Showing posts with label shakhs.... Show all posts
Showing posts with label shakhs.... Show all posts

Wednesday, April 4, 2018

Mujhe us Shaks mein khamiya hi khamiya nazar aati hai...

Mujhe us Shaks mein khamiya hi khamiya nazar aati hai...
Kya kahu, Ik arse ke baad koi Shaks mujhe khudsa nazar aata hai...

#Romil Arora

Wednesday, October 12, 2011

साहिल के किनारे एक शख्स

साहिल के किनारे एक शख्स
खोया-खोया सा तुमको मिला होगा...

जब मोहब्बत का ज़िक्र उसके सामने छिड़ा होगा
तो सागर में भी एक तूफ़ान उठा होगा...
लिख कर ख़त सागर में डाल रहा होगा
रेत पर किसी का नाम लिख रहा होगा...

साहिल के किनारे एक शख्स 
खोया-खोया सा तुमको मिला होगा..
***
जब नज़रों की तरफ उसके देखोगे
तो सदियों का इंतज़ार जैसे छिपा होगा
सब तो चले जाते होंगे साहिल को तन्हा छोड़ कर
वोह ज़मीन पर चाँद के उतरने का इंतज़ार करता होगा...
साहिल के किनारे एक शख्स
खोया-खोया सा तुमको मिला होगा रोमिल...

Thursday, July 7, 2011

nayab sa

▬▬हुकू▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
nayab sa ek shakhs gawan baitha hoon main
zindagi apni loota baitha hoon main
najane kyon muskurata rehta hoon main
shayad, apne gamo ko dil mein dafna baitha hoon main 
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬[भालू]▬▬▬

Sunday, January 3, 2010

saahil ke kinare ek shaks...

saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga..
jab mohabbat ka zikr uske samne cheeda hoga
to saagar main bhi ek toofan utha hoga...
***
likh kar khat saagar main dal raha hoga
rait par kisi ka naam likh raha hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
***
jab nazaron ki taraf uske dekhoge
to saadiyoon ka intezaar jaise chipa hoga
sab to chale jaate honge saahil ko tanha chod kar
woh zameen par chand ke utarane ka intezaar karta hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 21, 2009

ajeeb hi mila...

jab chaha izhaar kiya
jab chaha saath chod diya
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sab kehte the saath denge tera umar-bhar
magar jab ghayal hue ek sahara na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sabke haaton main diya tha phool maine
magar unke haaton ka pathar mujhe laga
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
kis-kis ko samjhate waafa ka matlab
mujhe jo mila bewafa hi mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
hamari khata woh geenate rehta hain khuda ko
humse kehne wala koiye na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
[written by romil arora - copyright reserved]