Showing posts with label rAj. Show all posts
Showing posts with label rAj. Show all posts

Friday, August 31, 2018

itne bhi gaye-gujre nahi ho tum

"itne bhi gaye-gujre nahi ho tum"

(aise shabd ab kahi chhup se gaye hai, log jaldi apni jubaan pe nahi laate... paki-pakai umar wale hi bolte hai... kai aise jumle, muhavare, kahavat, jubani mashware kahi nai-purani generation ke beech dab se gaye hai...

Rahi baat meri....
Mujhe uski koi baat buri nahi lagti...

Uske kahe har ek shabd ko apne jehan mein utaarna...
Uspar waqt zaaya karna...

Uski soch ki teh tak pahuchane ki koshish karna, taaki uski soch mein khud ke baare mein raaye ko talaash saku...

#Romil

Monday, August 20, 2018

Main pehle bhi...

Main pehle bhi...
farmadaar...
wafadaar...
aetbaar pasand...
mohabbat lootane wala...
Qabil-e-kirdaar tha...
aur aaj bhi hun...

mera qirdaar kahan badla hai...

fark sirf itna hai...
pehle woh thi
ab aap hai...

qirdaar to aapka badal gaya hai...

- raj

Friday, August 17, 2018

Darwaze ka kaam ya to rasta dena ya rasta rokna hota hai...

Darwaze ka kaam ya to rasta dena ya
rasta rokna hota hai...

दरवाजे का काम या तो रास्ता देना या रास्ता रोकना होता है...

(Teri mohabbat ne tera rasta rok rakha hai... Wahi tera rasta khol sakti hai...
Wahi tujhe khushiyaan, sukun wapas lauta sakti hai...
Wahi dard ki dava hai, wahi rog ka elaaz...

Ja yahan se... Mere pass tere liye kuch bhi nahi hai... Wahi, Wahi, uske siva is qayenaat mein tere liye kisi ke pass kuch bhi nahi hai...

Ja Maalik se puch... Parwardigaar se puch... Chala ja yahan se...)


#Romil

Rehmaan thokar nahi maarta... Insaan bas thokar marta hai... Khudgarz hota hun Insaan...

Rehmaan thokar nahi maarta...
Insaan bas thokar marta hai...
Khudgarz hota hai Insaan...

Ja chala jaa yahan se...

Puchana us maalik se jitna waqt maine uspar qurbaan kiya, kya itna waqt teri ibadat karta to kya tab bhi main tera nahi kehlata...

Puchana kabhi rab se is fakeer ke pass kuch bhi nahi fir bhi kya main teri mohabbat ke qaabil nahi...

Puchana mere Shehansha se uske liye paak rehkar kya haasil hua, tere liye paak rehta to kya tu tab bhi mujhe haasil na hota...

Chala ja yahan se... 

Mere se kya puchata hai ja Khuda se puch... Wahi dega jawaab...

Maula ki ibadat kar sawar jayega...
Warna uske chakkar mein raha to khaakh mein mil jayega...

- RaJ

Wednesday, August 15, 2018

Sirf dikhawa hai tera yeh kehna...

Sirf dikhawa hai tera yeh kehna...
Main Rab ke siwa kisi ko nahi pujti...

But-Parasti na sahi par in Jewaraton-Gehno ko to pujti hi ho...
Jism pe Ishq ka Itra lagana shayad teri shaan-o-shauqat ke khilaaf tha... Jo in Heere-Sone-Chandi ke Jevar ko naagon ki tarah liptaye rehti ho...

But-Parasti na sahi par Daulat ko to pujti hi ho... 
Is Enta-mitti se bani dar-o-deewar yeh Makaan ko to pujti hi ho...

Nahi to fir aisa nahi hota tere badan se mere ishq ki khushboo mehak rahi hoti...

Sirf dikhawa hai tera...

#Romil

सिर्फ़ दिखावा है तेरा यह कहना...
मैं रब के सिवा किसी को नहीं पूजती...

बूत-परस्ती ना सही पर इन जेवरातों-गहनों को तो पूजती ही हो...
ज़िस्म पे इश्क़ का इत्र लगाना शायद तेरी शान-ओ-शौक़त के खिलाफ था... जो इन हीरे-चाँदी के जेवर को नागों की तरह लिपटाये रहती हो...

बूत-परस्ती ना सही पर दौलत को तो पूजती ही हो...
इस ईंट-मिट्टी की बनी दर-ओ-दीवार यह मकान को तो पूजती ही हो...

नही तो फिर ऐसा नही होता तेरे बदन से मेरे इश्क़ की खुशबू महक रही होती...

सिर्फ दिखावा है तेरा...

#रोमिल

Azaadi tujhe...

Bas Miya ko tere teen dafaa to deni hai Azaadi tujhe...
Azaadi... Azaadi...

Waise Shariat mein Aurat ko bhi Khula lene ka haq hai.

Tabhi to hum keh sakenge Jashn-e-Azaadi mubarak ho tujhe...

- RaJ

Monday, August 13, 2018

Radio... TajMahal...

Radio pe gaana baj raha tha...
"Bom diggy diggy...
Bom... Bom..."

Tumne kahan tha...
"Bhai ne TajMahal gift diya hai, humdono ko..."

Main bol tha...
"Saath-Saath yeh bhi bata deta ki is Makbare mein humdono ko zinda dafan hona hai ya marr ke...

Iska kya karu?

Isse to aacha Banda England ki jagah Punjab se hi aata kam se kam Choley-Kulche hi leete aata, subah ka naasta to ho hi jaata... Ya fir Kashmir se aata to chaar akhrooth, badam ki giriyan hi lete aata...

Is TajMahal ka kya karu...???"

Tumne bola tha...
"Kaun si waali taange tudwana chahte ho aap? Right ya left? 

Nahi mujhe aisa lag raha hai taang todne padegi...

Aur hospital bill ki tension mat lena, main pay kar dungi..."

Maine kahan tha...
"Yeh sach hai main tumse darta hun... Par itna julm-o-sitam mat dahaho is Bande pe...

Waise kamaal ka Banda hai TajMahal gift diya hai .... hahaha..."

Tumne jawab tha...
"Now keep quiet... Listen... Pyar se diya hai pyar ki nishani pyare couples ko..."

Maine kahan tha...
"Ek Aurangzeb to paida nahi hone de raha... 36Age ho gai mujhe to darr hai performance bhi ho payegi ki nahi..."

Tumne kaha tha...
"Sirf tum motorcycle chalane ke baare mein sochana... Aur Rab ne chaha to NaaZ honi hogi to ho jayegi... Itna mat pareshan raho... Nahi to jag mein batheri NaaZ hai jise hum apni NaaZ bana sakte hai...

Tum jao Chai banao aachi wali aur main chali TajMahal ko upper wahan rakhane..."

Radio, TaJMahal movie ke soundtracks ke saath apni performance de raha tha...

"Jo baat tujhmein hai teri tasveer mein nahi...
Jo waada kiya hai woh nibhana padega...
Paaon Chu lene do..."

- RaJ

Jab se tum mili ho raat kam si lagne lagi hai mujhko...

jabse tum mili ho raat kam si lagne lagi hai mujhko...
yeh bistar, yeh chadar, yeh takiya aache lagne lage hai mujhko...

pehle neend hi nahi aati thi...sota to ab bhi nahi hun, jaagne mein dilchaspi badh gai hai mujhko...

suno mere qareeb raho... darta hun... tere jaate hi saansein na jawaab de de mujhko...

#Romil

जबसे तुम मिले हो रात कम सी लगने लगी है मुझको... 
यह बिस्तर, यह चादर, यह तकिया अच्छे लगने लगे हैं मुझको... 

पहले नींद ही नहीं आती थी... सोता तो अब भी नहीं हूँ... जागने में दिलचस्पी बढ़ गई है मुझको... 

सुनो मेरे करीब रहो... डरता हूं... तेरे जाते ही साँसें ना जवाब दे दे मुझको...

#रोमिल

Tumhari khamoshi ne mujhe har pal tadpaya...

Tumhari khamoshi ne mujhe har pal tadpaya...
Maine chaha tum har pal meri mohabbat-e-shaan mein kaseede padho...
Mujh se kaho jab tum muskurate ho, mujhe zindagi mein sab kuch aacha lagne lagta hai...
Maine har pal chaha tum mera haath thamo...
Mera haath thamo aue mujhse kaho tum mujhse mohabbat karti ho...
Lekin har lamha tumne khamoshi mein beeta diya...
Kyon?
Kyon??
Kyon???
Samaj nahi aata tumhe kaun si sazaa dun...

- RaJ

Sunday, August 12, 2018

Radio... Baharon phool barsao...

Main zameen pe baitha chai mein rusk dubo-dubo ke kha raha tha...

Tabhi maine kahan...
"Banda England wapas bhi chala gaya dekho... Yeh nahi aaye the to Behan ka haath de-dakar tab chale jaate...

Tum bhi ek jimmedari se fursat paate, hum bhi ek kaam se free ho jaate... Kuch apni zindagi savarne mein lagte...

Ab haath dene ke liye special aayega kya? Ya fir Skype par drama dikhayenge hum isko... Ya fir photo send karne mein waqt jaaya karenge...

Sone-chandi ka kambal uda dene se khacchar, ghoda thodi na ban jayega... pakka, yeh England mein bailgaadi chalata hoga... Buddhi nahi hai iske pass... Coat-Tie pehankar chala bada angrez banne... Do-chaar shabd angrezi ke kya tipir-tipir kar liye, ban gaye laatsaheb angrez..."

(Tum uthkar kitchen mein chali gai...)

Maine kahan...
One... Two... Three...
Yeh ab girna start hue bartan...

(Tum kitchen se gusse mein boli...
Agar zuban se banda kisi ke baare mein aache shabd nahi nikaal sakta hai to Bande ka chup hi rehna behter rehta hai...)

Yeh gira pateela...
Yeh plate ki awaaz hai...
Yeh wali to glass ki awaaz lag rahi hai...
Yeh shayad katori thi...
Nahi cooker nahi... abe theerha ho jayega, seedha nahi hoga, seeti nahi bajegi...
Yeh gire chammach...

Bandi hosiyaar hai... Kaanch ke cup-plate nahi fhekati hai... hahaha...

Main utha radio on kar diya... Aur chal diya market dinner ke liye do thali pack karwane...

Gaana baj raha tha...

"Baharon phool barsao...
Mera mehboob aaya hai....
Mera Mehboob aaya hai..."

- RaJ

hamesha kehti ho tum shaadi kar lo...

hamesha kehti ho tum shaadi kar lo...
warna budhape mein koi Pani tak nahi puchhega...

mujhe yeh to nahi pata...
dusare mard shaadi kyon karte ho...
par meri wajah thodi pagalon wali hogi...

jo meri be-sir-pair ki baaton ko sunn sake...
jo mere saath be-waqt chai peena chahe...
jo budhape mein sair ko jaate waqt meri chhadi dena na bhoole...
jo budhape mein mujhe subah usi tarah maathe pe chumkar uthaye, jis tarah jawani ke dino mein uthati thi...
jo saath mein baithke khana khaye ek hi thaali mein...
jo mujhpar jumla kehne... mujhe daantane... mujhe sudharane se baaj na aaye...
jo mujhe davai khilaane ka khayal rakhe...
jo sardi ke dino mein mujhe jabardasti cap aur sweater pehnaye...
jo Gurudwara ki seedhi mere saath chhade...

aur

khuda na kare agar deewar pe lagi tasveer ban jaye, tab bhi mujhse roz baatein karti rahe...

- RaJ

ek chhote se qamre mein fankhe wali neend...

ek chhote se qamre mein fankhe wali neend...
khawab mein tumko nadidon ki tarah dekhna...
maathe se paseene ki bundon ka takiye pe girna...
honton pe ajeeb si muskaan ka bikharna...

woh dilkash barsaat ke baad ka umas bhara aalam...
teri yaadein aur mera chhota sa qamra...

#Romil

एक छोटे से कमरे में पंखे वाली नींद 
ख्वाब में तुमको नदीदो की तरह देखना 
माथे से पसीने की बूंद का तकिया पर गिरना 
होठों पर अजीब सी मुस्कान का बिखरना... 

वो दिलकश बरसात के बाद का उमस भरा आलम... 
तेरी यादें और मेरा छोटा सा कमरा...

#रोमिल

Saturday, August 11, 2018

Radio - Anand...

Maine kahan tha...
"Badtameez aurat zara tameez se pesh aaya karo mujhse...

Janti ho mera Saala, England mein rehta hai... England mein... Samjhi..."

Tum boli thi..
"Tabhi main sochu hamesha wahan ke Jhande ki underwear kyon pehne rehte ho...

Raat mein main hi utarati hu isko...

Kaun sa angrez tumhari Bibi ko utha le gaya tha jo is tarah badla le rahe ho sabhi angrezon se?"

Maine bol tha...
"Tum jao Chai banao... Tumse to seedhe mooh baat karna dhubar hai..."

Tum boli thi...
"Turn aapka hai mahashey... Aap jakar Chai banao...

Bada aaye England wale Arora Ji...

Ab kya Chai England se aa rahi hai... Jo itni dair lag rahi hai...

Apne Saale se keh dena Biscuit bhi bhejwa de England se..."

Maine radio on kar diya... Radio pe Anand movie ke song baj rahe the...

Kahi door jab din dhal jaye...
Maine tere liye hi...
Zindagi kaisi yeh peheli...
Na Jiya laage na, mera tere Bina...

- RaJ

Bande tum naye zamane ke ho... aur ishq wahi purane zamane wala kar baithe...

Bande tum naye zamane ke ho...
Aur ishq wahi purane zamane wala kar baithe...

Tarjuma

Movie Sanju jo ki ek biography kahi jaati hai, ke ek scene mein Anushka, Sanjay Dutt se puchhati hai... Tum apni biwi ke alava kitni biwi ke saath soye ho... Woh reply deta hai prostitute to chhod de to yahi kuch 308...

Ek yeh bhi daur tha Jauhar ka... Sati Patha ka bhi daur tha... Aaj bhi Mathura, Brindavan jao to bahut si Radha bani mil jaati hai, jo sirf apne Krishna ki hai...

Sita-Ram ki Ramayan hum aaj bhi padte hai...

Mughalo aur Raja-Maharaja ki aayashi ke kisse-kahani aaj bhi itihaas ke panno mein dafan hai...

Baat sirf itni hai... Banda yeh hi nahi samaj pata hai ki ishq kya hai? aur jo banda ishq samaj jaata hai woh fir banda rehta hi nahi...

Rahi baat meri... Mobile-Internet pe Kiara Advani, Nawazuddin ka Netflix wala sex scene dekh leta hun... Kabhi road pe koi mahazabeen dikh jaye to eye_tonic bhi le leta hun... Par ishq sirf GuNn se karta hun... Kabhi us border ki rekha ko cross nahi karta, jahan apne rishte, apni wafa, apni mohabbat ka The End ho jaye...

Ab ise naye zamane wala ishq kaho ya fir purane zamane wala...

- RaJ

Dusare ka haath thamana koi mushkil kaam nahi...

Dusare ka haath thamana koi mushkil kaam nahi...
Shart sirf itni hai...
Woh ek ka haath chhodana chahe, dusare ka thamana chahe...

Tarjuma

Mazhab to chaar tak ki izzajat deta hai... Magar ek ka dil dukhaoge to Khuda ki nazar mein gunehgaar kehlaoge... Yeh ajeeb baat hai bina dil toote rishta toot jaye...

Jinke haath kisi haadse, jaattie, qismat ki wajah se tanha ho jaye, unhe dusare ka haath thaam lena chahiye...

Kuch shaks sirf duniya ko dikhave ke liye haath thame baithe hai, unhe ek-dusare ki razaa ke saath haath chhod dena chahiye...

Rahi meri baat... Maine to uski wafaaon se, uski yaadon se, uski Mohabbat se apna haath tham rakha hai... Anniversary par khud hi raat sajaye, khud hi khawab banaye, khud hi mohabbat mein sama jaye, usse bada paagal insaan kaun hoga... Magar yeh pagalpan aacha hai... Kuch to hai jo mera hai, jis par mera haq hai, fir yeh pagalpan hi sahi...

- RaJ

Friday, August 10, 2018

Aksar log kehte hai...

Aksar log kehte hai...
Shaadi ke baad Mohabbat ho hi jaati hai...

Par koi yeh nahi batata ki...
Apne Shareek-e-hayaat se ya fir
Kisi ajnabi se...

- RaJ

Jisko jaana hai jaaye... darwaza bahar ki oar khula hai...

Jisko jaana hai jaaye...
darwaza bahar ki oar khula hai...

Tarjuma

Aisa to hai nahi... Tumko paane ke baad meri lottery lag jaye ya fir main ekaek lakhpati ban jau...
Ek suit nahi leke de sakta...
Mumbai ka Air ticket Rs.20,000/- one side cross kar gaya hai... 
Railway 4-5 months waiting rehta hai...
Mujhe Haq-Halal ki kamai khane ki aadat hai...

Central Government job hai... Good payscale hogi hi... Banda, good looking-handsome hai...

Anyway back to topic...

Mohabbat pabandagi ka naam nahi hota... Mohabbat to azadi hoti hai... 

Har Insaan ko apne faisale lene ka khud adhikaar hona chahiye... Har Insaan ko apne future security ke baare mein sochana chahiye...

Pabandagi ki bediyaan to insaan khud hi daalta hai... Kabhi waafa ke naam se, kabhi mohabbat to kabhi yaadon ke naam se... Jaise maine khud ko tumhare mohabbat ke pinjare mein hifazat se qaid kar rakha hai...

Maine hamesha tumhare liye darwaza khula rakha hai...
Jaise chaho, jitna mazri chaho, jab chaho...

Udo...
Udo...
Udo...

- RaJ

Radio... Pakeezah

Tumne kaha tha
Kya kar rahe ho Hero?

Maine kaha tha
Pakeezah dekh raha hun...

Tum fir bol uthi thi...
Mat dekho... Tum uske layak nahi ho....

"aapke paon dekhe, bahut haseen hai... inhe zameen pe mat utariyega, mailey ho jayenge"

Aur tum Janaab... Mr... Pata nahi kya-kya, kahan-kahan dekha karte ho...

Maine kaha tha...
Eye_tonic leta hun....

Tumne kaha tha...
Kisi din maine mirchi hi pa deni hai in aankhon mein... Samjhe Mr. eye_tonic...

Radio pe sadabahar Pakeezah ke soundtracks baj rahe the...

Chalte-Chalte...
Mausam hai aashiqana...
Chalo dildaar chale...
Teer-e-nazar dekhenge...
Thaare rahio...
n many more...

- RaJ

bolo na...

bolo na...

har raat itni hi khoobsurat nahi ho sakti apni...
dekho aaj lab kitne narm hai... roz subah sukhe pade rehte the...
aaj nahane ka mann nahi kar raha, jism se yeh lovebites ke nishaan na mit jaye...
in chadaron ko samet ke rakh do andar, pyar ke palon ko yaad karne mein asani hogi...

aur

tumhare jism ke har ek til ko chuuma hai maine, dekho koi chumane se reh gaya ho to, fir baahon mein aa jao...

hahahaha...

"mujhe gum hai ki maine zindagi mein kuch nahi paaya,
yeh gum dil se nikal jaye agar tum milne aa jao...

tamanna fir machal jaye agar tum milne aa jao..."

- raj

Haq hai tujhe...

Main har roz use apni mohabbat ke rang mein bhigauta rahu...
Bas woh kehti rahe Haq hai tujhe...
Haq hai tujhe...

aur

Yeh jaruri to nahi har raat raunakein ki jaye...
Koi-Koi raat Moharam bhi mana lena chahiye...

- RaJ