Showing posts with label Bachpan. Show all posts
Showing posts with label Bachpan. Show all posts

Sunday, September 9, 2018

Khuda ki khud to koi...

Khuda ki khud to koi Aulad hai nahi...
Use kya pata Aulad khone ka gum...

Jab kisi Walida ke samne uski Aulad, 
Mitti ke dher mein dhaap di jaati hai na tab uske liye manzar koi qayamat se kam ka nahi hota...

Hum fir bhi Khuda ki shaan mein qaseede padte hai. Reham ki dua mangate hai...

Tujhe kho du itni himmat nahi hai mujhmein...

#SultanWrites

Saturday, February 28, 2009

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekhkar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

#Romil

खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था
रोज़ बनाता था नए ख़्वाब 
फिर उसे तोड़ दिया करता था...
~
चाँद को देखकर
बर्फ का गोल, गोला बना लिया करता था,
दिन में तितलियों से
रात में जुगनू से दोस्ती किया करता था,
एक ही फन आता था मुझे
मैं दूसरों के दुःख में रो लिया करता था...
~
खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था...

#रोमिल

Tuesday, February 17, 2009

aa fhir chale bachpan ki yaadon main...

aa fhir chale bachpan ki yaadon main
fhir unhi khawabon main, unhi khayalon main
fhir unhi kheelon main
fhir unhi baaton main...
~
aa choti-choti baaton par ladai kar le
fhir khud-ba-khud maan jaye
aa fhir rote-rote aankhen suja le
fhir kisi choti se baat par muskura de...
~
aa fhir kaagaz ki naav bana le
fhir usse barsaat ke pani main baha de
aa fhir koiye kare shararat choti se
fhir kisi pedh se phal chura le...
~
aa fhir chale NAAZ bachpan ki yaadon main
fhir unhi khawabon main, unhi khayalon main
fhir unhi kheelon main
fhir unhi baaton main...

[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, February 3, 2009

Bachpan ke mausam fir nahi aate...

bachpan ke mausam fir nahi aate
ki jaane wale log fir nahi aate
magar dil kyon rehta hai yaadon mein gumsum
toote hue shaakh par phool nahi aate!
[written by romil arora- copyright reserved]

Saturday, January 31, 2009

bachpan ki mohabbat ko...

bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...
~
chandani raaton mein chand mein mera mukhda dekhna
hawaon ke saath mujhko sandesha bhejna
jab aaye kisi ke aane ki aahat
dil ko samjhana, mera khawab samajhana
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...
~
fariyad bas itni hai apna khayal rakhna
kabhi aankhon ko narm mat karna
honton par sada muskan rakhna
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...

#Romil

बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना... 

चांदनी रातों में चांद में मेरा मुखड़ा देखना 
हवाओं के साथ मुझको संदेश भेजना... 
जब आए किसी के आने की आहट दिल को समझाना... 
बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना... 

फरियाद बस इतनी है अपना ख्याल रखना 
कभी आंखों को नर्म मत करना 
होठों पर सदा मुस्कान रखना
बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना...

#रोमिल

Wednesday, September 10, 2008

Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein...

~*~Naaz~*~
Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein,
Thodi Nadani, Thodi Se Manmani,
Har Pal Karna Shaitani.
---------------------------
Koi Kuch Kahe To Aankhon Mein Aansoo,
Chocolate De To Honton Par Muskaan.
---------------------------
Zara Si Tabiyat Kharab Ho To Ghar Bhar Pareshan,
School Main Masti, Teacher Pareshan,
Nazron Se Door Ho Jau To Dost Hairan.
---------------------------
Ek-Dusare Ki Nazron Mein Khuda Nazar Aata Tha,
Mann Hi Mann Koi Apna Nazar Aata Tha.
---------------------------
Yaad Hai Woh Bachpan Ki Baatein,
Thodi Nadani, Thodi Se Manmani,
Har Pal Karna Shaitani.

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tuesday, May 20, 2008

MAIN BACHPAN

"MAIN BACHPAN"

Gulabo Ki Tarah Khilte Hue Dekhna Chahta Hu Main Har Kisi Ka Bachpan,
Har Baache Ke Hooton Par Muskaan Ki Tarah Khilta Hua Dekhna Chahta Hu
Main Bachpan.....

Mat Jhokho Bachpan Ko,
Kaam-Kaaj Ki Kaali Aandhi Mein,
Har Baache Ke Haaton Mein Kalam-Kitab Ki Tarah Dekhana Chahta Hu
Main Bachpan.....

Aankhon Mein Sunhere Bhavish Ke Sapne,
Apne Bharat Ko Inke Haaton Mein Fhalte-Fhulte Dekhna Chahta Hu
Main Bachpan......

Jis Tarah Bekaar Hua Mera Bachpan,
Ab Nahi Kisi Ka Bachpan, Kharab Hote Dekhna Chahata Hu
Main Bachpan....

Har Baache Ke Liye Kuch Karna Chahta Hu
Main Bachpan......
Sabko Khushiya Dena Chahta Hu
Main Bachpan.....
[written by romil arora - copyright reserved]