Monday, August 26, 2013

yeh jo dard ka darakht hai, kabhi sukhata nahi hai.

yeh jo dard ka darakht hai,
kabhi sukhata nahi hai.

main har pal mein muskurata rehta hoon
fir bhi yeh udas chehare kamal ki tarah khilata nahi hai.

raat ki bheegi-bheegi chaton ki tarah
meri aankhon mein bhi yeh sawan rukta nahi hai.

aur

Romil, kuch dino ke baad tumko bhi poojenge log
har kisi ko ishq mein itna uccha auda milta nahi hai.

Sunday, August 25, 2013

ab kya soche kya accha, kya bura hoga

ab kya soche kya accha, kya bura hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

sar bahut jhuka chuka, ab haaton mein pathar hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

parwah nahi, yeh dil kaun si saza ka haqdar hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

aur

maut meri yeh baat shaabit kar degi
hasrha zindagi se haare hue insaan ka kya hoga
zindagi kam hai, khuda se ab samna hoga.

#Romil

अब क्या सोचे, क्या अच्छा, क्या बुरा होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

सर बहुत झुका चुका, अब हाथों में पत्थर होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

परवाह नहीं, यह दिल कौन सी सजा का हकदार होगा 
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा. 

और

मौत मेरी यह बात साबित कर देगी 
हश्र जिंदगी से हारे हुए इंसान का क्या होगा
जिंदगी कम है, खुदा से अब सामना होगा.

#रोमिल

Saturday, August 24, 2013

mujhe maloom hai woh kya soch raha hoga

mujhe maloom hai woh kya soch raha hoga
woh pita ke aashirwad bina kaise doli mein vida hoga

aur

itne saal beet gaye, woh milane tak na aa saki
kya kabhi usne mere khaton ko nahi pada hoga.

aur

kya karogi uski khabar rakhkar
kya karogi tum uski khabar rakhkar
tasveer to hai nahi, bas tere naam ke saath kisi andheri kothari mein pada hoga.

aur

sar se paav tak woh chand sa khila hoga
na jaane woh raat kaisi hogi jab woh mera hoga.

#Romil

मुझे मालूम है वो क्या सोच रहा होगा 
वो पिता के आशीर्वाद बिना कैसे डोली में विदा होगा 

और 

इतने साल बीत गए, वो मिलने तक न आ सकी 
क्या कभी उसने मेरे खतों को नहीं पढ़ा होगा 

और 

क्या करोगी उसकी खबर रखकर 
क्या करोगी तुम उसकी खबर रखकर 
तस्वीर तो हैं नहीं, बस तेरे नाम के साथ किसी अंधेरी कोठरी में पड़ा होगा 

और 

सर से पांव तक वो चांद सा खिला होगा 
ना जाने वो रात कैसी होगी जब वो मेरा होगा 

#रोमिल

Friday, August 23, 2013

main is dunia ko samaj chuka hoon

main is dunia ko samaj chuka hoon
ishq jo kar chuka hoon

tum to yadoon ke bharose chhod kar chal diye
main tere laut aane ka aitbaar jo kar chuka hoon

aur main bolta raha aur woh sunta raha hai
na uske pass jawab hai aur na mere sawal kam honge, yeh samaj chuka hoon 

aur

is tarah uljha raha hoon nafraton mein
ki 16 june ko pita ne saath chhoda diya, yeh bhi mehsus nahi kar saka hoon

Wednesday, August 21, 2013

Ishq ka ab woh zamana nahi raha

Ishq ka ab woh zamana nahi raha 
Woh hai mera magar diwana nahi raha
*
Uske khokhalepan ko zaara gaur se dekho
Nazaron mein ab woh ishq-e-dariya nahi raha
*
Yeh kisne cheen li muskaan-e-baarish usse
Khushiyon mein bhi sukun-e-chain nahi raha
*
Romil, Meri zubaan pe shikwa-e-sanam-e-sitam tha, hai aur hamesha rahega
Nazdikiyan chahe jitni bhi badh jaye magar woh junoon-e-ishq nahi raha.

#Romil

इश्क का अब वो जमाना नहीं रहा 
वो है मेरा मगर दीवाना नहीं रहा 

उसके खोखलेपन को जरा गौर से देखो 
नजरों में अब वो इश्क-ए-दरिया नहीं रहा 

यह किसने छीन ली मुस्कान-ए-बारिश उससे 
खुशियों में भी सुकून-ए-चैन नहीं रहा 

रोमिल, मेरी जुबान पे शिकवा-ए-सनम-ए-सितम था, है और हमेशा रहेगा 
नजदीकियां चाहे जितनी भी बढ़ जाए मगर वो जुनून-ए-इश्क नहीं रहा.

#रोमिल

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai
Shayad yeh bhai-behan ko fir bachpan ke dino ki yaad dilaye.

Maa ki shawl hai ise sambhal kar rakho
Shayad yeh thandak ke dino mein maa ki goad ka ehsaas dilaye.

aur

Mat fhado in khaton ko Romil
Shayad yeh ishq mein fir rulane ke kaam aaye.

aur

Is dupatte, Is salwar-suit, Is saree ko mat fhekana tum Romil
Shayad yeh aajkal ki haseenao ko bhartiyein tehzeeb, bhartiyein sanskar seekhaye.

#Romil Arora

Tuesday, August 20, 2013

Bas itni si dua karo...

Romil, bas itni si dua karo ki umeed na toote meri
hokar majboor dil se baahon mein aakar gire woh meri 
Keemat chahe fir jo ho...

Sunday, August 18, 2013

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

Maa kehti thi...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho
Bhor mein, Suraj se pehle jaagna seekho
Har pal chechahate-gungunate rehna seekho
Din bhar mehnat karna - ucchai par udna seekho
Jhund mein rehna - Sabke saath milkar kaam karna seekho
Sandhiya hote hi, waqt se ghar laut aana seekho
Khud apne liye ghosala banana seekho
Apne bacchon ko dana-roti kheelana seekho
Waqt se so jaana seekho...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

#Romil Raj

Thursday, August 15, 2013

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon
Fir ishq ki bimari chahta hoon

Dube hue jahaaz se kya wasta
Main ab nai kashti ki sawari chahta hoon

Halaki door tha magar rooh-e-sukun sa tha
Main fir waisa hi mehboob, dost chahta hoon

aur

Romil, nahi chahiye yeh saagar, yeh nadi, yeh jharane
Main ek muddat se moksh ka pyasa hoon, ganga ki boondh chahta hoon.

Monday, August 12, 2013

Chand ki bewafai dekar kar

Dekh kar chand ki bewafai
Kisi roz chakor ne mara hoga uske haseen chehare par pathar
Isliye to Romil, Chand ke chehare par daag nazar aata hai.

#Romil

देखकर चाँद की बेवफाई
किसी रोज चकोर ने मारा होगा उसके हसीन चेहरे पर पत्थर
इसलिए तो रोमिल, चाँद के चेहरे पर दाग नज़र आता है...

#रोमिल

Sunday, August 11, 2013

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI
ISI BAHANE HI USE GALE LAGAYENGE YEH KHAWAB SA REHTA HAI.

KAISE MEHFUZ RAKHOGI KHUD KO GHAR MEIN
PATA BHAWARON KO HAR PHOOL KA REHTA HAI.

KIS-KIS KO BHARA HAI TUMNE APNI BAAHON MEIN
KAHAN HISAAB JAWANI KE DINO KA REHTA HAI.

AUR

SHAYARI TO SABHI KAR LETE HAI AAJ-KAL MIYA
KAHAN ROMIL, SABKE DILON MEIN WOH DARD, 
JUBAN MEIN WOH LEHZA REHTA HAI.


EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA

EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA
DIL MEIN BAS KHAYAL USKE DEEDAR KA RAHA.

MEHANDI SE SAJI HATHELI
PAIRON MEIN PAJEB
SAFED SITARON WALA SALWAR-SUIT
GOTEDAR DUPATTA
NAZARON MEIN EK KHOOBSURAT SA KHAWAB TAJMAHAL SA RAHA.

KAR DIYE SARE QATAL MERE ARMANO KE
FIR BHI NA JAANE KYON ROOH KO USPAR AITBAAR SA RAHA.

WOH MERI THI, MERI HAI AUR MERI HI RAHEGI
YAHI JAWAB, UMAR BHAR SAWAL SA RAHA.

- SULTAN

Friday, August 9, 2013

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai
kahi koi panna padne se to nahi choot gaya hai.

nadi mein tairati hui laash mujhe yeh samjha gayi
kyon woh shaks ishq mein dubne se darr gaya hai.

woh accha hai ya bura hai
bas saathi is janam ka hai
kahan hai woh pyar jo saath upper aasman tak gaya hai.

aur

38 saal ki umar ho gai hai
fir bhi lagta hai jaise mujhmein abhi bahut sa bachpan reh gaya hai.

#Romil

चलो पुरानी किताब को एक बार पलट कर देख लेते हैं
कहीं कोई पन्ना पढ़ने से तो नहीं छूट गया है.

नदी में तैरती हुई लाश मुझे यह समझा गई 
क्यों वो शख्स इश्क में डूबने से डर गया है.

वो अच्छा है या बुरा है 
बस साथी इस जन्म का है 
कहां है वो प्यार जो साथ ऊपर आसमां तक गया है. 

और 

38 साल की उम्र हो गई है 
फिर भी लगता है जैसे मुझमें अभी 
बहुत सा बचपन रह गया है. 

#रोमिल

kuch aise hi...

kuch tarikhein
bachpan mein lagi choot ki tarah hoti hai
umar ke saath, gaav bhar jaate hai
magar nishani nahi jati hai.
****

log sach hi kehte hai Romil
tum apni bezhati
dusaron ka ehsaan
aur
apne maa-baap ko kabhi nahi bhulate.
****

itne saalon ki meri aashiqui mein fark bas itna sa pada hai
pehle use main apni mohabbat mein yaad karta tha
aaj use main apni nafraton mein yaad karta hoon.
****

sirf juban hi nahi leti naam tera
saansein bhi padti hai paigam tera
bina tujhe dekhe
bina tujhe chuye
meri rooh ko ek sukun sa rehta hai 
khuda se kam nahi hai meri zindagi mein auda tera. 

#romil raj

Tuesday, August 6, 2013

Iski baaton mein hai itni mishari bhari

Iski baaton mein hai itni mishari bhari
Dekhana Romil, ise ek din khuda ka farista le jayega.

Maut to aayegi aur chali jayegi
Magar iska naam kitabon mein reh jayega.

Salam likho 
Bas Salam likho aur bhej do khat
Romil, Padane wala khud khat ka mazmoon samaj jayega. 

aur

Shaadishuda ho tum,
Kisi gair ki amanat ho tum, 
Mera naam na liya karo
Warna yeh mohabbat ka samundar tumko ek din tabah kar jayega.

#Romil Arora

jab bhi rona to behisab rona

jab bhi rona to behisab rona
kabhi taqdeer ko
kabhi khuda ko
to kabhi sanam ko de ilzaam rona.

logon ko parvah nahi hai kisi ke aansuyon ki
jab bhi rona
khuda ke saamne
khude ke darbar mein rona.

tere diwane hai itna to hum bhi haq rakhte hai
hatheli par goad kar tera naam chumana, fir rona.

aaj bhi yaad hai mujhe bachpan ka woh kissa
bichadte hue Romil tera, mere seene se lag kar rona. 

#Romil

जब भी रोना तो बेहिसाब रोना 
कभी तकदीर को 
कभी खुदा को 
तो कभी सनम को दे इल्ज़ाम रोना 

लोगों को परवाह नहीं है किसी के 
आंसुओं की 
जब भी रोना 
खुदा के सामने 
खुद के दरबार में रोना 

तेरे दीवाने हैं इतना तो हम भी हक रखते हैं 
हथेली पर गोदकर तेरा नाम 
चूमना, फिर रोना 

आज भी याद है मुझे बचपन का वह किस्सा 
बिछड़ते हुए रोमिल तेरा, मेरे सीने से लगकर रोना

#रोमिल

Saturday, August 3, 2013

aaj apne janamdin par, bigad baitha woh bhagwan par

aaj apne janamdin par
bigad baitha woh bhagwan par

bola...

muft mein baithe ladoo khate ho
aur mere kisi kaam bhi nahi aate ho.

yeh phoolon ki mala, 20/- rupiya ki ho gai hai
dhoop-agarbatti par bhi mehangai ki chadar chhad gai hai
yeh dekh kar bhi kuch rupiya kamane ka jugad nahi batate ho.
muft mein baithe ladoo khate ho...

mandir aane-jaane mein waqt lagta hai
auto wala bhi man-mafik kiraya wasool karta hai
meri pareshaniyon-dikkaton ko tum suljha nahi paate ho.
muft mein baithe ladoo khate ho...

apne liye to badiya AC lagwaye hue ho
hum bhakton ke liye ek fan bhi nahi chalwate ho
muft mein baithe ladoo khate ho...

aur kya kahon tumse
kehte-kehte thak chuka hoon
na tum sunate ho
aur
na Romil tum kehne se baaz aate ho...

muft mein baithe ladoo khate ho...
aur mere kisi kaam bhi nahi aate ho...

#Romil

आज अपने जन्मदिन पर 
बिगड़ बैठा वो भगवान पर... 

बोला... 

मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 
और मेरे किसी काम भी नहीं आते हो 

यह फूलों की माला ₹20 की हो गई है 
धूप-अगरबत्ती पर भी महंगाई की चादर चढ़ गई है 
यह देखकर भी कुछ रुपया कमाने का जुगाड़ नहीं बताते हो 
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 

मंदिर आने-जाने में वक्त लगता है 
ऑटो वाला भी मन-माफिक किराया वसूल करता है 
मेरी परेशानियों-दिक्कतों को तुम सुलझा नहीं पाते हो...
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो... 

अपने लिए तो बढ़िया एसी लगवाए हुए हो 
हम भक्तों के लिए एक पंखा भी नहीं चलवाते हो 
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो...

और क्या कहूं तुमसे 
कहते-कहते थक चुका हूं 
ना तुम सुनते हो 
और 
ना रोमिल तुम कहने से बाज़ आते हो...

मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 
और मेरे किसी काम भी नहीं आते हो...

#रोमिल

Thursday, August 1, 2013

Bas dil ki suno aur milane chale aao

Romil, Bas dil ki suno aur milne chale aao
Rishta banne ke intezaar mein rahoge to sadiyaan beet jayengi.

***
Romil, yeh ajeeb dooriyon se rishta banta ja raha hai
woh shaks utna hi kareeb hota hai, jitna woh dur hota ja raha hai.