Tuesday, March 31, 2009

mohabbat marati nahi kabhi...

judai ki raat chahe jitni bhi baadi kyon na ho
mohabbat marati nahi kabhi...
~*~
dard, gum chahe jitna bhi mile ho
mohabbat marati nahi kabhi...
~*~
chahe yeh qayanat khatam ho jaye
chahe yeh suraj fhir na ugge
chahe yeh chand doob jaye
mohabbat marati nahi kabhi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Jahan Main Qais Zinda Hain To Laila Marr Nahi Sakti!

Jahan Main Qais Zinda Hain To Laila Marr Nahi Sakti!

Monday, March 30, 2009

yaad teri marham lekar aati hain...


bahut muskil hain intezaar ka safar
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~
aansoo bhehate rehte hain maire, teri judai main
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~

baithe-baithe udasi ke mahool main bhi muskura deta hu
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~
itefaq se jo aa jaye kabhi chand mere andhere ghar main
yaad teri marham lekar aati hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

pal-pal, har pal...

har ek saans ke saath tujhse milane ki umeed badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh mohabbat badati jaati hain...
~*~
chand ko dekhata hu to tera chehara yaad aane lagata hain
pal-pal, har pal tujhe dekhane ki umeed badati jaati hain...
~*~
barsat ka paani jab mere badan par padata hain tujhse lipatane ki chah badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh beqarari badati jaati hain...
~*~
ban jayunga musafir teri manzil paane ke liye
pal-pal, har pal yeh aarzoo badati jaati hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

izhaar-e-mohabbat

kitna dilchasp izhaar-e-mohabbat apna tha
woh to kareeb nahi the
isliye allah se kar daite the...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, March 29, 2009

GHAR - ek khawab

GHAR - ek khawab
"pyar ke bhandhan main bhandha ghar, chota sa hona chahiye...
jisme subah-subah puja aarti ki aawaz poore ghar main sunaiye daine chahiye...
jab rasoi main khana bane to uski mehak bahar ke gate tak aane chahiye...
living room main chal rahe tv ki aawaz study room tak sunaiye daine chahiye...
jab bhi koiye samaan ghar ke liye kharedana ho, usse pehle ghar main jagah banaiye jaane chahiye...
parivar main koiye bhi gum aur khushi ko chupa kar na rakh paye, ghar main itne kamare nahi hone chaiye..."
[written by romil arora - copyright reserved]

dushman bana baithe...

tumse waafa karte karte
doston ko dushman bana baithe
~*~
rait par naam tumhara likhate-likhate
haawan ko dushman bana baithe
~*~
teri judai main tumko yaad karte-karte
khud ko apna dushman bana baithe...
[written by romil arora - copyright reserved]

khat ...

kehte fhirte ho bhool gaya hu main usko Romil,
raat mein, chiragon mein 
chup-chup kar jo khat padte rehte ho woh kiske hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

vaada...

tere jhoote vaade ke badolat hi to aaj tak zinda hai
gar tera vaada saccha hota to khushi se marr nahi jaate...

#Romil

तेरे झूठे वादे के बदौलत की तो आज तक जिंदा है 
ग़र तेरा वादा सच्चा होता तो खुशी से मर नहीं जाते हैं... 

#रोमिल

Saturday, March 28, 2009

Begaana...

dil se


dialouge...

mohabbat, pyar, ishq, imandari, waafadari, namak haalal... yeh sab baatein 70 mm parde par aachi lagti hain... duniya-daari main nahi... yahan par to keval do hi baat chalti hain ek rupiya dusari jism...
[written by romil - copyright reserved]

bhul gaye...

muskurakar milane ka saleeka hum bhul gaye
tum kya gaye zindagi se hum zindagi jeene ka saleeka bhul gaye...
pathjadh hi pathjadh hain mere jeevan main
hum baaharon ka mausam bhul gaye...
teri galiyoon main aana hamara kuch is tarah hua
hum apne ghar ka raasta bhul gaye...
[written by Romil Arora - copyright reserve]

ijazat de do...

teri kabr par main apni duniya basa lu ijazat de do...
aapne aansuon se usko saaza du ijazat de do...
~
mujhe qaid kar lo apni rooh mein
yeh zindagi tujh par loota du ijazat de do...
~
nahi shauk raha ab mujhe jeene ka
teri kabr ke saath apni kabr bana lu ijazat de do...

#Romil

तेरी कब्र पर मैं अपनी दुनिया बसा लूं इजाजत दे दो... 
अपने आंसुओं से उसकी सजा दूं इजाजत दे दो... 

मुझे कैद कर लो अपनी रूह में 
यह जिंदगी तुझपर लुटा दूं इजाजत दे दो... 

नहीं शौक रहा अब मुझे जीने का 
तेरी कब्र के साथ अपनी कब्र बना लूं इजाजत दे दो...

#रोमिल

Friday, March 27, 2009

bewafai...

jab koi puchata hai uske baare mein
main haans kar baat taal deta hu Romil
magar aankhen uski bewafai ki dastaan suna deti hai...

#Romil

जब कोई पूछता है उसके बारे में 
मैं हंसकर बात ताल देता हूं रोमिल 
मगर आंखें उसकी बेवफाई की दास्तान सुना देती है...

#रोमिल

koi kami honi sade vich

Thursday, March 26, 2009

~khud se rubaru~ ~sach se rubaru~

humne hamesha uspar aitbaar kiya...bina dekhe usse pyar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"humne nikal kar rakh di, jaan unke samne Romil
magar woh bole, yeh kafi nahi aitbaar-e-mohabbat ke liye"

humne hamesha uski har baat par aitbaar kiya...usne jhoot bhi bola tab bhi aitbaar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"usse jo jhoot bolane ki aadat padh gaye hain Romil,
kasoor mera tha jo uski har baat par aitbaar kar leta tha"
woh humko apna rabb kehti thi...magar ek baar bhi apne rabb se nahi milana chah...aur hum hamesha usse milane ke liye betaab rahe...
"main sochata tha woh shaks mujhe phool samajhata hain Romil
magar woh mujhe kaanta samaj kar pass na aaya kabhi"
usne kahan hum maut ke daaman main hain...fhir bhi humne uska saath nahi choda...maut ke safar main bhi uska haath pakade rahe, nahi choda...magar jab hamara accident hua, tab woh insaan ek baar bhi humse hamara haal bhi nahi puchane aaya...
"woh humko bewafa kehta hain Romil
zaara unse koiye waafa ka matlab to puche"
humne har kadam par uska saath daine ki poori koshish ki...uska har dukh apna maana...uske har dukh main hum rooye...magar aaj hum khush hain to unke parivar wale yeh keh rahe hain ki hum khush kyon nahi....kyon jee rahe hain apni zindagi....kya kiya uske parivar waalon ne kabhi hamare dukh-dard ke liye jo aaj woh hamari khushi par aitraaz kar rahe hain....
"jab unki judai main hum footh-footh kar roye to kisi ne dekha nahi Romil
aaj unki baanton ko yaad kar-karke muskura rahe hain to gunehgaar ho gaye"
kasoor kissa tha romil...yeh main nahi keh sakta...magar hum itna jante hain ki hamara kasoor bilkul nahi tha...bilkul nahi tha...
"yeh kehna bahut mushkil hain ki kasoor kiska tha Romil
mera ya uska...
magar itna janta hu ki dono ne zindagi khoye hain...
ek ne maut paaye hain to ek ne tanhai paaye hain..."

[written by romil arora - copyright reserved]

chala gaya...

mere har khawab woh todkar chala gaya
mujhe gum ke andhere mein tanha chodkar chala gaya
main karta raha hamesha uska intezaar mohabbat-e-sagar mein
woh mujhe toofan mein akela chodkar chala gaya...

#Romil

मेरे हर ख़्वाब वो तोड़कर चला गया
मुझे ग़म के अँधेरे में तन्हा छोड़कर चला गया
मैं करता रहा हमेशा उसका इंतेज़ार मुहब्बत-ए-सागर में
वो मुझे तूफान में अकेला छोड़कर चला गया...

#रोमिल

sannata...

itna sannata kabhi nahi tha mere aas-pass romil
jo aaj uske jaane ke baad hai... 

#Romil

इतना सन्नाटा कभी नही था मेरे आस-पास रोमिल
जो आज उसके जाने के बाद है...

#रोमिल

Wednesday, March 25, 2009

woh allah hai...

uske qaatil ko dekha nahi kabhi Romil
lekin dil yeh kehta hai ki woh Allah hai...
woh Allah hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

talash kar...

rehne de romil, 
ab na kisi ki talash kar 
jo apna tha, woh tanha chhod kar chala gaya 
ab na kisi ki talash kar... 
~ 
har aarzoo poori ho jaati teri 
agar khuda tere saath hota 
rehne de $ultan, 
ab na khuda ki talash kar... 
~ 
kya kahe kya guzri hai dil par 
zinda rahe bas jhooti muskaan ke saath 
ab na zindagi ki talash kar...
[written by romil arora - copyright reserved]

uske deedar ke liye...

uske deedar ke liye dil muddat se beqarar tha

naseeb to nahi the milane ke,

fhir bhi aankhon ko intezaar tha...

***

chor kar raah main akela, chal diya mujhko

main baitha raha rashtee main tanha

mujhe uske laut aane ka yakeen tha...

***

milkar rukhsat bhi na kar saka usko

mere allah ka yeh kaisa insaaf tha...

***

aaj tak yeh nahi samaj paya romil

kyon mere zindagi main, nahi kisi ka pyar tha...

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, March 24, 2009

Yakeen...

Yakeen nahi hai use teri ibadat par Romil
Jiski zindagi ki dua tu har roz Khuda se mangata hai!

#Romil

यक़ीन नहीं है उसे तेरी इबादत पर रोमिल
जिसकी ज़िन्दगी की दुआ तू हर रोज ख़ुदा से मांगता हैं...

#रोमिल

marne ke baad...

marne ke baad apni mazaar mere naam likh jana
main use apna aashiyana bana lunga...

#Romil

मरने के बाद अपनी मजार मेरे नाम लिख जाना 
मैं उसे अपना आशियाना बना लूंगा... 

#रोमिल

dua-e-umar

apne rabb se main fhir maang raha hu uski dua-e-umar

jisne mujhe mohabbat sheekhaye thi...

jisne mujhe bandagi sheekhaye thi...

[written by romil arora - copyright reserved]

dua kar raha hu...

tere har aarzoo main puri kar raha hu

tere sang apna naam fhir likh raha hu!

~*~

muddat hue tujhe apna kahe hue

le mere humdum aaj main tujhe apna likh raha hu!

~*~

nahi tha naseeb main tu mera, is baat ka khuda se koiye gila nahi

tu bas hamesha khush rahe, yeh fariyaad kar raha hu!

~*~

zindagi jee-jee kar bhi roz main maara ja raha hu

tujhe sau saalon ki umar lage yeh dua kar raha hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

mubarak ho tujhe...

naye zindagi
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...
~*~
kaanton ki seej ho mere liye
phoolon ka palang mubarak ho tujhe...
~*~
hum mil jaye mitti main
aasman ki uchahaiyoon mubarak ho tujhe...
~*~
naye zindagi,
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...

[written by romil arora - copyright reserved]

naazar aata hain...

ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
har taraf chitta jalti ho
har koiye murda naazar aata hain...
~*~
na insaniyat hain kahi
na koiye aapna hain
na kahi khuda naazar aata hain...
~*~
ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
[written by Romil Arora - copyright reserved]

chal diye tum...

kehte the tere saath zamana jiyenge hum
khud zamane ko chhod kar chal diye tum...
[written by romil - copyright reserved]

Monday, March 23, 2009

~dil se~

khuda ne diya tha dil
humne kisi aur ko apna samaj kar de diya...
woh bewafa nikala
ab khata khud se hue hain
to saaza ki shikhayat kisse kare...
[written by Romil - copyright reserved]

jee karta hain...

aa laut kar aa fhir dil lagane ko jee karta hain
fhir taire pehlu main aansoo bahane ko jee karta hain...
~*~
dubb chuka hain jo mohabbat ka chand
aa fhir usse khilane ko jee karta hain...
~*~
bahut mile the mujhe husn wale is shehar main
tere yaadon ko koiye dil se nikal na saka
aa fhir unhi yaadon ka shehar basane ko jee karta hain...
~*~
aansoo bahut baaha chuka hu tere judai main
aa kuch pal ab muskurane ko jee karta hain...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

na dekh itni hasrat se raste ko...

na dekh itni hasrat se raste ko aye Romil
jo chala gaya, woh laut kar nahi aane wala!
[written by Romil Arora - copyright reserved]

aansoo

yeh aansoo nahi samundar hain
isse keval pani ki boondh mat samajha...varna dubb jayoge!
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, March 22, 2009

main jeena tere naal

ro pada hoga...

ro pada hoga allah bhi us samay Romil
jab meri haanton ki lakeeron se use mitaya hoga!
[written by romil arora-copyright reserved]

pyar ki nishani hai...

aapki aankhon mein jo aansoo hai
yeh aansoo nahi pyar ki nishani hai...
~
chehare par jo udasi hai
mehfil mein bhi jo tanhai ka aalam hai
kuch aur nahi
yeh pyar ki nishani hai...
~
apno mein bhi baiganapan lagne lagta hai
jaise har pal kisi ka intezar hai
kuch aur nahi
yeh pyar ki nishani hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

woh...

woh mera dost, mera humdum
woh hi mera saaya hain...
~
uski aankhon main sirf mera chehra hain
woh mera aaina hain...
~
woh hi naamaz, woh hi meri dua hain
woh hi mera khuda hain...
~
woh hi ghazal, woh hi shayari
woh hi mera har lafz hain...
~
woh sirf meri mohabbat nahi
woh hi mera sab kuch hain
woh NAAZ hain...
woh NAAZ hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, March 21, 2009

koiye na koiye baat to jarur hogi...

koiye aaise rishtee nahi toodh deta
koiye na koiye baat to jarur hogi...
~
koiye aaise nahi judai ke gum ko seh leta
koiye na koiye baat to jarur hogi...
~
aansoo bahana koiye khel nahi hota
chup-chup kar rona koiye aasaan nahi hota
koiye na koiye baat to jarur hogi...
~
sacchi mohabbat ke samne to rabb ka bhi dil pheghal jata hain
insaan ko mohabbat-e-ehsaas na ho
koiye na koiye baat to jarur hogi...
koiye na koiye baat to jarur hogi...
[written by romil arora-copyright reserved]

kitni hasrat thi...

kitni hasrat thi
tumko apna banane ki
khawab sajane ki
tere sang duniya basane ki...
~*~
aanchal mein tere chup jaye aasman
chand bhi tera deedar kare
kitni hasrat thi
tujhko sajane ki...
~*~
tujhse hi to mere ghar ki pehchan hogi
tu hi to meri aarzoo, mere armaan hogi
kitni hasrat thi
tujhko apna saaya banane ki...
~*~
duniya dekhegi, mohabbat apni
bandagi apni, chahat apni
kitni hasrat thi
tujhko apna rab banane ki...
~*~

kitni hasrat thi
tumko apna banane ki
khawab sajane ki
tere sang duniya basane ki...


[inspired written by romil arora-copyright reserved]

hum kaise....

sab rishtey bikhare hai motiyon ki tarah
hum kis-kis ko sambhal lete...
aansoo gire hai aankh se barsaat ke pani ki tarah
hum kaise usko rok lete...
pucha jo kisi ne kyon udaas hai chehara tera
hum kaise tera naam bata dete...

#Romil

nadaan..

woh fir mujhe barbaad karne aa gaya Romil
hum kitne nadaan hai Khuda ka sukriya kehne lage!

#Romil

वो फिर मुझे बर्बाद करने आ गया रोमिल,
हम कितने नादान है ख़ुदा का शुक्रिया कहने लगे!

#रोमिल

is kadar...

is kadar uski mohabbat ki bediyon mein bandha raha Romil
na uska ho saka, na kisi aur ka.

#Romil

इस कद्र उसकी मुहब्बत की बेड़ियों में बंधा रहा रोमिल
ना उसका हो सका, ना किसी और का...

#रोमिल

haaton ki lakeeron

haaton ki lakeeron ko dekhata hu Romil
kis tarah anjaan log isme bas jaaya karte hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Friday, March 20, 2009

hum kya kare...

ho gaya kasoor hum kya kare
dil hi naa-samaj tha
hum kya kare...
~
lagi sabse pyari surat wahi
aankhen jo kha gaye dhoka
hum kya kare...
~
bani se bhi jyada paak lagte the bol uske
kaan jo sun na sake sachai
hum kya kare...
~

aitbaar tha mujhe ki uski rooh farishtey si hai
mann jo samaj na saka
hum kya kare...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

mausam rangeen...

mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...
~
kisse kahe dard apna
har koiye to hain yahaan begana...
manzile hain juda-juda
fhir bhi begano sang hain chalte jaana...
~
na koiye shikwa-gila
na koiye ab kissa hain batana
bas mujhe akele hi chalte jaana...
mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

shaam...

"shaam ka kaisa khumaar chaaya hain
aaisa lagta hain har taraf tera hi saaya hain"
~*~
"dhundhala-dhundhala yeh mausam kyon hain
chand par yeh kisne parda daala hain"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aacha hota....

"kuch keh kar jaati to aacha hota
do-char ilzaam lagati to aacha hota
main intezaar nahi karta rehta uska
agar woh bewafa keh kar jaati to aacha hota"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

~bin maange~

duaon ke baad bhi nahi milta kisi ko koiye Romil,
koiye bin maange hi pa jata hain jaanat-e-jahan!
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Wednesday, March 18, 2009

kaisa mazaak yeh zindagi mere saath karti hai...

kaisa mazaak yeh zindagi mere saath karti hai
"bana kar roshan lau, hawaa tez kar deti hai"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 16, 2009

faqr


unko gumaan hain apni daulat par
humko faqr hain apni mohabbat par!
[written by Romil Arora-copyright reserved]

minnat aur mannat

kya rakha hai aaisi pal do pal ki zindagi mein Romil
Jo minnat aur mannat par teeki hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

fark

tumhare jaane se meri zindagi main bas itna sa fark aaya hain
pehle main akela tanha rehta tha
ab tumhari yaadon ke saath tanha rehta hu.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

choti si baat...

choti si baat hai magar badalon ko kaun samjhaye
chand ko khiloona bata kar meri maa mujhe sulati hai...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

---guftagu---

bahaaron se kabhi fursat mile to humse bhi pal do pal guftagu kar lena
phoolon ko bhi kaanton ka dard pata hona chahiye...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Kal ki Tarah

gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
hawan bhi lai nahi koi paigam uska
hum karte rahe intezaar uska kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
mehfil sajate rahe gum-e-tanhai ki
hum raat bhar roote rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
pucha na haal kisi ne mera
ek nigah bhi nahi dali kisi ne pyar ki
hum fhir akele rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...

#Romil

गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

हवा भी लाई नहीं कोई पैगाम उसका 
हम करते रहे इंतजार उसका कल की तरह है
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

महफिल सजाते रहे ग़म-ए-तन्हाई की 
हम रात भर रोते रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

पूछा ना हाल किसी ने मेरा 
एक निगाह भी नहीं डाली किसी ने प्यार की 
हम फिर अकेले रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

#रोमिल

Sunday, March 15, 2009

dil se


sar dhak kar rakha karo dost mere
rab ka hamesha sar par haath rehta hai...
aafaton se khuda hamesha dur rakhta hai...
kaum ka hamesha maan rehta hai...

#Romil

सर ढक कर रखा करो दोस्त मेरे
रब का हमेशा सर पर हाथ रहता है...
आफ़तों से ख़ुदा हमेशा दूर रखता है...
कौम का हमेशा मान रहता है...

#रोमिल

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine...

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine Romil
ki paaon ki zanjeer ban gai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

usko to bahana chahiye tha mujhse khafa hone ka Romil,
chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

#Romil

उसको तो बहाना चाहिए था मुझसे ख़फ़ा होने का रोमिल,
छोटी सी बात का तमाशा बना गया...

#रोमिल

dialouge

main aap logon ko bata raha hu ki main isse shaadi karne ja raha hu
aap log hamare rishtee ko sweekaar karenge ya nahi, yeh nahi puch raha hu
sirf bata raha hu
main isse shaadi karne ja raha hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, March 14, 2009

sachse rubaru

mere mann aur aankhon main roz kasmakas hoti hain...
"aankhen kehti hain mann se
tu sochana band kar main sona chahti hu"
"mann kehta hain aankhon se
tu pehle palkhe band kar le main fhir sochana chod deta hu"

[written by Romil Arora-copyright reserved]

zamana hi badal gaya...

bahut suna tha mohabbat ka naam
ishq ka kalaam
laila-majnu ke kisse
heer-ranjha ka pyar...
hum jawan hue aur zamana hi badal gaya :-)
[written by Romil Arora-copyright reserved]

khata to koi yaad nahi mujhe...

khata to koi yaad nahi mujhe
bas bandagi ka gunehgaar hu main...
***
sajde mein sar kya jhuka diya uske
usne to sar qalam hi kar diya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

mohabbat bandagi hai...

mohabbat bandagi hai
bande ki allah se ho jaise...
isme husn ka koi bhi wajood nahi...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

hum hi nahi...

hum hi nahi bewafai ki chot khaye hue
zamane main aur bhi hain...
~~~
hum hi nahi fhirate galiyoon main awara ban kar
zamane main aur bhi hain...
~~~
hum hi nahi, jo ishq main duniya bhulaye hue
zamane main aur bhi hain...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, March 13, 2009

magar dua teri kamyab ho gaye...

tumse durr rehne ka kaam bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gaye...
~~~
woh mohabbat bhi kya mohabbat thi,
jisme nazdekiyoon ke saath deewarein bhi thi,
tumko pass dekh kar, durr rehna bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gaye...
~~~
mohabbat tum thi meri
ibadat tum thi meri
bandagi tum thi meri
tumhare siva kisi aur ki bandagi karna mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gaye...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

sach se rubaru

jala diye the maine sabhi kamyabi ke parche
nakamiyoon ne mujhe itna dard diya tha...
~*~
mann chahta hain ki noch lu sabhi sitare aasman se
meri waafa ki lau kisi ko nahi dikhaiye di thi...
~*~
pathar ka chota sa tukda bhi mujhe toodh jaata tha
sachai ka main aaina tha...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo...


meri aankhon se jhalak jaate hain teri bewafai ke aansoo
ab inko aankhon main panah nahi de jaati mujhse...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

dialouge...

mujhe yeh nahi pata ki meri shaadi kisse hogi
magar main itna jarur janta hu ki mujhe mohabbat kisse karni hain...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki woh meri zindagi main aayegi ki nahi
magar main itna jarur janta hu ki main umar bhar uska intezaar kar sakta hu...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki mujhe zindagi main kya chahiye
magar main itna jarur janta hu ki mujhe zindagi main kya nahi chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

yahi meri zindagi...Dev D

mohabbat...


"mohabbat karne se darate ho TUM,
na jaane fhir kyon mohabbat ko talaste ho TUM"
~~~~~~~~~
"dhoka khaye logon se mohabbat ka zikar na karna,
jab himmat na ho to mohabbat na karna,
dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahaan
kabhi kisi waafadar se bewafai mat karna"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

holi ke mausam main...

holi ke mausam main jab log holi khela karte hain
hum chaat par akele baithe tumko yaad kiya karte hain...
~~~
pani se jab log, ek-dusare ko bhegoya karte hain
hum aansooyon se khud ko bhego liya karte hain...
~~~
rangoon se jab log chehare ko ranga karte hain
hum rangon main teri tasveer dhundha karte hain...
~~~
jab shaam hoti hain
chand bhi tanha akela hota hain
hum chupe-chupe chaat par baithe
chand sang holi khela karte hain...
~~~
holi ke mausam main jab log holi khela karte hain
hum chaat par akele baithe tumko yaad kiya karte hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

holi...

"apne shehar main nafrat ki holi theek nahi romil,
aao hum-tum pyar ke rang se holi khele"
[written by romil arora-copyright reserved]

taash ke patte...


taash ke patte ke tarah
khela hain woh meri zindagi se...
jeeta tab bhi mehfil main chod gaya
haara tab bhi mujhko wahi fhek gaya...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 9, 2009

teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai...

"teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai
aaye dost tu kuch jaani-pehchani dikhai deti hai"
~*~
"daulat jaruri nahi hoti, zindagi ke liye
bahut jaruri hota hai sukoon-chain, zinda rehne ke liye"
[written by Romil Arora - copyright reserved]

woh din aayega jarur....

tarap ne do khud ko
intezaar karne do
mohabbat ka pal ek din aayega jarur...
~
do aansoo behane hai
beh jaane do
aansoo jis din moti banege woh din aayega jarur...
~
haawan ke jhoke jitne bhi gira le mohabbat ke phool
pathjad ke mausam mein bhi phool khilenge woh din aayega jarur...
~
chand ko chahe jitni bhi dushmani ho mere aangan se
mere aangan mein bhi sitare palenge woh din aayega jarur.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

mujhe apna bana le tu...

mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
~
main tera hu
mujhe khud main saama le tu
~
yeh aankhen pyasi hain deedar ko teri
meri pyas bhujha de tu
~
rehna nahi hain juda hokar
hum dono ko
yeh rabba ko bata de tu
~
mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
[written by romil arora - copyright reserved]

yeh maano ya na maano tum....

udasiya kabhi chehare par lana nahi
main sada tumhara hu
yeh maano ya na maano tum
~*~
tumse bichard kar bikhar jaata hu
ek mala hai humtum
yeh maano ya na maano tum
~*~
in aansuyon ko na bahao aankhon se
tere aansoo meri jaan le lete hai
yeh maano ya na maano tum
~*~
apne sajde mein rehne do
yeh sar jhuka hai ise jhuka hi rehne do
main tumhare bin nahi jee payunga
yeh maano ya na maano tum
yeh maano ya na maano tum
[written by romil arora - copyright reserved]

tehzeeb...


tehzeeb ke shehar se aaya hu
kuch aur nahi bas tehzeeb hi saath laaya hu!
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo ka rang ...

abhi rangoon ke na jaane kitne mausam aayenge
haare, gulabi, laal kitne rang sajenge
par yeh dil fhir nahi samaj payega
"aansoo ka rang kaun sa hota hain"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Wednesday, March 4, 2009

jaane dil main...

Jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
haan Yaara Rab Se Pehle Hai Tu

raahein Chale Na Chale Chalte Hai Yeh Raaste
aao Chalo Rut Goon Raaste Mein Kis Waaste
mein To Khadi Hoon Yahin Yaar Mila Jab Se Hai Tu
jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
haan Yaara Rab Se Pehle Hai Tu

naadaan Ho Jaate Hai Anjaan Ho Jaate Hain
ek Dusre Pe Chalo Qurbaan Ho Jaate Hai
tu Hai Jahan Main Hoon Wahan Mujhko Pyaara Sab Se Hai Tu
jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
jaane Dil Mein Kab Se Hai Tu
jab Se Main Hoon Tab Se Hai Tu
mujhko Mere Rab Ki Kasam
yaara Rab Se Pehle Hai Tu
haan Yaara Rab Se Pehle Hai Tu...

ek baar to sanam muskura do...

main ja raha hu

teri yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

~

gila-shikwa chalo sabhi bhula de

pass baithe kuch pal guftagu kare

aankhon mein khawab saja le

chalo sanam ek baar muskura le

main ja raha hu

tere yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

~~

hawaa ke rukh se udh rahi hai zulfein tumhari,

maathe se zara ise hata le

kuch pal saath mein gunguna le

chalo sanam ek baar muskura le

main ja raha hu

tere yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

[written by romil arora - copyright reserved]

BEWAFAI KARTE HO"


"bahut pyari-pyari baatein karte ho,
lagta hain MOHABBAT KARTE HO"
~
"muskaan main chupa kar gum ko rakhate ho
lagta hain MOHABBAT KARTE HO"
~
"anjabiyoon ko apna samajhate ho
lagta hain MOHABBAT KARTE HO"
~
"DO KADAM SAATH NAHI CHALTE HO
AUR MANZIL PAANE KI KHAWAISH RAKHATE HO
lagta hain BEWAFAI KARTE HO"
[written by Romil Arora - copyright reserved]

khuda ki kasam...."

"anjani pata hota ki tu peeche kadam haata lega
khuda ki kasam hum apne kadam nahi badate...
~
agar pata hota ki tera haath kisi aur ki haaton main hoga
khuda ki kasam hum apne haath nahi badate...
~
agar pata hota ki anjaam-e-waafa yeh hogi
khuda ki kasam hum kabhi waafa nahi karte....
~
khuda ki kasam...."
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Tuesday, March 3, 2009

sirf tera sahara...

tooti hain kashti
toofan bhi tej hain
durr hain kinara
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
~
khuda bhi hain dushman
zamana bhi dekh raha naazara
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
~
milkar kashti ko paar lagayenge
behati rahe chahe jitni bhi tej dhara
toofan se ladhkar aagey nikal jayenge
har pal saath nibayenge
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
[written by romil arora - copyright reserved]

dard-e-aawaz

is shehar main lagta naye aaye ho Romil
jo sun kar meri dard-e-aawaz, haal-chal puchane aa gaye...
[written by Romil Arora-Copyright Reserved]


aisa bhi kabhi hota hain...

jo bhi milta hain pyasa hi nazar aata hain
saawan ke mahine mein aisa bhi kabhi hota hain...
~*~
sare aansoo beh jaate hain pani ban kar
yaadon ke dino mein aisa bhi kabhi hota hain...
~*~
Jalte-Jalte bhuj jati hain shama
tej haawaon mein aisa bhi kabhi hota hain...

hota hai... hota hai...
kuch kuch hota hai...

[written by Romil Arora - copyright reserved]