Saturday, February 28, 2009

Masjid main dekh kar ....

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui romil
kiski khushiyaan ke liye tune fir haath fehlaya
~
yeh duaon ka silsila kyon kar raha hai tu chalu
kaun hai woh anjani jo fir yaad aaya
~
aankhon mein aansoo kiske liye hai
kiski bandagi ka fir khayal aaya
~
shaam hote hi kyon khol deta hai darwaze
woh kaun hai jiska yeh chand salam lekar aaya
[written by romil arora-copyright reserved]

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekh kar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

[written by romil arora-copyright reserved]

suna hain...

suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
~
zakhame dil ke saath fhir khel rahe ho
mitti ka ghar hain
barsaat ke saath kyon dushmani kar rahe ho...
~
sakuun se soya karte the tum raaton main
kyon meri jaan apni raatein kharab kar rahe ho...
~
tukade-tukade pehle hi ho chuka hain dil tumhara,
kyon isse khaakh main mila rahe hoo...
~
suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 27, 2009

sach se rubaru

aaj se ek nayi shuruwat..."kuch is tarah" "dil se" "khud se rubaru" ke baad "sach se rubaru"

"jab ghar ki dehleez maine laanghi thi
dil main bas ek yahi aarzoo thi
koiye ghar na chodane ki duhai de
koiye aakar mera rasta rok le
koiye peeche se mujhe aawaz de"
[written by romil arora-copyright reserved]

kuch is tarah

kuch is tarah badal gaye hain mere haalat
zindagi ek sawalat ho gaye hain...
~
puch raha hu khud se ek saawal
tu kyon bewafa ho gaye hain...
~
dil main yaadon ki aag bharakane lagi
aankhon main aansoo ki barsaat ho gaye hain...
~
kisse kare teri bewafai ka charcha is jahan main
teri ishq main saari duniya apni dushman ho gaye hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

sab hi...

sab hi apno se milte hain Romil
maaza to tab aata hain jab log ajnabi se milate hain Romil!
[written by romil arora-copyright reserved]

nahi soye

raat bhar tere intezaar main nahi soye
hum zindagi ke saawal main nahi soye
dil yeh puchata raha ki tu pareshan kyon hain
hum muskuraye aur tere khawabo ke khayal main nahi soye...
[written by romil arora-copyright reserved]

lafz..

"hum mohabbat-e-izhaar ke liye lafz hi dhundhate rahe Romil
aur woh dusare ka haath tham kar chale gaye..."
[written by romil arora-copyright reserved]

khabar...

khabar chapaane ka bahut shauq tha tumko
jab khud khabar bane to machal uthe...
[written by romil arora-copyright reserved]

fursat...


baada aacha woh waqt tha, jab humko gum se fursat thi Romil
ab dekho fursat meri, har kisi ke gum ko apna bana laite hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

aaye khuda tune mera naseeb yeh kaisa likha hai...

"aaye khuda tune mera naseeb yeh kaisa likha hai
mujhe jisse mohabbat ho woh mujhse juda ho jaata hai"
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 26, 2009

ammi meri kehti hai...

ammi meri kehti hai...
subah ka suraj khushiyali lekar aata hai
hawaa ka jhoka zindgani lekar aata hai
yeh phoolon ki khushboo dekho kitne rang bekherati hai
panchi ki aawazein madhur sangeet sunati hai
sab allah ka karam hai
sab allah ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
jhooth se hamesh door raho
har insaan se insaniyat karo
sabme hai rab ka noor dekho
rab ke darbar mein arziyan do
sab rab ka karam hai
sab rab ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
koi na soye bhukha yeh dua karo
har koi prem se rahe yeh dua karo
sabko mile shanti yeh dua karo
fir na jale yeh bastiya yeh dua karo
sab bhagwan ka karam hai
sab bhagwan ka noor hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

~~dil ki kalam se~~

"woh dil behlaane ke liye aa jaate hain raaton main hamare kareeb romil
aur hum samajhate hain ki hamari dua kabool ho gaye"
~~~~**~~~~
"tasveer mangate-mangate main thak gaya tha romil baad main pata chala woh tasveer to
daulat ke baazar main beek rahe the"
[written by romil arora-copyright reserved]

itni bandagi pasand insaan tha main...

"itni bandagi pasand insaan tha main Sultan...
ki hamesha rab ki bandagi mein rehta tha...
uski bewafai ne, rab ko mera dushman bana diya"
[written by romi arora-copyright reserved]

kaash...

maine to socha tha ki woh har gum main mera saath degi romil,
magar usne to chehare ki udasi ka bhi khayal nahi kiya...
~
kaash woh kabhi puch leta mujhse
ki beemar tera haal kaisa hain
main zindagi bhar beemar rehane ki dua karta...
[written by romil arora-copyright reserved]

muqaddar

dil kehta hain ki parinda ban jayun

chod du yeh shehar

kahin durr chala jayun...

fhir khayal aata hain

apni hi mitti main mil jana, parinde ka muqaddar hota hain...

[written by romi arora-copyright reserved]

waafa

"jab meri kismat main mohabbat thi hi nahi $ultan

fhir allah ne mujhe dil kyon diya"

~~

"Uske aandar waafa ki aadat nahi thi $ultan

fhir usne bewafai kaise itni waafa se nibha li"

[written by romi arora-copyright reserved]

badnaam

"Bahut aache tarah se jante hain shehar ke log mujhe $ultan,

uski aashiqui main badnaam jo bahut hua hu"

[written by romi arora-copyright reserved]

khuda...

is kadar mujhko na ujado khuda,
ki baad main basana muskil ho jaye...
[written by romi arora-copyright reserved]

aankhon..

aansoo aur mat bahao $ultan
aankhon main yaar ki tasveer hain mit jayegi"
[written by romi arora-copyright reserved]

Waafa...


Beethoon Se Waafa Na Mil Saki To $ultan

Meri Maa Ne Kutta Khareed Liya...

[written by romi arora-copyright reserved]

Goan ke log...


Goan ke log kitne aache hote hain $ultan

Mitti ke ghar, dil sacche hote hain $ultan

Milti hain izzahat, sukh-shanti hoti hain $ultan

Neem ke paidh ki chao main zindagi katati hain $ultan...

[written by romi arora-copyright reserved]

Ki main laut kar wapas na aane pau...

Uski yaadon ne yeh kaisa tilism bana rakkha hai Romil 
Ki main khud mein hi khoya-khoya rehta hu...
_________________________
Kitni mohabbat se mujhe wapas bhej rahe hai yeh duniya wale
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil,
Itni mohabbat se meri kabr saaja rahe hai yeh duniya wale....
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil
[written by romil arora-copyright reserved]

aakhiri khat

"Mera aakhiri khat dekhkar woh ajnabi ro padta hoga Romil
maine usko thik se khuda haafiz bhi nahi likha"

#Romil

मेरा आखिरी खत देखकर वो अजनबी रो पड़ता होगा रोमिल 
मैंने उसको ठीक से खुदा हाफिज भी नहीं लिखा...

#रोमिल

Wednesday, February 25, 2009

aankhein

aankhein meri kisi ke khawab mein khoi hui thi Romil
logon ne socha ki main is duniya se rukhsat ho gaya...

#Romil

आँखे मेरी किसी के ख़्वाब में खोई हुई थी रोमिल
लोगों ने सोचा की मैं इस दुनिया से रुख़सत हो गया...

#रोमिल

kya jawab dunga...

Sochata hoon ki us ajnabi ka naam hatheliyon mein likhwa lu Romil,
Agar yeh hatheli kisi aur ne tham li to us ajnabi ko kya jawab dunga...

#Romil

सोचता हूँ कि उस अजनबी का नाम
हथेलियों में लिखवा लूँ रोमिल,
अगर यह हथेली किसी और ने थाम ली, तो उस अजनबी को क्या जवाब दूंगा...

#रोमिल

khata

Shayad meri khata thi ki woh bewafa ho gayi Romil
kasoor mera tha, fir usko ilzam kyon doon...

#Romil

शायद मेरी खता थी कि वो बेवफा हो गई रोमिल 
कसूर मेरा था, फिर उसको इल्जाम क्यों दूं...

#रोमिल

tadap-tadap kar marr raha hu...

samundar mein doobkar maru
to khushnaseebi hogi Romil
gum to is baat ka hai ki
kinare par pyasa tadap-tadap kar marr raha hu...

#Romil

समुद्र में डूबकर मरूं तो खुशनसीबी होगी रोमिल 
ग़म तो इस बात का है कि किनारे पर प्यासा तड़प-तड़पकर मर रहा हूँ...

#रोमिल

~~dil se~~

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gaye Romil
jab bani to baazar ki ho gaye...
~~~
Is tarah toota hain dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...
[written by romil arora-copyright reserved]


daulat ke saath...

daulat ke saath mohabbat nahi hoti
samjhauton ke saath zindagi, zindagi nahi hoti
gum na ho to khushiya nahi hoti
doston ke saath dushmani nahi hoti
qafan mein bhi jeb nahi hoti...
[written by romil arora-copyright reserved]

nahi hote

phoolon ki mehfil main kya kaantee nahi hote?
chand ki mehfil main kya sitare nahi hote?
ameeron ki mehfil main fhir gareeb kyon nahi hote?
[written by romil arora-copyright reserved]

chalte-chalte

chalte-chalte kadmo mein chaale pad gaye Romil...
magar us ajnabi ka rasta na mila...
dekha haath to gumsum thi ungaliyaa
jo isko thaamne wala tha woh ajnabi na mila...

#Romil


चलते चलते कदमों में छाले पड़ गए रोमिल... 
मगर उस अजनबी का रास्ता ना मिला... 
देखा हाथ तो गुमसुम थी उंगलियां 
जो इसको थामने वाला था वो अजनबी ना मिला...

#रोमिल

meri naina....

meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...
~***~
suraj re aaya re
choti-choti yaadon ke fhank pehlaye
mann main khushiya sajaye
aansoo sang laaye naina...
~***~
shaam se naami main bhar jaate naina
yeh kiske khayal main khoye naina....
~***~
ab to saare begaane lagte hain yahaan
hain nahi yahaan fhir bhi dekhaiye deta hain chehara
anjaana chehara basa kar rakhe naina...
~***~
meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...

[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, February 24, 2009

Completed my 1000 posts

"koiye pal bhar ko jeeta hain zindagi
koiye saalon beetata hain
fhir bhi har insaan yahi puchata hain
zindagi kya hain
zindagi kya hain"
~~~~~
aaj maine apne blog http://www.sunny-raj.blogspot.com par 1,000 posts complete kar le hain..... bahut kuch lekha... kuch logon ko aacha laga hoga, kuch logon ko bura laga hoga....bas padane wale se itni ilteza hain
"yeh sher nahi hain
yeh meri zindagi hain
jo kalam se likhe gaye hain
chahata to baich sakta tha isko kitabo main band karke
magar koiye khareeddar mila nahi..."
~~~~~

iski suruwat kuch is tarah hue thi...

"aashiayana bana saku itni hasiyat nahi thi meri

tohfa main de saku, gali pata nahi thi uski

socha mohabbat ki kabr bana deta hu

roz uspar hi shayari ke phool chada diya karunga"

fhir socha ki phool chadana chod du...magar fhir naye log milate gaye, gum fhir apne hote gaye aur hum likhate gaye....allah haafiz.

rangeen zindagi...

duniya main gum bahut dekhe hain
bastiya ujadate hue bhi dekhi hain
aansoo, masoom ki aankhon se bhehate hue dekhe hain
chaaron taraf kaale andhere hi andhere hain
muskurakar, aaina lagakar woh bola
ab zindagi kitne rangeen lag rahe hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

jawani luta kar bola majnu, laila se

jawani luta kar bola majnu, laila se
jawani to tujh par luta de
bol budhapa kispar lutau...

#Romil

जवानी लूटाकर बोला मजनू लैला से 
जवानी तो तुझ पर लुटा दी बोल बुढ़ापा किस पर लुटाऊँ...

#रोमिल

ilzaam...

jaate-jaate sanam kuch to keh jaate
vaade nahi to ilzaam hi laga jaate....
[written by romil arora-copyright reserved]

Itni nafrat kyon di mujhe...

dariya tha mere pass
fhir bhi main pyasa raha
aaye khuda tune itni nafrat kyon di mujhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

kaash...


kaash woh hamara haal-chal puche
isse khayal main hum umar par beemar rahe...
[written by romil arora-copyright reserved]

koiye to seekhe...


bewafao se wafa karna koiye to seekhe
andheroon main ujala karna koiye to seekhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

intezaar

yeh rasthey bhi dhundla gaye hain
raat bhi hone ko hain
jaane wale yeh to bata de
main kab tak tera intezaar karta rahu...
[written by romil arora-copyright reserved]

shararat...

Aaise na dekhao ada mere mehboob
hum tareef karenge to shararat hogi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Hum dono apni-apni aadat se majboor hai...

teri aadat hai bewafai ki...apni wafa ki...
hum dono apni-apni aadat se majboor hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Badla nahi apna andaaz...

pehle muskurate the apne ishq par hum
ab apne haal-e-dil par muskurate hai...

badla nahi apna andaaz...
[written by romil arora-copyright reserved]

Meri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa

Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mamaa
Hoo Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mamaa
Haatho Ki Lakerien Badal Jayengi
Gum Ki Yeh Zanjeerein Peeghal Jayengi
Ho Khuda Pe Bhi Aasar, Tu Duaon Ka Hai Ghar
Meri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Hoo Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Begdi Kismat Bhi Sawanr Jaayegi
Zindagi Tarane Khushi Ke Gayegi
Tere Hote Kiska Dar, Tu Duawon Ka Hai Ghar
Meri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Hoo Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
~~
Yun Tu Mein.. Sab Se Nyara Hoon
Tera Maaa Mein Dulara Hoon
Yun Tu Mein.. Sab Se Nyara Hoon
Par Tera Maaa Mein Dulara Hoon
Duniya Mein Jeene Se Jyada Uljhan Hai Maaa
Tu Hai Amar Ka Jahan.......
Tu Gussa Karti Hai, Bada Accha Lagta Hai
Tu Kaan Pakati Hai, Badi Zor Se Lagta Hai, Meri Maa...
Meri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Hoo Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Haatho Ki Lakerien Badal Jayengi
Gum Ki Yeh Zanjeerein Peeghal Jayengi
Ho Khuda Pe Bhi Aasar, Tu Duawon Ka Hai Ghar
Meri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
Hoo Maa, Meri Maa, Pyaari Maa... Mammaa
[not written by me]

dil ki kalam se...

aaina ka shauq bahut tha mujhko
ab haaton main pathar lekar fhirta hu...
~*~
kasthi main beth kar samundar ko apna samajhata tha
jab toofan aaya tab haqeqat ka pata chala...
~*~
saare mausam mujhe ek se lagate the
meri nigaah main aansoo kuch is tarah se bas gaye the...
[written by romil arora-copyright reserved]

Monday, February 23, 2009

sochata hu

shaam hue fhir yaad tere aaye
aansooyoon ki barsaat saath laaye...
~
sochata hu ki dil laga lu fhir kisi ajnabe se
par teri ruswaiyaa fhir yaad aaye...
~
sochata hu ki chod du teri duniya
par teri bewafai fhir yaad aaye...

[written by romil arora-copyright reserved]

aansoo bahayenge...

tumko bhul kar kaise reh payenge
jab tumhari yaad aayegi
aansoo bahayenge...
~~~
hain apni muqadar main jab gum
fhir khushiya kaise payenge
aansoo bahayenge...
~~~
kab tak saans degi saath hamara
ek din yeh duniya chod kar chale jayenge
aansoo bahayenge...
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, February 22, 2009

kya...kyon...kab...

Roz jalta hu mom ki tarah
koi bata to de meri khata kya hai...
~
nazre kar-kar ke intezar pathar ho gai hai
koi bata to de yeh intezar kyon hai...
~
na jaane usko mujhpar taras kab aayega
mera mehboob mujhse khafa kab tak hai...
~~*****~~
[written by romil arora-copyright reserved]

DELHI 6 = kala bandar




DELHI 6 = kala bandar

Saturday, February 21, 2009

dil ki kalam se....

teri bewafai ki kahani suna-suna kar dil bhi khali ho chala hain
ab to kuch kehne ko shabad hi nahi hain...
~*~
rabb woh waqt na laye
ki tu meri wafa main pagal ho jaye
kosane lage teri bewafai tujhe
ki tu bewafa se bhi wafadar ho jaye...
~
gum tujhe lage pyara
khushiyoon main jeena mohaal ho jaye
tanhaiyee tujhe lage apni
mefhil main rehna duswaar ho jaye
~
rabb woh waqt na laye....
[written by romil arora-copyright reserved]

kuch dil se...


Romil, Tum to haal-e-dil keh daite ho apni shayari-e-aandaz main
magar woh to masoom hain, bhala woh kaise haal-e-dil tumse kahe...
~~~
Tera sukriya jo tune humse hamare khawab chura liya
warna yeh to beekhar hi jaane the..
~~~
Maloom na tha yeh aankh tumse ladegi
meri musibat aur baadegi
ishq ka rog mujhe fhir lagega
gum se fhir dosti baadegi!
~~~
[written by romil arora-copyright reserved]

zarurat...


jaan daine ke aur bhi tarike the romil
kya zarurat thi dil lagane ki..
[copyright reserved-written by romil arora]

Friday, February 20, 2009

mere dil se...


Zikkar jab bhi chidata hain meri barbadi ka
Baat tere naam par pahuch jaati hain...
~~~
Unki baaton se phool jharate the
dil ki aarzoo hain ki fhir phool jhadane lage...
~~~
raakh beete dino ki mat kuredo
ungaliya jal jayenge
jo aag daabi hain
usse daabe-daabe hi rehne do...
[written by romil arora-copyright reserved]

ibadat

tasveer maine maangi thi
ibadat ke liye...
usne ek khat bhej diya khuda haafiz kehte hue...
----------------
main aur usko bhool jau
kaisi baatein karte ho?

surat to Rab ki bhi nahi dekhi...
ibadat ke liye uska naam hi kaafi hai...
[copyright reserved-written by romil arora]

dialouge

tum aaj bhi jeb main maachis lekar ghumate ho
bastiya jalane ka shauq abhi tak paal rakha hain tumne...
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh boodha pedh...

Woh boodha pedh
jo apni kahani kehta hua
apni beeti hui jawani ki dastaan sunata hua...
***
kitna khush hota tha
jab main uski baahon mein jhula, jhula karta tha
uski goad mein sota tha...
***
kitna khush hota tha
woh mujhe khush dekh kar
jab shararat karte hue, uski daali se main gir jata tha
gusse mein fir usko pathar marta tha
tab bhi woh mujhko dekhte hue muskurata rehta tha...
~
dheere-dheere main uski chaav mein jawan hota gaya
aur woh boodha hota gaya
jaise meri MAA hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 19, 2009

Zinda rehna bhi kaisi aadat hai...

zinda rehna bhi kaisi aadat hai
na subah ka pata
na shaam ki khabar hai...
~~~
be-matlab hi sansein liye ja rahe hai
kadam bebas chale ja rahe hai
na manzil ka pata
na pata kahan jaana hai...
~~~
ek nadi ki tarah bas behte ja rahe hai
na barson ka pata
na sadiyon ka pata hai...
yeh nahi pata safar aur kitna nibhana hai
bas sanson ka bhoj uthate jaana hai...
bas chalte jaana hai...
~~~
zinda rehna bhi kaisi aadat hai
marna bhi mazboori hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

aankhon se chuumata hu...

Pujari, Ramayan ko hoonton par rakh kar
aankhon se chuumata hain...
***
Namazee, Quran ko hoonton par rakh kar
aankhon se chuumata hain...

***
Padari, Bible ko hoonton par rakh kar
aankhon se chuumata hain...
***

Granthi, Guru Granth Sahib ko hoonton par rakh kar
aankhon se chuumata hain...

***
Aur main tumhare naam ko hoonton par rakh kar
aankhon se chuumata hu...
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, February 18, 2009

Tumko aadat thi vaade karne ki...

tumko aadat thi vaade karne ki
aur humko aadat thi aitbaar karne ki...
~
tumko aadat thi bewafai karne ki
aur humko aadat thi wafa karne ki...
~
tumko aadat thi intezar karwane ki
aur humko aadat thi intezar karne ki...
~
dono apni-apni aadat se majboor the..........
[copyright reserved-written by romil arora]

subah-subah

subah-subah suraj ka salaam aaya
mere aashiyane main fhir gum ka paigam aaya
darr ke maare main chup gaya parde ke peeche
fhir bhi na usko mujh par taras aaya...
_______
jala kar rakh diya usne mere aashiyaane ko
fhir jakar usko yeh khaayal aaya
"yeh to bekasoor hain
fhir ispar kyon rabb ne sitam dhaya"
subah-subah suraj ka salaam aaya...
[copyright reserved-written by romil arora]

Tuesday, February 17, 2009

Ishq-e-gum ko bhulana aasaan nahi...

ishq-e-gum ko bhulana aasaan nahi
ki kisi bewafa se dil lagana aasaan nahi...
kanton ke saath phoolon ki hifazat karna aasaan nahi
ki muskaan mein aansoo ko chupana aasaan nahi...
[written by romil arora-copyright reserved]

aa fir aansoo se aankhein bhar le...

aa fir aansoo se aakhein bhar le
aa fir koi bhoole hue gum se dil hara kar le
aa fir tanhaiyon se mulaqat kar le
aa fir beete hue waqt mein chale...
aa fir........
[copyright reserved-written by romil arora]

aa fhir chale bachpan ki yaadon main...

aa fhir chale bachpan ki yaadon main
fhir unhi khawabon main, unhi khayalon main
fhir unhi kheelon main
fhir unhi baaton main...
~
aa choti-choti baaton par ladai kar le
fhir khud-ba-khud maan jaye
aa fhir rote-rote aankhen suja le
fhir kisi choti se baat par muskura de...
~
aa fhir kaagaz ki naav bana le
fhir usse barsaat ke pani main baha de
aa fhir koiye kare shararat choti se
fhir kisi pedh se phal chura le...
~
aa fhir chale NAAZ bachpan ki yaadon main
fhir unhi khawabon main, unhi khayalon main
fhir unhi kheelon main
fhir unhi baaton main...

[written by romil arora-copyright reserved]

Monday, February 16, 2009

"hindi"

hindi
tu mera maan
tu mera samman
tu meri pehchan hain...
hindi...tu hi to meri maa hain...
~
tera isthan tujhe main fhir se delaunga
sansar main sabse ucche mukaam par tujhe layunga
chaaron taraf hogi teri hi prashiddhi
jag-jag tera sandesha main pahuchaunga...
~
jab tak rahega kalam haaton main
tera gurgaan main karta jayunga...
hindi...tu hi to meri maa hain...
[copyright reserved-written by romil arora]

lagta hain...

yeh aasmaan mein itne parinde kyon hai
lagta hai fir koi hara-bhara ped gira hai...
^^^
yeh maa kyon dhahad-dhahad kar ro rahi hai
lagta hai fir koi baccha bhookh se maraa hai...
^^^
yeh fiza kyon lal hai
lagta hai fir koi khet sukh raha hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

fir bhi zindagi mein dosti ki jarurat rahi...

dosti meri chand-sitaron se thi
fir bhi meri raatein khali rahi...
==========
hai meri fikr karne wale bahut
fir bhi kisi ki kami rahi...
==========
honton par hamesha muskaan thi
fir bhi dil ko kisi khushi ki umeed rahi...
==========
dost bahut the mere
fir bhi zindagi mein dosti ki jarurat rahi...
[copyright reserved-written by romil arora]

dua karo...

raat ke baad, shehar ki dua karo
tumne jisse bhula diya hain usko bhulane ki dua karo...
*
manzil mil jayegi, kadam tumhara saath de dua karo
jo rasthe peeche chuth gaye hain usko bhulane ki dua karo...
*
mohabbat na ho tumko kisi se dua karo
fhir na ho kisi sanam se samna dua karo...
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, February 15, 2009

thoda khidki-darwaje khule rehne do...


ujalon se meri dushmani hain
magar haawan ko to ghar main aane do
thoda khidki-darwaje khule rehne do...
----------
dostoon se meri dushmani hain
magar dushmano ko to ghar main aane do
thoda khidki-darwaje khule rehne do...
----------
apne na ho mujhe pasand
magar gairon se to do baatein kar laine do
thoda khidki-darwaje khule rehne do....
----------
woh bhool gaya ho mera pata
magar mujhe to uska intezaar kar laine do
thoda khidki-darwaje khule rehne do....
[written by romil arora-copyright reserved]

yuhi safar-e-zindagi betate gaye...


rote gaye, muskurate gaye
yuhi safar-e-zindagi betate gaye...
~**~
kisi musafir ne pucha tumhare shayari main itna dard kyon hain
hum apni khata batate gaye tumhari bewafai chupate gaye...
rote gaye, muskurate gaye
yuhi safar-e-zindagi betate gaye...
~**~
kisi musafir ne pucha tumko mohabbat par aitbaar kyon nahi
hum apni wasiyat batate gaye, apna intezaar chupate gaye...
rote gaye, muskurate gaye
yuhi safar-e-zindagi betate gaye...
~**~
kisi musafir ne pucha tumko tanhaiyaa kyon pasand hain
hum apna akelapan batate gaye, tumhari mehfile chupate gaye
rote gaye, muskurate gaye
yuhi safar-e-zindagi betate gaye...
~**~

[copyright reserved-written by romil arora]

teri yaadein...ViDeO


Tum bhi dil lagane ki sazaa samajhate hoge...

hum shayaron ka andaaz-e-bayaan samajhate hoge
shayari mein haal-e-dil keh dete hai samajhate hoge.
~
mehfil mein apna dard-e-dil batana humko pasand nahi hota
chup-chup kar band kamron mein rona samajhate hoge.
~
baar-baar dil lagane ki ada humko aati nahi
intezaar mein zindagi bitana samajhate hoge.
~
itni bhi meri shayari ki taareef mat karo doston
tum bhi dil lagane ki sazaa samajhate hoge!
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, February 14, 2009

teri yaadein...ViDeO


yeh dil fhir jaala do...

kahin aaisa na ho tum bhi mujhse daaman chuda lo
lekar meri majbooriyoon ka bahana,
yeh dil fhir jaala do!!
~
maana mujhe aadat hain dil tudwane ki
tum bewafai ko na apni aadat bana do!!
~

maine to rabb samaj kar bandagi ki thi mehboob ki
tum na mohabbat ko khel bana do!
~
kahin aaisa na ho tum bhi mujhse daaman chuda lo
lekar meri majbooriyoon ka bahana,
yeh dil fhir jaala do!!

[written by romil arora-copyright reserved]

mujhse kya puchate ho ki kya likhe...

mujhse kya puchate ho ki kya likhe
kisi bewafa ke naam wafa likhe...
~
fir na ho ki koi aashiq, ishq mein mare
kalam utha ke dua likhe....
~
ho jaye na raat kisi ki subah
intezar na kare koi yeh fariyad likhe...
~
de jaate hai apne dhoka is duniya mein
begano par vishwas na kare yeh salaah likhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 13, 2009

aalam...




aaj bhi yaad hain woh khamosh mulaqaat ka aalam
chehare par dekhati mohabbat ke jazbaat ka aalam!
~
kapkapate haanton se dena gulab ka aalam
hoonton se jhalakti muskaan ka aalam!
~
woh aankhon hi aankhon main iqraar ka aalam
bina manzil baatein karte-karte chalte jaana
woh chandani raat ka aalam!
[copyright reserved-written by romil arora]

hum dilwalon ki aarthi jayegi!

husn walon ki na koiye baat taali jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
nikalegi jab baddua dil se
na woh khali jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
jab milega tumko koiye bewafa
tab hamari yaad aayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
kyon nahi milta is duniya main koiye mohabbat wala
lagta hain yeh aarzoo hamari, hamare saath hi jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 12, 2009

rukh se haata ke baalon ko....

aaj kal hamare awadh ka mausam kuch mastana hain...
rukh se haata ke baalon ko
dard-e-dil de diya, hum dilwaalon ko...
~
halki-halki baarish ki boondhon main
jo usne mudh kar dekha hum manchalo ko
durr tak dekhati rahe meri naazare
us jaane wale ko...
~
halke se uske daaman ke ishare ne
ek aur uljhan de gaya mere khawabo ko
mere khayalon ko....
~
pyari se muskurath uski, mujhe yeh to samjha gaye
meri tarafhate naazaron ka kuch to aasar hua hain husnwale ko...
~
rukh se haata ke baalon ko
dard-e-dil de diya, hum dilwaalon ko...

[written by romil arora-copyright reserved]

agar dil phool na hota...

kaantha na chubha hota mujhe
agar dil phool na hota...
~)
kisi ke ghum mein aankhein na baari hoti meri
agar dusare ke ghum ko apna na samjha hota...
~)
intezaar mein aise hi zindagi na kati hoti meri
agar bewafai ka uska pata hota...
~)
aaj hum bhi mohabbat par vishwas karte
agar usne dhokha na diya hota...
[written by romil arora-copyright reserved]

Kis Zamane Ke Aadmi Ho!

Jism Ki Mandi Main Mohabbat Dhundhate Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Dhokebaazo Se Waafa Ki Umeed Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Beemano Ki Duniya Main Imaandaar Talashte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Nigal Raha Hain Suraj Ko Andhera
Tum Chirag Se Andhera Mitane Ki Baat Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, February 11, 2009

main aur meri tanhaiye!


jaane kitni durr aur jayegi
main aur meri tanhaiye!
~
har rasta, har manzil mujhse begaane hain
kab tak aaise hi dar-badar fhirati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
yeh matlabi chehare
yeh mauka-parasth insaano ki toli
kab tak dhoka khati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
khud ko dhikkarati hue
pal-pal ghutati
mann hi mann jalti
maut ka bhoj kandhe par uthati hue
main aur meri tanhaiya!
[written by romil arora-copyright reserved]

jo mera apna hota...

koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota
meri khushi main khush hota
mere ghum main rota
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!
~~~
jiske saath main apni zindagi beetata
apne khawab
apni baatein karta
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!
~
hoonton par jiske mera naam hota
aankhon main jiske mera chehara hota
hota haath uska mere haanton main
jo mera dost, mera saaya hota
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!

[copyright reserved-written by romil arora]