Showing posts with label zindagi.... Show all posts
Showing posts with label zindagi.... Show all posts

Sunday, August 26, 2018

Kaun jaane kis halaat mein lekar jayegi...

kaun jaane kis halaat mein lekar jayegi...
yeh zindagi ek din dum ghot ke hi jayegi...

do qadam tum chalo
do qadam hum
ajnabiyat ki deewar bhi ahista-ahista deh jayegi.

aur

tamam haq, hukuk ke baad bhi apna rishta mukammal na ho saka
khuda ne jodi bhi kya khoob banai hai.

aur

kabhi-kabhi aisa lagta hai yeh sab alfaaz...
farik insaan, bekaar, susta, kahil, nikamma-nakara, undisciple, unmature, unhappy...
mujhe dekhkar hi yeh ezaad hue hai...

#Romil Arora

Friday, August 24, 2018

tumhari zindagi mein main kahan par hu...

tumhari zindagi mein main kahan par hu...

raat ki tanhaiyon mein hu ya
jar-jar padh chuke toote khawabon mein hun...

subah ki pehli angadai mein hu ya
ghut-ghut kar jeeti zindagi mein hun...

Dabi muskaan mein
Chhupe hue aansoo mein
Khamosh padi jubaan mein
Bolti hui haaton ki mehandi mein
Khanakti hui chooriyon mein
Damakti hui bindiyan mein
Badan se lipte gulabi libaas mein
Yeh solah singhar mein
Ya
Fir maang mein bhare Sindoor mein...

Tumhari zindagi mein main kahan par hu....

- RaJ

Wednesday, May 9, 2018

Zindagi bhar bas yahi ishq-e-halaat rahe...

Zindagi bhar bas yahi ishq-e-halaat rahe...
Woh saath the mere par saath na rahe...

Mujhse na pucho wajah kya hai uski bewafai ki...
Woh nadaan se dikhte rahe par hosiyar rahe...

Aaj kal woh hi log sikandar bane hue hai...
Jinke shabdon mein mishri, haaton mein talvaar rahe...

Iske sar pe saaya-e-hukumat-e-siyasat hai...
Hazaron qatl kar diye... Par haath saaf rahe...

aur

Main bura tha...
Bura hun...
Bura hi rahunga...
Tum bhi kahan miya ab izzatdaar rahe...

- Romil RaJ

Tuesday, May 1, 2018

Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Bandishon mein bhi sawarna aana chahiye...
Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Zindagi se samjhauta nahi karna chahiye...
Apne Usoolon pe chalkar hi insaan Adarshwadi banta hai...

aur

Bandisein do tarah ki hoti hai...

Ik Sher ko pinjare mein qaid karke rakhna...
Aur Dusari Sher ko yeh ehsaas karwa dena ki Jungle ki Paridhi kitni hai... Rekha paar kroge to maar diye jaoge...

- Romil RaJ

Wednesday, April 18, 2018

Jism ke makaan mein saansein chal rahi hai.

Jism ke makaan mein saansein chal rahi hai...
Yaadon mein zindagi kat rahi hai...

Bojh is seene mein tamam dabe pade hai...
Jaag-Jaag kar yeh raatein kat rahi hai...

aur

Tareef ki thakaan mein rehta hai...
Abhi saath uske uski qismat chal rahi hai...

Insaan bada fhankaar nikala...
Labon pe hansi ka guldasta sajaye rehta hai, seene mein iske aag jal rahi hai...

- ⛅

Thursday, April 5, 2018

Humne apni Zindagi se kinara kar rakha hai...

Humne apni zindagi se kinara kar rakha hai...
Ik arse se jeene chhod rakha hai...

Bhatakte apni marzi ke maalik hai hum...
Fariston ne naam apna "Sultan" rakha hai..

Tum dhund rahe ho mujhe...
Are Tum dhund rahe ho mujhe...
Maine khud ko hi khud se bhaga rakha hai...

aur

Woh din bhi khoob the Jab Chavanniya gina karte the...
Aaj to Ameer Sehar ko bhi baich rakha hai...

- Romil RaJ


Sunday, April 1, 2018

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...

Humne kabhi kisi se Sikayat nahi ki...
Bas yahi Galti umarbhar ki...

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...
Kabhi khud ki khawaish jahir nahi ki...

Khilati hai...
Pilati hai...
Fir Halal karti hai...
Tangein fhelati hai... Kehti hai pyar karti hai...
Jism diya use magar kabhi Rooh se usse mohabbat nahi ki...

aur

Utar jayenge kai sareefjaado ke naqaab...
Humne khamosiyon ki parat jo utar di...

#Romil Arora

Sunday, August 25, 2013

ab kya soche kya accha, kya bura hoga

ab kya soche kya accha, kya bura hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

sar bahut jhuka chuka, ab haaton mein pathar hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

parwah nahi, yeh dil kaun si saza ka haqdar hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

aur

maut meri yeh baat shaabit kar degi
hasrha zindagi se haare hue insaan ka kya hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

#Romil

अब क्या सोचे, क्या अच्छा, क्या बुरा होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

सर बहुत झुका चुका, अब हाथों में पत्थर होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

परवाह नहीं, यह दिल कौन सी सजा का हकदार होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

और

मौत मेरी यह बात साबित कर देगी 
हश्र जिंदगी से हारे हुए इंसान का क्या होगा
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा.

#रोमिल

Wednesday, September 28, 2011

यहाँ जो डूब जाता हैं फिर उभरता नहीं...

क्यों अपनी डूबी हुई ज़िन्दगी का किनारा तलाशते हो रोमिल
यह मोहब्बत-ए-सागर हैं, यहाँ जो डूब जाता हैं फिर उभरता नहीं...

Tuesday, September 27, 2011

ज़िन्दगी

ज़िन्दगी तो सारी कटी दुखों में रोमिल,
आखिरी वक़्त क्या ज़िन्दगी-ए-हालात पर रंज करे!

#रोमिल

Sunday, September 4, 2011

कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं...

कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं
बहती हुई नदी की तरह हैं
पूछे माझी से तेरा पता क्या हैं
आया तू कहाँ से
जाना तुझे कहाँ हैं
कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं...

कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं
बहती हुई हवा की तरह हैं
पूछे टूटे हुए पत्ते से तेरा ठीकाना कहाँ हैं
आया तू कहाँ से
जाना तुझे कहाँ हैं
कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं...

कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं
एक अनजान रास्ता हैं
पूछे मुसाफिर से तेरा पता क्या हैं
आया तू कहाँ से
जाना तुझे कहाँ हैं
कैसे कहूँ की ज़िन्दगी क्या हैं...

#रोमिल

Wednesday, July 20, 2011

मेरी ज़िन्दगी जैसे एक कोरे कागज़ की तरह

▬▬▬▬हुकू▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
मेरी ज़िन्दगी जैसे एक कोरे कागज़ की तरह
न कोइए रंग
न कोइए पहचान हो जिसकी.
बे-मतलब,
बे-मकसद,
एक कोरे कागज़ की तरह.
जितना भी देखना चाहो उसमे
मगर कुछ न दिखाई दे.
मेरी ज़िन्दगी जैसे एक कोरे कागज़ की तरह
उतनी ही साफ़
उतनी ही सुन्दर
न उसमे किसी का रंग चढ़ा हो.
मेरी ज़िन्दगी जैसे एक कोरे कागज़ की तरह...
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬[भालू]▬▬▬▬▬

Monday, April 25, 2011

ताश के पत्ते

ताश के पत्ते की तरह 

खेला हैं वोह मेरी ज़िन्दगी से रोमिल... 
जीता तब भी महफ़िल में छोड़ गया 
हारा तब भी मुझको वही फेक गया...

Monday, April 12, 2010

bahut ajeeb hota hain

bahut ajeeb hota hain
din-bhar awaragardi karna
shaam hote hi ghar jaana...
***
ajeeb rasm hain duniya ki doston
tanhai main chup-chup kar rona
mehfil main muskurana...
***
meri mohabbat bhi duniya ke liye khabar ban gaye yaaron
jaisa kisi bekasoor ka hadsa main marr jaana...
***
meri zindagi kuch is tarah viraan kar gaya woh Romil
jaise parindoon ka kisi paid ko chod kar udha jaana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, April 9, 2010

Kisse bheekh mangate ho ...

Kisse bheekh mangate ho mohabbat ki Romil
Har pathar, rab nahi hota...
***
Dil mein malal to bas is baat ka reh gaya Romil
Zindagi lutai to ek bewafa ke liye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, February 5, 2010

Yeh zindagi...

Yeh zindagi bhi Taash ke Patto ki tarah hoti hain Romil
kisi ko badshah to kisi ko gulam bana deti hai...

#Romil

यह जिंदगी भी ताश के पत्तों की तरह होती है रोमिल
किसी को बादशाह तो किसी को गुलाम बना देती है...

#रोमिल

Monday, December 21, 2009

zindagi apni zindagi to nahi hain...

zindagi apni zindagi to nahi hain
hain khushi par khushi to nahi hain.
raaste humse beechade hain to magar
manzil bhi to apni manzil nahi hain.
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
hain sahi woh hamare nahi hain
par unki parchaiye bhi to hamari nahi hain.
phool rahe dusaron ki jhooli main hi
magar kaatein bhi hamare nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
aadatan unka humse naazarein churana
dekh kar humko mooh pher lena.
abhi kuch hi din hue hain unko bewafa hue
yeh baatein purani nahi hain...
***
sunehara guzara hain mohabbat ka safar
woh hans-hans kar unse baaton ka safar
saath mere unki yaadein hain
ab baatein nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 9, 2009

tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...

tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
~*~
aayenge din fhir se baahar ke
khushiyoon ke phool fhir se khilenge
hoonton par muskaan kheelati rahegi
aankhon main aansoo ki parat jami rahegi..
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi... 
~*~
har savera hoga roshan
mehfile hi mehfile sajeyengi
magar jab honge tanha hum
dil main yaadon ki talvaarein chalengi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
~*~
kaun jaane yeh zindagi hain kya
saansein bas chalti rahengi
kisi ke saath hota hain andhera chandani raaton main bhi
yunhi naseebon ki baatein chalti rahengi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 25, 2009

na kisi ki zindagi barbaad karna...

bas itna sa kehna hain tumse
kabhi na fhir kisi se tum mohabbat karna
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
baarish main beh jate hai jaise mitti ke ghar
kisi ke sapne na fhir aansoo mein bahana
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
intezaar karte-karte pathar na ban jaye yeh aankhein
isse pehle inko bhujha dena
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
do pal ke liye hi sahi mujhe yaad karna
apne honton par muskaan rakhana
na kisi ki zindagi barbaad karna...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 16, 2009

yeh zindagi nahi...

yeh zindagi nahi saaza hain
na jaane kya hui khata hain...
~*~
aadarsh-sansar ki uddha rahi dhajiya hain
chandi-sone ke sikke main band gaya insaan hain...
~*~
sach andhere main chala gaya hain
jhoot aur kapat badh raha ujala hain...
~*~
jurm-atyachar ka fhela saamraj hain
na jaane khuda kahan chup gaya hain...
[written by romil arora - copyright reserved]