Showing posts with label jaane kaise.... Show all posts
Showing posts with label jaane kaise.... Show all posts

Thursday, March 11, 2010

uske jaane ke baad na puchu

uske jaane ke baad na puchu kya-kya sitam hum par ho gaye
har rishtee se begane hum ho gaye...
***
jiske liye hum jaan bhi de-daite the
woh dost, na jaane kahan ho gaye...
***
kehne ko to aaj bhi usse mohabbat hain humko
sharadda ke phool na jaane kahan udha gaye...
***
chalo chalte hain kisi naye raste par Romil
jo humsafar the na jaane kahan bichad gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 18, 2010

Rabb janta hain...

Kyon mila mujhe bewafa ka saath Rabb janta hain
Kyon toota mera dil baar-baar Rabb janta hain...
***
Thi to uski baaton main mohabbat
Dil main kyon jehar bhara hua tha, Rabb janta hain...
***
Aankhon main kyon aate hain khawab
Fhir kyon aansoo ke saath beh jaate hain, Rabb janta hain...
***
Intezaar ka pal kyon nahi khatam hota,
Kyon aati hain intezaar-e-shaam, Rabb janta hain...
***
Parwane ko kyon hoti hain shaama se mohabbat,
Kyon parwana shaama main jal jaana chahta hain, Rabb janta hain..
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, January 22, 2009

jaane kaise...

jaane kaise woh chain se so lete hai
jab chand bhi mere saath rota hai...

jab hum tanhai mein ro rahe hote hai
jaane kaise woh mehfil mein muskura rahe hota hai...

jaane kaise woh dusare ki baahon mein hote hai
jab hum uski yaad mein ro rahe hote hai...

jab hum khud ki zindagi barbaad kar rahe hote hai
jaane kaise woh apni zindagi savaar rahe hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]