Showing posts with label Rukshat. Show all posts
Showing posts with label Rukshat. Show all posts

Friday, November 20, 2009

Ruksati ka din...

Rukhsati ka din kareeb aa gaya hai meri
Rukne ka koi bhi bahana mat dikhao...
*****
Apne Rab ke pass jaana hai mujhko
Khushi-Khushi alvida kaho...
*****
Main to marr hi chuka hu na jaane kabka
Ab meri laash ko dafnao..
*****
Muskil hai yeh kadam ruk jaye fir se
Sabr ki inteha ho chuki hai
Mujhe aur na satao...

#Romil

रुखसती का दिन करीब आ गया है मेरी 
रुकने का कोई भी बहाना मत दिखाओ... 

अपने रब के पास जाना है मुझको 
खुशी-खुशी अलविदा कहो... 

मैं तो मर ही चुका हूं न जाने कबका 
अब मेरी लाश को दफनाओं... 

मुश्किल है यह कदम रुक जाए फिर से 
सब्र की इंतजार हो चुकी है 
मुझे और ना सताओ... 

#रोमिल

Tuesday, June 3, 2008

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Janti Hoon Dost...Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din.

Door Khade Main Apni Barbadi Ka Nazara Dekh Raha Tha,

Barish Mein, Main Apne Dil Ko Roota Dekh Raha Tha,

Kuch Kahe Bina Tum, Rab Ke Ghar Chali Gai,

Bas Intezar Karte Main Tumhara Rasta Dekh Raha Tha,

Chand Khud Jalne Ko Utara Tha Mere Dil Mein,

Main Khud Ko Jalta Dekh Raha Tha,

Pal-Pal Bikharte Main Apne Zindagi/Dosti/Bandagi/Rab/Sajde Ke TajMahal Ke Tinke Batoor Raha Tha,

Mera Haath Thaamne Ke Bajaiye,

Tumne Rab Ka Haath Tham Rakkha Tha,

Rabb Khada Haans Raha Tha,

Aur Main Ro Raha Tha.

Main Ro Raha Tha.

Dekho "NaaZ" Aaj Fir Rab Khada Tumhare Pass Has Raha Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]