Showing posts with label Insaan. Show all posts
Showing posts with label Insaan. Show all posts

Monday, May 10, 2010

ROSHANI CHHOD JAYUNGA...

AAYE KHUDA
FHARISTEY ZAMANE MEIN BAHUT AA CHUKE
KAHI SE KOI INSAAN BHEJ DE...
*
MAIN TERI MEHFIL MEIN KUCH IS TARAH ASAR CHHOD JAYUNGA
CHIRAG HU
BHUJA BHI DIYA GAYA TO ROSHANI CHHOD JAYUNGA...
*

Thursday, February 12, 2009

Kis Zamane Ke Aadmi Ho!

Jism Ki Mandi Main Mohabbat Dhundhate Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Dhokebaazo Se Waafa Ki Umeed Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Beemano Ki Duniya Main Imaandaar Talashte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Nigal Raha Hain Suraj Ko Andhera
Tum Chirag Se Andhera Mitane Ki Baat Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, June 3, 2008

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai,
Daulat Hi Ab Uske Liye Rabb Ban Gaya Hai.


Daulat Ho Pass Aata Dekh Woh Dost Ban Jaata Hai,
Daulat Ho Durr Jaata Dekh Woh Dushman Ban Jaata Hai,
Chehare Main Haiwaniyat aur Aankhon Main Khauuf Rakhata Hai.


Aap Jante Ho Dost.. Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai.


Pyar Sirf Daulat Ka Roop Ban Kar Reh Gaye Hai,
Jism aur Daulat Ki Hawas Main Hamare Lucknow Ki Duniya Kahi Khoo Gaye Hai.
Mandir/Majzid/Gurudware/Church Main Log Keval Darr Kar Jaate Hai,
Sharaddha aur Vishwas Ke Phool Tooth Gaye Hai....


Janta Hu Dost.. Aap Sab Kuch Jante Honge,
Rabb Ke Ghar Se Sab Kuch Niharate Honge,
Dukh Bahut Hota Hoga Na,
Ki Kitna Kuch Badal Gaya Hai.
Sach Main Dost Bahut Kuch Badal Gaya Hai....
[written by romil arora - copyright reserved]