Showing posts with label Mehboob. Show all posts
Showing posts with label Mehboob. Show all posts

Friday, September 7, 2018

Numaiesh ka samaan jyada bankar reh gai hai...

Mehboob kam...
Numaiesh ka samaan jyada bankar reh gai hai...

Roz deedar karte hai...
Nazron ko sukun dete hai...
Labon ko narm karte hai...

Silsila badastur zaari hai...

#RaJWrites

Monday, June 16, 2008

Yeh taira mehboob hai…


Yeh taira mehboob hai…

Khamosh naazare mujhe kuch keh rahe hai,
Yeh sundar ka badan kuch keh raha hai,
Yeh saaza hua soola-singar mujhse keh raha hai,
Chum lo isse apne hooton se,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..

Chand aur taare mujhse keh rahe hai,
Yeh shabnami chandani mujhse keh rahe hai,
Yeh raatein, yeh haawain mujhse keh rahe hai,
Bhar lo isse apne baahon main,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..

Thami hue saansein mujhse keh rahe hai,
Ehsaas jo durr hokar bhi, kareeb sa lag raha hai, mujhse keh raha hai,
Beetata hua intezaar mujhse keh raha hai,
Apna bana lo isse,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

"Ek Farishta Hai Mehboob Maira"


"Ek Farishta Hai Mehboob Maira"


Ek Farishta Hai Mehboob Maira,

Mohabbat Maire Khudai Hai!

Dil Maire Basti,

Uski Yaadein Safar-e-Zindagaiye Hai!

In Aankhon Main Sirf Uska Naasha,

Dhadkan, Jism Main Sirf Woh Hi Samaiye Hai!

Uske Haanton Ke Mehandi Ki Khushboo,

Maire Rangeen Jeevan Ki Parchaiye Hai,

Muskurath Uske Hooton Ki Shehnaiye Hai!

Ek Farishta Hai Mehboob Maira,

Mohabbat Maire Khudai Hai!

[written by romil arora - copyright reserved]