Showing posts with label khuda kasam.... Show all posts
Showing posts with label khuda kasam.... Show all posts

Friday, May 14, 2010

khuda qasam itna hi kaafi hain...

dum bhar ko hi sahi

aaya to unko hamara khayal
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
hum rahe roshani se mehroon
mehfil main unki shama jali hain
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
na jaane yeh qayamt kya rang layegi
haata hain jo unka naaqab
ab to yeh jaan jayegi
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
layega rang ek din jarur hamari wafa ka
chahe umar yeh dhal jaye
woh khud aayega hamare kareeb
khuda qasam itna hi kaafi hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, March 4, 2009

khuda ki kasam...."

"anjani pata hota ki tu peeche kadam haata lega
khuda ki kasam hum apne kadam nahi badate...
~
agar pata hota ki tera haath kisi aur ki haaton main hoga
khuda ki kasam hum apne haath nahi badate...
~
agar pata hota ki anjaam-e-waafa yeh hogi
khuda ki kasam hum kabhi waafa nahi karte....
~
khuda ki kasam...."
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, December 12, 2008

khuda kasam...

jo sunogi meri dastan,
khuda kasam tumhari aankhon se aansoo likal jayenge.
~
jab pata chalega tumko ki kis tarah toote hai khawab mere
khuda kasam tumhari aankhon se neendein chali jayengi.
~
jab mulaqat hogi tumhari meri tanhaiyon se,
khuda kasam tumhara mohabbat par se yakeen mit jayega!
[written by romil arora - copyright reserved]