Sunday, August 18, 2013

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

Maa kehti thi...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho
Bhor mein, Suraj se pehle jaagna seekho
Har pal chechahate-gungunate rehna seekho
Din bhar mehnat karna - ucchai par udna seekho
Jhund mein rehna - Sabke saath milkar kaam karna seekho
Sandhiya hote hi, waqt se ghar laut aana seekho
Khud apne liye ghosala banana seekho
Apne bacchon ko dana-roti kheelana seekho
Waqt se so jaana seekho...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

#Romil Raj

Thursday, August 15, 2013

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon
Fir ishq ki bimari chahta hoon

Dube hue jahaaz se kya wasta
Main ab nai kashti ki sawari chahta hoon

Halaki door tha magar rooh-e-sukun sa tha
Main fir waisa hi mehboob, dost chahta hoon

aur

Romil, nahi chahiye yeh saagar, yeh nadi, yeh jharane
Main ek muddat se moksh ka pyasa hoon, ganga ki boondh chahta hoon.

Monday, August 12, 2013

Chand ki bewafai dekar kar

Dekh kar chand ki bewafai
Kisi roz chakor ne mara hoga uske haseen chehare par pathar
Isliye to Romil, Chand ke chehare par daag nazar aata hai.

#Romil

देखकर चाँद की बेवफाई
किसी रोज चकोर ने मारा होगा उसके हसीन चेहरे पर पत्थर
इसलिए तो रोमिल, चाँद के चेहरे पर दाग नज़र आता है...

#रोमिल

Sunday, August 11, 2013

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI
ISI BAHANE HI USE GALE LAGAYENGE YEH KHAWAB SA REHTA HAI.

KAISE MEHFUZ RAKHOGI KHUD KO GHAR MEIN
PATA BHAWARON KO HAR PHOOL KA REHTA HAI.

KIS-KIS KO BHARA HAI TUMNE APNI BAAHON MEIN
KAHAN HISAAB JAWANI KE DINO KA REHTA HAI.

AUR

SHAYARI TO SABHI KAR LETE HAI AAJ-KAL MIYA
KAHAN ROMIL, SABKE DILON MEIN WOH DARD, 
JUBAN MEIN WOH LEHZA REHTA HAI.


EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA

EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA
DIL MEIN BAS KHAYAL USKE DEEDAR KA RAHA.

MEHANDI SE SAJI HATHELI
PAIRON MEIN PAJEB
SAFED SITARON WALA SALWAR-SUIT
GOTEDAR DUPATTA
NAZARON MEIN EK KHOOBSURAT SA KHAWAB TAJMAHAL SA RAHA.

KAR DIYE SARE QATAL MERE ARMANO KE
FIR BHI NA JAANE KYON ROOH KO USPAR AITBAAR SA RAHA.

WOH MERI THI, MERI HAI AUR MERI HI RAHEGI
YAHI JAWAB, UMAR BHAR SAWAL SA RAHA.

- SULTAN

Friday, August 9, 2013

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai
kahi koi panna padne se to nahi choot gaya hai.

nadi mein tairati hui laash mujhe yeh samjha gayi
kyon woh shaks ishq mein dubne se darr gaya hai.

woh accha hai ya bura hai
bas saathi is janam ka hai
kahan hai woh pyar jo saath upper aasman tak gaya hai.

aur

38 saal ki umar ho gai hai
fir bhi lagta hai jaise mujhmein abhi bahut sa bachpan reh gaya hai.

#Romil

चलो पुरानी किताब को एक बार पलट कर देख लेते हैं
कहीं कोई पन्ना पढ़ने से तो नहीं छूट गया है.

नदी में तैरती हुई लाश मुझे यह समझा गई 
क्यों वो शख्स इश्क में डूबने से डर गया है.

वो अच्छा है या बुरा है 
बस साथी इस जन्म का है 
कहां है वो प्यार जो साथ ऊपर आसमां तक गया है. 

और 

38 साल की उम्र हो गई है 
फिर भी लगता है जैसे मुझमें अभी 
बहुत सा बचपन रह गया है. 

#रोमिल

kuch aise hi...

kuch tarikhein
bachpan mein lagi choot ki tarah hoti hai
umar ke saath, gaav bhar jaate hai
magar nishani nahi jati hai.
****

log sach hi kehte hai Romil
tum apni bezhati
dusaron ka ehsaan
aur
apne maa-baap ko kabhi nahi bhulate.
****

itne saalon ki meri aashiqui mein fark bas itna sa pada hai
pehle use main apni mohabbat mein yaad karta tha
aaj use main apni nafraton mein yaad karta hoon.
****

sirf juban hi nahi leti naam tera
saansein bhi padti hai paigam tera
bina tujhe dekhe
bina tujhe chuye
meri rooh ko ek sukun sa rehta hai 
khuda se kam nahi hai meri zindagi mein auda tera. 

#romil raj