,
Main Bas Har Khawab, Khawab Main Beeta Daita Hu!!

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 24, 2008

~*~Main Dua Karta Hu~*~

~*~Main Dua Karta Hu~*~

Kabhi Woh Rooth Jaye To Main Usko Manau
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Gusse Par Woh Mujhe Manaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Main Uski Muskaan, Uski Khushi Par Qurbaan Ho Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Hasane Main, Mere Rone Main Woh Saath De
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Woh Kabhi Kisi Gair Se Na Dil Lagaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Maire Baahon Main Zindagi Beeta De
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Raaton Main Woh, Apna Sar Rakh Kar Mere Goad Main So Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Saath-Saath Hum Baarishon Main Naahaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Rooh Se Main Lipath Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Mere Saanson Main Woh Saama Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Haanton Main Haanth Lekar Hum Chalte Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Zulfoon Main, Main Phool Sajau
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Meri Nazaron Ke Samane Woh Hamesha Rahe
~*~Main Dua Karta Hu~*~


BAS RABB TU ITNA SAMAJ LE
"FHIR AAISA HUMSAFAR NAHI MILEGA MUJHE KISI JANAM MAIN,
GUNN-RAJ JANAMO TAK SAATH RAHE"
~*~MAIN DUA KARTA HU~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

dua karo......



"Woh phool hai mere dil-e-aashiana ka,
Dua karo usko duniya-e-bazaar ki haawan na lage"


"Hamari mohabbat se jalne lagi hai dunia-e-jahaan,
Dua karo kisi ki baddua na lage"


"Usse mil kar mehakne lagta hai hamara dil-e-chaman,
Dua karo kisi ki nazar na lage"

[written by romil arora - copyright reserved]

basane na diya......


!!Dil-e-dua thi mohabbat-e-gharondha banane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!



!!Dil-e-tamanna thi gharondha main rabb-e-sanam ko pujane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Naazare-e-chahat thi usko haqiqat-e-aashiana main muskurata dekhane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Rooh-e-aarzoo thi usko mohabbat-e-ghar main pyar karne ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!

[written by romil arora - copyright reserve]

Chalo Sanam

!!chalo sanam!!

~~chalo sanam dekhte hai mohabbat-e-samundar mein uthar kar,
phir dekhe kinare kaun karta hai~~


~~chalo sanam basaate hai ek-dusare ko apni-apni neeghao mein,
phir dekhe aansoo ki baarish kaun karwata hai~~


~~chalo sanam mohabbat ka elaan karte hai dushman-e-jahaan mein,
phir dekhe saath-e-humsafar kaun chodata hai~~


!!CHALO SANAM!!

#Romil

चलो सनम

चलो सनम देखते है मोहब्बत-ए-समुंदर में उतरकर,
फिर देखें किनारे कौन करता है...

चलो सनम बसाते है एक-दूसरे को अपनी-अपनी निगाहों में,
फिर देखें आँसू की बारिश कौन करता है...

चलो सनम मुहब्बत का ऐलान करते है दुश्मन-ए-जहां में,
फिर देखें साथ-ए-हमसफ़र कौन छोड़ता है...

चलो सनम...

#रोमिल

dil se.....

"Hum sheher-e-mehfil mein tanha nahi the,
magar koi humsafar nahi mila sanam tere jaisa"


"Silsila mohabbat ka kuch is tarah humne nibhaya hai,
sanam tujhe apna rab banaya hai"

aapki yaad aane lagti hai....

"khushiyoon ke mausam main udasi chaane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"sukhi hue palake, bheegane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"bewajah hi naazare intezaar karne lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

[written by romil arora - copyright reserved]

samaj laite......

~~~ kaash yaar tum dil ki baat samaj laite,
sapno ko hi mulaqat samaj laite,
chand ko hi hamara chehara samaj laite,
hamari aankhon se jo gire hai aansoo usko mohabbat ki barsaat samaj laite~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 23, 2008

~~~Daulat ke khareeddar~~~

~~~Daulat ke khareeddar~~~
!!Rishte-Naate Sab Daulat Ki Mandi Main Beekh Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Aansoo-Khushi Sab Dekhawa Naazar Aate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Pyar-Wafa Sab Rasthey Ke Modh Ke Saath, Badal Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Apne-Sapne Sab Waqt Ki Rait Main Udha Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


*****Dekh Kar Tere Bandon Ki Haalat Rabb Mujhe Aaisa Lagta Hai,
Shayad Tere Yahaan Bhi Sirf Daulat Ke Khareeddar Rehte Hai*****
[written by romil arora - copyright reserved]

mujhko.....




Mohabbat ki bulandi chuna chahta tha,
magar mazbooriyoon ne zameen par gira diya mujhko!


Mehfil ki roshani banna chahta tha,
magar tanhaiyoon ne ruswa kar diya mujhko!


Roshani ban kar jalana chahta tha,
magar haawaon ne bhuja diya mujhko!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

unke saath rahu!

Waafa ban kar unke saath rahu,
dil ki dhadkan ban kar unke saath rahu,
hoonton par muskaan ban kar unke saath rahu,
mann to chahta hai zindagi bhar unki zindagi ban kar unke saath rahu!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Hum....

Rooh-e-mohabbat ke talabdaar hai hum,
Waafa-e-ishq ke umeeddaar hai hum,
Zindagi-e-mehfil main khushiya paana chahte hai hum,
Shayad itni hi aarzoo-e-dil ke gunehgaar hai hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

bhool jayoge!


Vaada na karna
bhool jayoge!
Hadh se jayada mohabbat na karna
bhool jayoge!
Itna yaad na karna
bhool jayoge!
Hamara intezaar main aansoo na bahana, warna
bhool jayoge!
Jo gila, sikwa karna to hamare samne karna,
mehfil main abhi karogi, to baad main
bhool jayoge!
[written by romil arora - copyright reserved]

yaad...


Usse Na Yaad Karne Ki Kasam
Mujhe Baar-Baar Uski Yaad Delati Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

tabhi to hamari jaan hai woh!

Mohabbat mein nadaan hai woh,
Fir bhi hamari jaan hai woh,
Pal bhar mein aankhon se aansoo baha deti hai woh,
Har baat ko dil se laga leti hai woh,
Hamesha Rab, rooh ki baatein karti hai woh,
Bholi hai, masoom hai, duniya se anjaan hai woh,
Tabhi to hamari jaan hai woh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 22, 2008

kaash is barsaat main sanam...

kaash is barsaat main sanam...

tumhare hoonton ko chu lu,
is reshami badan ko thoda sa pyar kar lu,
tumko apni baahon main lekar thoda sa jhoom lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
barasate pani main, apne taan ki pyaas poori kar lu,
tumko goad main baitha kar, teri zulfoon ke saath thodi se shararat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
to mujhe tooth kar pyar kare,

main apne saaye se tere saaye ko mila du,
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
na tu, tu rahe,
na main, main rahu,
is tarah tujhse bepanah mohabbat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sun Hawa...

Sun Hawa,
Zaara Uske Dupatte Ko Chu Kar Aa
Zaara Yeh Bata
Kaisi Hai Woh
Kuch To Uska Haal-Chal Suna...

Sun Hawa,
Zaara Usko Chu Kar Aa

Uske Badan Ki Khushaboo Se Maire Badan Ko Mehkaha....

Sun Hawa,
Zaara Usko Chu Kar Aa
Uske Hoonton Ki Pyas Se Maire Hoonton Ki Pyas Bhujha....


Sun Hawa,
Zaara Usko Chu Kar Aa

Is Mausam Main Uske Bina Raha Nahi Jaata Hai,
Zaara Usko Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Karwa....
[written by romil arora - copyright reserved]

gum de jaate hai....

aankhon mein aansoo aa jaate hai,
aankhon mein sapne aa jaate hai,
dono hi apne hai, har-baar gum de jaate hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Chehari ke udasi.....


Chehari ke udasi se har baar main kehta hu...
"Dost, Mehfil Main Mat Aaya Karo,
Sabke Samne Hamara Maazak Mat Banaya Karo"

Chehare ke udasi kehta hai....
"Jab Mehfil Main Tumko Tanha Dekhati Hu Dost,
To Mujhse Raha Nahi Jaata Hai,
Bas Teri Tanhai Durr Karne Main Chali Aati Hu,
Bas Tera Saath Daine Main Chali Aati Hu,
Koiye Na Ho Tera Par Mujhko Apna Samajhana,
Main To Har Waqt Tere Saath Rehana Chahti Hu,
Tera Saath Nibhana Chahti Hu"
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 21, 2008

yeh na seekh sake hum...


Chehare par muskaan laana seekh gaye,
Mehfil main muskurana seekh gaye,
Dukh ko chupana seekh gaye,
Sab kuch seekh gaye sanaam;
!!Bas Teri yadoon main aansoo na bahe yeh na seekh sake hum!!
[written by romil arora - copyright reserved]

pyar kiya hai tumko!

apni har saans main baasa rakha hai tumko,
pal-pal taraf kar yaad kiya hai tumko,
tu nahi is jahaan main to hum nahi,
is kadar pyar kiya hai tumko!
[written by romil arora - copyright reserved]

Teri mohabbat main sanaam....

Teri mohabbat main sanaam....

Haatheliya to gheele ho gaye,
Magar hoonth payase reh gaye!

Palake to gheele ho gaye,
Magar aankhen payase reh gaye!


Badan to gheele ho gaye,
Magar rooh payase reh gaye!
[written by romil arora - copyright reserved]

CHUP RAHO!

Kal furshat na mili to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Kal itni mohabbat na mili kisi aur se to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Aaj jo kehna hai neegahoon se keh do, kal shabd na mile to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Aa kar so jayo in baahon main, kal yeh baahein na mili to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Kar laine to deedar in neegahon se, kal agar hamari aankh na khuli to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

[written by romil arora - copyright reserved]

Phir se.....


Phir se mohabbat-e-ehsaas jagane laga hai mera,
Phir se hoonth tarasne lage hai maire,
Phir se jism sulagne laga hai maira,
Phir se taraf utha hu main,
Phir se aankh barasane lagi hai maire,
Phir se wahi shaam aaye hai,
Phir se tere yaad sang laaye hai,
Phir se......!
[written by romil arora - copyright reserved]

na be-dard bana karo sanaam......


Mohabbat walon ko itna na sataya karo sanaam,
Juda karke na tarfaya karo sanaam,
Waqt ke lamhe ke tarah ek din hum chale jayenge,
fhir na sanaam tumhare pass aayenge,
Itna na be-dard bana karo sanaam!
[written by romil arora - copyright reserved]

na tumhari paane ki koiye umeed hai....

Kaise bharega woh zakhm, jisme tumhari kami hai,
Kaise hogi aankhon mein khushi, jisme tumhari naami hai,
Dastaan-e-zindagi kab tak aise hi chalti rahegi,
Jisme na tu hai aur na tumhare paane ki koi umeed hai!

#Romil

कैसे भरेगा वो ज़ख्म, जिसमें तुम्हारी कमी है,
कैसे होगी आँखों में ख़ुशी, जिसमें तुम्हारी नमी है,
दास्तां-ए-ज़िन्दगी कब तक ऐसे ही चलती रहेगी,
जिसमें ना तू है और ना तुम्हारे पाने की कोई उम्मीद है !

#रोमिल

modh aa gaya!!!

Abhi milne ki khushi mili thi,
Ki bichad jaane ka gum tumne de diya,
Ajeeb hai yeh zindagi ke raste,
Kuch kadam hi chale the ki modh aa gaya!

#Romil

अभी मिलने की खुशी मिली थी 
कि बिछड़ जाने का गम तुमने दे दिया, 
अजीब है यह जिंदगी के रास्ते, 
कुछ कदम ही चले थे कि मोड़ आ गया!

#रोमिल

tumko yaad karte hai....


Sab kuch bhul jaana sanaam,
magar itna yaad rakhana,
jisse tum bhul baithe ho,
woh aksar tumko yaad karta hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 19, 2008

Rabb Main Uski Adaa Kya Batao......



Rabb Main Uski Adaa Kya Batao



!!Woh Mera Dard Lekar,
Lipat Kar Rota Hai Kisi Gair Se!!


!!Woh Khud Rota Hai,
Mujhe Chodane Ki Baat Keh Kar!!



!!Woh Manzil Mujhe Bata Kar,
Apna Raasta Badal Leta Hai!!


!!Woh Khud Jalta Hai,
Dusaron Ko Roshani De Kar!!

[written by romil arora - copyright reserved]

mujhe sirf tera aasara!



Aankhon ke aansoo ko sirf tera aasara!
Har sapne, har aarzoo ko sirf tera aasara!
Mandir ke pujari ko sirf tera aasara!
Manzil se bhatake hue musafir ko sirf tera aasara!
Prem main zakhm paye aashiq ko sirf tera aasara!
Jahan main har kisi ko sirf tera aasara!
Salamat rahe mera yaar, mera pyar, mera sanaam,
m
ujhe sirf tera aasara!
[written by romil arora - copyright reserved]

Laut Aao, Bas Laut Aao Tum!


Suno Sanaam!
Laut aao hamare pass, warna yeh dil hamesha tarafata rahega,
Yeh aankhen hamesha aansoo bahati rahengi,
Yeh jism hamesha sulagta rahega,
Yeh khushiyaan hamesha humse durr rahengi,
Yeh phool, yeh wadiya hamesha be-rangeen rahengi,
Yeh haawain hamesha be-mast chalengi,
Yeh aasmaan hamesha khali-khali rahega,
Yeh panchi be-juban rahenge,
Bas Laut Aao,
Warna Na Hum Rahenge, Na Hamare Sapne Rahenge,
Na Hamari Mohabbat Rahegi,
Laut Aao, Bas Laut Aao Tum!
[written by romil arora - copyright reserved]

Zindagi-e-Gum De Gaya....

Baada!! Be-dard Hai Dost Mera,
Khud Is Duniya Se Chala Gaya,
Humko Tanha Chod Gaya,
Aata Bhi Nahi Hamara Haal Dekhane,
Dekho Khushi Ke Naam Par Zindagi-e-Gum De Gaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

muskuraya humse bhi na ja sake....


Aaisa dost chahiye,
Jiske sapno ko dil main basaya ja sake,
Jiske aansoo ko palkon main sajaya ja sake,
Jiske muskaan ko mann main chupaya ja sake,
rahe uska-mera rishta kuch is tarah,
agar udaas woh ho to muskuraya humse bhi na ja sake!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti


Din main chand ki baat nahi hoti,
Din main sitaron ke saath mulaqat nahi hoti,
sabki dosti suraj ki roshani ki tarah hai, jo aati hai chali jaati hai,
Tumhari dosti chand, sitaron jaise hai, jo tanhaiye main bhi saath daite hai,
Suraj ke roshani se uski barabari nahi hoti!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti ki kahani likhi hogi.....


Naaz, tum ho na ho is jahaan main,
Magar hamare mann main hamesha aapki yaadein rahenge,
Jab bhi dekhenge hum aasman ki taraf,
Hamari dosti ki kahani likhi hogi!
[written by romil arora - copyright reserved]

hamesha zinda rakhenge....

Har farz dosti ka ada hum karenge,
Teri yaadon ka gharonda hamesha apne dil main sanjo kar rakhenge,
Tujhse milane ki dua hum din-raat karenge,
Jab tak salamat hai hum rabb ki kasam,
Naaz apni dosti ko hamesha zinda rakhenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 18, 2008

zindagi hua karta tha.....

Usse rabb ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha,



Woh ek shakh tha, jiske baad yeh duniya jhuti hai,
Mere dil ko poora yakeen tha, woh dosti ka faristha tha,




Usse shokh tha, mujhe khush dekhane ka,
Jo kabhi apne dukh se dukhi hota nahi tha,




Jo saari duniya se durr rehta tha,
Meri aankhon main jo pal bhar main simat jaata tha,




Usse rabb ne chura liya mujhse,
Jo meri zindagi hua karta tha.

[written by romil arora - copyright reserved]

Rab ke Faristee jaisi...

NaaZ, hai meri baharon jaisi,
Aasman mein chand jaise,
Phoolon mein gulab jaise,
Bahut dost nahi hai mere,
Sirf NaaZ, hai Rab ke Faristee jaisi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 17, 2008

nafrat hi nafrat

Tumko ek haqiqat hum bata dete hai
Hum sirf tumse nafrat hi nafrat chahte hai!

Pehle jo tumhare ek aansoo par duniya se shikayat karte the,
Aaj sirf tumko rota hua dekhana chahte hai!

Kitne be-reham the tum, hamari har khushi cheen li,
Hum to tumse ab har saans bhi cheen lena chahte hai!

Chahane se bhala kya hota hai,
Dil fhir bhi tumhari liye dua karta hai,
Tumko hamesha khushi mile,
Jabki tumne humse hamari zindagi cheen li!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kaash...


Kaash woh khawab hota main usko bhool jaata,
Kaash woh toofan hota main zakhm kha kar sambhal jaata,
Kaash woh jaam hota main usko pee jaata,
Kaash woh khawish hoti main usko pa jaata,
Magar woh to zindagi thi.....
Isliye main usko jee nahi saka.
[written by romil arora - copyright reserved]

fhir woh yaad aaya



Meri aankhon mein aaj aansoo kaise hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Har jagah chiraag jal rahe kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Yeh haawein itni mastani kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

Aaj har kaali, kantein se lipti hui kyon hai?
Lagta hai fhir woh yaad aaya..

[written by romil arora - copyright reserved]

fhir chale jaana.....

Bewafai ka matlab samjha dena fhir chale jaana,
Mera dil kyon tumne tooda, samjha dena fhir chale jaana!

Itna waqt jo maine teri yaadon main beetaya hai,
Un yaadon ka kya karu, yeh samjha dena fhir chale jaana!

Meri aankhon main jo baasi hai tasveer tumhari,
Kaise mita du, yeh samjha dena fhir chale jaana!
[written by romil arora - copyright reserved]

diye main bhuja dunga......

tera khayal dil se mita dunga,
bewafa main tujhko bhula dunga,
aansoo ab nahi karunga main apne jaaya,
har teri yaad ke diye main bhuja dunga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Aansoo aur Yaadein....



Bachpan Ke Aansoo Bhi Kitne Aache Hote The,
Jab Hum Jee Bhar Kar Ro Liya Karte The,
Jawani Ke Aansoo To Dil Ko Dhukha Dete Hai!


Tumhare Yaadein Humko Bheed Main Tanhai Ka Ehsaas Karati Hai,
Jab Hum Tanha Hote Hai, Bahut Muskurate Hai,
Tumhare Bewafai Humko Muskurahat Ka Ehsaas Karate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 16, 2008

Na Main Badala!


Suraj Na Badala,
Chand Na Badala,
Na Yeh Fizaiye, Na Yeh Hawaiye Badale,
Na Romil Badala!

*
Na Roshani Badale,
Na Chandani Badale,
Na Rabb Ke Bandhe Ke Liye Bandagi Badale,
Na Romil Badala!
*

Na Baache Ke Hoonton Par Muskaan Badale,
Na Panchiyoon Ki Aawaz Badale,
Na Phoolon Main Khushboo Badale,
Na Romil Badala!

Na Main Badala!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 15, 2008

!!muddat hui hai use dekhe hue!!


!!muddat hui hai use dekhe hue!!

"muddat hui hai use dekhe hue,
uske chand se chehare ko chuye hue,
pyar bhari baatein kiye hue,
uski goad mein soye hue"

!!muddat hui hai use dekhe hue!!

"kuch pal sukun mein bitaye hue,
honton se honton ko lagaye hue,
uski palkon mein zindagi bitaye hue,
shamo ko rangeen banaye hue"

!!muddat hui hai use dekhe hue!!
[written by romil arora - copyright reserved]

zindagi aapke bina aadhuri hai.....

aapki muskan hamari kamzori hai,
aapki khushi par marr jana hamare liye jaruri hai,
aap kyon nahi itna samajhate sanam,
hamari zindagi aapke bina adhuri hai!
[written by romil arora - copyright reserved]