Showing posts with label khawab.... Show all posts
Showing posts with label khawab.... Show all posts

Tuesday, July 31, 2018

Tumse Milne se pehle...

Tumse Milne se pehle
mere pass khawab the...
ek  apni haseen zindagi ke baare mein sochata tha... jismein makaan, gaadi, dunia ki sab behtareen aaram-sukun-saaj-o-samaan ho...

"tum kya mili zindagi mein khawab ke maane hi badal gaye... 
saare khawab bas tumko paane tak hi simat gaye..."

ab jo mil hi gai ho to
mil bhi jao...

- raj

Wednesday, July 25, 2018

Khawab to khawab hi hote hai... Kabhi na kabhi to jaagna padega hi...

NaaZ keh rahi thi...

Khawab to khawab hi hote hai...
Kabhi na kabhi to jaagna padega hi...

- Sultan

Wednesday, May 9, 2018

Mehange Khawab...

Ik bhi rupiya fhijul kharchi ki izajat nahi deti hai mujhe meri rooh...
Maine khawab jo itne mehange paal rakhe hai...

- ⛅

Thursday, December 15, 2011

यहाँ सपने तिनके की तरह बिखर जाते है...

यहाँ सपने तिनके की तरह बिखर जाते है,
हर अपने कांच की चूड़ियों की तरह टूट जाते है,
किस-किसको समेटे अपने आँचल में हम,
ज़िन्दगी की आंधियों में आँचल उड़ जाते है…

कितना बदला-बदला इंसान का चेहरा नज़र आता है,
कभी दोस्त तो कभी दुश्मन यह चेहरा नज़र आता है,
मतलब के रिश्तों की डोर सभी ने अपने हाथों में थाम रखी है,
मुख में राम तो बगल में छूरी छुपा रखी है….

सिर्फ परछाईयों में यार नज़र आते है,
ज़िन्दगी की दौड़ में दोस्त पीछे छूटे हुए नज़र आते है,
दो कदम का साथ पाना तो नामुमकिन है,
रोमिल, यहाँ लोग जनाज़े पर भी मतलब निभाने आते है…..

यहाँ सपने तिनके की तरह बिखर जाते है...

Sunday, October 30, 2011

ज़िन्दगी खवाब हो गई...

जाने क्या खता हो गई
ज़िन्दगी जुदा हो गई
टूटे कुछ इस तरह से अपने ख़वाब रोमिल
ज़िन्दगी ख़वाब हो गई...

Saturday, June 4, 2011

tere bina neend hi nahi aati mujhe...


Tune use muskhiloon mein daal diya Romil
Woh toh kehta tha ki tere bina neend hi nahi aati mujhe...

Wednesday, December 30, 2009

raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...


~*~
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
chod aaye apna dil tere pehlu main
teri mehak apne saath le aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
yunh to tha main ek pathar ki bani hue murat
tumne chua to mom ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
humne har baar khuda se yahi manga tha
jab bhi unke kareeb hum jaye
tab barsaat aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
mujhse puche mera zameer
jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, December 18, 2009

aaise bichade woh ki...

aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
jinse kabhi hoti thi
apni sehar
woh raaton ke saathi reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
tinka-tinka toote hain gulab ki pankhudhi ki tarah
unke pehlu main na sahi
unke qadamo main marr kar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
mujhse na pucho meri deewangi ki inteha
unse waafa na mili
to unki bewafai ke qaayal reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
koiye puche jab humse aansooyoon ki wajah
keh na paye unse kuch
bas muskurakar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye..
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 31, 2009

na jaane kya hua???

paaon zameen par rehte nahi hain

aasmaan main udata rehta hu kyon

dil hain mera bhekha, bhekha kyon

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

~*~

jab se dekha chehara hain woh

aankhon main kaiye khawab hain kyon

raaton main neend aati hain

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

~*~

uske hoonton ki woh haansi

barsaat main khelati woh pari

dupatta haawaon main udata hua

baar-baar usko sochata rehta hu kyon

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

~*~

pal-pal nazarein usko dhundati hue

madhosi main nazarein khoye hue

aalam yeh lagta hain badla-badla kyon

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

~*~

saansein hain khoye-khoye

intezaar main uske soye-soye

baar-baar usse milana chahe yeh dil kyon

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

~*~

paaon zameen par rehte nahi hain

aasmaan main udata rehta hu kyon

dil hain mera bhekha, bhekha kyon

na jaane kya hua???

na jaane kya hua???

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 29, 2009

mann mera udata phere

mann mera udata phere

chahe sab kuch

mann yeh kare... 2

na ho bandishe

na kisi ki sune

mann mera udata phere

chahe sab kuch

mann yeh kare... 2

aankhon main kaiye khawab liye

fhirta hu main mohabbat ka liye...

mann mera udata phere

chahe sab kuch

mann yeh kare... 2

rim-jhim baarish

bheega-bheega mausam

haawaon se baatein kiye

mann mera udata phere

chahe sab kuch

mann yeh kare... 2

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 28, 2009

ek bhawara...

ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...
ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...
kabhi is daali
kabhi us daali
udhe dil mera - 2

kabhi is phool par
kabhi us phool par
ja baithe dil mera... - 2
ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...

kabhi mohabbat
kabhi shararat
kare dil mera... - 2
ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...
sapne sajata
khawab banata
rahe dil mera - 2
kabhi khush hua
kabhi rota
mile dil mera - 2
kabhi jaadoo
kabhi khushaboo
kare dil mera - 2
ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...
ek bhawara
ek bhawara
sa udhe dil mera...

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 21, 2009

kal raat maine...

kal raat maine dekha tha ek khawab suhana
dhundhala-dhundhala tera chehara tha magar jaana pehchana...
saari raat jalte-bhujate rahe taaron ki tarah
hoonton par muskaan par aankhon mein sapan suhana...
ek dard tha dorrie ka meetha-meetha
jaise kuch mir ke misare, kuch ghalib ka tarana...
bas aaise hi beeti raat apni
tanha raaton ko guzarne ka yeh hai shayaron ka andaz purana...

#Romil

Friday, August 14, 2009

kaise bhoolunga....

kaise bhoolunga woh lamhe
woh sawan ke beete hue din - 2
__________
yaad hai mujhko mera bheegkar ghar aana
aur tera saree ke pallu se mera sar pochana
fir mujhe jhut-mut ka datana, fir tera rooth jana
kaise bhoolunga woh lamhe
woh saawan ke beete hue din - 2
__________
goad mein mere sar rakhkar tera letana
peepal ke patton ko mere kaanon mein fherna
aur teri tooti hue choodiyon se mera khelna
kaise bhoolunga woh lamhe
aur saawan ke beete hue din - 2
__________
chand ko dekh kar tera chehara batana
haanton ki geele mehandi ki khushaboon main kho jana
woh pyar se mere baalon ko tera sehlana
kaise bhoolunga woh lamhe
aur saawan ke beetein hue din - 2
__________
sharmati haawan ka tere kadmon ko chedana
chain se mujhe apni baahon main tera bharana
chaat par yuhi madhoosh laite rehna
gheeli-gheeli boondon ka maaza laina
kaise bhoolunga woh lamhe
aur saawan ke beete hue din - 2

#Romil

कैसे भूलूंगा वो लम्हे 
वो सावन के बीते हुए दिन... 

याद है मुझको मेरा भीगकर घर आना 
और तेरा साड़ी के पल्लू से मेरा सर पोछना 
फिर मुझे झूठ-मूठ का डांटना, फिर तेरा रूठ जाना
कैसे भूलूंगा वो लम्हे 
वो सावन के बीते हुए दिन... 

गोद में मेरे सर रखकर तेरा लेटना 
पीपल के पत्तों को मेरे कानों में फेरना 
और तेरी टूटी हुई चूड़ियों से मेरा खेलना 
कैसे भूलूंगा वो लम्हे 
वो सावन के बीते हुए दिन... 

चांद को देखकर तेरा चेहरा बताना 
हाथों की गीली मेहंदी की खुशबुओं में खो जाना 
वो प्यार से मेरे बालों को तेरा सहलाना
कैसे भूलूंगा वो लम्हे 
वो सावन के बीते हुए दिन... 

शर्माती हवा का तेरे कदमों को छेड़ना 
चैन से मुझे अपनी बाहों में तेरा भरना 
छत पर यूंही मदहोश लेटे रहना 
गीली-गीली बूँदों का मजा लेना
कैसे भूलूंगा वो लम्हे 
वो सावन के बीते हुए दिन... 

#रोमिल

Friday, July 31, 2009

khawab...

kaanch ke khawab hai,
aankhon mein chubh jayenge...
haathon mein thamana na inko
zakhm de jayenge...
bhool jao inko yahi aacha hai
warna honton se hansi cheen le jayenge...

#Romil

कांच के ख्वाब है, 
आंखों में चुभ जाएंगे... 
हाथों में थामना ना इनको 
जख्म दे जाएंगे... 
भूल जाओ इनको यही अच्छा है 
वरना होठों से हंसी छीन ले जाएंगे...

#रोमिल

Monday, July 27, 2009

bachpan ke din yaad aate hain...

"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
jab, maa, apne haaton se upale thapa karti thi...
dhoop main usse sukhati thi...
~~~~~
aksar khane ke samay
mera doston ke saath khelane chale jana
maa, ka fhir peeche
dandhi lekar dhorhate hue aana
woh zor se chilla kar kehna...
"kamine, marjaane" roti to kha le, fhir khelate-marate rehna"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~
Suraj roz subah haste-khelate hamare ghar aa jata tha
main charpaiye par chaadar oodha kar soya-laita rehta tha
maa ka sir par haath fher ka mujhe uthana
woh pyar se kehna...
"suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain
dekho kitni roshani
dekho kitni khushiya laaya hain
suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~

Raat ko jab aangan main chulha jala karta tha
hum sab zameen par chulha gher kar roti khate the
maa ka pyar se nange-nange pairon main
garam chimta mujhe lagana
aur dhantate hue kehna...
"din bhar nange-nange paioon ghumate rehte ho
in pairon ko jala dungi"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 25, 2009

sochane laga yeh...

kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
bistar ki chadar main pehle jaisi shilwathe nahi padati
tumhare toothe hue baal bhi kahi bistar par ab naazar nahi aate
takiye par tumhari lipistic ke nishaan bighad chuke hain
ab takiya tumhare baalon ke tapakte hue pani se bhigata bhi nahi
maize par rakha hua tumhara chashama kahin dekhaiye nahi deta ab
jug main ab koiye pani bhar ke bistar ke sirahane nahi rakhata
kaiye din se kitabon par dhul jama hue hain, ab koiye in kitabon ke panne palatata bhi nahi
kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, March 29, 2009

GHAR - ek khawab

GHAR - ek khawab
"pyar ke bhandhan main bhandha ghar, chota sa hona chahiye...
jisme subah-subah puja aarti ki aawaz poore ghar main sunaiye daine chahiye...
jab rasoi main khana bane to uski mehak bahar ke gate tak aane chahiye...
living room main chal rahe tv ki aawaz study room tak sunaiye daine chahiye...
jab bhi koiye samaan ghar ke liye kharedana ho, usse pehle ghar main jagah banaiye jaane chahiye...
parivar main koiye bhi gum aur khushi ko chupa kar na rakh paye, ghar main itne kamare nahi hone chaiye..."
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, January 28, 2009

jaane kya...

jaane kya khata ho gaye
zindagi juda ho gaye
toote kuch is tarah se apne khawab
zindagi khawab ho gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 29, 2008

khawab...

khawabo main aa jayo agar nazaron ke samne aane se darr lagta hai,
apne dil ko bhi tasali mil jayegi aur tum parde main bhi rahogi!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Monday, September 22, 2008

khayal....

Jab thandi haawan koi geet sunayegi,
Jab tumhari zulfein lehrayengi,
Tab tum aankhein band karna
aur so jaana,
Hum fhir khayalon mein aayenge, tumko satayenge.
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]