Showing posts with label yahaan.... Show all posts
Showing posts with label yahaan.... Show all posts

Saturday, November 7, 2009

dil to kehta hai aap yahi par hi hai kahi...

dil to kehta hai aap yahi par hi hai kahi
aankhon se door hai
magar dil ke kareeb hai to sahi
dil to kehta hai aap yahi par hi hai kahi...
na pukaro
na koi awaaz do 
bas halka sa ishara hi kar do sahi
dil to kehta hai aap yahi par hi hai kahi...
***
waise to duniya mein haseen hai kai
magar dost har kisi ko kahan jata nahi
aapko na ho hamari jarurat 
magar apna guzara aapke bin chalta hi nahi
dil to kehta hai aap yahi par hi hai kahi...
aap yahi par hi hai kahi...

#Romil

दिल तो कहता है आप यहीं पर ही है कहीं
आँखों से दूर है
मगर दिल के क़रीब है तो सही
दिल तो कहता है आप यहीं पर ही है कहीं...
ना पुकारो
ना कोई आवाज़ दो
बस हल्का सा इशारा ही कर दो सही
दिल तो कहता है आप यहीं पर ही है कहीं...

वैसे तो दुनिया में हसीन है कई
मगर दोस्त हर किसी को कहां जाता नहीं
आपको ना हो हमारी जरूरत
मगर अपना गुज़ारा आपके बिन चलता ही नहीं
दिल तो कहता है आप यहीं पर ही है कहीं...
आप यही पर ही है कहीं...

#रोमिल

Wednesday, August 6, 2008

Jiski Subah Nahi Hoti, Yeh Woh Raatein Hai...


AAP JANTE HO!

Yahaan Dava Dete Hai, Zakhm Dene Ke Baad,
Yahaan Sahara Dete Hai, Thokar Dene Ke Baad,
Yahaan Waafa Ki Baatein Karte Hai, Bewafai Karne Ke Baad.

Aaj Se Maine Sochana Chhod Diya Yeh Sab Beekar Ki Baatein Hai,
Jiski Subah Nahi Hoti, Yeh Woh Raatein Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, June 16, 2008

Yahaan har shakhs apne mein jeeta hai...

Yahaan… 

  Ek ghar mein diwali ki roshani, dusare ghar mein aandhere ka sannata pasara rehta hai. 
Koi ghar khushiyon ke saath to Koi gum ke saath yahaan soota hai. 
Kisi ke pass fursat nahi do pal gum baatane ke liye, 
Yahaan har shakhs apne mein jeeta hai...

Sadak par naa jaane kitne, apne bebasi ki kahani kehate hai, Dard main rote hai, Cheekhate hai, Chillate hai, Magar yahaan koi kisi ki awaaz nahi sunta hai…. 
 Kisi ke pass fursat nahi do pal ghum battane ke liye, 
Yahaan har shakhs apne mein jeeta hai...

Bhookh se tadapta rehta hai insaan yahaan, Shehar ke nukkad par roz marta, roz jeeta hai, Barsaat ke pani mein sar chupaye baitha rehta hai, Dhoop sehta hai, Sardi mein thithurtha rehta hai, 
Magar yahaan shehar ke shor mein kisi ko koi dard sunaiye nahi daita hai… 
Kisi ke pass fursat nahi do pal gum baatane ke liye,
Yahaan har shakhs apne mein jeeta hai……
[written by romil arora - copyright reserved]