Showing posts with label deedar.... Show all posts
Showing posts with label deedar.... Show all posts

Wednesday, September 12, 2018

Roz deedar tumhara ho...

Roz deedar tumhara ho...
Kuch aisa jugaad karo...
Rooh ko bhi mil jaye tasalli...
Labon ki bhi pyas poori ho...

Aisa koi beech wala raasta nikalo...
Chalo kuch le-deke hi maan jao...

Sulah-Samjhauta kare ya koi agreement bana le...
Tum bhi irritate na ho, hum bhi tera pyar pa jaye...
Kuch aisa jugaad karo...

#RaJWrites

Thursday, August 30, 2018

Unhe dekha to yeh ehsaas hua Cheez keemati pasand kar li hai humne...

Subah ki pehli kiran ke saath deedar tumhara ho...
Zinda rehne ke liye itna hi sahara ho.

Chala aaun apni hi dhun mein tujhe thaamne.
Kaash tune kabhi mujhe door se pukara ho.

Unhe dekha to yeh ehsaas hua
Cheez keemati pasand kar li hai humne.
Kaash usko khareedane, rakh-rakao ka bhi jigra hamara ho...

Uske gale mein security guard ki tarah latka rehta hai...
Kaash uspar naam hamara ho...

aur

Tu pass hoke, mujhse door ho jaati hai har baar...
Aye Khuda... Reham Kar...
Khawabon par bhi toh kuch Haq hamara ho.

- RaJ

Friday, January 2, 2009

deedar...

raat bhar isse khayal main jagta raha
ki subah hoten hi chand ka deedar hoga!
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, September 14, 2008

Deedar...

Meri Nazaron Mein Jo Tumhare Deedar Ki Tadap Hai Use Kaise Dushman-e-Duniya Se Chupayun...

Kya Kabhi Dulhan Ki Mehandi Se Saje Haanton Ko Chupaya Ja Sakta Hai!
###
[written by romil arora - copyright reserved]

Deedar

Mujhe Yeh Mehsus Hota Hai Aksar,
Tu Mera Deedar Kar Raha Hai, Badalon Ke Beech Se!
_______________
[written by romil arora - copyright reserved]

Deedar...

Sochate Hai Ki Hum Marr Jaye,
Shayad Apni Mayyat Par Hi Unka Deedar Ho Jaye!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 9, 2008

Deedar...

Roz Apni Aankhon Ko Sula Deta Hu Yeh Bahana Karke,
Ki Kal Sanam Ka Deedar Hoga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 14, 2008

uska deedar nahi milata....

"Dekha jisse khayalo main woh pyar nahi milta,
fhirte rehte hai hum jiske talaash main, woh yaar nahi milta,
Nazare dekhate hai zamane bhar ko,
Magar jis chand ko dekhana hai uska deedar nahi milata"
[written by romil arora - copyright reserved]