Showing posts with label judai.... Show all posts
Showing posts with label judai.... Show all posts

Sunday, April 17, 2011

फूल रास्ते पर बिखरे हुए नहीं देखे जाते...

फूल रास्ते पर बिखरे हुए नहीं देखे जाते
किसी की भी आँखों में आंसू के समुन्दर नहीं देखे जाते...
***
सालों बीत गए हैं 
उसकी एक भी खबर नहीं मिली रोमिल 
क्या जुदा होने के बाद 
हालचाल भी नहीं पूछे जाते...

#रोमिल

Tuesday, May 11, 2010

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate...

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate
tere aankhon mein samundar nahi dekhe jaate...
*
kuch baat to jarur hai jo tum baat nahi karti
warna doston ki mehfil mein dushman nahi dekhe jaate...
*
saalon beet gaye hai
uski ek bhi khabar nahi mili Romil
kya juda hone ke baad
haalchal bhi nahi liye jaate...

#romil arora

Tuesday, September 22, 2009

uski judai tujhe pagal na bana de

uski judai tujhe pagal na bana de romil
tu dariya hai woh sagar hai
zara apni aukaat to dekh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 24, 2009

uski tarah kya bichadata hai koi?

log melon ja kar bhi nahi bhoolte hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

_____

khafa rahe woh mujhse koi gila nahi

kabhi-kabhi nazre to mila sakti hai...

uski tarah kya nazre fher lrta hai koi?

_____

hawaa bhi darwaza dhakel kar ghar mein ghus aati hai

kabhi tum bhi hawaa ki tarah ghar mein aa jaya karo

kya itna bhi haq apno par rakhta nahi koi?

_____

subah hote hi chiraiyaa aakar baith gai mere ghar ki munderi par

main door sadak tak tumhara rastha dekhta raha

fir Rab se bola kya apne ghar ka rasta bhool jata hai koi?

_____

ek pareshani rehti hai

uljha rehta hu is baat mein

aakhir kya wajah thi judai ki

"usne kahan tha...

daulat aur jism do hi cheez hai is duniya mein"

aao fir se soch kar dekhe

shayad isse behtar wajah ho koi?

_____

log melon ja kar bhi nahi bhoolate hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 16, 2009

nadaan-e-dil

nadaan-e-dil tu kyon uska khayal baar-baar lata hai...
jo juda hua woh kab apna tha yeh to mujhe bata...
[written by romil arora - copyright reseved]

Friday, May 15, 2009

qayamat

qayamat ka din kab aayega yeh mujhe pata to nahi...

magar itna jarur janta hu ki 
yaar ka bicharana kisi qayamat se kam hota nahi...

#Romil

कयामत का दिन कब आएगा यह मुझे पता तो नहीं... 

मगर इतना जरुर जानता हूं कि यार का बिछड़ना छोड़ना किसी कयामत से कम होता नहीं... 

#रोमिल

Monday, January 5, 2009

judai

agar woh humse rubaru hokar juda ho jaate 
to dil ko manana aur muskil ho jaata...

ab dil ko keh kar behla lete hai...
jisse kabhi mile nahi, usse judai kaisi...?

#Romil

अगर वो हमसे रूबरू होकर जुदा हो जाते 
तो दिल को मनाना और मुश्किल हो जाता... 

अब दिल को कहकर बहला लेते हैं... 
जिससे कभी मिले नहीं, उससे जुदाई कैसी? 

#रोमिल

Monday, September 8, 2008

Yeh Judai Ka Zehar Tujhe Kaise Du!

Apni Baahon Ka Haar Tujhe Kaise Du,
Mohabbat Ka Salaam Tujhe Kaise Du,
Kaise Tere Armaan Sab Poore Kar Du,
Saath Dena Chahte Hai Hum, Tera Zindagi Bhar,
Magar Yeh Saansein Saath Chhod De,
Yeh Judai Ka Zehar Tujhe Kaise Du!
~*^^^*~
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Friday, August 8, 2008

Koi Nahi Marta....

Sanam...Duniya-e-Jahaan Kehti Hai...
Mohabbat-e-Judai Se Koi Nahi Marta,
Sanam-e-Judai Se Koi Nahi Marta,
Marne Walon Ke Saath Koi Nahi Marta.

Magar Sanam...
Maine Jaise Hi Phoolon Ki Daali Se
Ek Phool Ko Juda Kiya,
Kuch Hi Pal Mein Woh Murjhakar Marr Gaya.
Shayad Juda Hone Se Bhi Marr Jate Hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, August 7, 2008

Hum-Tum Judaa Ho Gaye.....


Sanam...Chand Lamho Ka Saath,

Zindagi Bhar Ka Ehsaas Tha,

Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye,

Shayad...Naseeb Ke Haanthon Majboor Ho Gaye,

Duniya Taali Baaja Kar Dekhati Rahi Nazara,

Aur Hum-Tum Judaa Ho Gaye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 1, 2008

Jahan Dekhu Main...

************
!*!Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Tere Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai!*!


"Juda Zameen-O-Aasmaan Hai"
"Juda Daali Se Phool Ho Jaata Hai"
"Juda Rishte Se Ristha Ho Jaata Hai"
"Juda Sharir Se Rooh Ho Jaati Hai"
"Juda Mehboob Se Mehboob Ho Jaata Hai"
~!~koi bhi yahaan saath nahi rehta hai
yeh tune kaisi duniya banai hai~!~


!*!Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai!*!
[written by romil arora - copyright reserved]