Showing posts with label Haal-E-Dil.... Show all posts
Showing posts with label Haal-E-Dil.... Show all posts

Friday, September 23, 2011

जुबान से उसको क्या सुनाये हाल-ए-दिल

जुबान से उसको क्या सुनाये हाल-ए-दिल रोमिल
सुना है मोहब्बत वाले नज़रों से हाल-ए-दिल पढ़ लेते है...

#रोमिल अरोरा

Saturday, February 13, 2010

mile to haal-e-dil bhi na puche

mile to haal-e-dil bhi na puche
itne bhi begane hum nahi hue...
***
teri muskaan par aa gaya dil mein toofan
shoole jal uthe bhujhe hue...
***
raste alag-alag hue to kya
chal to raha hai zindagi ka safar
musafir to tum bhi
musafir to hum bhi hue...
***
na tha muqaddar mein mere chand, gum nahi
do ghadi to dekh lene do
armaan kab se dil mein yeh dabe hue...
***
alvida kabhi hum keh na sakenge tumko
jubaan mein hai teri judai ke chaale pade hue...
[written by romil arora - copyright reserved]

Jis kisi ko bataya humne apna haal-e-dil..

Jis kisi ko bataya humne apna haal-e-dil
har shakhs ne humko pagal kaha...
***
tasveer banana chahata tha main uski
duniya ne wafa ka rang dhund kar laane ko kaha...
***
baar-baar woh mujhko yaad aa jaati hai
lakh baar duniya ne usko bhulane ko kaha...
***
uski duniya noor-e-pak rahe Romil
humne khud par ilzaam lagane ko kaha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, February 5, 2010

Mujhse kya puchate...

Mujhse kya puchate ho haal-e-dil tum mera
Roye bahut hai lekar naam tera...
***
Pagal kaho ya fir kaho dewana tera
Har pal nibhayenge hum bewafai ka vaada tera...
***
Do pal saath chale the ki chhut gaya haath tera
Yeh maano ya tum na maano
Ab saaya bhi nahi raha hai dost mera...
[written by romil arora - copyright reserved]

haal-e-dil

Mera haal-e-dil jaan kar kya karoge Romil
Bas itna jaan lo jo zinda tha woh marr chuka hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 8, 2009

Ab kya haal sunaye...

Ab kya haal sunaye 
tumko dil-e-beqarar ka...
dil ko qarar aaye
tumko dekhne ke baad...
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Kehne ko kai baatein hai
magar kahe kaise hum
hoonth bolte hai magar
tere jaane ke baad
Ab kya haal sunaiye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Hai aarzoo bahut tumko nazron mein basa ke rakkhe
aankhein bheeg jaye
tumko yaad karne ke baad...
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Hoti hai shama roshan
chand ke aane ke baad
apni raaton mein hai andhera
tere jaane ke baad..
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 26, 2009

haal-e-dil

Chalte-Chalte raston mein "NAAZ" ke khayalo mein kho jana
aur khud se hi apna haal-e-dil kehna...
***
Yaad hai mujhe "GUNN" ka roz khat likhna
aur khat mein haal-e-dil kehna...
***
Mujhse "SHEE" ka raat bhar phone par baatein karna
aur baaton mein haal-e-dil kehna...
***
Kho diya hai tune "ROMIL" mohabbat-e-rab "NaaZ"
Ab kisse haal-e-dil sunna
Ab kaisa haal-e-dil kehna...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 3, 2009

mujhpar reham aaya

bhala usko nahi, mujhpar reham aaya...
mujhe to apne haal-e-dil par reham khana chahiye tha!
.........................
mohabbat ki hawaa mujhe uda ke le chali...
mujhe to apna kadam rok lena chahiye tha!
[copyright reserved-written by romil arora]

Monday, January 26, 2009

Haal-e-dil kahu to kisse kahu....

Haal-e-dil kahu to kisse kahu
Jo mera apna tha woh to be-sahara kar gaya...

Samundar ke beech mein tanha khada hu
Manjhi to kinara kar gaya...

Wafaa karte-karte zindagi beet gai
Veeraniyo se hamara teh rishta kar gaya...

Jiske liye banaya tha humne khushiyon ka gharaunda
Woh dukhon ka ghar humko ataa kar gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]