Showing posts with label duniya. Show all posts
Showing posts with label duniya. Show all posts

Tuesday, January 10, 2012

आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम

आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम
अपनी खुशियों से उसको सजाये हम
तू मेरे पास रहे, मेरे खुदा
मैं तेरे पास रहूँ, मेरे खुदा...
आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम...
***
चाँद, तारों से सजे आसमान में
बर्फ से बना हमारा एक घर हो
साथ रंगों से सजे इन्द्रधनुष में
हम तुम साथ-साथ झूलते हो...
आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम
अपनी खुशियों से उसको सजाये हम
तू मेरे पास रहे, मेरे खुदा
मैं तेरे पास रहूँ, मेरे खुदा...
आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम...
***
फूलों की सेज पर लेटे रहे
तेरी जुल्फों की घनी साये में सोये हम
मेरी बाहों की पनाहों में तेरी ज़िन्दगी बीते
तेरी आँखों में खोये रहे हम
तू मेरे पास रहे, मेरे खुदा
मैं तेरे पास रहूँ, मेरे खुदा...
आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम...
रोमिल... आ कहीं एक नई दुनिया बनाये हम...

Thursday, September 8, 2011

अपने रब की रहमत कहता हूँ!

दुनिया-ए -जहाँ, जो मेरी मुहब्बत को कहती है मेरा पागलपन
रोमिल, मैं उसे अपने रब की रहमत कहता हूँ!

#रोमिल अरोरा

Saturday, December 26, 2009

yeh duniya daari humse na hogi...

yeh duniya daari humse na hogi hum to dildaari kar sakte hain
dil ki baatein sunate hain
dil par yakeen karte hain.
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
dil ka sauda dil se karte hain
har apne ko apna samajhate hain
hum to ajnabiyoon se bhi waafa karte hain
yeh bewafai humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
khawabon ko saja kar rakhana jante hain
yaadon ko sanjho kar rakhana jante hain
khawabon ki saude-baazi humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
sanam ke liye de sakte hain jaan bhi
har zakhm muskurakar seh sakte hain  
humse daulat par zindagi qurbaan nahi hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, November 24, 2009

aa kahin ek naye duniya banaye hum...

aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
chand, taaron se saaje aasman main
burf se bana hamara ek ghar ho
saath rangon se saje indradhanush main
hum tum saath-saath jhulate ho...
aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
phoolon ki saje par laite rahe
teri zulfoon ki ghani saaye main soye hum
meri baahon ki panahon main teri zindagi beethe
teri aankhon main khoye rahe hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
NAAZ...aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
[inspired - written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 4, 2008

"Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai"


"Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai"


Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Dost Hote Hai Magar Qatal Karne Ke Liye Khanjar Lekar Fhirte Hai.


Hum To Dil Ke Raaz Haatheli Par Lekar Phirate Hai,
Magar Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Dil Ko Zakhami Karne Ke Liye Teer Chalaya Karte Hai.


Yeh Zamana, Yeh Zamane Ke Log,
Maire Kisi Dushman Se Kam To Nahi,
Jo Maire Zakhamo Ko Nasur Banaya Karte Hai.


Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Rishtoon Ko Badnaam Kiya Karte Hai.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Yeh Duniya Wale"

"Yeh Duniya Wale"


Kab Gum Main Saath Nibhate Hai Duniya Wale,
Daulat Ki Chandani Main, Pyaar Ko Bhool Jaate Hai Duniya Wale,


Aansoo Ka Koiye Mool Nahi Rakhate Duniya Wale,
Zakhamo Par Boli Lagate Hai Duniya Wale,


Kisi Ki Mashumiyat Ka Maazak Udate Hai Duniya Wale,
Dil Se Saaf Logon Ko, Behwakoof Samajhate Hai Yeh Duniya Wale,


Sochata Hoon Abhi Chod Kar Aa Jaun Yeh Duniya Wale,
Magar Maire Maut Ka Tamasha Na Banaiye Yeh Duniya Wale.
[written by romil arora - copyright reserved]