Showing posts with label zakhm. Show all posts
Showing posts with label zakhm. Show all posts

Sunday, September 9, 2018

Zakhmo ko seechane se...

Zakhmo ko seechane se kuch haasil nahi hoga...
Balki nasur ban jayenge...

#SultanWrites

Thursday, June 21, 2018

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...
Fir hum unhi zakhmo ke lahoo se teri tasveerein banate hai...

Jism kar diya katra-katra...channi-channi...
Par rooh uska naam pukarti rahi...
Jaane kaise log hai yeh,
Haawaon ke pairon mein zanzeerein dalte hai...

Main aaj bhi Mohabbat-e-Gultasta banata hun...
Woh log aaj bhi nafratein batate hai...

aur

Kyon badal jaata hai insaan, main samajhane laga hun...
Log har cheez ko aajkal daulat ke tarazu mein taulate hai...

- Romil RaJ

Thursday, April 8, 2010

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Monday, September 21, 2009

pathar

jis pathar ko hum apna khuda kehte the
ussi pathar se humko zakhmi kiya gaya hain romil
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 17, 2009

har musafir ka...

har musafir ka aashiana nahi hota
pathar kisi ka khuda nahi hota...
~*~
ujadh jaati hain bastiya chand paloon main
toofan kisi ka humdard nahi hota...
~*~
beet jaati hain jawani doston main
bhudhape ka koiye saathi nahi hota...
~*~
zakhm dekhane hain jo mere dil main jhakho
chehare se apna haal-e-bayaan nahi hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, August 24, 2008

Zindagi ...


Kehne Ko To Zindagi Bahut Choti Hai,
Dushman-E-Rabb Tune Zakhm De-Dekar Usko Baada Bana Diya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Zakhmo Ka Ishtihaar


Har Kisi No Nahi Naazar Aate Zakhm,
Jitne Aandar Hai Utne Hi Hai Baahar,
Dushman-Rabb Ne Sirf Diye Hai Zakhm,
Ab To Lagta Hai Aaisa Jaise Main Hu Zakhmo Ka Ishtihaar!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 11, 2008

Zakhmo Se Rishta...

Kab Tak Unke Diye Zakhmo Ko Mohabbat Ki Nishani Kehte Rahe Hum,

Aaj In Zakhmo Se Rishta Toodh Dete Hai Hum!
[written by romil arora - copyright reserved]