Showing posts with label baachaa.... Show all posts
Showing posts with label baachaa.... Show all posts

Monday, June 16, 2008

Chand sa masoom baachaa…


Chand sa masoom baachaa…

Chand sa masoom baachaa roote hue puchata hai,
Jab saahash nahi thi mujhe apnane ki,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?

Maa ki chaathi se lipatane ke liye naa jaane main kitna tarafha hu,
Pita ke ungaali pakadh kar saath chale ke liye naa jaane main kitna tarafha hu,
Jab nahi de sakte the mujhe apna pyar, apna dulaar,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?

Sab baache maa-pita ke saath school jaate hai,
Park main saath khelate hai,
Diwali main patakhe-fhuljadiya jaalate hai,
Holi main rang-gulal khelate hai,
Eid main saath-saath ghumane jaate hai, saiwaiya khate hai,
Christmas main khoob gift kharedate hai, naye-naye kapade pehanate hai,
Jab nahi de sakte the mujhe itne suhane pal,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?

Kyon mujhe log gaaliya de kar bulate hai,
Kyon laawaris kehte hai,
Kyon maire sapne koiye poora nahi karta hai,
Kyon maire khushiya-ghum main maire saath nahi hota hai
Jab nahi de sakte the mujhe maire adhikaar,
fhir maa-pita mujhe kyon paida kiya?

[written by romil arora - copyright reserved]