Showing posts with label khamoshi.... Show all posts
Showing posts with label khamoshi.... Show all posts

Tuesday, August 14, 2018

khamoshi ke samundar mein safar karte-karte dekhna ek roz tum khud kisi bhavar mein ja fhasogi...

khamoshi ke samundar mein safar karte-karte dekhna ek roz tum khud kisi bhavar mein ja fhasogi...

Tarjuma

Insaan ki khamoshi khud-ba-khud usse sawal-jawalaat karne lagti hai... aur insaan usi jawalaat ko sahi samaj leta hai... aur khud hi apne banaye banvar mein fhas jaata hai...

Jab ki ek sawaal ke ek se aadhik jawab ho sakte hai... Har jawab dene wala insaan apne andaaz mein jawab deta hai... apne zameer, apne khayalaat, apni parvarish, apni maazi ke hisaab se...

kabhi-kabhi aise jawab mil jaate hai, jo hamari umeedon se bhi upper hote hai...

Isliye khamoshi ko darkinaar rakhkar dil ki baat keh deni chahiye...

Aur rahi meri baat... Hum to Dil kholke usse mohabbat ka izhaar karte hai... Khafa hote hai to bhi keh dete hai... Ishq chahiye to maang lete hai...

#romil arora

Tuesday, July 31, 2018

Khamoshi tumko behad pasandida hai...

Jab kuch kar nahi sakti ho to...

Aaienda se Khuda ki tarah ek kaam kiya karo...

Khamosh raha karo...

Badi si badi jattie bhi agar uske Bande ke saath ho jaye na tab bhi Khuda khamosh hi rehta hai...

Waise bhi Khamoshi tumko behad pasandida hai...

Sahi hai...

#Romil Arora

Friday, July 6, 2018

khamosiyan aksar gunaah karti hai...

khamosiyan aksar gunaah karti hai...
gunaah karti hai...

sazaa aksar Bolne walo ko milti hai...
Haq mangane walo ko milti hai...

aur

Darwaze agar kas ke bandh kiye gaye ho to...
Dhakka maar ke sitkani todni hi padti hai...

aur

khamosiyan niyota deti hai zulm karne ka...
aawazein aksar zulm ko badne se rok leti hai...

aur

Sammaan dene ka matlab Pag jhukana nahi hota...
Aawazein buland rakho...
Chhote se deep ki roshani bhi milo tak andheron ko cheer deti hai...

#romil arora

Sunday, April 1, 2018

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...

Humne kabhi kisi se Sikayat nahi ki...
Bas yahi Galti umarbhar ki...

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...
Kabhi khud ki khawaish jahir nahi ki...

Khilati hai...
Pilati hai...
Fir Halal karti hai...
Tangein fhelati hai... Kehti hai pyar karti hai...
Jism diya use magar kabhi Rooh se usse mohabbat nahi ki...

aur

Utar jayenge kai sareefjaado ke naqaab...
Humne khamosiyon ki parat jo utar di...

#Romil Arora

Monday, April 19, 2010

kuch aur bayaan karti hain...

Khamoshi teri kuch aur bayaan karti hai...
Be-kasoor ho hui sazaa kuch aur bayaan karti hai...
***
Sab kehte hai tujhe wafaa ki devi
Meri looti hui zindagi kuch aur bayaan karti hai...
***
Log kehte hai woh teri yaad mein ab bhi aansoo bahati hai
Teri honton ki muskaan kuch aur bayaan karti hai...
***
Tanha rehne ka dikhawa karte ho Sanam
Teri mehfilon mein aayashi kuch aur bayaan karti hai...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Monday, September 21, 2009

khamoshi se bewafai ka gumaan hota hai...

zehar hi sahi kuch to bol kar juda hua karo romil
khamoshi se bewafai ka gumaan hota hai!
[written by romil arora - copyright reserved]