Showing posts with label Dhun. Show all posts
Showing posts with label Dhun. Show all posts

Saturday, June 25, 2011

मैं तुम्हे चाँद में ढूँढता हूँ...

▬▬हुकू▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
तुझे दिल की किताब में ढूँढता हूँ
तुझे बीते हुए खवाब में ढूँढता हूँ
तुम मेरा रास्ता भूल गयी हो
मैं तुम्हे हर रास्ते पर ढूँढता हूँ...
***
तेरी ही धुन में खोया रहता हूँ
तुझे हर धुन में ढूँढता हूँ
तुम न मुझे अपना चेहरा दिखाओ
मैं तुम्हे चाँद में ढूँढता हूँ...
▬▬▬▬▬▬▬▬▬[ रोमिल]▬▬

Friday, November 20, 2009

main tumhe chand mein dhundhata hu...

tujhe dil ki kitab mein dhundhata hu
tujhe beete hue khawab mein dhundhata hu
tum mera rasta bhool gai ho
main tumhe har raste par dhundhata hu...
***
teri ki dhun mein khoya rehta hu
tujhe har dhun mein dhundhata hu...
tum na mujhe apna chehara dekhao
main tumhe chand mein dhundhata hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, June 3, 2008

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"
Dost Yaad Hai..
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The,
Aankhein To Kehti Thi Ki Mann Baat Karna Chah Raha Hai,
Magar Honton Ko Hum See Liya Karte The.
Shaam-Raat Ko Galiyoon Mein Fira Karte The,
Dekhte Hi Ek-Dusare Ko Kisi Veerane Mein Sorry Keh Diya Karte The.
Yaad Hain, Ghar Ki Deewar Sajane Ki Liye,
Tum Meri Idiot Si Drawing Laga Diya Karti Thi.
Phool/Cards To Tumko Pasand Nahi The,
Tum Meri Stupid Drawing Ki Diwani Hua Karti Thi.
Mere Liye Tum Gurudware Bhi Jaaya Karti Thi,
Janamasthami Mein Shri Krishna Ji Ko Apne Haaton Se Sajaya Karti The.
Dost Yaad Hai.. Woh Apne Bachpan Ke Din,
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The.
[written by romil arora - copyright reserved]