Showing posts with label social.... Show all posts
Showing posts with label social.... Show all posts

Sunday, July 7, 2019

Yeh Trillions, Trillions kya hai...

Yeh Trillions, Trillions kya hai...
Yeh Trillions, Trillions...

Jab Garib ka Mitti ka Chulha, Gas-Stove ban jaye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab Sadak na Barsaat mein Naala ban jaye...
Jab Har Parivar ka Apna Ghar ho jaye...
Jab koi Sardi mein Road pe na thithure...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab bina Sifarish, Rishvat ke Naukari lag jaye...
Jab Garib ko bhi asaani se Loan mil jaye...
Jab har Bacche ko Shiksha mil paye...
Jab har Majboor ko Swastha Sewa mil paye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab kisi ko Upekshit na samjha jaye...
Jab Bhed-Bhaav ka daur khatam ho jaye...
Jab har Naari khud ko Surakshit mehsoos kare...

To Dil karta hai Trillions, Trillions...

#RoMiL

Saturday, September 1, 2018

WhatsApp University mein hum roz gaate...

Upper jaate Petrol ke daam...
Neeche aate Rupiyon ke daam...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."

Banks ke NPA badte jaate...
Punjipati paisa lekar videsh bhaag jaate...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."

Kahi baarish ki maar...
Kahi notebandi, rafale ke kisse hazaar...
Sensex ke kadam apni dhun mein aage badte hai jaate...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."

Kuch naya suna hai picchale kuch saalon mein...
Sehri Naksalwaad...
Hindu aatankwaad...
Bheed ne le li Jaan...
Judge ka takraav... khatre mein loktantra ki Jaan...
Voting machine pe ghamashaan...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."

- Romil

Monday, July 16, 2018

Koi Naye Tarah Ka Bhastachaar Karo Ab...

Bade Babu koi naye tarah ka bhastachaar karo ab...

Wahi kaagazon par hariyali ke naam pe Paude lagana...
Wahi anaaj ki boriyon ka godown mein pada shadd jaana...
Wahi sarkari aspataal ki davaon ka kha jaana...
Wahi baar-baar sadak ke gaddon ka bhara jaana...
Wahi kagazon pe vikas ki paribhasha likhi jaana...
Wahi garib-majlumo ka paisa kha jaana...
Wahi Sauchalao ke naam pe chaar deewaro ki kothari khadi kar dena...

kuch naya bhastachaar hona chahiye...

- Romil RaJ

Thursday, May 31, 2018

Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...

NaaZ kehti hai...

Alag-Alag dastane hai... Bas...

Koi Beti... Mayke mein tang ki jaati hai...
Koi Sasural mein pareshan hoti hai...

Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
In mardon ko...
Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
Yeh khubsoorti to umar ke saath har roz kam hoti jaati hai...

Aaj kal logon ko nasha chhada hai...
Betiyon ko Beta banane ka...
Ek daur tha jab Betiyaan,
"Pagdi bandhe, Salwar-Suit pehne, Ghode pe baithe, RanBhoomi mein Talvaar liye utar jaati hai..."

Aur

(Uski wah Hansi behad dardnaak thi, bebasi se bhari...)
Sawaalon ke ghere mein aksar Betiyaan hi kyon hoti hai...
Kyon nahi Beton pe nagaam lagai jaati hai...

- Romil RaJ

1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...

500/-, 1000/- Rupiya ke Note band karne wale
Aaj paison se khel rahe hai...
1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...

Notebandi hue zamana guzar gaya Miya...
Par pata nahi kahan se Gade Khazane ki tarah Purane Note aaj tak nikal rahe hai...

Yahan Kisan marr rahe hai...
Yahan Jawan Shaheed ho rahe hai...
Aur yeh Sarkari Numainde hai, jab dekho tab GDP-GDP, rating-rating kar rahe hai...

aur

(Koi na koi to Sarkar bana hi lega...
Koi na koi to Neta ban hi jayega...)

Aaye din, rozmarra election ki khich-khich...
Yeh akhbaar wale, news channel wale dikha-dikha ke waqt barbaad kar rahe hai...

- Romil RaJ

Friday, May 25, 2018

Daur-e-Encounter...

Miya... Hamare Sube mein Daur-e-Encounter chal raha hai...
Kahi Insaan...
Kahi Tendua...
Kahi Kutte... maare ja rahe hai...

(andar ki baat hai...)
Sahib-e-Huqumat lekar daude the Election mein helicopter...
Tel ke bill ka paisa Janta-Janaardan bhar rahe hai...

aur

Rajneeta lage hai apni-apni sehat sudharne mein...
Kisaan aatmahatya... Jawaan sarhad pe marr rahe hai...

Hukum bole hai...
Kuch din sabr karo... Mamla thanda hone do...
Sarkar hum hi banayenge...
Bas 7-8 Neta to apne kam pad rahe hai...

- Romil RaJ

Thursday, May 17, 2018

Kya faida itne bade bahumat ka Miya...

Kya faida itne bade bahumat ka Miya...
Pichale chaar saalon mein Ik Sansad to theek se chalwa nahi paye...

Kehte hai Sabse jyada Sadasyon wali Party hai Miya...
Par sirf Do Cheraron ke aage koi teesara chehara to la nahi paye...

Duniya Jeeta to Sikandar bhi tha...
Par gaya Khali Haath...
Kya faida us jeet ka Miya... Jo nafraton ko pyar mein badal na paaye...
Jannat ko Jalne se rok na paaye...

aur

Muft Ration (National Food Security)...
Muft Shiksha (Sarv Shiksha Abhiyan)...
Muft Swasthya Sewa (Ayushman Bharat)...
Awas, Pani, Bijli, Sauchalay, Gas Chulha... Rozgaar ki Guarantee... Bima... Bank Khata.. Kaushal Vikas...
Kya faida insab sarkari yojnao ka Miya...
Jab Garib Ko, Kisan Ko... marne se bacha nahi paaye...

- Romil RaJ

Friday, May 11, 2018

Mere baare mein to yeh bura hi kahenge...

Mere baare mein to yeh bura hi kahenge...
Par tumko kya baksh denge...

Yeh log girgit hai...
Inki fitrat hai rang badalna...
Jidhar dekhenge apna faida udhar ki baat karenge...

Tumko behkayenge... Bargalayenge...
Tumse hi karwayenge gunah aur khud paak-saaf rahenge...

aur

Usi ki di hui zameen pe...
Usi ki Ibadat ke liye pad gai hai zameen kam...
Ab faisala to Khuda hi karenge...

- Romil RaJ

Monday, May 7, 2018

VedShakti...

Yeh woh log hai Jinko kaha jaye Toothpaste mein VedShakti hai to maan lenge... Accept kar lenge...

Parantu...

Agar kaha jaye... Ved-Shastra-Puraan padh lo... Ismein bahut Shakti hai... Power hai... Par yeh log nahi manege...

Sabki apni-apni soch hai...

- Romil RaJ

Sunday, May 6, 2018

Kisaan Pareshan...

Barsaat adhik ho to Kisaan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisaan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisaan Pareshan...
Fhasal adhik ho to laagat mulya nahi milta, Kisaan Pareshan...

Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisaan Pareshan...
Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badata hua daam...
Kisaan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisaan...
Kisaan Pareshan...

Kabhi kudrati aafatein ujaad jaati hai fhasal...
Kabhi sarkaar bada deti hai beej ke daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisaan Pareshan...

Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisaan Pareshan...

Na Bima rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaron... Dabango... Sahukaron ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisaan Pareshan...

Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udha na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai is Desh mein Kisaan ka dusara naam hi hai Pareshan...

- Romil RaJ

Wednesday, April 18, 2018

Upvaas ke Naam pe...

Garibi Mitao... Aache din aane wale hai...
Singapore sa sehar... Germany si nadi...
Rab aise kasmo-vaadon se humein bachaye...

Upvaas ke naam pe
Chole-Bhature... Bread Pakoda... khaye...
Rab aise netao se humein bachaye...

Hawaii chhappal wala bhi karega Hawai Safar...
Bullet train khoob daudaye...
Metro viheen ho gaya aam aadmi, metro ke daam badate jaye...
Rab aise sapno se humein bachaye...

Juta-Moja pehne school mein garib bacche aache lagte hai...
Budhi Dadi bhi khoob mobile pe batiyàe...
Betiya railgadhi chalaye... Ladaku vimaan udaye...
Khel-Kud mein Bharat bhi Gold Medal liye timtimaye...
Rab aise Sundar din laaye...

- ⛅

Monday, April 16, 2018

Nazuk yeh Zindagi-e-Safar nahi hai...

Abhi mat udao yeh Kabutar...
Bewajah hi bechare maare jayenge...
Apna Dushman aman pasand nahi hai...

Tumhein apne Deen ki padi hai...
Miya... Tumhein apne Deen ki padi hai...
Yahan Mulk mein haalat aache nahi hai...

Bacchiyon ko banaya ja raha hai Hawas ka shikaar...
Shaitan ka koi emaan-deen-dharm nahi hai...

aur

Tum to abhi se thak haar baithe...
Abhi bahut si adchano ko paar karna hai...
Nazuk yeh Zindagi-e-Safar nahi hai...

aur

Akhbaar ki tamam surkhiyan bhagwa rang se rangi padi hai...
In Shabdon mein imandari-sacchai nahi hai...

- Romil RaJ

Wednesday, August 21, 2013

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai
Shayad yeh bhai-behan ko fir bachpan ke dino ki yaad dilaye.

Maa ki shawl hai ise sambhal kar rakho
Shayad yeh thandak ke dino mein maa ki goad ka ehsaas dilaye.

aur

Mat fhado in khaton ko Romil
Shayad yeh ishq mein fir rulane ke kaam aaye.

aur

Is dupatte, Is salwar-suit, Is saree ko mat fhekana tum Romil
Shayad yeh aajkal ki haseenao ko bhartiyein tehzeeb, bhartiyein sanskar seekhaye.

#Romil Arora

Wednesday, July 31, 2013

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye
khuda, khud mandir se nikal kar aaye
poche kisi majdoor ka pasina apne haaton se
kisi bhookhe ko apne haaton se roti khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kare sadak par pade bade-buddhon ki khidmat
garib bacchon ko khilauno se khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

bichaye fool kisi footpath par majdoor ke sone ke liye
kisi garib ka bhujha hua chulaha jalaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

pehnaye kapde kisi bebas insaan ke tan par
kisi garib ki jhopadi ka chappar lagaye

Romil, kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

Friday, July 26, 2013

Main kaise samjhau zamane ko ki main usko bhool gaya hoon

Main kaise samjhau zamane ko ki main usko bhool gaya hoon
Sacchi baton ke liye saboot ki jarurat nahi hoti.

Chehara par udasi, yeh to chehare ki banawat hi aisi hai
Har udasi ke peeche wajah nahi hoti.

aur

Mayke main aakar beti sasural ke gun gaye, muskuraye
Maa-Baap ke liye isse badi jannat nahi hoti.

Beta-Bahu, chhod kar vilayat ki naukari goan mein maa-baap ke saath reh rahe hai
Khuda, har parivar mein itni mohabbat nahi hoti.

Woh subah-shaam naukari karke, maa-baap ko paal rahi hai, ghar chala rahi hai
Romil, Har kisi ke naseeb mein aisi beti nahi hoti.

Friday, March 26, 2010

Kya bhai-bhehan ke beech aaisa hota hain...

Usse jhagadane ko bhi mann karta hain
Jab woh rooth jaye to usko manne ko bhi mann karta hain...
***
Waise to woh meri koiye baat nahi sunti
Fhir bhi usko apni har baat batane ko mann karta hain...
***
Waise to rehte hain woh apne jeevansaathi ki aankhon main
Fhir bhi do pal woh mujhko nazar na aaye to uska haal puchane ko mann karta hain...
***
Kya bhai-bhehan ke beech aaisa hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, March 2, 2010

KAMAL PAR VIRAAJMAAN...

KAMAL PAR VIRAAJMAAN
WOH LAXMI BAHUT SUNDAR HAIN
MAIN US SARAWATI ROOP LAXMI KO BAAR-BAAR NAMAN KARUNGA!
***
MAIN USKO PAANE KE LIYE KEECHAD MAI NAHI JAYUNGA
MAIN USPAR BHAROSA RAKHUNGA
MAIN US DIN NA INTEZAAR KARUNGA
JAB WOH KHUD CHALKAR US KEECHAD SE NIKAL KAR MERE GHAR AAYEGI!
***
MAIN DEEPAWALI KA INTEZAAR KARUNGA!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, January 12, 2010

socho tumko kya karna hain...

socho tumko kya karna hain
highschool ki age main highschool pass karna hain
ya fhir 50 ki age main highschool pass karna hain.
socho tumko kya karna hain...
***
vibhishan ban kar rama ko pana hain
ya fhir raavan ban kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
roz-roz padh kar har test, exam main pass hona hain
ya fhir final exam main padh kar pass hona hain.
socho tumko kya karna hain...
***
sudama ban kar krishna ko pana hain
ya fhir kaansh ban kar krishna ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
rama-rama keh kar rama ko pana hain
ya maara-maara keh kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
mann se ishwar ka naam lena hain
ya fhir be-mann ishwar ka naam lena hain
socho tumko kya karna hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, August 26, 2009

darta hu main!


pani ne bhi kaisi qayamat maacha rakhi hain "$ultan"

ab to pani se khelate hue darta hu main!

~*~

pass main baache ke bhookhi aawaz shor barpa rahi hain "$ultan"

ab to khane ke neewale se darta hu main!

~*~

pani main beh gaye hain haazaron ghar "$ultan"

ab to ghar basane se darta hu main!

~*~

khet pade hain shookhe, baarish hoti nahi "$ultan"

fhir bhi tabah ho jaate hain laakhon insaan, har baras baadh main "$ultan"

aaisi haalat hain zameen, asmaan khud bhi duhaai de raha

kab sunega fariyad, rabb apne bandoon ki "$ultan"

ab to rabb ka naam laine se bhi darta hu main!

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, August 25, 2009

bhookh

din bhar dhoop main

hal chalakar

mehnat se aanaj paida karta hain kissan!

fhir bhi bhookha kyon sota hain kissan?

~

Bhookh se roota-tarapta hua ek baacha aur uski maa

ghar-ghar do roti ki bheekh magate hue

koiye na unki fariyad sunne wala

dhikkar, apmaan ke siwa woh kuch nahi pate....

maine dekha aur bola

"sach main kalyug aa gaya"

woh boli

"kalyug kya, satyug kya

ram kya, raheem kya

sab suna-suni baatein hain

na maine jaana kabhi, na dekha kabhi

main to bas itna jaanu

yeh duniya hain, lakhon log dhanwaan hain yahaan

usme mera baccha bhukha hain

roti ke liye tarafta hain

main ek majboor maa kuch na kar pati hu"

[written by romil arora - copyright reserved]