Showing posts with label intezaar.... Show all posts
Showing posts with label intezaar.... Show all posts

Monday, September 3, 2018

Bahut yaad aaogi to haath uthakar dua kar lenge tumhare liye...

Bahut yaad aaogi to haath uthakar dua kar lenge tumhare liye.
Tum ab jao...
Hum zindagi basar kar lenge...

Pakeezah is rishte ko dunia mein samaj nahi saka koi.
Tumko Mere saath dekhenge to log chaar baatein karenge.
Tum ab jao...
Hum zindagi basar kar lenge...

Kabhi Chai banate Rasoi mein, mujhe  sochate-sochate jo jala lo apna haath.
Hum marham haath mein thame tera intezaar karenge.
Tum ab jao...
Hum zindagi basar kar lenge...

Behadh keemati cheez dekar gai ho mujhko.
'intezaar'.
Isi ke sahare zindagi-e-safar hum teh kar lenge.
Tum ab jao... 
Hum zindagi basar kar lenge...

#RaJWrites

Saturday, June 18, 2011

उसके दीदार के लिए दिल मुद्दत से बेकरार था

उसके दीदार के लिए दिल मुद्दत से बेकरार था
नसीब तो नहीं थे मिलने के,
फिर भी आँखों को इंतज़ार था...
*
छोड़ कर राह में अकेला, चल दिया मुझको हुकू 
मैं बैठा रहा रास्ते में तन्हा
मुझे उसके लौट आने का ऐतबार था...
*
मिलकर रुखसत भी न कर सका हुकू को
मेरे रब का यह कैसा इन्साफ था...
*
आज तक यह नहीं समझ पाया
क्यों मेरी ज़िन्दगी में, नहीं हुकू का प्यार था...

#रोमिल

Monday, June 28, 2010

ZINDAGI IS TARAH BARBAAD HOGI...

ZINDAGI IS TARAH BARBAAD HOGI RoMiL...
BAS SAATH INTEZAAR KI KAALI RAAT HOGI...
***
DIL LAGAKAR TUNE YEH KAISA SITAM KAR DALA RoMiL
NA ZINDAGI SAATH HOGI..
NA MAUT PASS HOGI...
***
WOH MUJHKO DEKH KAR BHI HAAL NAHI PUCHATA RoMiL
ISSE BAADI AUR KYA SAAZA-E-AAM HOGI...
***
BAS YAHI SOCH KAR DIL BEHLA LAITE HAIN RoMiL
IS JAHAAN MAIN NAHI TO
US JAHAAN MAIN WOH MERE SAATH HOGI...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, April 17, 2010

hamare shehar mein aisa mausam nahi tha...

hamare shehar mein aisa mausam nahi tha Romil
shayari to bahut thi...
magar aap jaisa koi shayar nahi tha...
___________
sochata hu kisi bewafa se dil lagayunga Romil
suna hai
bewafa ki bewafa se jodi bahut banti hai...
___________
Woh sochati hogi Romil main uska intezar kyon karta hu...
Usko Salaam baar-baar kyon karta hu...
Bas isi khumaar mein
kabhi na kabhi to woh kuch mere yaar ke baare main batayegi...
kabhi na kabhi to woh mere gum ko samaj payegi...
___________
RoMiL.. aao tumne ek kahani sunao...

ek ladki ki pyari baatein batau...

thi woh bilkul PARI jaisi...
roye to lagti thi ek dum GUDIYA jaisi...

lukka-chupi khela karti thi woh...
kabhi aankhon mein to kabhi khawabon mein rehti thi woh...

galiyon ki bheed mein tanha thi woh...
rab se bahut saari baatein karti thi woh...

TABHI EK DIN EK LADKA AAYA...

Rab ka woh sandhesha laya...

Usko samjhaya...
Kushiyon ko bula lo na...
muskuraane chura lo na...
Kuch yaadein aur sapne, apne chura lo na...
Ruki si zindagi se,
Thaki si zindagi se,
Raftaarein chura lo na...

kuch lamhe chura lo na...
kuch lamhe chura lo na...
[LIMCA AD SONG]
_________________
Agar woh thoda sa muskura de RoMiL
Hum Allah Haafiz keh de RoMiL...
_________________
05:00 bajane ko hain dadi amma
jao thoda sa aaram kar lo...
***
thoda sa rab ko yaad kar lo...
thoda chai-nasta kar lo...
***
shaam ko aise dil nahi dukhaya jaata
sirf muskurakar shaam ka swagat kiya jaata...
***
thoda sa sair-sapata kar lo...
fir uske baad thoda sa padai kar lo...
***
____________________
Maine yeh kab kahan tha use chodkar mere saath chal Romil
Lekin bewafa ho jaana... yeh faisala uska tha...
_____________________
aaine ke saamne khade jab ho Romil
yeh baat aksar samaj nahi aati
ki hum aaine par hans rahe hai
ya fir aaina hum par hans raha hai...

[written by Romil Arora - copyright reserved]

Tuesday, April 6, 2010

Har shaam guzar jaati hain intezaar main...

Har shaam guzar jaati hain intezaar main
Itna nasha hain taire pyar main...
***
Aankhein band karu to tera chehara nazar aata hain
Itni siddhat hain mere pyar main...
***
Durr se dekhate ho, haal bhi nahi puchate mera
Itne bhi dushman nahi hue hain, hum pyar main... 
***
Duniya-e-jahaan ko apni barbadi ka afsaana sunane wale
Saache aashiq hi mit jaate hain pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 1, 2010

barson beethe...

barson beethe uske iqraar main
barson beethe uske intezaar main
is umeed se aaj tak zinda hu Romil
kabhi na kabhi to woh kheecha chala aayega
mere pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, March 25, 2010

mere shehar main rehkar...

mere shehar main rehkar woh ajnabi raha
saawan ke mausam main bhi pathjhad raha...
woh to manzil par aaram se baitha raha
apna thikana hamesha rastee par raha...
***


intezaar ki kasti main judai ka dariya paar kiya
main bhi kaisa ullu ka pattha tha
na jaane mohabbat main kya-kya kiya....
[written by romil arora - copyright reserved]
USKO KABHI DEKHA NAHI MEHSUS KIYA HAIN MAINE...

AA MERI PATHAR AANKHON KO ROSHANI KAR DE...
***

fark bas itna hain...
PEHLE AANSOO USKI WAAFA KO DEKH KAR AATE THE...
AB AANSOO USKI BEWAFAI KO DEKH KAR AATE HAIN...
***

zinda hain woh fhir bhi kehte ho marr gaye hain mujhse...
aur kitna gunaah karaoge mujhse...
nahi hona hain mera to saaf maana kyun nahi kar daite...
roz-roz intezaar kyon karwate ho mujhse...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, March 23, 2010

jab tak uska koiye nahi tha...

jab tak uska koiye nahi tha
tab tak main uska apna tha...
***
Thi mere samne roshani
fhir bhi main uske saath andhere main rehta tha...
***
raat-raat bhar jagata tha
uski baatein kehta-sunta tha...
***
umar bhar ek tasveer ke liye tarsa
samne mere haseeno ka dariya tha...
***
intezaar ki boondh-boondh main tarapta raha Romil
woh durr se mujhe dekh kar hasta tha...
[written by romil arora - copyright reserved]

INTEZAAR KARTE-KARTE...

INTEZAAR KARTE-KARTE ZINDAGI KI SHAAM NA BEETH JAYE
AUR UNKO KABHI HAMARI YAAD BHI NA AAYE...
***
RABB KA VASTA DEKAR USKO WAPAS BULA LU
AGAR USKO MUJH PAR TARAS AAYE...
***
USKO BHULA KAR ZINDA RAHU
RABB NA KARE ZINDAGI KI AAISE KOIYE SUBAH AAYE...
***
MUJHE PASAND NAHI HAIN GAMO MAIN ROZ-ROZ JEENA
KAASH USKO YEH BAAT SAMAJ AAYE...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, March 22, 2010

Anskh dekar mujhko beqarar karti hain...

Anskh dekar mujhko beqarar karti hain...
Yeh yaadein teri sitam baar-baar karti hain...
***
Puch na mujhse mera haal kya hain Romil
Woh milan ki baatein hairan baar-baar karti hain...
***
Us par haans kar dil ko behlata rehta hu Romil
Warna uski muskurahat mujhko pareshan baar-baar karti hain...
***
Mujhse milane ka vaada kabhi usne kiya hi nahi Romil
Na jaane kyon yeh naazarein intezaar baar-baar karti hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, March 13, 2010

tamam umar mujhko uska intezaar to raha....

tamam umar mujhko uska intezaar to raha
jeene ke liye dil main hausala to raha...
***
na laut kar aaya woh
is baat ka dil main koiye gum nahi
kam se kam main, waqt ka gulam to raha...
***
yeh alag baat hain
uske tan-mann main kisi gair ka haq hain
fhir bhi uske dil ke kisi kone main mera naam to raha...
***
bahut haseen baat hain yeh Romil
zinda nahi, marne ke baad hi sahi
uska mera koiye rishta to raha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 12, 2010

~INTEZAAR~

~INTEZAAR~
____________
Shaam hona aur tera intezaar karna
Tanhaiyoon main baitana aur tere khaton ko padana...
***
Kabhi utha-utha kar chand ko niharana
Kabhi ghar main fhaile sannate ko dekhana...
***
Khud se teri baatein karna
Khud-ba-Khud hasana
Khud-ba-Khud rona
Kabhi aaina main teri tasveer banana...
***
Bas aaise hi zindagi safar bitana
Bas aaise hi maut ka intezaar karna...

Thursday, March 4, 2010

~Intezaar~

Jiske aane ka hum umar bhar intezaar karte rahe Romil
Woh hamari gali se gujare aur kehte hain pata maloom nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 17, 2010

intezaar~~

Tere intezaar ka chirag kabse dil main jala rakha hain NAAZ
Keh do haawan se aakar mujhe bhujha de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 16, 2009

taaza mohabbat ka gum...


taaza mohabbat ka gum jism-o-jaan main hain
phir jaale hue dil ka duaah baahar main hain...
***
ek khawab tujhse milane ka dekhate hain hum
yeh armaan roshan dil-e-jahaan main hain...
***
tujhko bhul kar kaise jee payenge SHEE
yeh sawaal mere jehan main hain...
***
mubarak ho tujhe jannat NAAZ
apni zindagi to beeti intezaar main hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 17, 2009

apna muqaddar hi kuch aaisa banaya hain...

haawaon ne hilaya tha darwaza mere ghar ka
main socha ki woh laut aaya hai...
***
chitthi lene ko jo bhaga tha main daakbabu ke peeche
woh to anjaan ka pata khud mujhse puchane aaya hai...
***
kehne ko to bahut saathi the apne
magar apna saath kisi ne bhi nahi nibhaya hai...
***
zindagi beet gai apni intezar mein romil
rasool-allah ne apna muqaddar hi kuch aisa banaya hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 20, 2009

jo chala gaya woh chala gaya...

jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
naye zindagi ko tumhara intezaar hain
naye sapne bunne ke liye dil beqarar hain
naye bandhan banne ke liye taiyaar hain
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
jo nahi tha naseeb main woh nahi mila
tujhe jo mila usse main zindagi beeta
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
purani baaton ko yaad karke na dukh maana
na khud ko tanhaiyoon ka libaas pehna
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
zaaraa sa to khawab tha jo guzar gaya
ab na khawabon ko apna baana
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 14, 2009

intezaar

main karta raha intezaar yeh soch kar
tu aayegi kisi roz sab kuch chod kar...
~*~
baitha raha rasthe main tanha yeh soch kar
tu kabhi saath degi mera humsafar ban kar...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, March 26, 2009

chala gaya...

mere har khawab woh todkar chala gaya
mujhe gum ke andhere mein tanha chodkar chala gaya
main karta raha hamesha uska intezaar mohabbat-e-sagar mein
woh mujhe toofan mein akela chodkar chala gaya...

#Romil

मेरे हर ख़्वाब वो तोड़कर चला गया
मुझे ग़म के अँधेरे में तन्हा छोड़कर चला गया
मैं करता रहा हमेशा उसका इंतेज़ार मुहब्बत-ए-सागर में
वो मुझे तूफान में अकेला छोड़कर चला गया...

#रोमिल