Showing posts with label Gunah.... Show all posts
Showing posts with label Gunah.... Show all posts

Saturday, September 22, 2018

Sau gunah kar sakta hun...

karne ko to Miya... Sau gunah kar sakta hun...
Par baat sirf itni si hai...

Khuda ke ghar 33% passing marks ke saath nahi...
99+% marks lekar jaana chahta hun...

#SultanWrites

Thursday, September 20, 2018

khuda ki razaa mein razi ho jao to...

Log kehte hai...
khuda ki razaa mein razi ho jao to sukun-chain mil jayega...

Magar rooh bolti hai...
Uske siwa kisi ko chahta hun to aisa lagta hai gunah kar raha hun main...

#RaJWrites

Wednesday, September 5, 2018

Aisa koi gunah to mujhe yaad nahi...

Aisa koi gunah to mujhe yaad nahi
jiske evaz mein mujhe tujhse mohabbat hui hai...

Fir bhi roz raat Khuda se pucchata hun agar na-samjhi mein koi khata ho gai ho to mujhe bhi eltilaa kar de.
Ho sake to baksh de mere gunah ko.

#RaJWrites

Sunday, August 26, 2018

Har Roz Gunah Karta Hun...

Apne Shauhar ki gair maujoodagi mein 
gair mardon se baatein karti ho...
aur
Duhai izzat ki deti ho...

Shauhar ki gair haazri ka fayda dilfhek auratein uthati hai...
Izzatdaar auratein nahi...

Aur Rahi baat meri...

Janta Hu...
Kisi gair aurat ka khayal bhi dil mein lana Khuda ki nazar mein gunah hota hai...

Har Roz gunah karta hu...
Har Roz sharminda hota hun...
Har Roz maafi mangata hun...

Ab to lagta hai jaise gunah karne ki aadat si pad gai hai...

- RaJ

Sunday, November 23, 2008

tO kya gunah kiya...

kISI se pyar chaha
tO kya gunah kiya.
jO pal-do pal ka saath chaha
tO kya gunah kiya.
~
wO dete rahe dhoka muskurakar
hUMNE aitbar chaha
tO kya gunah kiya.

~
uNKE diye dard pakar bhi hum khamosh rahe
jO unka sukh chaha
tO kya gunah kya.
~
nA allah maana
nA ram maana
mAINE to yaar ko rab maana
tO kya gunah kiya.
[written by romil arora - copyright reserved]