Showing posts with label nazare.... Show all posts
Showing posts with label nazare.... Show all posts

Thursday, September 13, 2018

Tumhari nazar mein to main...

Tumhari nazar mein to main ek Khadim ke siva kuch bhi nahi hun...

Jo apne Shauhar... apne Bete... apne Bhai ki jagah jab dil chahe mera istemaal karo...

Aaj Shauhar ghar par nahi to usse hi Ishq farma lete hai...
Beta college, hostel gaya hai to usko hi dulaar-puchkaar lete hai...
Bhai ka naam leke iska hi Birthday mana lete hai...

Option ya Replacement nahi hu main...
Original hun...

#RaJ Writes

Sunday, July 21, 2013

do aankhein aur hazar khawab sajaye baithi ho

do aankhein aur hazar khawab sajaye baithi ho
tum to pehle se hi bewafai ke saare intezaam kar baithi ho

peela suit, hara duppata, halke lal se hoonth
jaan-e-mann kiske intezaar mein itna beqarar baithi ho 

gamo ke dariya ko khud mein samet lena
is dil ko yeh kaisa samundar banaye baithi ho

hamare tajurbon se kuch faida tum bhi utha lo
.... utho hanso khud par...
toote hue dil ke saath kyon udas baithi ho

aur

Romil, aao yeh mohabbat hai ise dono nibhaye
zamane ke darr se kyon khawaishein dabaye baithi ho.

#Romil

दो आंखें और हजार ख्वाब सजाए बैठी हो 
तुम तो पहले से ही बेवफाई के सारे इंतजाम कर बैठी हो

पीला सूट, हरा दुपट्टा, हल्के लाल से होंठ... 
जानेमन किसके इंतजार में इतना बेकरार बैठी हो... 

गमों के दरिया को खुद में समेट लेना 
इस दिल को यह कैसा समुद्र बनाएं बैठी हो... 

हमारे तजुर्बे से कुछ फायदा तुम भी उठा लो... 
...उठो हंसो खुद पर... 
टूटे हुए दिल के साथ क्यों उदास बैठी हो... 

और 

रोमिल, आओ यह मोहब्बत है इसे दोनों निभाएं 
जमाने के डर से क्यों ख्वाईशें दबाये बैठी हो...

#रोमिल

Wednesday, December 21, 2011

आँखें

खामोश आँखें कुछ बयान करती है,
कुछ बातें वोह सर-ए-आम करती है.
***
तुम्हारे होंठ भी चुप रहे,
हमारे होंठ भी गुमसुम,
बस आँखों से आँखें गुफ्तगू करती है.
***
सोचता हूँ रोमिल, सलाम कर लूं इन आँखों को,
जो झुका कर दुआ हमारे लिए करती है.
***
तुम आ जाओ बस हमारी बाहों में रोमिल,
यह आँखें तुम्हारा इंतज़ार करती है.

#रोमिल

Saturday, November 5, 2011

शुक्र

शुक्र खुदा का इतना हैं वोह आये नज़र तो सही
रोमिल, मेरे साथ नहीं, किसी और के साथ ही सही!

Tuesday, June 29, 2010

apni-apni nazar

apni-apni nazar ki baat hai Romil...
jo teri nazar mein khuda ban baita hai
woh meri nazar mein insaan bhi nahi hai...

#Romil

अपनी-अपनी नजर की बात है रोमिल 
जो तेरी नजर में खुदा बन बैठा है 
वह मेरी नजर में इंसान भी नहीं है...

#रोमिल

Tuesday, March 30, 2010

Haavas ki chahat main...

Haavas ki chahat main jism jal jaata hain
Bhare hue ghar main insaan tanha nazar aata hain...
***
Mohabbat ke naam par mann ka sauda karte hain
Yahaan badan rupiyoon main lipata nazar aata hain... 
***
Kyon karte ho jannat ki aarzoo Romil
Pathar main bhi Rabb nazar aata hain...
***
Fhirte rehte ho tum shehar ki beedh main Romil
Naaqab main kahan chehara nazar aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, January 15, 2010

nazare...

do pal jo tujhko dekh le meri nazare
saare zamane ki utha jaati hain meri taraf nazare...
~*~
do pal ki kya dosti tumse kar li maine
saare zamane ki dushman ho gaye hain nazare...
~*~
do pal ka kya mila tera saath mujhko
bandh darwaazo main bhi mujhko jhakti hain zamane ki nazare...
~*~
mohabbat kar li tumse
ya gunah kar liya
qaatil ki nigaah se dekhati hain zamare ki nazare...
~*~
ab jayun to jayun kahan intezaar-e-safar se
maut tak bhi peecha nahi chodati zamane ki nazare...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 24, 2009

meri aankhen...

kisi ka intezaar karti hue meri aankhen
mere pyar ko muhaafiz rakhati hue meri aankhen...
~*~
bichadane ka manzar taraste hue meri aankhen
yaadon main dubb kar bheeg jaane ko baitab meri aankhen...
~*~
pal-pal har khawab ko sawarati hue meri aankhen
mohabbat ke manzar ko talaste hue meri aankhen...
~*~
mohabbat ke safar main haari hue meri aankhen
mehboob ko mile khushiya yeh fariyad karti hue meri aankhen...
~*~
"$ultan" sochata hu band kar lu meri aankhen
magar bewafa ko dhundati, talaste shehar main bhatakati hue meri aankhen...
[written by romil ($ultan) arora - copyright reserved]

Friday, April 3, 2009

nazrein

tere inkaar par bhi teri nazrein tera saath nahi deti hai
khuda ka sukr hai kam se kam woh wafa to karti hai...

#Romil

तेरे इनकार पर भी तेरी नज़रें तेरा साथ नही देती है
ख़ुदा का शुक्र है कम से कम वो वफ़ा तो करती है...

#रोमिल

Friday, March 27, 2009

bewafai...

jab koi puchata hai uske baare mein
main haans kar baat taal deta hu Romil
magar aankhen uski bewafai ki dastaan suna deti hai...

#Romil

जब कोई पूछता है उसके बारे में 
मैं हंसकर बात ताल देता हूं रोमिल 
मगर आंखें उसकी बेवफाई की दास्तान सुना देती है...

#रोमिल

Monday, March 2, 2009

aansoo...

ek aansoo bhi nahi bahaye usne meri judai main romil,

jisse aankhon ko hum jheel kahan karte the...

[written by romil arora - copyright reserved]

nazar...

shukr khuda ka itna hai woh aaye nazar to sahi
mere saath nahi, kisi aur ke saath hi sahi!
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, February 25, 2009

aankhein

aankhein meri kisi ke khawab mein khoi hui thi Romil
logon ne socha ki main is duniya se rukhsat ho gaya...

#Romil

आँखे मेरी किसी के ख़्वाब में खोई हुई थी रोमिल
लोगों ने सोचा की मैं इस दुनिया से रुख़सत हो गया...

#रोमिल

meri naina....

meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...
~***~
suraj re aaya re
choti-choti yaadon ke fhank pehlaye
mann main khushiya sajaye
aansoo sang laaye naina...
~***~
shaam se naami main bhar jaate naina
yeh kiske khayal main khoye naina....
~***~
ab to saare begaane lagte hain yahaan
hain nahi yahaan fhir bhi dekhaiye deta hain chehara
anjaana chehara basa kar rakhe naina...
~***~
meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...

[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, December 14, 2008

nazar

woh hamesha hamari nazaron se iqraar ki umeed karte rahe,
magar mohabbat to woh bhi karte hain, jinke nazarein nahi hoti!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 5, 2008

Nazre To Milate Raho....

"Yeh Na Ho Ki Kal Shehar-e-Jahan Mujhe
Shehar Ki Udasi Ka Ilzaam De...


Dil Mile Na Mile Tumse,
Kam Se Kam Nazre To Milate Raho"
*!*!*!*!*
[written by romil arora - copyright reserved]