Showing posts with label paagal.... Show all posts
Showing posts with label paagal.... Show all posts

Thursday, September 8, 2011

अपने रब की रहमत कहता हूँ!

दुनिया-ए-जहाँ, जो मेरी मुहब्बत को कहती है मेरा पागलपन
रोमिल, मैं उसे अपने रब की रहमत कहता हूँ!

#रोमिल

Monday, September 5, 2011

मैं भी कितना पागल था

मैं भी कितना पागल था
तितलियों के नाम रखा करता था...
***
जब फूल खिलते थे
मैं तुम्हारा अक्स ढूँढा करता था...
मैं भी कितना पागल था
तितलियों के नाम रखा करता था...
***
तपती धुप में
सर्द हवाओं में
बारिशों में
मैं तेरे पीछे पीछे भगा करता था...
मैं भी कितना पागल था
तितलियों के नाम रखा करता था...
***
जब तुम नहीं आती थी
तेरी यादों में उलझा -उलझा रहता था
सुबह से शाम तक उदास इंतज़ार करता रहता था
मैं भी कितना पागल था
तितलियों के नाम रखा करता था...
***
मैं भूल गया था
तितलियों के तो पंख भी होते हैं
खुशबू की चाहत में वोह दूर उड़ जाती हैं
फिर कभी लौट कर नहीं आ पाती...
फासले बढ़ जाते हैं...
मैं भी कितना पागल था
तितलियों के नाम रखा करता था...
***
रोमिल मैं भी कितना पागल था...

Thursday, March 25, 2010

thoda sa paagal hain

uski khushi ke siwa woh kuch nahi chahta hain...

hamesha usko zindagi main khush dekhana chahta hain...
saji rahe woh hamesha gudia ki tarah yeh chahta hain...
thoda sa paagal hain na isliye
gudia kho jaane ke baad rota hain...






fhir kuch din baad chup ho jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 31, 2009

ishq ke din ajeeb hote hain

ishq ke din ajeeb hote hai
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
aaine se karte hain baatein
raat bhar khawabon mein khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
band kamron mein chup-chup kar ro laite hai
mehfilon se durr rehta hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
jab tak na lage thokar bewafai main
baade naaz se ishq ka naam liye fhirate hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 26, 2009

pagal ladke rooth na jaana

pagal ladke rooth na jaana
apne dil ki har baat batana
aankhon main na aansoo lana
hoonton par muskaan khilana
paagal ladke rooth na jaana...
jab tere hoonton par muskaan
chandani ban kar aati hain
aankhon main pyari-pyari se roshani
jab jagmagati hain
dil main khil jate hain
lakhoon armaan
paagal ladke rooth na jaana...
zindagi ke phool
apne daaman main sameth lo
apne zakhamo se kabhi mat ghabrana
pagal ladke rooth na jaana...
maana ki duniya main
qadam-qadam par hain buraiyaan
magar tum satya ka saath hamesha dena
kabhi na apne farz se dagmagana
pagal ladke rooth na jaana...
apne dil ki har baat batana
aankhon main na aansoo lana
hoonton par muskaan khilana

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 22, 2009

uski judai tujhe pagal na bana de

uski judai tujhe pagal na bana de romil
tu dariya hai woh sagar hai
zara apni aukaat to dekh!

#Romil

उसकी जुदाई तुझे पागल ना बना दे रोमिल 
तू दरिया है वह सागर है 
जरा अपनी औकात तो देख!

#रोमिल

Tuesday, July 28, 2009

main bhi kitna pagal tha....

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab phool khelate the

main tumhara aks dhundha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

tapati doop main

sard haawaon main

baarishoon main

main tere peeche peeche bhagha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab tum nahi aati thi

teri yaadon main uljha-uljha rehta tha

subah se shaam tak udaas intezaar karta rehta tha

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

main bhul gaya tha

titliyoon ke to paankh bhi hote hain

khushaboo ki chahat main woh durr uda jaate hain

fhir kabhi laut kar naahi aa paati...

fasle barh jaate hain...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon se dosti kiya karta tha...

***

main bhi kitna pagal tha....

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 9, 2009

pagal

mujhko pagal kehne walon zaara sambhal kar rehna
kahi tumko bhi mohabbat pagal na bana de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 2, 2009

PAGAL JO HU...

na jaane gusse mein
main kya-kya karta hoon


"aaine par hi haath utha deta hoon...
apni hi tasveer ko jala deta hoon...
gamlo se sabhi phool ko ukhaad fhekata hoon
...
chand ko pathar utha kar marta hoon..."

PAGAL JO HOON...


#Romil

ना जाने गुस्से में 
मैं क्या-क्या करता हूं...

आईने पर ही हाथ उठा देता हूं 
अपनी तस्वीर को जला देता हूं 
गमलों से सभी फूल को उखाड़ फेंकता हूं 
चांद को पत्थर उठाकर मरता हूं... 

पागल जो हूं...

#रोमिल

Sunday, March 1, 2009

sach se rubaru


"log paagal kehne lage mujhe..."
"anjaan se ishq kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
anjabi ka intezaar kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
dekha nahi usse
fhir bhi khuda jaisa hi aitbaar kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
duniya se durr ho gaya yeh soch kar
ki gum uska paaluuga, tohfa samaj kar
log paagal kehne lage mujhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, August 13, 2008

Pagali...

Mere Aane Ke Intezaar Mein Woh Pagali...
Sindoor Se Maang Apni Bhar Leti Hai...

Tasveer Se Mere Karti Baatein Hai,
Mere Pasand Ke Pakwaan Woh Khoob Banati Hai...

Khoob Saaj-Sringaar Woh Apna Karti Hai,
Saare Mohalle Main Pagali Ban Kar Sabse Kehte Hai....
"Woh Aane Wala Hai, Woh Aayega"

Magar Sab Jante Hai
Jo Is Duniya Se Chala Gaya Hai, Woh Kabhi Nahi Aayega.
Kabhi Nahi Aayega...
[Inspired... Written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 14, 2008

Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai.....

Ek Sirf Humko Pagal Keh De,
Koiye Baada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai,

Kuch Rote Hai Chupke-Chupke,
Kuch Dil Hi Dil Main Aansoo Bahaya Karte Hai,
Kuch Tarafate Hai Raaton Main Jag-Jag Kar,
Kuch Awara Ban Kar Ghuma Karte Hai,
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!

Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai!
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 9, 2008

Hum thode paagal hai!

Jisne hamara dil dukhaya,
Usse se dil lagate hai,
Hum thode paagal hai!
Zakhm diye jisne humko,
Hum usse ko dard apna sunate hai,
Hum thode paagal hai!

Daaga kiya jisne humse,
Hum usse se waafa nibhate hai,
Hum thode paagal hai!

Chod diya jisne hamara saath,
Hum usko paane ki khawish karte hai,
Hum thode paagal hai!

Chandani raat main sunsaan hai ghar hamara,
Hum raat bhar unka intezaar kiye jate hai,
Hum thode paagal hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 4, 2008

"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"



"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,
Maire Choti Se Daanth Par Bhi Ro Padati Thi,


School Se Ghar Aate-Aate,
Khule Aasman Ko Dekh Par,
Sapne Buna Karte Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,


Maire Choti Se Parishani Main,
Raat-Raat Bhar Pareshan Rehti Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Maire Shehar Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Maire Shaam Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Rabb Ke Bandagi Ke Liye Ab Maire Haath Utate Nahi,

Uski Dargarh Par Main Kabhi Jaata Nahi,

Main Kisi Rabb Ko Ab Janta Bhi Nahi,

Ab To Har Saans Beetati Hai,

Sirf Apne Pyar Ke Intezaar Main,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Gaamo Se Choor Hu,

Uske Mohabbat Main Masgul Hu,

Uske Rang Roop Main Vahashi Hu,

Deewana Hu,

Koiye Shikwa Nahi Hai Mujhe,

Jo Chahe Mujhe Saaza Do,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Rabb Ka Khauf Ab Mujhme Nahi Hai,

Zindagi Ka Noor Ab Mujhme Nahi Hai,

Madhoosh Hu Main Uske Mohabbat Main,

Uske Husn Ke Bina Ab Kuch Yaad Nahi Hai,

Maira Har Dard Wohi Hai,

Maire Har Daawa Wohi Hai,

Maire Har Khushi Wohi Hai,

Maira Har Shehar Wohi Hai,

Maira Har Shaam Wohi Hai,

Khawab Wohi Hai,

Hosh Wohi Hai,

Badhoshi Wohi Hai,

Maut Wohi Hai,

Zindagani Wohi Hai,

Jaahan Wohi Hai,

Rabb Wohi Hai.

Haan..... Maira Rabb Wohi Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

"Main Kaisa Pagal Hota Tha"

"Main Kaisa Pagal Hota Tha"

Main Kaisa Pagal Hota Tha,
Saare Din Internet Par Tumhara Intezaar Kiya Karta Tha,
Ki Kab Tum Aaogi, 
Mujhe Apna Haal-Chal Sunaogi.

Tumhari Aahat Sunne Ke Liye,
Gum-Sum Internet Par Main Baitha Rehta Tha,
Ki Kab Tum Aaogi,
Mujhe Apna Haal-Chal Sunaogi.

Jab Saari Duniya Soti Thi,
Main Chand Se Tumhari Baatein Kiya Karta Tha aur Sochata Tha,
Ki Kab Tum Aaogi,
Mujhe Apna Haal-Chal Sunaogi!
Main Kaisa Pagal Hota Tha...

Bina Jawab Mile,
Main Tumko Roz Khat Likha Karta Tha,
Shayad Ki Tum Aaogi,
Mujhe Apna Haal-Chal Sunaogi.
Main Kaisa Pagal Hota Tha...

Main Kal Bhi Kaisa Pagal Hota Tha,
Main Aaj Bhi Kaisa Pagal Hu...
Kal Bhi Kaisa Deewana Tha,
Main Aaj Bhi Kaisa Deewana Hu...
[written by romil arora - copyright reserved]