Showing posts with label dard.... Show all posts
Showing posts with label dard.... Show all posts

Wednesday, August 7, 2019

jo roz sehte hai... lafz unke labo pe dard banke rehte hai....

jo roz sehte hai...
lafz unke labo pe dard banke rehte hai...

#Romil

जो रोज़ सहते है...
लफ्ज़ उनके लबों पे दर्द बनके रहते है...

#रोमिल

Monday, August 26, 2013

yeh jo dard ka darakht hai, kabhi sukhata nahi hai.

yeh jo dard ka darakht hai,
kabhi sukhata nahi hai.

main har pal mein muskurata rehta hoon
fir bhi yeh udas chehare kamal ki tarah khilata nahi hai.

raat ki bheegi-bheegi chaton ki tarah
meri aankhon mein bhi yeh sawan rukta nahi hai.

aur

Romil, kuch dino ke baad tumko bhi poojenge log
har kisi ko ishq mein itna uccha auda milta nahi hai.

Thursday, December 8, 2011

दिल रो पड़ता है

इश्क में दर्द है इतने मिले की.... दिल रो पड़ता है,
ज़माने ने दिए इतने सितम की सोचकर, दिल रो पड़ता है.

मुस्कुराते रहे सब देखकर हमारा तड़पना,
आज भी जब याद आता है उनका मुस्कुराता चेहरा, दिल रो पड़ता है.

उनकी राहों में हमेशा रहे मर-मिट जाने को हम,
देखकर उनका नज़रे हमसे फेरना, दिल रो पड़ता है.

कभी होते थे हम ही उनकी आइना-ए-नज़र रोमिल,
फूलों से जब कोई आइना तोड़ता है, दिल रो पड़ता है
.

#रोमिल

Saturday, November 19, 2011

दर्द इतना बढ़ गया है कि अब क्या सुनाये

दर्द इतना बढ़ गया है कि अब क्या सुनाये,
आँखें हो गई है पत्थर, कितना इंतज़ार और हम कर पाए,
मर जाने दो, बस खुली रहेंगे आँखें हमारी,
तुम्हारे इंतज़ार में बोलो इससे ज्यादा और क्या कर जाये!
बोलो! बोलो ! बोलो रोमिल !

Tuesday, October 4, 2011

कभी तुमको न मैं सताऊंगा

कभी तुमको न मैं सताऊंगा
मोहब्बत-ए-दर्द तुमको न बताऊंगा,
वादा है मेरा, दूर इतना मैं चला जाऊँगा,
चाहे जितना भी तुम पुकारो,
वापस नहीं आऊँगा!

#रोमिल


Wednesday, September 14, 2011

फूलों को भी काँटों का दर्द पता होना चाहिए

बहारों से कभी फुरसत मिले तो हमसे भी पल दो पल गुफ्तगू कर लेना
फूलों को भी काँटों का दर्द पता होना चाहिए रोमिल...

#रोमिल

Monday, May 17, 2010

PHIR TOOTA KYA HAIN...

AANKHON MAIN CHUPA HUA YEH DARD KYA HAIN...
DIL NAHI, SAPNA NAHI, UMEED NAHI... PHIR TOOTA KYA HAIN...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 4, 2010

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad bhi nahi toota apna rishta dard se Naaz
tu ja chuki hai fir bhi hum yaadon mein rote hai...

#Romil

तेरे जाने के बाद भी नहीं टूटा अपना रिश्ता दर्द से नाज़
तू जा चुकी है फिर भी हम यादों में रोते है...

#रोमिल

Tuesday, December 8, 2009

Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se...


Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Aankhen nahi bheegi hain meri sirf
Aankh to bhar aaye hogi uski bhi bewafa kehlane se....
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Kuch to baat hain jarur
Jo mere aangan main chand utarata nahi
Kuch to baat hain jarur
Jo mere aangan main chand utarata nahi
Kya mila hoga sitare ko chand ke kaan bharane se...
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Mujhko dekha kar andhere ka raasta
Kya mila hoga usko roshani se...
~*~
Jo hum unko rabb kehte hain
Woh kya jaane unki kya hain keemat
Koiye aakar puche to humse...
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 17, 2009

har musafir ka...

har musafir ka aashiana nahi hota
pathar kisi ka khuda nahi hota...
~*~
ujadh jaati hain bastiya chand paloon main
toofan kisi ka humdard nahi hota...
~*~
beet jaati hain jawani doston main
bhudhape ka koiye saathi nahi hota...
~*~
zakhm dekhane hain jo mere dil main jhakho
chehare se apna haal-e-bayaan nahi hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 12, 2009

main jaanu na...

tera dil maine thoda
tujhe tanha maine chod
kyon taraf raha hain mera dil
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...
________
tu hain mere dil ki khushi
tu hain mere hoonton ki haansi
kyon gire hain aankhon se aansoo mere
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 12, 2009

patjhad ke baad...

patjhad ke baad baahar ke mausam aate hai
dard chahe jitna bhi gehra ho
do-char din ke baad bhar jaate hai...
!*!
nahi rukate hai to bas aansoo, aankhon mein
log to milte hai
fir bichad jaate hai...
!*!
is shehar mein aitbaar kis ka kare hum
yahan to log hadsa dekh kar, sar jhuka kar, chup-chap bagal se nikal jaate hai...
!*!
patjhad ke baad bahar ke mausam aate hai
dard chahe jitna bhi gehra ho
do-char din ke baad bhar jaate hai...


#Romil

पतझड़ के बाद बाहर के मौसम आते हैं 
दर्द चाहे जितना भी गहरा हो 
दो-चार दिन के बाद भर जाते हैं... 

नहीं रुकते हैं तो बस आंसू, आंखों में 
लोग तो मिलते हैं 
फिर बिछड़ जाते हैं... 

इस शहर में ऐतबार किसका करें हम 
यहां तो लोग हादसा देखकर, सर झुकाकर, चुपचाप बगल से निकल जाते हैं...

पतझड़ के बाद बाहर के मौसम आते हैं 
दर्द चाहे जितना भी गहरा हो 
दो-चार दिन के बाद भर जाते हैं...

#रोमिल

Wednesday, March 25, 2009

uske deedar ke liye...

uske deedar ke liye dil muddat se beqarar tha

naseeb to nahi the milane ke,

fhir bhi aankhon ko intezaar tha...

***

chor kar raah main akela, chal diya mujhko

main baitha raha rashtee main tanha

mujhe uske laut aane ka yakeen tha...

***

milkar rukhsat bhi na kar saka usko

mere allah ka yeh kaisa insaaf tha...

***

aaj tak yeh nahi samaj paya romil

kyon mere zindagi main, nahi kisi ka pyar tha...

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 20, 2009

mausam rangeen...

mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...
~
kisse kahe dard apna
har koiye to hain yahaan begana...
manzile hain juda-juda
fhir bhi begano sang hain chalte jaana...
~
na koiye shikwa-gila
na koiye ab kissa hain batana
bas mujhe akele hi chalte jaana...
mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 16, 2009

---guftagu---

bahaaron se kabhi fursat mile to humse bhi pal do pal guftagu kar lena
phoolon ko bhi kaanton ka dard pata hona chahiye...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, March 13, 2009

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Tuesday, March 3, 2009

dard-e-aawaz

is shehar main lagta naye aaye ho Romil
jo sun kar meri dard-e-aawaz, haal-chal puchane aa gaye...
[written by Romil Arora-Copyright Reserved]


Monday, December 15, 2008

Dil-e-dard to hota hai.

Koiye apna juda ho jaye
Dil-e-dard to hota hai.
Jab koiye sapna tooth jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Hum karte rahe intezaar jinka saalon tak
Woh pal bhar main begane ho jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Hum karte rahe waafa par waafa
Unko yakeen na aaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~

Maana hum nahi unki hasiqat ke kaabil
Magar woh is tarah humko tanha chod jaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~
Jo hamare naam se rachate the mehandi apne haanton ke
Woh haath kis aur ke baahon main naazar aaye
Dil-e-dard to hota hai.
~~~

Hum unki bewafai jaan kar bhi unki raahon main rahe
Magar woh thokar maar kar aagey badh jaye
Dil-e-dard to hota hai.
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, October 8, 2008

Dard

Mere Mohabbat-e-Dard Ka Pata Karna Hai To Meri Hansi Mein Dhoond Lo,
Mujhe To Aadat Hai Muskurakar Dard Chupane Ki!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 28, 2008

kala....

Dukh main sukh ke deep jalana kala hoti hai,
Dil main ho gum, hoonton par khushi rakhana kala hoti hai,
Apna dard to sabhi jee laite hai,
Dusaron ka dard batana kala hoti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]