Friday, July 31, 2009

Ek hi khawab...

dil dhoondta hai...

dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar
jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar
aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye ko
aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye ko
aundhe pade rahe kabhi karwat liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
thandi safed chaadron pe jaagein der tak
thandi safed chaadron pe jaagein der tak
taaron ko dekhte rahein chhat par pade hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par
barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par
waadi mein goonjti hui khamoshiyaan sune
waadi mein goonjti hui khamoshiyaan sune
aankhon mein bheege bheege se lamhe liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
baithe rahein tasavvur e jaana kiye hue
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

[not written by me]

khawab...

kaanch ke khawab hain,

aankhon main chubh jayenge...

haanton main thamana na inko

zakhm de jayenge...

bhul jayo inko yahi aacha hain

warna hoonton se hansi cheen le jayenge...

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 30, 2009

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...

shaam ke dhalte mausam ko dekhkar
mann mein khayal aane laga...

"jab main bhuddha ho jayunga
aankhon mein chashma lagayunga
chehare par jhurriya pad jayengi
baal sab safeed ho jayenge
haath-pair bhi tezi na dikha payenge
daanth bhi aakhroth na tood payenge"

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
[written by romil - copyright reserved]

शाम के ढलते मौसम को देखकर
मन में ख़्याल आने लगा...

"जब मैं बुड्ढ़ा हो जाऊँगा
आँखों में चश्मा लगाऊँगा
चेहरे पर झुर्रियां पड़ जाएँगी
बाल सब सफ़ेद हो जायेंगे
हाथ-पैर भी तेज़ी न दिखा पायेंगे
दाँत भी अखरोठ न तोड़ पायेंगे"

तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
[written by romil - copyright reserved]

Chain nahi mujhko...

Chain nahi mujhko do ghaadi ke liye

kitna tarafta hain yeh dil us bewafa ke liye

~*~

gum ke bandhan se is tarah band gaya hu

ki fursat nahi mujhe do pal ki haansi ke liye

~*~
har taraf apne hain dushman hi dushman

dost kab milenge is choti si zindagi ke liye

~*~

is tarah "$ultan" mujhe duniya ne baigana kiya hain

nafrat si ho gaye hain apno ke liye

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 29, 2009

koiye saacha kissa suna de...

"$ultan" na sunao mujhe mohabbat ki koiye kahani
laila-majnu, tajmahal ki baatein hue purari...
~~~
kuch aaisa sunao
jo dil ko chu jaye
aankhon se jhalake aansoo
dard chahe jitna bhi ho
mann ke kamal khil jaye...
~~~
ho aaisa kissa
jo aam insaan sa lage
sacchai se bhari chandani sa lage
wahi dard...
wahi khoya ehsaas sa lage...
~~~
woh kissa jo fhir sachai sikha de
baache ki tarah hoonton par muskaan khela de
chandani raatein fhir apni si lage
woh roshani ki kiran dekha de
koiye saache insaan se mile de...
koiye saacha kissa suna de...
koiye saacha kissa suna de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 28, 2009

main bhi kitna pagal tha....

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab phool khelate the

main tumhara aks dhundha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

tapati doop main

sard haawaon main

baarishoon main

main tere peeche peeche bhagha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab tum nahi aati thi

teri yaadon main uljha-uljha rehta tha

subah se shaam tak udaas intezaar karta rehta tha

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

main bhul gaya tha

titliyoon ke to paankh bhi hote hain

khushaboo ki chahat main woh durr uda jaate hain

fhir kabhi laut kar naahi aa paati...

fasle barh jaate hain...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon se dosti kiya karta tha...

***

main bhi kitna pagal tha....

[written by romil arora - copyright reserved]

humne mohabbat karke kya paya....

humne mohabbat karke kya paya
dil jalta raha, dhuaan uthata raha...
*
log to samajhate rahe humko raakh ka putala
magar dil se mohabbat ka bulbula uthata raha...
*
zamane main dekhe kaiye haseen chehare
magar tere deedar ka intezaar karta raha...
*
aate gaye mausam baharon ke tamam
main teri yaadon ke phool, kitabon main rakhata raha...
*
mile hazaron mujhko raah-e-ishq dekhane wale
main sabko khuda haafiz karta raha...
*
humne mohabbat karke kya paya
dil jalta raha, dhuaan uthata raha...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 27, 2009

bachpan ke din yaad aate hain...

"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
jab, maa, apne haaton se upale thapa karti thi...
dhoop main usse sukhati thi...
~~~~~
aksar khane ke samay
mera doston ke saath khelane chale jana
maa, ka fhir peeche
dandhi lekar dhorhate hue aana
woh zor se chilla kar kehna...
"kamine, marjaane" roti to kha le, fhir khelate-marate rehna"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~
Suraj roz subah haste-khelate hamare ghar aa jata tha
main charpaiye par chaadar oodha kar soya-laita rehta tha
maa ka sir par haath fher ka mujhe uthana
woh pyar se kehna...
"suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain
dekho kitni roshani
dekho kitni khushiya laaya hain
suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~

Raat ko jab aangan main chulha jala karta tha
hum sab zameen par chulha gher kar roti khate the
maa ka pyar se nange-nange pairon main
garam chimta mujhe lagana
aur dhantate hue kehna...
"din bhar nange-nange paioon ghumate rehte ho
in pairon ko jala dungi"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

kyon nahi...

"romil" ab koi sanam, koi mehboob bhi nahi

woh mohabbat bhi nahi

fir bhi dil mein sukoon kyon nahi...

*****

ab logon se baatein

woh guftugu bhi nahi

fir bhi soch se mann ubhara kyon nahi...

*****

aankhon mein na kisi ka chehra

woh khawab bhi nahi

fir bhi aankhon mein neend aati kyon nahi...

*****

ab na milan ki tadap

woh rooh mein kashish bhi nahi

fir bhi yeh intezar khatam hota kyon nahi...

*****

"romil" shayad mohabbat isi ka naam hai

woh zamane ko chhod kar pass mere aaye

yeh mumkin bhi nahi...

yeh mumkin bhi nahi...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 25, 2009

humtum....

bichadana hota to kaiye baar
na mile hote humtum...
*
thokhare kha-kha
to shayad chalana sheekhe hain humtum...
*
yaadon main aansoon to bahaye hain kaiye baar
tabhi to pak ho gaye hain humtum...
*
patharon ko khuda banate hue dekha hain kaiye baar
yaar ki tasveer ko khuda bana baithe hain humtum...
*
waise to sabne suni hogi mohabbat ki dastan kaiye baar
dhul jam jaane se kitab ke panne to nahi badala karte
hain mohabbat wahi, magar naye hain humtum....
dheere-dheere sheekh jayenge.........
[written by romil arora - copyright reserved]

sochane laga yeh...

kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
bistar ki chadar main pehle jaisi shilwathe nahi padati
tumhare toothe hue baal bhi kahi bistar par ab naazar nahi aate
takiye par tumhari lipistic ke nishaan bighad chuke hain
ab takiya tumhare baalon ke tapakte hue pani se bhigata bhi nahi
maize par rakha hua tumhara chashama kahin dekhaiye nahi deta ab
jug main ab koiye pani bhar ke bistar ke sirahane nahi rakhata
kaiye din se kitabon par dhul jama hue hain, ab koiye in kitabon ke panne palatata bhi nahi
kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 24, 2009

uski tarah kya bichadata hai koi?

log melon ja kar bhi nahi bhoolte hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

_____

khafa rahe woh mujhse koi gila nahi

kabhi-kabhi nazre to mila sakti hai...

uski tarah kya nazre fher lrta hai koi?

_____

hawaa bhi darwaza dhakel kar ghar mein ghus aati hai

kabhi tum bhi hawaa ki tarah ghar mein aa jaya karo

kya itna bhi haq apno par rakhta nahi koi?

_____

subah hote hi chiraiyaa aakar baith gai mere ghar ki munderi par

main door sadak tak tumhara rastha dekhta raha

fir Rab se bola kya apne ghar ka rasta bhool jata hai koi?

_____

ek pareshani rehti hai

uljha rehta hu is baat mein

aakhir kya wajah thi judai ki

"usne kahan tha...

daulat aur jism do hi cheez hai is duniya mein"

aao fir se soch kar dekhe

shayad isse behtar wajah ho koi?

_____

log melon ja kar bhi nahi bhoolate hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 23, 2009

waqt ki gehraiyoon main

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

~*~

yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam

jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...

woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain

jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...

~*~

pehle tumhare khat aate rehte the

in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi

un khaton ko main seene se laga laita tha

raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha

jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain

ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue

aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...

~*~

ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue

tera woh khil-khila kar baatein karna

woh dheemhe se aansoon ko gira dena

bahut din beeth gaye

teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main

aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...

~*~

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 22, 2009

rone do naaaaaaaaaa

rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa

~*~
kitne khawab the
sab bikhar chuke hain
raat thi jo mohabbat ki
woh guzar chuke hain
aaj jee bhar kar rone do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do

rone do naaaaaaaaaa
~*~
tap tap kar gire aansoo
koiye chehara nainoon main basta gaya
udasi basti gaye lamhoon main
sannata basta gaya
fhir naya gum palane do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do

rone do naaaaaaaaaa
~*~
saanson ka lipata hua libaas hu
na ab koiye sunta hain
na ab koiye sunata hain
tere khat aate the
do pal baatein ho jaate thi
aaj un beetein khaaton ko jaala laine do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 21, 2009

yeh zindagi aapki ho jayegi...

dil main hausala rakheiye
haawan main pankh fhela kar uda kejeiye
aankhon main khawab baasa lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
yaadon main jo naam aata hain
dhadkhano main jo bas jaata hain
uska haath tham lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
hoonton par koiye geet saaja lo
muskiloon se tum daaron nahi
haar main bhi muskura lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
tarap kar girate hain jab judai ki barsaate
tum meethe paalon ki chadar ko odha lo
aankhon main bhar lo khushiya
yeh zindagi aapki ho jayegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 20, 2009

tera naam lekar...

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

bhulana tha to yeh ikraar kiya hi kyon tha

dena tha dard to pyar kiya hi kyon tha

na fhair nazare anjaano ki tarah...

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

shaup kar tujhko hum chale jayenge

fhir na is shehar main kabhi hum aayenge

ek bar to mil le mujhse tu kisi ki amanat ki tarah

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

yeh aakhiri aarzoo

aakhiri chahat hain meri

taire surat dekho main

kabhi tu dikh ja badalon main chupe chand ki tarah

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

[written by romil arora - copyright reserved]

yakeen...

dil main koiye baat ho to bataya karo

aansoo ko akele mat bahaya karo

yunh to duniya bhar par yakeen karte ho tum

kabhi hum par bhi yakeen kar liya karo!

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

zakhm

dil mein khud zakhm banate hai
use hamari nishani fir batate hai
toodate hai khud mohabbat-e-ashiyana
ilzaam fir hum par lagate hai!

#Romil

Saturday, July 18, 2009

kisne socha hai...

zindagi kab badal jaye
yeh kisne socha hai
toot kar chaha tha jisne
kab nazre uski badal jaye
kisne socha hai...
!*!
apne saath ki aadat mujhe mat dalo sanam
kab tum bewafa ho jao
kisne socha hai...
!*!
pyar main pehle hi kai baar dhokha kha chuka hoon
fir na ladenge yeh nazre
kisne socha hai...
!*!
mujhse pucho sitaron ki chamak doston
maine kis tarah ro-ro kar raatein guzari hai
kisne socha hai...
!*!
aapke haath mein hi hamari lakeer nahi
warna taqdeer to buri hamari bhi nahi
todna hai to samaan tod mere ghar ke
dil todne ki ada tumhari purani hai
mujhpar mat karo ab aur sitam duniya walon
yeh zindagi kab maut ban jaye
kisne socha hai...
kisne socha hai...
zindagi kab badal jaye
yeh kisne socha hai
toot kar chaha tha jisne
kab nazre uski badal jaye
kisne socha hai...

#Romil

ज़िन्दगी कब बदल जाये
यह किसने सोचा है...
टूट कर चाहा था जिसने
कब नज़रे उसकी बदल जाये
किसने सोचा है...

अपने साथ की आदत मुझे मत डालो सनम
कब तुम बेवफ़ा हो जाओ
किसने सोचा है...

प्यार में पहले ही कई बार धोखा खा चुका हूँ
फिर ना लड़ेंगे यह नज़रे
किसने सोचा है...

मुझसे पूछो सितारों की चमक दोस्तों
मैंने किस तरह रो-रोकर रातें गुज़ारी है
किसने सोचा है...

आपके हाथ में ही हमारी लक़ीर नही
वर्ना तक़दीर तो बुरी हमारी भी नही
तोड़ना है तो सामान तोड़ मेरे घर के
दिल तोड़ने की अदा तुम्हारी पुरानी है
मुझपर मत करो अब और सितम दुनिया वालों
यह ज़िन्दगी कब मौत बन जाये
किसने सोचा है...
किसने सोचा है...
ज़िन्दगी कब बदल जाये
यह किसने सोचा है...
टूट कर चाहा था जिसने
कब नज़रे उसकी बदल जाये
किसने सोचा है...

#रोमिल

kya yahi pyar hai...

khawab mein tum aate ho
halki-halki yaadein de jaate ho
raat bhar mujhko satate ho
kya yahi pyar hai...
***
bheeni-bheeni khushboo aati hai
andheron mein diye jal jaate hai
sote-sote, gudgudi kar jaati hai
kya yahi pyar hai...
***
aankhen doobi-doobi se intezaar karti hain
har pal tumko yaad karte hai
baaton main baat badati hai
kya yahi pyar hai...
***

teri zulfein jaise peepal ki ghani chav
chain se usme hum sar rakhkar so jaate
ek chatri mein bheegte hue ice-cream khate
kya yahi pyar hai...
***
shaama sab kho gai
par yaadein khoti nahi
door hokar bhi tum
door lagti nahi
kya yahi pyar hai...
kya yahi pyar hai...
kya yahi pyar hai...

#Romil

ख़्वाब में तुम आते हो
हल्की-हल्की यादें दे जाते हो
रातभर मुझको सताते हो
क्या यहीं प्यार हैं...

भीनी-भीनी ख़ुशबू आती है
अंधेरों में दीये जल जाते है
सोते-सोते, गुदगुदी कर जाती है...
क्या यहीं प्यार हैं...

आँखें डूबी-डूबी सी इंतेज़ार करती हैं
हर पल तुमको याद करते है
बातों में बात बढ़ती है
क्या यही प्यार हैं...

तेरी जुल्फ़े जैसे पीपल की घनी छाँव
चैन से उसमें हम सर रखकर सो जाते
एक छत्री में भीगते हुए आइसक्रीम खाते
क्या यहीं प्यार हैं...

शमां सब खो गई
पर यादें खोती नहीं
दूर होकर भी तुम
दूर लगती नहीं
क्या यहीं प्यार हैं...
क्या यहीं प्यार हैं...
क्या यही प्यार है...

#रोमिल

Thursday, July 16, 2009

~~pavitra rishta~~

pavitra rishta
pavitra rishta
tere-mere mann ka!
~*~
durr aasmaan main likha gaya
vishwas ke bandhan main bandha hua
tere-mere mann ka!
pavitra rishta
pavitra rishta
tere-mere mann ka!
~*~
aankhon main mehboob ke sapne
dil main armaan hazaron liye
durr rahe-chahe rahe pass hum
pyar hamesha sang liye
pavitra rishta
pavitra rishta
tere-mere mann ka!
~*~
kitni sooni-sooni thi raatein
kitne soone-soone the din
dono ke milane se
kitne raushan hue hain din
pavitra rishta
pavitra rishta
tere-mere mann ka!
[written by romil arora - copyright reserved - inspired]

Wednesday, July 15, 2009

apni dosti ka sahara de de...

mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de
woh beetein din
woh khushiyoon ka shaama de de...
~*~
teri yaadon main
main soya nahi hu barson se
aa fhir meri aankhon ko haseen nazara de de...
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
bhul jayun main woh manzar, woh lamhe kaise
saath betaiye the jo pal humne
fhir unhi lamhoon ka sahara de de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
yaad hain mujhko
woh sharam se jhuki aankhen teri
chehare se barasta hua noor
jaise koiye fariste ka deedar kiya tha maine
fhir mere nazaron ko wahi deedar kara de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
zindagi ke kuch pal saath betaiye the humne
main yeh zindagi tere saath betana chahta hu
tere chehare ko samaj kar chand
chandni raat main pyar karna chahta hu
fhir mujhe apni baahon ka sahara de de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
fherata rehta hu tere yaadon ka tajmahal lekar
thak gaya hu teri aarzoo karte-karte
kahin yeh saansein na tooth jaye meri
isse pehle meri majboor mohabbat ko sukoon de de...
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni baahon ka sahara de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 14, 2009

main duniya bhul gaya...

uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...
***
chand ko dekha
sitaron ko dekha
phool ko dekha
kaliyoon ko dekha
koiye nahi uske jaisa
uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...

***
yaad nahi ab kuch bhi
apna pata

apna thikhana bhul gaya
uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...
***

har taraf hain bas charcha uska
koiye kehta phool hain
koiye kehta chand hain chehara uska
uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...
***
aaisa chehara nahi dekha
aaisi masumiyat nahi dekhi
aaisa pyar nahi dekha
uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...

uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...
***
aaj main usse durr sahi
par dil main hain armaan uska
uska chehara
dekha jo
main duniya bhul gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

tu kahan hain bata...

tu kahan hain bata
main fher raha hu yahaan
neend aati nahi
yaadein jaati nahi
raat to kaath jaati hain
tanha umar katati nahi.
tu kahan hain bata
main fher raha hu yahaan....

***
jahan bhi dekhu bas tu hi tu nazar aati hain
pal bhar main haawan ke saath fhir uda jaati hain
samaj main aaye na kuch
dard kaise karu main baayaan
tu kahan hain bata
main fher raha hu yahaan...

***
saawan ke woh din mujhko wapas kar do
ek chattari main jab aadhe-aadhe bheegate the
kabhi pass aate, kabhi durr hatate the
kaise karu woh palon ko baayaan
ab to hain faasle darmiyaan
tu kahan hain bata
main fher raha hu yahaan...
***

saalon beeth gaye muskuraye hue
haal-e-dil kisi ko bataye hue
tum chale gaye tab humne yeh socha
humne kya khoya
humne kya payan
tu kahan hain bata
main fher raha hu yahaan...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 13, 2009

bade yaad aate hain..

bade yaad aate hain

woh saawan

woh jhule

woh muskaan tumhari...

~*~

bade yaad aate hain

woh baatein

woh raatein

woh chand, sitare...

~~~

kitni durr ho tum

fhir bhi lagti kitni pass ho tum

dekho yeh duri yeh majboori

ab hain saath hamare-tumhare

baade yaad aate hain

woh intezaar ke pal

woh chup-chup kar rona

woh dair se aane ki ada tumhare...

~*~

sabko chod kar chale gaye tum

reh gaye yaade saari

kitna pal-pal rulati hain woh baatein tumhare

baade yaad aate hain

woh pal

woh lamhe

woh shaharate tumhari...

[written by romil arora - copyright reserved]

kabhi kabhi...

kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
dhoop bankar mere badan se lipath rahe hain kabhi
hue ghani chhaon jaise khule gesuon hain taire
barish ki boondein ban kar mujhpar baras rahe hain kabhi
kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
~*~
kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
ki jaise phool baras rahe ho chaman main kahi
ho aankhen sharam se jhuki hue
tu meri baahon main simat rahe ho kabhi
kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
~*~
kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
chahu main tujhko janmo-janmo tak yuhi
par main janta hu ki tu hain nahi kahi
par main janta hu ki tu hain nahi kahi
kabhi kabhi main yeh sochata hu
ki tu sitaroon main bas rahe hain kahi.....
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 11, 2009

tum hoti to...

jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
meri goad main tum soya karti
baithe rehti aur baatein karti rehte...
tum is baat par khush hoti
tum us baat par rooth jaya karte...
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...

~*~
raaton main khawab sajate
teri zulfoon ke saaye main so jaate
deeware jo apne beeche thi sab gira daite
aaye gunjan tere sulagate jism ki mehak main kho jate...
ab yeh haalat kisse kahe hum
kab tak khamosh rahe aur jalate rahe hum
kyon na yeh duriya hum mita de
aa saare zamane ko hum bata de
nahi jee sakte ek-dusare ke bina
nahi jee sakte ek-dusare ke bina...
jab bhi baithata hu main tanha

khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
khidki main baithe sar jhuka kar tum mera intezaar karti
chup-chap dhalate hue chand ko dekhate
meri aahat pate hi bhaaghi hue darwaze par aati
meri naazaron main khud ka chehara pati
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota

jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~

haawaon ka jhoka tumhara ehsaas de jata hain
chand aankhon hi aankhon main tumhare labz bayaan kar jata hain
yeh pani ki boondon, jaise tumne mere badan ko chuha ho
main janta hu tum kahin nahi ho
magar yeh dil keh raha hain tum yahi kahin ho
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
[written by romil arora - copyright reserved - inspired]

Saturday, July 4, 2009

Dard-E-Tanhai mein…


bechainiya hai…saase ruki hai…
tanhaiyo mei…teri khami hai…

Tanhaii..

bechainiya hai…saase ruki hai..
tahnaiyo mei…teri khami hai..
Aankhon mei aasu..dhamdthe nehei hai
kaise hai ye pal, khat the nehein hai

Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai mein……
Dard-E-Tanhai mein……

phoolon ki ye shaake..hai kaato sesaji
metnese na metege dil ki ye bebasi

jho hum pe gujrihi beete tum pe kabhi…
tum ko bhi yaad aaye..meeti baatein sabhi
mushkil hai kushiyo se gham ko milna yeha
jolo mei lipta hai mera dil ka jaha

Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai… mein……
Dard-E-Tanhai mein…

Aise bhi hum jeyinge kabhi socha hi nehei
Jo sapne thootjaye woh judthe phir nehein..
dusthi hai yaado ki parichaya teri
awara is dil ki koi manjil hi nehei

Saahil se ye lehre kyon hoti hai juda…
Aankhon ke ye aasu tujhe dethe hai sada..

Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai mein…
Dard-E-Tanhai… mein……
Dard-E-Tanhai mein…

Friday, July 3, 2009

yaad karogi...

jab dekhogi kisi ko pyar karte hue
mera pyar yaad karogi...
~*~
chup-chup kar royogi takiyee se lipath kar
meri waafaiyeen yaad karogi...
~*~
duniya hasegi tumhari haalat dekhkar
kis-kisse fariyad karogi...
~*~
jab chahogi mera saath fhir se
apni bewafai yaad karogi...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Thursday, July 2, 2009

tum bhi ajnabi...hum bhi ajnabi...

jahan par saath chutha tha
wahi se fhir se suru kare zindagi apni...
tum bhi ajnabi...hum bhi ajnabi...
~*~
naye pyar ke pal fhir se hum sajaye
mohabbat ke saath zindagi beetaye
tum apna haath de do mere haaton main
fhir se suru kare zindagi apni...
tum bhi ajnabi...hum bhi ajnabi...
~*~
kahin yeh waqt na beeth jaye
humtum fhir vishwas ke bandhan main bandh jaye
ulajhe hue sawalon ko chalo baith kar suljaye
fhir se suru kare zindagi apni...
tum bhi ajnabi...hum bhi ajnabi...
~*~
saare gila-shikwa hum bhul jaye
khawabon ke fhir se mehal sajaye
chalo ek-dusare ki baahon main kho jaye
fhir se suru kare zindagi apni...
tum bhi ajnabi...hum bhi ajnabi...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Mera kuch saamaan

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2
o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do - 2
mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai - 2

patjhad hai kuch ... hai na ?
o ! patjhas main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai
vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do - 2

ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the - 2
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee
geela man shayad bistar ke paas pada ho
vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do

ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til - 2
geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do - 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee
main bhi vaheen so jaungee
main bhi vaheen so jaungee