Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

ishq ke din ajeeb hote hain

ishq ke din ajeeb hote hai
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
aaine se karte hain baatein
raat bhar khawabon mein khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
band kamron mein chup-chup kar ro laite hai
mehfilon se durr rehta hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
jab tak na lage thokar bewafai main
baade naaz se ishq ka naam liye fhirate hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sajdaaaaaaaaaaaaa....

Rom-Rom tera naam pukare
Ek hue din rehen hamare
Hum se hum hi cheen gaye
Jab se dekhe nain diwane
Sajdaaaaaaaaaaaaa....
***
Teri kaali ankhiyoon se jind meri jaage
Dhadkan se tej daudun, sapno se aagey
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun.
Sajda tera sajda, tere rehan taru na chain karoon
Sajda tera sajda, tere vaar taru meri jaan lutt doon.
***
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
***
Ranjhana naino ke teer chal gaye
Sajna saanson se dil sil gaye
Palkon mein chupa loon, tera sajda karoon
Seenay mein samaa loon, din lain karoon
Palkon mein chupa loon, seenay mein samaa loon
Tere ang ang rang mera bole
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
Sajdaaaaaaaaa...
[NOT WRITTEN BY ME - LYRICS OF SAJDA SONG]

Wednesday, December 30, 2009

woh mann se sundar thi...

ab aksar chup-chup kar ro laite hain
jinki muskaan phool kheela daite thi...
ab aksar chup-chap rehti hain
jinki baatein sabko haansa daite thi...
***
uska udas chehara to dekho
hooton main thehari haansi to dekho
pass se guzare to haawan bhi nahi udati hain
jiski mehak, gulsan mehka daite thi...
***
aansoo ka jo suru hua hain silsila girane ka thamta nahi hain
woh roote hue ke hoonton par muskaan saaja daite thi...
andheroon main rehti hain roshani main aati nahi hain
jo subah ka suraj hua karti thi...
khuda ka itna sitam kisi par maine dekha nahi hain
ab kya kahe uski baatein
woh mann se sundar thi...
woh mann se sundar thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...


~*~
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
chod aaye apna dil tere pehlu main
teri mehak apne saath le aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
yunh to tha main ek pathar ki bani hue murat
tumne chua to mom ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
humne har baar khuda se yahi manga tha
jab bhi unke kareeb hum jaye
tab barsaat aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
mujhse puche mera zameer
jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 29, 2009

yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main...


yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
sab sunate hain mooh ki baatein
koiye na jaane kya beeta hain mere saath main...
***
yunhi fhirta rehta hu...
***
raaton ko utha-utha kar darwaze par baith jaata hu main
lagta hain jaise chand se utar raha hain woh...
sadiyoon-sadiyoon yunhi khojata hua
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
woh mera aaina uski parchaiye hu main
ek hi kamre main qaid rehte hain dono
kabhi main kehta, sunti hain woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
ghantoon baitha rehta saagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhata raha
tum nahi aaye milane mujhse
sadiyoon khamoosh gumsum sa raha main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
[written by romil arora - copyright reserved]

AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...

TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
INTEZAR MEIN ZINDAGI BITAOGE
TANHAI MEIN RAATEIN BITAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
AAINA SE KAROGE BAATEIN
CHAND-TAARON KO APNA DOST BANAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
RAASTE KO HUMSAFAR BANAOGE
DAIR SE GHAR AAYOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
HAR BAAT GAWARA KA LOGE
PAGAL KEHLAOGE
TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 28, 2009

aadat aachi hai...

purane khat ko purze ki tarah phadh dene ki
aadat aachi hai...
beeti baaton ko bhool jaane ki
aadat aachi hai...
***
hum to sochte the
hamari khata hi unko hamari yaad dilati hogi
magar doston ko bhool jaane ki unki
aadat aachi hai...
***
hum to dost to khuda samajhte the
unko khuda badalne ki
aadat aachi hai...
***
yeh khayal hamare dil mein tha ki woh humko ab bhi yaad karte honge
unko khayalon mein na jeene ki
aadat aachi hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Behti hawa sa tha woh...



Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...

Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...


Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh..

Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...


 Sulagti dhoop mein chaaon ke jaisa
Raigistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghav pe marham jaisa tha woh...


Hum sehme se rehte kooein mein
 Woh nadiya mein gotey lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh...

Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...

Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh...


Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...
[NOT WRITTEN BY ME]

Sunday, December 27, 2009

tum mere pass raho...

jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye tum mere pass raho...
***
jab kabhi gire meri aankhon se aansoo
tum mere pass raho.
jab kabhi mere hoonton par muskaan na aaye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab kaate na kate yeh kaali raat
tum mere pass raho.
jab tanhai ki raatein sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab koi bigadi baat na bane
jab koi na de saath mera
tum mere pass raho...
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab uski bewafai mujhe yaad aaye
tum mere pass raho.
jab judai ka dard sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab intezaar ki bela rulaiye
tum mere pass raho
jab chand bhi naazar na aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab saagar ke kinare tanha nazar aaye
tum mere pass raho
jab barsaat ki boondein pyasi nazar aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab main rooth jayun
tum mere pass raho.
jab kabhi aaina se karu baatein
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
jab kabhi koi apna rulaiye
tum mere pass raho...
mere dost...tum mere pass raho...
mere rabb...tum mere pass raho...

#Romil

जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी गिरे मेरी आँखों से आँसू
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मेरे होंठों पे मुस्कान न आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब काटे न कटे यह काली रात
तुम मेरे पास रहो...
जब तन्हाई की रातें सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी बिगड़ी बात न बने
जब कोई न दे साथ मेरा
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब उसकी बेवफ़ाई मुझे याद आये
तुम मेरे पास रहो...
जब जुदाई का दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब इंतेज़ार की बेला रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
जब चाँद भी नज़र ना आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब सागर के किनारे तन्हा नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब बरसात की बूँदें प्यासी नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब मैं रूठ जाऊँ
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी आईना से करूँ बातें
तुम मेरे पास रहो
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी कोई अपना रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
मेरे दोस्त... तुम मेरे पास रहो...
मेरे रब... तुम मेरे पास रहो...

#रोमिल

Saturday, December 26, 2009

yeh duniya daari humse na hogi...

yeh duniya daari humse na hogi hum to dildaari kar sakte hain
dil ki baatein sunate hain
dil par yakeen karte hain.
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
dil ka sauda dil se karte hain
har apne ko apna samajhate hain
hum to ajnabiyoon se bhi waafa karte hain
yeh bewafai humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
khawabon ko saja kar rakhana jante hain
yaadon ko sanjho kar rakhana jante hain
khawabon ki saude-baazi humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
sanam ke liye de sakte hain jaan bhi
har zakhm muskurakar seh sakte hain  
humse daulat par zindagi qurbaan nahi hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
[written by romil arora - copyright reserved]

aaise na humse waafa tu kar...

aae bewafa humko tanha na kar aaise na humse waafa tu kar...
***
jab hum teri bewafai ko yaad karke rote hain
tab hi to chain se sote hain...
meri aankhon se neend ko aazad na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
pehle tere peeche yunhi fira karte the aawara ban kar
ab ghar main baith kar khud se teri baatein kiya karte hain
fhir humko aawara na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
ishq main hum to rabb (NAAZ) ho bhul chuke the
tujhe apna rabb samajhate the
jab se ki tune humse bewafai
apne rabb ki panah main rehte hain
ab humko rabb se durr na kar...
aaise na humse waafa tu kar...
***
aae bewafa humko tanha na kar
aaise na humse waafa tu kar...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, December 25, 2009

Dialouge..


main rishta toodata nahi...
beekhara deta hu...
aur itna jyada beekhara deta hu ki us rabb ko jodane main bhi sadiya lag jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Pyar to bahut hain tujhe par kabhi kisi se na kahenge....

Pyar to bahut hain tujhse par kabhi kisi se na kahenge
Tu rahe kisi ki bhi kabhi shikwa na karenge...
***
Apne armaan sabhi apne mann main hi rakhenge
Tujhe durr se dekhenge kabhi tere pass aaya na karenge...
***
Chand, taaron se puch liya karenge haal tera
Khuda se teri khushiyoon ke liye dua kiya karenge...
***
Jo itefaq se mil gaye kahi par hum
nazare tujhse chura liya karenge...
***
Jal jayenge hum teri yaadon ki aag main
kabhi tujhse gila na karenge...
***
Pyar to bahut hain tujhse par kabhi kisi se na kahenge....
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 24, 2009

log badnaam kar denge...

tu amanat hain kisi aur ki
mera khayal na kar
log badnaam kar denge...
~*~
baade hote hain be-reham yeh duniya wale
tu mera naam na liya kar
log badnaam kar denge...
~*~
maine saaja rakhi hain apni raatein teri yaadon se
tere khawab se main apni duniya raacha lunga
mere naam se mehandi na raachaya kar
log badnaam kar denge...
~*~
yeh mere gum mere saath hi duniya se chale jayenge
aansoo behate-behate ek din aankhon main suukh jayenge
tu meri parvah na kiya kar
log badnaam kar denge...
[written by romil arora - copyright reserved]

kisi ne usko samjhaya to hota...

kisi ne usko samjhaya to hota
woh ho rahi hai bewafa yeh batlaya to hota...
***
uski yaadon mein jo beh rahe hai aansoo mere
kisi ne usko dekhlaya to hota.
kisi ne usko samjhaya to hota...
***
woh pal-pal tadapta hai teri yaadon mein
tera naam lekar pukarata hai raaston mein
kisi ne usko kahan to hota.
kisi ne usko samjhaya to hota...
***
tera naam haatheli par likh kar chuma karta hai
teri tasveer aasmaan mein banaya karta hai
kisi ne usko batlaya to hota.
kisi ne usko samjhaya to  hota...
[written by romil arora - copyright reserved]  

Wednesday, December 23, 2009

Sach Mere Yaar Hai, Bas Wohi Pyaar Hai

Sach Mere Yaar Hai, Bas Wohi Pyaar Hain

Jiske Badale Mein Koi To Pyaar De
Baaki Bekaar Hai, Yaar Mere...
Ho Yaar Mere... 2

Jis Haath Mein Ek Haath Hain
Us Haath Ki Kya Baat Hain
Kya Faasle Kya Manzilein
Ek Humsafar Gar Saath Hai
Jiski Kismat Koi Yoon Sanvaar De
Vo Hi Dildaar Hai, Yaar Mere...
Ho Yaar Mere...


Jhoome Zameen Jhoome Gagan
Tere Liye Hoke Magan
Khilti Rahein Khushiyaan Teri
Mehka Rahe Dil Ka Chaman
Zindagi Tujhko Aisi Bahaar De
Dilki Pukaar Hai, Yaar Mere....


Sunte The Hum Yeh Zindagi
Gham Aur Khushi Ka Mel Hai
Humko Magar Aaya Nazar
Yeh Zindagi Woh Khel Hai
Koi Sab Jeete Sab Koi Haar De
Apni To Haar Hai, Yaar Mere....
Haan...Yaar Mere..
[NOT WRITTEN BY ME]

mat samajhana...


Muskura raha hu main, isse dil-e-khushi mat samajhana
baaha raha hu aansoo, isse barsaat mat samajhana
parvane ka kaam hota hain mohabbat main fanaa ho jaana, isse uski khudkhusi mat samajhana...
~*~
Mehfillon main ja raha hu, isse uski raazamandi mat samajhana
dosti sab se kar raha hu, isse uski dosti mat samajhana
deepak ki taqdeer main hota hain jal kar roshani dena, isse uski khawaish mat samajhana...
[written by romil arora - copyright reserved]

meri deewangi mujhko pagal bana rahi hai...

woh pass nahi hai mere
uski aawaz aa rahi hai...
meri deewangi mujhko pagal bana rahi hai...
***
door dikhta hai koi saaya
mujhko pukaar rahi hai...
meri deewangi mujhko pagal bana rahi hai...
***
hai likhe geet mere
woh gunguna rahi hai...
meri deewangi mujhko pagal bana rahi hai...
***
jab bhi dekhu aaina
khud mein ek tasveer chupi si nazar aa rahi hai
meri deewangi mujhko pagal bana rahi hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 22, 2009

Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The....



Female: Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The

MALE: Zareen, Pyar Ka Milna Jaana Sab Kuchh Hai...


FEMALE: Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The.


Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The.


Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The.


MALE: Suno Zareen, Zindagi Sirf Amrit Hi Nahin Zehar Bhi Hai
Aur Phir Zara Sochho Tho

Lata: Socha Tha Mai Hai Zindagi Aur Zindagi Ki Mai
Socha Tha Mai Hai Zindagi Aur Zindagi Ki Mai
Pyaala Hatake
Pyaala Hatake Teri Hatheli Se Peeyenge
Woh Khwaahishen Ajeeb Thi Sapne Ajeeb Thhe

Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb Thhe
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The.


MALE: Ye Sab Tho Teek Hai Lekin Main Ek Baat Puchhta Hain.

FEMALE: Poochenge Ek Baar Kabhi Hum Tumse Roothkar
Poochenge Ek Baar Kabhi Hum Tumse Roothkar
Hum Mar Gaye
Hum Mar Gaye Agar To Aap Kaise Jeeyenge

MALE: Woh Khwaahishen Ajeeb Thin Sapne Ajeeb The
Jeene Ko Teri Pyar Ki Daulat Mili To Thi
Jab Tum Nahin The Un Dinon Hum Bhi Gareeb The

MALE AND FEMALE: Tumse Mila Tha Pyar Kuch Achche Naseeb The
Hum Un Dino Ameer The Jab Tum Kareeb The
[NOT WRITTEN BY ME]

kya karu...


yeh saal bhi beta bina barsaat ke
main aansoo na bahau to kya karu...
*!*
intezaar main katati nahi raatein
main shama na jalau to kya karu...
*!*
unse jab puche bewafai ki wajah hain kya
woh tab bhi kuch na bataiye to kya karu...
*!*
yunh to teri mehfil main milte hain sab gale
koiye dil se nahi milta to kya karu...
*!*
koiye nahi hain apna is shehar main
tera shehar na chod jayun to kya karu...
[written by romil arora - copyright reserved]

koiye nahi tere saath hain...

paav bhi na thake mere
chalte jaana hain
durr manzil hain
koiye nahi mere saath hain...
***
haawan ne jaane kaisa ishara kiya
dhak-dhak yeh jiya kehne laga
uski yaadein hain
koiye nahi tere saath hain..
***
chupke se kaano main aakar koiye gunguna gaya
chand-sitare dekho lagte hain baraat se
yeh tere khawab hain
koiye nahi tere saath hain...
***
saari-saari raatein
takati hain raasta
sunnata keh raha hain
koiye nahi tere saath hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Puri Hoke Bhi Main Adhuri Si Hu...

Puri Hoke Bhi Main Adhuri Si Hu
Hu Phool 
Fhir Bhi Na Kheeli Si Hu...
***
Josh Bahut Hai
Umang Bahut Hai Dil Mein Udne Ki
Lekin Pankh Kati Si Hu...
***
Chehare Par To Saada Muskaan Rehti Hai
Dil Hi Dil Mein Jali Si Hu...
***
Jee Chahta Hai Uski Pyas Bhujha Du
Hu Saagar
Fhir Bhi Khaare Pani Si Hu...
***
Uski Hokar
Uski Ho Na Saki
Zindagi Ki Ek Ankahi Kahani Si Hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 21, 2009

zindagi apni zindagi to nahi hain...

zindagi apni zindagi to nahi hain
hain khushi par khushi to nahi hain.
raaste humse beechade hain to magar
manzil bhi to apni manzil nahi hain.
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
hain sahi woh hamare nahi hain
par unki parchaiye bhi to hamari nahi hain.
phool rahe dusaron ki jhooli main hi
magar kaatein bhi hamare nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
aadatan unka humse naazarein churana
dekh kar humko mooh pher lena.
abhi kuch hi din hue hain unko bewafa hue
yeh baatein purani nahi hain...
***
sunehara guzara hain mohabbat ka safar
woh hans-hans kar unse baaton ka safar
saath mere unki yaadein hain
ab baatein nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

ajeeb hi mila...

jab chaha izhaar kiya
jab chaha saath chod diya
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sab kehte the saath denge tera umar-bhar
magar jab ghayal hue ek sahara na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sabke haaton main diya tha phool maine
magar unke haaton ka pathar mujhe laga
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
kis-kis ko samjhate waafa ka matlab
mujhe jo mila bewafa hi mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
hamari khata woh geenate rehta hain khuda ko
humse kehne wala koiye na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, December 19, 2009

Na unse nazrein milti na izhaar hota na is kadar yaaron apna bura haal hota...

{gum-e-dil main dooba hu
aur aaksh na aaye aankhon mein
main insaan hu khuda nahi}
__________
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
yunhi na guzarti apni zindagi chaar-deewaron mein
na apni shaam ka bura haal hota...
***
dube rehte na hum yunhi mohabbat-e-gum mein
na apni khushiyon ka bura haal hota...
***
do qadam hi unke saath chale the
ki chheel gaye paav hamare
thoda aur door unke saath chalte
to na jaane apna kitna bura haal hota...
***
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

aapke kareeb hum nahi, itne aache hamare naseeb nahi...

aapke kareeb hum nahi itne aache hamare naseeb nahi...
socha tha ki izhaar kar denge
nazarein aapse mili
fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
din bhar aawara sa fhirta hain dil
tujhko dhundhata-puchata fhirta hain dil
sham jab hui
fhir teri mehfil mein hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
zamane bhar ki ruswaiya
haan...haan...zamane bhar ki ruswaiya
jitne chahe mujhe qabool
bas ek aapse ruswaiya mili
fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
to yeh gum kuch kaam ho jaye
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
to yeh gum kuch kaam ho jaye
ab tu soch le sangdil
yeh gum nahi
ya fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]