Showing posts with label shikayat... Show all posts
Showing posts with label shikayat... Show all posts

Monday, December 14, 2009

Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain....

Dar-O-Deewar Par Shikway Likhta Rehta Hai
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhta Rehta Hai
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...
***
Pucho Na Baarish Ne Bhi Kaisa Sitam Us Par Kar Daala
Uske Likhe Har Lafz Ko Dho Dala
Baarish Ki Boondon Ke Saath Din Bhar Ladta Rehta Hai
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhta Rehta Hai
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...
***
Khat Bhejne Ke Liye Pata Tera Usko Maalom Nahi
Kaach Ki Sheeshi Mein Dal Kar Khat Sagar Mein fek Diya Karta Hai...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhta Rehta Hai
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...
***
Jab Bhi Hoti Hai Teri Deedar-E-Aarzoo
Kaagaz Par Bana Kar Tasveer Teri Apne Sirhaane Rakh Liya Karta Hai
Dar-O-Deedar Par Shikway Likhta Rehta Hai 
Kitna Pagal Hai Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hai...

#Romil

दर-ओ-दीवार पर शिकवे लिखता रहता है
कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है
दर-ओ-दीवार पर शिकवे लिखता रहता है
कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है
***
पूछो न बारिश ने भी कैसा सितम उस पर कर डाला
उसके लिखे हर लफ्ज़ को धो डाला
बारिश की बूंदों के साथ दिनभर लड़ता रहता है
कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है
दर-ओ-दीवार पर शिकवे लिखता रहता है
कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है
***
ख़त भेजने के लिए पता तेरा उसको मालूम नहीं
काँच की शीशी में डालकर ख़त सागर में फ़ेक दिया करता हैं
दर-ओ-दीवार पर शिकवे लिखता रहता है
कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है 
***
जब भी होती हैं तेरी दीदार-ए-आरज़ू
कागज़ पर बनाकर तस्वीर तेरी अपने सिरहाने रख लिया करता है
दर-ओ-दीवार पर शिकवे लिखता रहता है
रोमिल कितना पागल है एक लड़का खुद से तेरी बातें किया करता है

#रोमिल

Monday, March 23, 2009

dil se...

khuda ne diya tha dil 
humne kisi aur ko apna samajh kar de diya...
woh bewafa nikla
ab khata khud se hui hai
to saza ki shikayat kisse kare...

#Romil

खुदा ने दिया था दिल 
हमने किसी और को अपना समझ कर दे दिया... 
वह बेवफा निकला 
अब ख़ता खुद से हुई है 
तो सजा की शिकायत किससे करें...

#रोमिल

Wednesday, May 28, 2008

"Mujhe Shikayat Us Karigar Se Hai"


"Mujhe Shikayat Us Karigar Se Hai"
Mehalo mein rehne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tum mehalo mein rehte ho,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh mehal banaye!


Mohabbat karne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumne mohabbat mein tajmahal banaye,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh taj mahal banaye!


Pooja ki liye mandir, mazhid, gurudwara banne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumne pooja ki liye mandir, mazhid, gurudwara banaye,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh mandir, mazhid, gurudwara banaye!


Taqdeer walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumhari taqdeer aachi hai,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh taqdeer banai!
mujhe shikayat us karigar se hai......................................
[written by romil arora - copyright reserved]