Showing posts with label dost.... Show all posts
Showing posts with label dost.... Show all posts

Friday, August 16, 2019

Woh Hamare Dost Hai... Kisi Dushman Se Kam Bhi Nahi...

baade khafa-khafa se milte hai zamane wale mujhse
jaise har khata ke jimmedar hum ho
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...


har ek to batate hai hum apna haal-e-dil
woh hamari sadgi, hamare jazbaaton par haste hai
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...

woh hamare janaze par bhi 
duniya-daari ki baatein karte hai
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...


#Romil

बड़े खफा-खफा से मिलते हैं जमाने वाले मुझसे 
जैसे हर खता के जिम्मेदार हम हो 
वो मेरे दोस्त हैं 
किसी दुश्मन से कम भी नहीं... 

हर एक को बताते हैं हम अपना हाल-ए-दिल 
वह हमारी सादगी, हमारे जज़्बातों पर हँसते हैं 
वो मेरे दोस्त हैं 
किसी दुश्मन से कम भी नहीं... 

वो हमारे जनाजे पर भी 
दुनियादारी की बातें करते हैं
वो मेरे दोस्त हैं 
किसी दुश्मन से कम भी नहीं... 

#रोमिल

Sunday, September 9, 2018

Saccha dost wahi hota hai...

Saccha Dost wahi hota hai jisse gum baata jaye...
Warna khushiyon mein to gair ko bhi shareek kar liya jaata hai...

Etmad, Mohabbat, Dosti, Wafaa
Wahid Bande mein hi milte hai...

#SultanWrites

Tuesday, November 10, 2009

kabhi na bhool payega...


dil kehta hain yeh dosti ka silsila yuhi chalta jayega
mujhse aaye dost tu juda hokar kahan jayega...
*
main apni yaadon se chiraag jalata jayunga
dekhata hu rabb waqt ki aandhiya kab tak chalayega...
*
mujhe yakeen hain tu ek din laut kar jarur aayega
meri suni zindagi main fhir khushiyoon ka phool khelayega
*
har pal yeh saansein yuhi tujhko pukarati jayegi
kab tak meri aawaz ko tu ansuni karta jayega...
*
yeh aankhein chahe band ho jaye
yeh jubaan na fhir kabhi bol paye
yeh saansein chahe tham jaye
magar yeh mann kabhi tujhko na bhool payega
aaye meri naaz teri wafaon ko kabhi na bhool payega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 15, 2009

apni dosti ka sahara de de...

mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de
woh beetein din
woh khushiyoon ka shaama de de...
~*~
teri yaadon main
main soya nahi hu barson se
aa fhir meri aankhon ko haseen nazara de de...
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
bhul jayun main woh manzar, woh lamhe kaise
saath betaiye the jo pal humne
fhir unhi lamhoon ka sahara de de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
yaad hain mujhko
woh sharam se jhuki aankhen teri
chehare se barasta hua noor
jaise koiye fariste ka deedar kiya tha maine
fhir mere nazaron ko wahi deedar kara de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
zindagi ke kuch pal saath betaiye the humne
main yeh zindagi tere saath betana chahta hu
tere chehare ko samaj kar chand
chandni raat main pyar karna chahta hu
fhir mujhe apni baahon ka sahara de de
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni dosti ka sahara de de...
~*~
fherata rehta hu tere yaadon ka tajmahal lekar
thak gaya hu teri aarzoo karte-karte
kahin yeh saansein na tooth jaye meri
isse pehle meri majboor mohabbat ko sukoon de de...
mere dost tujhe
meri dosti ki qasam
aa fhir mujhe apni baahon ka sahara de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, April 25, 2009

tum aa jao..

Dost, tum aa jao
tumse haal-e-dil kehna chahta hu
kaun jaane
kab yeh aankhen band ho jaye
tum aa jao
tumse haar ek baat kehna chahta hu
bahut ho liya main khud se rubaru
ab yeh khel main band karna chahta
tum aa jao
main tumse milana chahta hu
chupkar anjaan hokar sab kuch dekhati rehti ho tum
ab main yeh aankh-micholi band karna chahta hu
tum aa jao
main tumko dekhana chahta hu...
tum aa jao
Dost, tum bas aa jao..
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, April 1, 2009

woh zamane beet gaye

tere saath jo meethi-meethi thi bachpan ki yaadein
woh zamane beet gaye
~!~
jab rehte the hum khush
woh zamane beet gaye
~!~
jab tha tera haath, mere haathon mein
woh zamane beet gaye
~!~
jab mera har khawab tha tumhara
woh zamane beet gaye
~!~
jab khela karte the hum saath-saath
woh zamane beet gaye...

#Romil

तेरे साथ जो मीठी-मीठी थी बचपन की यादें 
वो जमाने बीत गए 

जब रहते थे हम खुश 
वो जमाने बीत गए 

जब था तेरा हाथ, मेरे हाथों में 
वो जमाने बीत गए 

जब मेरा हर ख्वाब था तुम्हारा 
वो जमाने बीत गए 

जब खेला करते थे हम साथ-साथ 
वो जमाने बीत गए...

#रोमिल

Sunday, March 29, 2009

dushman bana baithe...

tumse waafa karte karte
doston ko dushman bana baithe
~*~
rait par naam tumhara likhate-likhate
haawan ko dushman bana baithe
~*~
teri judai main tumko yaad karte-karte
khud ko apna dushman bana baithe...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

Sunday, January 25, 2009

kisi dushman se kam bhi nahi...

bade khafa-khafa se milte hai zamane wale mujhse
jaise har khata ke jimmedar hum ho
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...
http://www.sunny-raj.blogspot.com/
har ek se batate hai hum apna haal-e-dil
woh hamari sadgi, hamare jazbaaton par haste hai
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...

http://www.sunny-raj.blogspot.com/
woh hamare janaze par bhi
duniya-daari ki baatein karte hai
woh mere dost hai
kisi dushman se kam bhi nahi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, November 1, 2008

Aaye Ho Mere Zindagi Main

Kuch Pal Thehar Kar Jaana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!
______________________
Tum Mere Kismat Ho
Tum Ho Aaina Mera
Tumse Hi Ab Subah Hoti Hai
Tumse Hi Ab Hoti Hai Sham
Umarbhar Ab Saath Nibhana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!

______________________
Jab Se Tumko Chua Hai Maine
Khil Utha Hai Dil Ka Chaman Mera
Na Aankhon Main Khushi Ban Sako To
Aansoo Ban Kar Rehna
Tum Kiran Ho Savere Ki
Tum Hi Chirag Ko Mere Andhere Jeevan Ka
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!
______________________
Aaye Ho Mere Zindagi Main
Kuch Pal Thehar Kar Jaana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!

______________________
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 12, 2008

dosti..


Abhi kahan tumko yeh ehsaas hai
mujhse dushmani karne walon,
meri maut ke baad hi tumko yeh ehsaas hoga,
main kitna aacha dost tha tumhare dosti ke liye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 19, 2008

Zindagi-e-Gum De Gaya....

Baada!! Be-dard Hai Dost Mera,
Khud Is Duniya Se Chala Gaya,
Humko Tanha Chod Gaya,
Aata Bhi Nahi Hamara Haal Dekhane,
Dekho Khushi Ke Naam Par Zindagi-e-Gum De Gaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

muskuraya humse bhi na ja sake....


Aaisa dost chahiye,
Jiske sapno ko dil main basaya ja sake,
Jiske aansoo ko palkon main sajaya ja sake,
Jiske muskaan ko mann main chupaya ja sake,
rahe uska-mera rishta kuch is tarah,
agar udaas woh ho to muskuraya humse bhi na ja sake!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 4, 2008

"Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana"

"Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana"


Dost.... Maire Rabb Ke Ghar Aane Tak Kuch Taiyari Karke Rakhana,


Haari Ghas Ka Pitch Banwakar Rakhana,
Jis Par Hum Cricket Khelenge!


Burf Ke Do Ghar Pass-Pass Banwakar Rakhana,
Jisme Hum, Ek-Dusare Ke Samne Saath-Saath Rahenge!


Aur Wahi Pass Main Ek Jhula Banwana,
Jisme Hum Jhula, Jhula Karenge!



Aur Ghar Se Thodi He Durr Par Ek Pani Ke Jheel Banwana,
Jiske Pass Lage Paidh Ke Neeche Hum-Tum Baith Kar Baatein Kiya Karenge!


Hamare Gharo Se Durr, Upper Ke Taraf, Jo Parvat Tum Banwaoge,
Us Par Hum Bhag-Bhag Kar Chadh Jaya Karenge!


Apne Gharo Ke Beech Main, Chanda Mama Roz Aayega,
Us Chandani Main Hum Ek-Dusare Ko Nihara Karenge!


Jab Tak Main Rabb Ke Ghar Nahi Aata Tab Tak Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana! Samjhe....
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"



"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,
Maire Choti Se Daanth Par Bhi Ro Padati Thi,


School Se Ghar Aate-Aate,
Khule Aasman Ko Dekh Par,
Sapne Buna Karte Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,


Maire Choti Se Parishani Main,
Raat-Raat Bhar Pareshan Rehti Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, June 3, 2008

Tumhare Jaane Ke Baad


"Tumhare Jaane Ke Baad"

Dost Tumhare Jaane Ke Baad Bahut Samay Tak Main Gumsum Raha,
Teri Yaadein Liye Main Unhi Bachpan Ki Galiyon Mein Fhirta Raha.

Din-Din Guzarte Gaye,
Aur Main Teri Aas Liye Chup-Chap Roota Raha.

Fir Kho Gaya Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Raha.

Kai Baar, Bahut Haseeno Se Dillagi Hui,
Magar Dil Tumhari Dosti Ke Bina Kisi Ke Saath Na Raha.

Fir Ek Din Ek Pyari Si Pari Aai,
Bhanware Ka Gunjan Thi Woh,
Mann Mein Mohabbat Hi Khushiyan Liye,
Sab Se Alag Thi Woh,
Ek-Dum Tumhare Jaisi Thi Woh.
Jaisi Tum Bachpan Mein,
Meri Pari Ke Baare Mein Bataya Karti Thi,
Waisi Hi Thi Woh.
Woh Madhosh Kar Dene Wala Ehsaas Uska,
Woh Dilnasheen Baatein Uski,
Woh Pyar Bhare Shabd Uske,
Woh Pyari Si Aawaz Uski,
Wo Hanskar Mujhse Baatein Karna Uska,
Wo Rooth Kar Mujhse Baatein Karna Uska,
Woh Rona,
Woh Hasna.

Magar, Mujhse Kehti Thi Woh,
Ki Mujhe Bhool Jayo, Mera Intezar Na Karo,
Ki Mere Bina Reh Legi Woh,
Mujhse Bina Baat Kiye Jee Legi Woh,
Chahti Thi Mujhe Fir Bhi Aisa Kehti Thi Woh.
Na Jaane Kis Baat Se Darti Thi Woh.
Shayad Meri Mazboori Se, Meri Garibi Se Darti Thi Woh.
Sach Hai Dost, Zaruri Toh Nahi Zindagi Ka Koi Sahara Ho,
Hum Kisike Aur Koi Hamara Ho,
Tumhare Bina Bhi Chaudah Saal Beet Chuke Hai,
Uske Bina Bhi Beeth Jayenge,
Kuch Pal Gumsum Rahunga,
Uski Yaadein Liye Galiyon Mein Fhirta Rahunga.
Din-Din Guzarte Jayenge,
Aur Main Uski Aas Liye Chup-Chap Roota Rahunga.
Fir Kho Jayunga Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Rahunga.... Sach Hain Na Dost.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Laut Aayon Na"


"Tum Laut Aayon Na"



Dost Suno Tum Laut Aayon Na,

Rabb Ka Ghar Chod Aayon Na,


Main Akela Yahaan Kya Karunga,

Jab Tak Zindagi Hai Maira Saath Dene Aayon Na,


Khushi, Tumhare Bina Dost Aache Nahi Lagti,

Yeh Aansoo Jo Beh Likale Hai, Usko Pochane Aayon Na,


Jo Bhi Mujhe Yaahan Milta Hai,

Pyar Karke, Dhoka Dene Ke Liye Milate Hai,

Daulat aur Jism Main Kho Jaane Wale Milate Hai,

Zakhm Daine Wale Milate Hai, Tum Hi Un Zakhamo Par Marham Lagane Aayon Na,


Abhi Baaki Hai Zindagi Main Dosti Ke Bahut Saare Pal,

Tum Poore Karne Aayon Na... Dost Aayon Na.

[written by romil arora - copyright reserved]

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Janti Hoon Dost...Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din.

Door Khade Main Apni Barbadi Ka Nazara Dekh Raha Tha,

Barish Mein, Main Apne Dil Ko Roota Dekh Raha Tha,

Kuch Kahe Bina Tum, Rab Ke Ghar Chali Gai,

Bas Intezar Karte Main Tumhara Rasta Dekh Raha Tha,

Chand Khud Jalne Ko Utara Tha Mere Dil Mein,

Main Khud Ko Jalta Dekh Raha Tha,

Pal-Pal Bikharte Main Apne Zindagi/Dosti/Bandagi/Rab/Sajde Ke TajMahal Ke Tinke Batoor Raha Tha,

Mera Haath Thaamne Ke Bajaiye,

Tumne Rab Ka Haath Tham Rakkha Tha,

Rabb Khada Haans Raha Tha,

Aur Main Ro Raha Tha.

Main Ro Raha Tha.

Dekho "NaaZ" Aaj Fir Rab Khada Tumhare Pass Has Raha Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"
Dost Yaad Hai..
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The,
Aankhein To Kehti Thi Ki Mann Baat Karna Chah Raha Hai,
Magar Honton Ko Hum See Liya Karte The.
Shaam-Raat Ko Galiyoon Mein Fira Karte The,
Dekhte Hi Ek-Dusare Ko Kisi Veerane Mein Sorry Keh Diya Karte The.
Yaad Hain, Ghar Ki Deewar Sajane Ki Liye,
Tum Meri Idiot Si Drawing Laga Diya Karti Thi.
Phool/Cards To Tumko Pasand Nahi The,
Tum Meri Stupid Drawing Ki Diwani Hua Karti Thi.
Mere Liye Tum Gurudware Bhi Jaaya Karti Thi,
Janamasthami Mein Shri Krishna Ji Ko Apne Haaton Se Sajaya Karti The.
Dost Yaad Hai.. Woh Apne Bachpan Ke Din,
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

Janta Hoon Dost.. 5:00 pm Ho Gaye Hai,
Park Main Khelane Aane Ke Liye,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Har Kaam Karney Main,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Mujhe Tennis Khelana Nahi Pasand Dost,
Bore Ho Jaata Hoon Main.
Chalo Cricket Khelate Hai Dost,
Tum Bating Karo, Ball Karta Hoon Main.

Aacha Tum Ab Aaram Karo,
Mujhe Apni Cycle Do,
Ab Kuch Dair Cycling Karta Hoon Main.
Park Se Wapas Ghar Tumhare Saath Chalunga Main,
Kuch Time Abhishek Ke Yaahan Study Karunga Main.
Dekha Naaz, 14 yrs. Beet Chuke Hai,
Fhir Bhi Kuch Nahi Bhoola Hoon Main. Hain Na...
[written by romil arora - copyright reserved]