Showing posts with label Haseen Manzarkashi. Show all posts
Showing posts with label Haseen Manzarkashi. Show all posts

Tuesday, September 11, 2018

Haseen Manzarkashi : Kabhi dekha hai...

Haseen Manzarkashi

Kabhi dekha hai Masoom sa baccha apni maa ke thuthan ko apne mooh mein lagaye hue so jaata hai aur neend ki agoshi mein hi apne hoonton ko chalata rehta hai...

Tumhari yaadein bhi usi tarah hai jo hamesha chalti rehti hai mere jehen mein...
Main chahe kitna bhi mashruf rahu...
Kitna bhi duniadaari mein uljha rahu...
Kitna bhi neend mein rahu, khawab tumhare hi chalte rehte hai...

#RaJWrites

Haseen Manzarkashi : Samundar ke beech mein jab dubate hue Chand ki Chandni girti hai...

Haseen Manzarkashi

Samundar ke beech mein jab dubate hue Chand ki Chandni girti hai... 
To aisa maloom hota hai ki jaise samundar ke beech roshani ka ek pul sa ban gaya ho...

Aur hum dono us pul ke saath hi batt chuke ho...
Ek taraf main aur dusari taraf tum ho...

Ek mohabbat ke samundar mein hote hue bhi dono alag-alag batt chuke hai... Aur hamare beech mein tumhare maazi se bana hua ek pul hai...

#RaJWrites

Monday, September 10, 2018

Haseen Manzarkashi: Kabhi ghar ki chhat pe tanha...

Haseen Manzarkashi

Kabhi ghar ki chhat pe tanha akele khade ho aur door-door tak sannata pasra hua ho... Ek ajeeb si khamoshi dil ko ubau bana rahi ho... 

Tabhi eka-ek chhidiyon ka jhund kahi se aa jaye aur ghar mein lage ped par baithkar chi-chi-chi ki aawazein karne lage...

Saara manzar hi badal jaata hai...

Yeh manzar bhi uski yaadon se rubaru karwa deta hai... Woh bhi, uski baatein bhi chhidiyon ke jhund jaisi hai, hamesha chi-chi-chi... Saari khamoshi, akelepan, sannata ko nigal jaati hai...

#RaJWrites

Sunday, September 9, 2018

Haseen Manzarkashi : Jab samundar ki lehrein...

Haseen Manzarkashi

Jab samundar ke kinare khade ho aur samundar ki lehrein dheere-dheere, chupe-chupe, dabe paav aapke qareeb aati hai aur aapke qadmo ko sparsh kar chali jaati hai...

Yeh ehsaas mujhe uski yaad dila deta hai... 

Jaise woh bhi mujhe door se dekhkar apni nazron se mehsus kar, bina koi sugbugahat kiye bairan ulte paav wapas laut jaati hai...

#Romil

हसीन मंज़रकशी

जब समुंदर के किनारे खड़े हो और समुंदर की लहरें धीरे-धीरे, चुपके-चुपके, दबे पाँव आपके क़रीब आती है और आपके क़दमों को स्पर्श कर चली जाती है...

यह एहसास मुझे उसकी याद दिला देता है...

जैसे वो भी मुझे दूर से देखकर अपनी नज़रों से महसूस कर, बिना कोई सुगबुगाहट किये बैरन उल्टे पाँव वापस लौट जाती है...

#रोमिल

Haseen Manzarkashi... Jab usko dekhta tha...

Haseen Manzarkashi...

Jab usko dekhta tha... tab aisa lagta tha jaise dil ke is samundar mein suraj utar raha ho... 
apne noor se mere dil ka kona-kona roshan kar raha ho... 
poore samundar par usne apni roshani se kabza kar liya ho... 
shaam beetate hi samundar ki shaant padi lehron sang woh doob jaata ho...

har samundar ko yeh lagta hai woh suraj sirf uska hai, usi mein sama jayega... par woh suraj to sirf ek hai aur na jaane kitne samundaron mein roz samata hai...

#RaJWrites