"Haawon se suna hai bahut Siyani ho gai hai woh"
Zindagi ka har faisala khud kar leti hai woh,
mujhe apna nahi samajhati woh.
mujhse puchate bhi nahi woh.
Pehle choti-choti baaton mein, meri god mein aakar rona chahti thi woh,
Ab khud-ba-khud aansoo pooch leti hai woh.
Mere har gusse par muskurakar jawab deti thi woh,
Ab meri chhoti si baat par bhi khafa ho jaati hai woh.
Pehle har raahon mein, mera intezaar karti thi woh,
Ab mere pass aane se bhi katrati hai woh.
Hamesha mera haath pakadkar, har raahon mein chalna chahti thi woh,
Ab raahon mein mujhe aata dekh khud mud jaati hai woh.
Har roz jo mera haal puchhati thi woh,
Ab mujhe gum dekar, bhool jaati hai woh.
Haawon se suna hai, bahut Siyani ho gai hai woh...
[written by romil arora - copyright reserved]