Thursday, April 29, 2010

woh mere saath..

woh mere saath umarbhar rishta nibhane ko kehta hai
mere pyar ki wajah se nahi
apne baap ki izzat ki wajah se...

वह मेरे साथ उम्र भर रिश्ता निभाने को कहता है 
मेरे प्यार की वजह से नहीं अपने आप की इज्जत की वजह से...
***
khuda se pehle yaad tujhe karta hu
apni subah ki suruwat kuch is tarah karta hu...

#Romil

खुदा से पहले याद तुझे करता हूं 
अपनी सुबह की शुरुआत कुछ इस तरह करता हूं... 

#रोमिल

Friday, April 23, 2010

NAAZOO KI BAATEIN...

NAAZOO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Class 7th ki baat hain...

Mein Tenu Samjhawan Ki...


Song: Mein Tenu Samjhawan Ki

Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Movie: Virsa
Music: Jawad Ahmad
Lyrics: Ahmad Anees, Dr. Amanullah Khan

nai jeena tere baajo
nai jeena nai jeena
nai jeena tere baajo
nai jeena nai jeena


mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
tu keejaren piyar mera
mein karan intizar tera

tu dil tu yun jaan meri
mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
haaye tu keejaren piyar mera
mein karan intizar tera
tu dil tu yun jaan meri
mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji


mere dil wich re ke mere
dil da haal na jaaren
tere baajo kaleyan weyn ke
ronde nen numande
jeena mera haaye
marna mera naal tere si
kar aetibar mera
mein kara intizar tera
tu dil tu yun jaan meri


mein tenno samjhawan ki
na tera baajo lagda ji

HOo,oo,o,o
ri changaan nayyon kirta wi maan
ze changaan nayyon kirta wi maan
dil mera so ruke
ze bara pachtaya tha
ze bara pachtaya tha
mein maaroon jhoom ke




sunjiyan sunjiyan dil diya galiyan
sunjiyan meriyan baawan
aaja teriyan khashboo walon
love diyan meriyan saaman
tere bina keeven kara door udasi
dil beqrar mera
mein karan intizar tera
tu dil tu yun jaan meri


mein tenno samjhawan ki
na tera baajo lagda ji
Haaye tu keejaren piyar mera
mein kara intizar tera
tu dil tu yun jaan meri




mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji

Wednesday, April 21, 2010

Akhbaar aankhon se lagaye rehte ho tum

Akhbaar aankhon se lagaye rehte ho tum
Fhir bhi khabaron se anjaan rehte ho tum...
***
Kehte ho humko nahi pata tumhara haal-e-dil
Chup-chup kar hamare liye rote ho tum...
***
Aaj mausam bahut suhana hain tumhari qasam
Lagta hain meri tasveer par mohabbat loota rahe ho tum...
***
Agar sach main mujhse mohabbat karti ho
Duniya-e-Jahaan ke samne I Luv You kahogi tum...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, April 20, 2010

Hum mehboob ko paane ka fann rakhte hai...

chahe lakh dhoka kha le hum
fir bhi dil lagane ka fann rakhte hai
***
dil mein gum bhara rakha hai
fir bhi muskurane ka fann rakhte hai...
***
chahe kitna bhi tez ho toofan
hum lehron ko raundane ka fann rakhte hai...
***
rab hamara dushman hai to kya hua Romil
hum mehboob ko paane ka fann rakhte hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, April 19, 2010

NAAZOO KI BAATEIN...

NAAZOO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Class 7th ki baat hain...

kuch aur bayaan karti hain...

Khamoshi teri kuch aur bayaan karti hai...
Be-kasoor ho hui sazaa kuch aur bayaan karti hai...
***
Sab kehte hai tujhe wafaa ki devi
Meri looti hui zindagi kuch aur bayaan karti hai...
***
Log kehte hai woh teri yaad mein ab bhi aansoo bahati hai
Teri honton ki muskaan kuch aur bayaan karti hai...
***
Tanha rehne ka dikhawa karte ho Sanam
Teri mehfilon mein aayashi kuch aur bayaan karti hai...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Sunday, April 18, 2010

NAAZO KI BAATEIN...

NAAZOO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Yahaan Main Ajnabi Hoon


Kabhi… Pahale Dekhaa… Nahin Yeh… Samaan
Yeh Main… Bhoole Se Aa Gayaa… Hoon Kahaan
*
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
Main Jo Hoon Bas Vahi Hoon - 2
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Kahaan Shaam-O-Sehar Yeh
Kahaan Din-Raat Mere
Bahut Rusavaa Hue Hain
Yahaan Jazbaat Mere
*
Nayi Tehzeeb Hai Yeh
Naya Hai Ye Zamaana
Magar Main Aadmi Hoon
Wahi Sadiyon Puraanaa
*
Main Kya Jaanuun Yeh Baatein
Zara Insaaf Karna
Meri Gustaakiyon Ko
Kudaaraa Maaf Karanaa

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Teri Bahoon Mein Dekhoon
Sanam Gairon Ki Baahein
Main Launga Kahaan Se
Bhala Aisi Nigaahein
*
Yeh Koi Raqs Hoga
Koi Dastuur Hoga
Mujhe Dastuur Aisa
Kahaan Manzuur Hoga
*
Bhala Kaise Yeh Mera Lahoo Ho Jaaye Paani
Main Kaise Bhool Jaauun Main Hoon Hindustaani

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Mujhe Bhi Hai Shikayat
Tujhe Bhi To Gila Hai
Yahi Shikave Hamaari
Mohabbat Ka Silaa Hain
*
Kabhii Magarib Se Mashariq
Mila Hai Jo Milega
Jahaan Ka Phool Hai Jo
Vahin Pe Vo Khilega
*
Tere Unche Mahal Mein Nahin Mera Guzaara
Mujhe Yaad Aa Rahaa Hai Woh Chhota Saa Shikaara
*
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Main Jo Hoon Bas Wahi Hoon - 2

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
[NOT WRITTEN BY ME]

Saturday, April 17, 2010

NAAZO KI BAATEIN...

NAAZO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing CHOTI-CHOTI BAATEIN...

[RoMiL - Naazoo... Kya sach main JaNNat-e-JahaaN hain???]

hamare shehar mein aisa mausam nahi tha...

hamare shehar mein aisa mausam nahi tha Romil
shayari to bahut thi...
magar aap jaisa koi shayar nahi tha...
___________
sochata hu kisi bewafa se dil lagayunga Romil
suna hai
bewafa ki bewafa se jodi bahut banti hai...
___________
Woh sochati hogi Romil main uska intezar kyon karta hu...
Usko Salaam baar-baar kyon karta hu...
Bas isi khumaar mein
kabhi na kabhi to woh kuch mere yaar ke baare main batayegi...
kabhi na kabhi to woh mere gum ko samaj payegi...
___________
RoMiL.. aao tumne ek kahani sunao...

ek ladki ki pyari baatein batau...

thi woh bilkul PARI jaisi...
roye to lagti thi ek dum GUDIYA jaisi...

lukka-chupi khela karti thi woh...
kabhi aankhon mein to kabhi khawabon mein rehti thi woh...

galiyon ki bheed mein tanha thi woh...
rab se bahut saari baatein karti thi woh...

TABHI EK DIN EK LADKA AAYA...

Rab ka woh sandhesha laya...

Usko samjhaya...
Kushiyon ko bula lo na...
muskuraane chura lo na...
Kuch yaadein aur sapne, apne chura lo na...
Ruki si zindagi se,
Thaki si zindagi se,
Raftaarein chura lo na...

kuch lamhe chura lo na...
kuch lamhe chura lo na...
[LIMCA AD SONG]
_________________
Agar woh thoda sa muskura de RoMiL
Hum Allah Haafiz keh de RoMiL...
_________________
05:00 bajane ko hain dadi amma
jao thoda sa aaram kar lo...
***
thoda sa rab ko yaad kar lo...
thoda chai-nasta kar lo...
***
shaam ko aise dil nahi dukhaya jaata
sirf muskurakar shaam ka swagat kiya jaata...
***
thoda sa sair-sapata kar lo...
fir uske baad thoda sa padai kar lo...
***
____________________
Maine yeh kab kahan tha use chodkar mere saath chal Romil
Lekin bewafa ho jaana... yeh faisala uska tha...
_____________________
aaine ke saamne khade jab ho Romil
yeh baat aksar samaj nahi aati
ki hum aaine par hans rahe hai
ya fir aaina hum par hans raha hai...

[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, April 16, 2010

NAAZO KI BAATEIN...

NAAZO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing DO CHOTI-CHOTI BAATEIN...

kuch...

kehte hain ki shaam ka maaza liya jaata hain...

AANKHON KO NARM NAHI KIYA JAATA HAIN...
aaise hi nahi computer ke samne APNA SAR FHODA jaata hain...
***
do-char ghut CHAI ke piye jaate hain...
fhir thodi dair baad rabb ko yaad kiya jaata hain...
***
park main sair-sapata kiya jaata hain...
chaat par bhi ghuma ja sakta hain...
***
Jab BAACHE PYAR SE NAHI SAMAJHATE
TO ZOR SE THAPPAD MAARA JAATA HAIN....

hehehehehehe
______________

chalo thoda sa muskurao...

chalo thoda sa gungunao...
chalo gum ko bhul jao...


dekho hum laaye hain KITKAT


thoda tum khao.
thoda humko khilao...


hehehehehe
______________

Maana doston se milane ka bahut kam rehta hain tere pass waqt Romil

Itna bhi kam nahi
Mere Yaar ka sandesha jo laaye usse Salaam bhi na keh saku.... rabba rakha...
______________

Kitna jhuk chuka hu uski chahat main Romil

Kitna khud ko jaleel karwa chuka hu uski chahat main Romil
Ab to bas ek saawal reh gaya dil main
Kya hum bhi kabhi Khuddar hua karte the???
______________
Log kehte hain ki tu us par JOKE kyon kehta hain Romil...

Jab itna pyar karta hain to fhir usko bewafa kyon karta hain Romil...
Kaise samjhau unko,
Jo jaara si baat nahi samajhate hain
zakhamo ko kuredane par hi to uske chehara-e-noor dekhate hain...
______________

Pardadaari itni bhi thik nahi thi Romil

mujhko tarafta dekhate rahe
aur pardadaari bhi karte rahe...
______________

Main Chillata Raha

Main Pukarata Raha
Main Rota Raha...




Gunah kya tha mera
Jo woh durr khada


BAS


HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
mujhpar HASTRA RAHA...
__________________

Maine yeh kab kahan tha usse chod kar duniya mere saath chal Romil

Lekin bewafa ho jaana... yeh faisala uska tha...

Thursday, April 15, 2010

NAAZO KI BAATEIN...

NAAZO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing DO CHOTI-CHOTI BAATEIN...

kuch baat...

ab tumse taqraar kaisi?
jab WOH nahi rahi duniya mein
fir tumse baat kaisi?
*
kya puchu tumhara haalchal
ab nahi rahi baat kuch puchane wali aisi?
*
fir bhi WOH dono BAACHE HAMESHA KHUSH RAHE,
SUKHI RAHE
jiski MAA HO TUMHARI JAISI...
_____________

Uske liye dua karta raha main
fir bhi maut se nahi jeet paya zindagi bhar...
***
usko ilzaam kyon deta rahu
jab apni shiddat ne hi haraya mujhe zindagi bhar...
***
maut ke dino mein bhi woh muskurata raha mere saath
yaad rahegi uski yeh ada mujhe zindagi bhar...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Wednesday, April 14, 2010

mera bhi ek pal aayega....

mera bhi ek pal aayega
jo beet chuka hai saawan woh fir laut aayega...
***
ek baar rach jaye mehandi
rang to khud-ba-khud aayega...
***
jab-jab tootega uska dil
use mera pyar yaad aayega...
***
zulmo-sitam ke din bahut kam bache hai 
jald hi mere Rab ka insaaf aayega...

#Romil

मेरा भी एक पल आएगा 
जो बीत चुका है सावन वो फिर लौट आएगा... 

एक बार रच जाये मेहंदी 
रंग तो खुद-बा-खुद आएगा... 

जब-जब टूटेगा उसका दिल 
उसे मेरा प्यार यादवआएगा... 

जुल्मों-सितम के दिन बहुत कम बचे हैं 
जल्द ही मेरे रब का इंसाफ आएगा... 

#रोमिल


Rab mujhe fir wahi dost, wahi pyar de de...

Rab mujhe fir wahi NaaZ, wahi dost de de,
Meri dubti hui naav ko sahara de de...
***
Raahon mein chalte-chalte qadam thak chuke hai
Ab to mujhe manzil ka pata de de...
***
Beeti hai zindagi luh ke garam thapedo mein
Ab to suhani koi shaam de de...
***
Likhi jaye meri mohabbat bhi duniya ke haseen panno mein
Aisa koi yaar, koi dildar de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, April 13, 2010

Yeh shehar mera Lucknow kahan...

Jahaan dil se gale mila jaata tha
Milte hain ab log wahaan matlab se
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
***
Jahaan bol the ganga-jamuna jaise
Ab jubaan main woh mishari kahan
Yeh sehhar mera Lucknow kahan...
***
Do pal thehar kar puchate nahi hain log haalchal yahaan
Kisko sunau apna haal-e-dil yaahan
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
***
Subah awaragardi main
Shaam aayashi main beetati hain yahaan
Ghar jaane ki ab logon ko fursat kahan
Yeh shehar mera Lucknow kahan...
[written by romil arora - copyright reserved]

badalon par kaisa aitbaar karna

badalon par kaisa aitbaar karna
do pal ke liye aana fir chale jaana... 
***
dua uski qabool kaise hoti
jo sirf aachi baatein karna, mehboob ko pal-pal rulana...
***
bada ajeeb lagta tha raat-raat bhar jagna
duniya se be-khabar hokar
woh be-matlab ki baatein karna...
***
uski qatal karne ki ada khoobsurat thi 
meri peeth mein chupke se khanjar bhokna...

#Romil

बादलों पर कैसा ऐतबार करना
दो पल के लिए आना फिर चले जाना...

दुआ उसकी क़बूल कैसे होती
जो सिर्फ अच्छी बातें करना, महबूब को पल-पल रुलाना...

बड़ा अजीब लगता था रात-रात भर जागना
दुनिया से बे-ख़बर होकर
वो बे-मतलब की बातें करना...

उसके क़त्ल करने की अदा खूबसूरत थी
मेरी पीठ में चुपके से खंज़र भौकना...

#रोमिल

Monday, April 12, 2010

bahut ajeeb hota hain

bahut ajeeb hota hain
din-bhar awaragardi karna
shaam hote hi ghar jaana...
***
ajeeb rasm hain duniya ki doston
tanhai main chup-chup kar rona
mehfil main muskurana...
***
meri mohabbat bhi duniya ke liye khabar ban gaye yaaron
jaisa kisi bekasoor ka hadsa main marr jaana...
***
meri zindagi kuch is tarah viraan kar gaya woh Romil
jaise parindoon ka kisi paid ko chod kar udha jaana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, April 11, 2010

ishq bhi tha...

ishq bhi tha
majboori bhi thi
aisi apni zindagi thi...
***
tooti hui jhopadi woh chhod kar chala gaya
saamne uske daulat ki haveli jo thi...
***
main rota raha
aasman rota raha
baarish bhi to jaruri thi...
***
use dost kahu
ya fir musafir
do pal ki hi apni dosti-yaari thi...
***
bewafa se dil laga liya Romil
tamasha banne ki tumhari baari thi...

#Romil

इश्क भी था 
मजबूरी भी थी 
ऐसी अपनी जिंदगी थी... 

टूटी हुई झोपड़ी वो छोड़कर चला गया 
सामने उसके दौलत की हवेली जो थी... 

मैं रोता रहा 
आसमान रोता रहा 
बारिश भी तो जरूरी थी... 

उसे दोस्त कहूं 
या फिर मुसाफिर 
दो पल की ही अपनी दोस्ती-यारी थी... 

बेवफा से दिल लगा लिया रोमिल 
तमाशा बनने की तुम्हारी बारी थी... 

#रोमिल

jab dil gum se bhar jaye...

jab dil gum se bhar jaye
to aa jata hu...
jab yaad uski sataye
to aa jata hu...
kabr uski pata nahi hai mujhe Romil
isliye shayari ke phool chadane
aa jata hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

NAAZO KI HIDAYAT...

NAAZO KI HIDAYAT...

VeRy InTeresTing DO CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Saturday, April 10, 2010

Darr to is baat ka hai, kahi mandi na lag jaye...

Jidhar dekho udhar jism ki dukaan khuli hai Romil
Darr to is baat ka hai, kahi mandi na lag jaye...
***
Jism ke saudagar hi saudagar nazar aate hai sab yahaan
Darr to is baat ka hai, kahi mandi na lag jaye...
***
Jo khamoshi se band rehte hai darwaze din mein bhi
raaton mein kahi chehalkadmi na mach jaye 
Darr to is baat ka hai, kahi mandi na lag jaye...
***
Chand sikke mile
Aur bik gaya emaan bhi
Daulat na kahi Rab ho jaye...
Darr to is baat ka hai, kahi mandi na lag jaye..
[Romil Arora - copyright reserved]

ishq main haasil aur kya hoga

ishq mein haasil aur kya hoga
bas aansoo mein dubaa hua ek samundar hoga...
***
subah jo jal uthati hai uski yaadon mein
shaam ko bhi yahi manzar hoga...
***
saari duniya ke saamne jo sher bane fhirte ho Romil
usse pyar ka izhaar karna muskil hoga...
***
jo lagte hai sabse apne kareeb
unhi apno ke saath fhasala hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, April 9, 2010

NAAZOO KI HIDAYAT..

NAAZOO KI HIDAYAT...

VeRy InTeresTing DO CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Kisse bheekh mangate ho ...

Kisse bheekh mangate ho mohabbat ki Romil
Har pathar, rab nahi hota...
***
Dil mein malal to bas is baat ka reh gaya Romil
Zindagi lutai to ek bewafa ke liye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 8, 2010

kuch....

jao kuch pal aaram karo...
mann ko aur na pareshan karo...
shaam ko do pal baitho Rab ki panah mein
aur unse ek saawal karo...

"MUJHSE SACH BULWA DO... RAB JI"

***
THODI SI BHOOKH LAGI HAI
khana kha lene do...
RAAT HO JAYEGI AUR KAAM KHATAM BHI NAHI HOGA...
kaam fhata-fhat niptane do...
TUMKO ALVIDA KEHNA AACHA NAHI LAG RAHA...
Fir bhi THANK YOU ka matlab BYE hota hai.... samjhane do....


hehe....
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Wednesday, April 7, 2010

jis naam tu mujhe bachpan...

jis naam se tu mujhe bachpan mein bulaya karti thi
us naam se fir mujhe bula...
aa meri aankhon mein baandh kar patti
tu kahin chup jaa...
pehan kar haanton mein kangan
mere kaanon ke pass tu khankhana...
ai meri tamanna ke sitare
meri andheri zindagi mein prakash fhela...
[written by romil arora - copyright reserved]

chup-chup kar deewaron sang rona padata hain

chup-chup kar deewaron sang rona padata hain
har khawab ko mita kar sona padata hain
koiye nahi hota gum main apne saath
bas rabb se gila karna padata hain...
***
chehare ko jhooti haansi ke saath sajana padata hain
raaston ko apna ghar banana padata hain
kis liye tumhain maaf kar du Romil
waafa ka ilzaam to umar bhar shehna padta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, April 6, 2010

Har shaam guzar jaati hain intezaar main...

Har shaam guzar jaati hain intezaar main
Itna nasha hain taire pyar main...
***
Aankhein band karu to tera chehara nazar aata hain
Itni siddhat hain mere pyar main...
***
Durr se dekhate ho, haal bhi nahi puchate mera
Itne bhi dushman nahi hue hain, hum pyar main... 
***
Duniya-e-jahaan ko apni barbadi ka afsaana sunane wale
Saache aashiq hi mit jaate hain pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saans laine ki rasam ada karte ho....

Saans laine ki rasam ada karte ho
bas zindagi-guzar basar karte ho...
***
Intezar ki bediyon ne is tarah baand rakha hai tumko
tum rooh aur jism se juda-juda firte ho...
***
Uski bewafai ne tood kar rakh diya hai tumhe
tum zamane se khafa-khafa rehte ho...
***
Khatam karo yeh mohabbat ka tamasha Romil
kyon apni laash ka bhoj dhoye-dhoye firte ho...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, April 5, 2010

woh bhi magruur hai to hum bhi kuch kam nahi...

woh bhi magruur hai
to hum bhi kuch kam nahi Romil
dekhte hai Suraj kiska asmaan mein nikalta hai...
***
apni dhun mein raha hu hamesha
rab ki panah mein raha hu hamesha
yeh to mohabbat ne sar jhukana seekha diya Romil
warna magruur raha hu hamesha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, April 4, 2010

Hamare liye naqaab...

Hamare liye naqaab kar lete hai woh
zamane bhar se be-naqaab milte hai woh...
***
Naam badalne walon se shikayat kaisi
pal bhar mein to kapdon ki tarah emaan badal lete hai woh...
***
Apna mat kehna usko warna tu pachtayega
apna bana kar loot lete hai woh...
***
Na karo itni mohabbat tujhe Rab ka wasta deta hu
sar jhukane wale ka sar qalam kar dete hai woh...
***
Jinko tum apni nazron mein basa kar rakhate ho Romil
Apne paav ki juuti, garibon ki izzat ko samajhate hai woh... 
[written by romil arora - copyright reserved]

ek diwane ko...

jitne mooh hoti rahe apni utani baatein Romil
paagal bana kar rakh diya ek diwane ko...
***
chaha hi kya tha is zamane se waafa ke siwa
har nazar ne paagal samjha is diwane ko...
****
woh baar-baar badalte rahe apna naam, bewafai ke saath
hum jab apna diya naam pukare to log paagal samjhe is diwane ko...
***
zamana puchata hain humse is duniya main kya dekha
hum kehte hain mehboob main rabb
to paagal samjhe is diwane ko...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Saturday, April 3, 2010

kaun kiske saath marta hai yahaan

kaun kiske saath marta hai yahaan RoMiL
log dafna ke chale jaate hai...
***
dus-dus rupiya mein bik jaate hai jism RoMiL
log sirf ek chamadi ke saudagar ban kar reh jaate hai... 
***
kyon tadapte ho uske intezar mein RoMiL
log raah mein thokar maar kar nikal jaate hai...
***
jisko apna samajhate ho tum RoMiL
wahi apne, tere qaatil ban jaate hai...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

aaina hu main...

aaina hu main
mujhse kaise nazar chura payoge.
tune hi to mera ghar jalaya hain
apne jale hue haath kaise chupa payoge.
***
koiye bhi padh lega tumhara chehara
mera naam ispar se kaise haata payoge.
dard main hu fhir bhi haal nahi puchate ho
us khuda ke samne sajda kaise kar payoge.
[written by romil arora - copyright reserved] 

Friday, April 2, 2010

chalo sunau tumko uski bewafai ki kahani...

chalo sunau tumko uski bewafai ki kahani
ajnaabi hokar bhi rahi woh jaani-pehchani...
______
do qadam saath na de saki
jo kehti thi janamo-janamo saath nibane ki kahani...
______
baatein to jaise shehad thi uski
jo aaj bhi karti hain dil par haazaron nishani
______
kasoor hamara hi tha jo yakeen kar baitha
jisko sunao
wahi kehta hain bewakuf teri hi to thi nadani...
[written by romil arora - copyright reserved]

zikr

uska zikr hote hi aankhon main aansoo aa jaate hain
shaam dhalate hi chehare par dukhon ke badal chah jaate hain
itna pathar hoga us bewafa ka dil RoMiL
jo paaon zaara rakh di phoolon par to chaale aa jaate hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 1, 2010

saath chhod gaya woh

saath chhod gaya woh baaton-baaton mein
fir na mila mujhe khawabon mein
khayalaton mein...
***
kisse kahe apna dard Romil
koi na mila mujhe tanha raaton mein...
***
uski qasmo se kuch aisa sajaya ghar ko Romil
dil ko jala kar roshan hota raha
andheri raaton mein...
***
bewafai karke kehta hai woh Romil
apni lakeer hi nahi thi tere haaton mein...
[written by romil arora - copyright reserved]

barson beethe...

barson beethe uske iqraar main
barson beethe uske intezaar main
is umeed se aaj tak zinda hu Romil
kabhi na kabhi to woh kheecha chala aayega
mere pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Khabar nahi thi woh

Khabar nahi thi woh is tarah bewafa ho jayega
Apne janaze par bhi mujhe na bulayega...
***
Khawaish thi ki usse apni baahon main saja kar rakhu
Pata nahi tha woh is tarah baahein khol kar udha jayega...
***
Aarzoo thi ki uska diwana kehlau
Pata nahi tha woh pagal bana jayega...
***
Issi jahan tak rakhana chahata tha uske saath rishtee
Pata na tha woh jannat tak ka rishtaa jodh jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]