Showing posts with label Sawaal. Show all posts
Showing posts with label Sawaal. Show all posts

Monday, July 30, 2018

samaj hi nahi aata mujhe... jawaab... tere taano ke du ya fir sawalon ke...

samaj hi nahi aata mujhe...
jawaab... tere taano ke du ya fir sawalon ke...

teri subah jab hoti hai...
meri shaamein jab dhalti hai...
tu gair ki baahon mein soti hai...
mere saath raatbhar meri tanhai jaagti hai...

- raj

Tuesday, May 24, 2011

dunia ke sawalon ne

dunia ke sawalon ne aisa uljaya ki fir sulajh na paya romil
tere-mere rishte ka koi bhi jawab na nikal paya...

#Romil

दुनिया के सवालों ने ऐसा उलझाया की फिर सुलझ ना पाया रोमिल 
तेरे-मेरे रिश्ते का कोई भी जवाब ना निकल पाया...

#रोमिल

Thursday, April 8, 2010

kuch...

duniya se ruksat hone ke baad bhi uski aarzoo hain
dil main mohabbat ki kaise justajuu hain...
***
Itna to bata do USKA AAKHIRI PAIGAM KYA THA
jubaan ko ab bhi uski baatein karne ki guftaguu hain...
_______________________
NA DO JAWAAB, NA SAHI...

DEKHATE HAIN INTEZAAR KAB TAK... KAB TAK...
***
NA BATAO SACHCHAI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN TUMHARI RUSWAI KAB TAK... KAB TAK...
***
PATHAR, RABB NAHI, NA SAHI...
DEKHATE HAIN PHEGALEGA DIL TUMHARA KAB TAK... KAB TAK...
________________________
Uske saath ab koiye rishta nahi hain

Fhir bhi dil ko chain-o-sukoon nahi hain...
*
Meri tanhai ki wajah main khud hu
Uspar koiye ilzaam nahi hain...
*
Bas itna mujhe bata do WOH IS DUNIYA SE RUKSAT KAISE HUE
mera koiye TUMSE dusara sawaal nahi hain...
*
Itna bhi kya kisi ka intezaar karna Romil
Marne ke baad wapas koiye aata nahi hain...
__________________________
Jo khud badal jaye

unko har shaks badale hue nazar aate hain...
dusaroon ki khata ginane wale
tere pehlu main bhi bahut ilzaam aate hain...
___________________________
Unki yeh ada humko aur bhi mitti lagati hain Romil

Zakhm bhi daite hain
Aur Rone bhi nahi daite hain...
___________________________
Woh chahat bhi kis kaam ki Romil

Chakoor dekhe durr se Chand ko...
___________________________
samay kharab karne ka sukriya...

dil ko dukhane ka sukriya...
hum aaye the is khayal se ki aapse kuch sawaal puch sake...
jawaab na daine ka sukriya...
[written by Romil Arora - copyright reserved]