Showing posts with label subah-subah.... Show all posts
Showing posts with label subah-subah.... Show all posts

Friday, October 5, 2018

Adhjagi hui Subah...

Adhjagi hui Subah aur tumhari yaadon ka bhoj...
Main ab bhi thakaan lapete hue hun...

Chai ka ghut na koi taazgi jism mein jagaa paata hai...
Na panchiyon ki chi-chi-haat mere mann ko madhur lagti hai...
Na door se sunai deta Rab ke naam ke shabd meri rooh ko sukun de paate hai...
Main ek zinda laash sa roz safar karta hu...

#RaJWrites

Wednesday, September 19, 2018

Ubau... Bhojhal si Subah...

Ubau... Bhojhal si Subah...
Bistar par sau karwate leti hui Subah...
Aankhon mein bhari neendon wali Subah...

Wahi Chai ka garma-garm pyala...
Wahi do Rusk...
Wahi jism mein taazgi fhukti hui Subah...
Ubau... Bhojhal si Subah...

Tumhari yaadein...
Woh kadvi davai si baatein...
Dabi mohabbat ki chingariyon ko kuredati hui Subah...
Ubau... Bhojhal si Subah....

Wahi Shak mein dubi hui...
Wahi bewafai mein sani hui...
Wahi parat-dar-parat tumhare jhoot ki chadi hui Subah...

- RaJWrites

Tuesday, September 18, 2018

Anchahi si Subah...

Anchahi si subah...
Tumhari Yaadon ke kaafile ke udate hue gubaar mein main sana hua khada...
Milan ke tadap ki Rimjhim Rimjhim hoti Barsaat...
Khawab mein tumhare labon ko sparsh karne par jism ki mitti se bheeni-bheeni, sondhi-sondhi aati mehak...

Main fir neend ki aagosh mein jaata hua...
Anchahi si subah mujhe jagati hui...

#RaJWrites

Thursday, September 13, 2018

suni-suni si subah...

suni-suni si subah...
suna-suna sab manzar...
na teri baaton ki mehak...
na tere deedar ka luft...
lab bhi sukhe pade hai...
raat to beet gai...
par teri yaad nahi gai...

#Romil

सुनी-सुनी सी सुबह... 
सुना सुना सब मंज़र... 
ना तेरी बातों की महक... 
ना तेरे दीदार का लुफ्त... 
लब भी सूखे पड़े हैं... 
रात तो बीत गई...
पर तेरी याद नहीं गई...

#रोमिल

Monday, August 27, 2018

Subah ki pehli Chai aur tumhari ukhdi-ukhdi si baatein...

Subah ki pehli Chai...
aur tumhari ukhdi-ukhdi si baatein...

fir haath ko pillow banake sar ke neeche aur pillow ko  kaano mein rakh, mera bistar par hi lete rehna...
tumhara kareeb aakar gusse mein pillow hatana...

Mera tumhare chooriyon wale haaton ko pakadkar nazron se kareeb aane ka ishara karna...
Tumhara yeh kehkar jaane laga ki 'abhi kaam bahut hai'

Mera tumko haath pakadkar apne seene pe gira lena... 
Tere saare gusse ko subah ki pehli Chai samaj pee jaana...

- RaJ

Wednesday, February 18, 2009

subah-subah

subah-subah suraj ka salaam aaya
mere aashiyane main fhir gum ka paigam aaya
darr ke maare main chup gaya parde ke peeche
fhir bhi na usko mujh par taras aaya...
_______
jala kar rakh diya usne mere aashiyaane ko
fhir jakar usko yeh khaayal aaya
"yeh to bekasoor hain
fhir ispar kyon rabb ne sitam dhaya"
subah-subah suraj ka salaam aaya...
[copyright reserved-written by romil arora]