Showing posts with label Udaas. Show all posts
Showing posts with label Udaas. Show all posts

Saturday, August 8, 2009

09th August

09th august....bole to logon ke liye ek date hai...magar mere liye zindagi ka woh pal hai jise main khona nahi chahta...kuch yaadon ke liye...kuch khud par muskurane ke liye...kuch shararati baaton ko yaad karne ke liye...kuch khawabon ke tootne ke liye...kuch rab se narazgi karne ke liye....kuch aansoo bahane ke liye...kuch uske intezaar ke liye....kuch beetein lamho ke liye...
~~~~~~~~~~~~~~
"aaj kuch dair ko dil udaas hai
na jaane
na jaane
kis ka intezaar hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
apni bheeghe hue aankhiyon ko
har pal
har ghadi
mausam ke badalne ka khawab hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
thehar gaya hai kahi waqt mera
marr chuke saare khawab hai
us dard ko dastak deti
na jaane kis ki aawaz hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
kho gaya woh andaaz bhi
kho gai woh muskaan bhi
raat bhi thehari hui
na jaane lati kis ka paigam hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
samaj na paya koi
na samaj koi payega
kho diya usko, jiski paane ki aarzoo hai
na jaane mohabbat ka kya anjaam hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai..."
~~~~~~~~~~~~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 11, 2008

udaas...

Jab bhi udaas hota hu,
Sara jahan mera dil-e-haal puchata hai,
Magar kambhakt woh kuch nahi puchata
Jiske liye main udaas hota hu!

#Romil

जब भी उदास होता हूं 
सारा जहां मेरा दिल-ए-हाल पूछता है 
मगर कम्बख़्त वो कुछ नहीं पूछता है 
जिसके लिए मैं उदास होता हूं! 

#रोमिल

Wednesday, October 1, 2008

jab tere pass honga main.

hoonton par haanshi hogi,
khushi hi khushi hogi,
jab tere pass honga main.
~*~
chand sitaron se karenge baatein,
jab tere pass honga main.
~*~
honge din pyar ke,
honge raatein pyar ki,
jab tere pass honga main.
~*~
mat hona kabhi bhi udas,
tumko hai yeh kasam,
zindagi bhar tere pass honga main.
[written by romil arora - copyright reserved]

Jab Tere Pass Hu Main.


Kyon Udaas Ho Tum,
Jab Tere Pass Hu Main.
Aankhon Main Aansoo Hai Kyon,
Jab Tere Pass Hu Main.
~
Dil Yeh Kehta Hai Simat Jayo,
Baahon Main Sanam Aa Jayo,
Jab Tere Pass Hu Main.
~
Sanam Main Hu Diwana,
Tera Diwana,
Just Tell Me Kyon Udas Ho Tum,
Jab Tere Pass Hu Main.
~
Luv Me Just Luv Me Sanam,
Jab Tere Pass Hu Main.
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 22, 2008

Chehari ke udasi.....


Chehari ke udasi se har baar main kehta hu...
"Dost, Mehfil Main Mat Aaya Karo,
Sabke Samne Hamara Maazak Mat Banaya Karo"

Chehare ke udasi kehta hai....
"Jab Mehfil Main Tumko Tanha Dekhati Hu Dost,
To Mujhse Raha Nahi Jaata Hai,
Bas Teri Tanhai Durr Karne Main Chali Aati Hu,
Bas Tera Saath Daine Main Chali Aati Hu,
Koiye Na Ho Tera Par Mujhko Apna Samajhana,
Main To Har Waqt Tere Saath Rehana Chahti Hu,
Tera Saath Nibhana Chahti Hu"
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 2, 2008

Udasiyaan Chah Jaati Hai!


Udasiyaan Chah Jaati Hai!

Jab se tum ho gaye ho gair ki,
Tera naam laite hu main to udasiyaan chah jaati hai!

Tumhari yaadon main hamesha khoya rehta hu main,
Jab yaad, taraf ban jaati hai to udasiyaan chah jaati hai!

Lakhon dard hai is dil main tere jaane ke baad,
Main jab bhi muskurata hu to udasiyaan chah jaati hai!

Jaane kis kadar ho gaya hu maayush khud se,
Jab kisi se tumhari baatein karta hu to udasiyaan chah jaati hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, June 27, 2008

Udas chehar ko fhir se khila do....


Udas chehar ko fhir se khila do....



Tumse kehta hu main,

mujhe lautha do maire muskurahat,

Udas chehar ko fhir se khila do....



Ab to aaisa lagta hai jaise,

chand main chandani na ho,

mausam main aawaragi na ho,

phoolon main khusboo na ho,

panchiyoon main jaise aawaz na ho.....



Udaas chehar fhir se khila do,

khila do maira udaas chehara fhir se,

ab yeh veeraniya mujhe pasand nahi hai..



Rabb ka wasta hai tumko,

maire fariyad hai tumse,

ab na mujhko aur satao,

khila do maira udaas chehara fhir se,

ek baar mujhse milane tum aa jayo!

ek baar fhir apna chehara mujhe dekha jayo!

ek baar fhir apni aawaz mujhko suna jayo!

Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....

[written by romil arora - copyright reserved]