Showing posts with label ijazat. Show all posts
Showing posts with label ijazat. Show all posts

Thursday, March 12, 2020

Aurat ko Ijazat kisi daur mein nahi mili...

Ammi Kehti Thi...

Aurat ko Ijazat to kisi daur mein nahi mili... Use khud Ijazat leni padti hai...

Udaan to khud hi bharni padegi... Mardon ka kya hai woh to pankh kaath ke Pinjare mein Qaid kar dena chahte hai...

#Romil

AajKal Burai itni jyada Badi ho gai hai ki pata hi nahi chalta ki Burai hi hai ya fir Acchai hai...

#Romil

Jo door rehte hai, woh jyada update rehte hai... Pass rehne walon ko khabar hi nahi hoti...

Technology itni Fast jo ho gai hai...

#Romil

Wednesday, August 22, 2018

Izzat to tumhari bhi thi... Par tumne karwai nahi...

Izzat to tumhari bhi thi
Par tumne karwai nahi.

Tarjuma

Izzat hone aur karwane mein bada fark hai, jis tarah pagdi to sabhi pehan lete hai, par pagdi ki laaj har koi nahi nibha pata hai.

Jhooti khushi, khudgarz rishton ke liye izzat ko daav pe nahi lagaya jata hai.

Sirf alishaan koti mein rehne, mehangi gaadiyon mein ghumane, sone-chandi-heere ke jevarat pehen lene se milne wali izzat se kya fayda jab saath rehne wale logon ki aankhon mein tumhare liye izzat na ho.

Sunday, April 15, 2018

Roshani ko sambhal kar karcha karo yeh andhere bhujane ke kaam aayengi...

NaaZ kehti hai...

Roshani ko sambhal kar karcha karo yeh andhere bhujane ke kaam aayengi...

Uski Sharafat ko kamjori mat samajhana...
Sultan ki Sharafat ko kamjori mat samajhana...
Yeh khamoshi Toofan lekar aayegi...

aur

Bisat bich chuki hai...
Bazi hum palat denge...
Tumhari hi Sarkar tumpar lagaam lagayegi...

aur

Is tarah uchalenge izzat tumhari...
Tawaifein...tumhari boli lagayengi...

- Romil RaJ

Tuesday, July 23, 2013

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum
mitti se bane hai, mitti mein mil jaye hum

kabhi sunaye de mere kamre mein teri payal ki khankhan
koi chedon aisa madhur raag ki sunhera geet ho jaye hum

tu agar aasman mein bulaye, tab bhi hum chale aaye
dooriyon ki wajah se rishta nahi todate hai hum

aur

yeh patiyala suit, gotedaar dupatta
lambi si choti, pairon mein amritsari jutta 
Romil, meri gair-hazari mein tum itna saj-o-sawaron itni ijazat nahi dete hai hum.

Wednesday, October 5, 2011

ख़ाक-ए-इज्ज़त

महफ़िल में जाकर अपनी बेइज्जती करवाए कौन
अपने काफी है ख़ाक-ए-इज्ज़त मिलाने को.

#रोमिल

Saturday, March 28, 2009

ijazat de do...

teri kabr par main apni duniya basa lu ijazat de do...
aapne aansuon se usko saaza du ijazat de do...
~
mujhe qaid kar lo apni rooh mein
yeh zindagi tujh par loota du ijazat de do...
~
nahi shauk raha ab mujhe jeene ka
teri kabr ke saath apni kabr bana lu ijazat de do...

#Romil

तेरी कब्र पर मैं अपनी दुनिया बसा लूं इजाजत दे दो... 
अपने आंसुओं से उसकी सजा दूं इजाजत दे दो... 

मुझे कैद कर लो अपनी रूह में 
यह जिंदगी तुझपर लुटा दूं इजाजत दे दो... 

नहीं शौक रहा अब मुझे जीने का 
तेरी कब्र के साथ अपनी कब्र बना लूं इजाजत दे दो...

#रोमिल

Tuesday, August 26, 2008

Mujhe Hamesha Be-Izzahate Mile...

Jahan Yeh Kehta Tha...

Rab Jo Tere Sajde Mein Rehta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.

Rab Jo Teri Bandagi Karta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.


Rab Jo Tere Bataiye Hue Usoolon Par Chalta Hai,
Woh Hamesha Izzat Se Rehta Hai.

.
.
.
Dushman Rab...
Maine Tera Sajda Kiya,
Teri Bandagi Ki,
Tere Usoolon Par Chala...
.
.
Par Mujhe Hamesha Beizzati Mili,
Kabhi Parivar Mein,
Kabhi Doston Mein,
Kabhi Pyar Mein...

#Romil

जहां यह कहता था... 

रब जो तेरे सजदे में रहता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है...

रब जो तेरी बंदगी करता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है... 

रब जो तेरे बताए हुए उसूलों पर चलता है 
वो हमेशा इज्जत से रहता है... 
.
.
.
दुश्मन रब 
मैंने तेरा सजदा किया 
तेरी बंदगी की 
तेरे उसूलों पर चला...
.
.
पर मुझे हमेशा बेइज़्ज़ती मिली
 कभी परिवार में 
कभी दोस्तों में 
कभी प्यार में... 

#रोमिल