Showing posts with label Panchi. Show all posts
Showing posts with label Panchi. Show all posts

Sunday, April 19, 2020

29th April

Ek seekh mili hai mujhe...

Parinde ko apni jamaat ke saath parvaaz bharni chahiye...

Na Aasman mein bhatakne ka khauf rehta hai...

aur

Parinde ko Apni Aukaat bhi pata rehti hai...

#Romil Arora
29th April-Wed

Wednesday, May 21, 2008

PANCHI

"PANCHI"

Pinjare Mein Dekhata Hu Kisi Panchi Ko Mujhe Dukh Hota Hai,
Khuli Fizaaoon Mein Udne Ka Mann Ho,
Aur Paav Mein Bandhi Ho Bheediya,
To Mujhe Dukh Hota Hai!

Main Bhi Chahta Tha Udna,
Na Udh Saka Khuli Fiza Mein,
Isliye Uska Dard Dekhata Hu To
Mujhe Ehsaas Hota Hai!

Panchi Kudrat Ka Shingaar Hai,
Sureele Geeton Ki Pehchan Hai,
Hamari Subah Ki Shuruwat Hai,
Jab Yeh Shingaar, Pehchan aur Subah Ki Shuruwat, Gagan Main Nahi Dekhati,
To Mujhe Dard Hota Hai!

Pinjare Mein Dekhata Hu Kisi Panchi Ko Mujhe Dukh Hota Hai,
Khuli Fizaaoon Mein Udne Ka Mann Ho,
Aur Paav Mein Bandhi Ho Bheediya,
To Mujhe Dukh Hota Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]