All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Friday, June 5, 2020
Yeh Garib ka Chula hai ise kahan GDP samaj aati hai...
Sunday, July 7, 2019
Yeh Trillions, Trillions kya hai...
Yeh Trillions, Trillions...
Jab Garib ka Mitti ka Chulha, Gas-Stove ban jaye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...
Jab Sadak na Barsaat mein Naala ban jaye...
Jab Har Parivar ka Apna Ghar ho jaye...
Jab koi Sardi mein Road pe na thithure...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...
Jab bina Sifarish, Rishvat ke Naukari lag jaye...
Jab Garib ko bhi asaani se Loan mil jaye...
Jab har Bacche ko Shiksha mil paye...
Jab har Majboor ko Swastha Sewa mil paye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...
Jab kisi ko Upekshit na samjha jaye...
Jab Bhed-Bhaav ka daur khatam ho jaye...
Jab har Naari khud ko Surakshit mehsoos kare...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...
#RoMiL
Saturday, September 1, 2018
WhatsApp University mein hum roz gaate...
Neeche aate Rupiyon ke daam...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."
Banks ke NPA badte jaate...
Punjipati paisa lekar videsh bhaag jaate...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."
Kahi baarish ki maar...
Kahi notebandi, rafale ke kisse hazaar...
Sensex ke kadam apni dhun mein aage badte hai jaate...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."
Kuch naya suna hai picchale kuch saalon mein...
Sehri Naksalwaad...
Hindu aatankwaad...
Bheed ne le li Jaan...
Judge ka takraav... khatre mein loktantra ki Jaan...
Voting machine pe ghamashaan...
WhatsApp University mein hum roz gaate
"aache din aane wale hai
aache din aane wale hai..."
- Romil
Thursday, May 31, 2018
Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
Koi Beti... Mayke mein tang ki jaati hai...
Koi Sasural mein pareshan hoti hai...
Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
In mardon ko...
Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
Yeh khubsoorti to umar ke saath har roz kam hoti jaati hai...
Aaj kal logon ko nasha chhada hai...
Betiyon ko Beta banane ka...
Ek daur tha jab Betiyaan,
"Pagdi bandhe, Salwar-Suit pehne, Ghode pe baithe, RanBhoomi mein Talvaar liye utar jaati hai..."
Aur
(Uski wah Hansi behad dardnaak thi, bebasi se bhari...)
Sawaalon ke ghere mein aksar Betiyaan hi kyon hoti hai...
Kyon nahi Beton pe lagaam lagai jaati hai...
#Romil
1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...
Aaj paison se khel rahe hai...
1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...
Notebandi hue zamana guzar gaya Miya...
Par pata nahi kahan se Gade Khazane ki tarah Purane Note aaj tak nikal rahe hai...
Yahan Kisan marr rahe hai...
Yahan Jawan Shaheed ho rahe hai...
Aur yeh Sarkari Numainde hai, jab dekho tab GDP-GDP, rating-rating kar rahe hai...
aur
(Koi na koi to Sarkar bana hi lega...
Koi na koi to Neta ban hi jayega...)
Aaye din, rozmarra election ki khich-khich...
Yeh akhbaar wale, news channel wale dikha-dikha ke waqt barbaad kar rahe hai...
- Romil RaJ
Thursday, May 17, 2018
Kya faida itne bade bahumat ka Miya...
Pichale chaar saalon mein Ik Sansad to theek se chalwa nahi paye...
Kehte hai Sabse jyada Sadasyon wali Party hai Miya...
Par sirf Do Cheraron ke aage koi teesara chehara to la nahi paye...
Duniya Jeeta to Sikandar bhi tha...
Par gaya Khali Haath...
Kya faida us jeet ka Miya... Jo nafraton ko pyar mein badal na paaye...
Jannat ko Jalne se rok na paaye...
aur
Muft Ration (National Food Security)...
Muft Shiksha (Sarv Shiksha Abhiyan)...
Muft Swasthya Sewa (Ayushman Bharat)...
Awas, Pani, Bijli, Sauchalay, Gas Chulha... Rozgaar ki Guarantee... Bima... Bank Khata.. Kaushal Vikas...
Kya faida in sab sarkari yojnao ka Miya...
Jab Garib Ko, Kisan Ko... marne se bacha nahi paaye...
#Romil
Friday, May 11, 2018
Mere baare mein to yeh bura hi kahenge...
Par tumko kya baksh denge...
Yeh log girgit hai...
Inki fitrat hai rang badalna...
Jidhar dekhenge apna faida udhar ki baat karenge...
Tumko behkayenge... Bargalayenge...
Tumse hi karwayenge gunah aur khud paak-saaf rahenge...
aur
Usi ki di hui zameen pe...
Usi ki Ibadat ke liye pad gai hai zameen kam...
Ab faisala to Khuda hi karenge...
- Romil RaJ
Monday, May 7, 2018
VedShakti...
Parantu...
Agar kaha jaye... Ved-Shastra-Puraan padh lo... Ismein bahut Shakti hai... Power hai... Par yeh log nahi manege...
Sabki apni-apni soch hai...
- Romil RaJ
Sunday, May 6, 2018
Kisaan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisaan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisaan Pareshan...
Fhasal adhik ho to laagat mulya nahi milta, Kisaan Pareshan...
Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisaan Pareshan...
Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badata hua daam...
Kisaan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisaan...
Kisaan Pareshan...
Kabhi sarkaar bada deti hai beej ke daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisaan Pareshan...
Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisaan Pareshan...
Na Bima rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaron... Dabango... Sahukaron ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisaan Pareshan...
Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udd na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai is Desh mein Kisaan ka dusara naam hi hai Pareshan...
#Romil
Wednesday, April 18, 2018
Upvaas ke Naam pe...
Singapore sa sehar... Germany si nadi...
Rab aise kasmo-vaadon se humein bachaye...
Upvaas ke naam pe
Chole-Bhature... Bread Pakoda... khaye...
Rab aise netao se humein bachaye...
Hawaii chhappal wala bhi karega Hawai Safar...
Bullet train khoob daudaye...
Metro viheen ho gaya aam aadmi, metro ke daam badate jaye...
Rab aise sapno se humein bachaye...
Juta-Moja pehne school mein garib bacche aache lagte hai...
Budhi Dadi bhi khoob mobile pe batiyàe...
Betiya railgadhi chalaye... Ladaku vimaan udaye...
Khel-Kud mein Bharat bhi Gold Medal liye timtimaye...
Rab aise Sundar din laaye...
- ⛅
Monday, April 16, 2018
Nazuk yeh Zindagi-e-Safar nahi hai...
Bewajah hi bechare maare jayenge...
Apna Dushman aman pasand nahi hai...
Tumhein apne Deen ki padi hai...
Miya... Tumhein apne Deen ki padi hai...
Yahan Mulk mein haalat aache nahi hai...
Bacchiyon ko banaya ja raha hai Hawas ka shikaar...
Shaitan ka koi emaan-deen-dharm nahi hai...
aur
Tum to abhi se thak haar baithe...
Abhi bahut si adchano ko paar karna hai...
Nazuk yeh Zindagi-e-Safar nahi hai...
aur
Akhbaar ki tamam surkhiyan bhagwa rang se rangi padi hai...
In Shabdon mein imandari-sacchai nahi hai...
- Romil RaJ
Wednesday, August 21, 2013
Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai
Wednesday, July 31, 2013
kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye
Friday, March 26, 2010
Kya bhai-bhehan ke beech aaisa hota hain...
Jab woh rooth jaye to usko manane ko bhi mann karta hai...
***
Waise to woh meri koi baat nahi sunti
Fir bhi usko apni har baat batane ko mann karta hai...
***
Waise to rehti hai woh apne jeevansaathi ki aankhon mein
Fir bhi do pal woh mujhko nazar na aaye to uska haal puchane ko mann karta hai...
***
Kya bhai-behan ke beech aisa hota hai...
Tuesday, March 2, 2010
KAMAL PAR VIRAAJMAAN...
Tuesday, January 12, 2010
socho tumko kya karna hain...
highschool ki age main highschool pass karna hain
Wednesday, August 26, 2009
darta hu main!
pani ne bhi kaisi qayamat maacha rakhi hain "$ultan"
ab to pani se khelate hue darta hu main!
~*~
pass main baache ke bhookhi aawaz shor barpa rahi hain "$ultan"
ab to khane ke neewale se darta hu main!
~*~
pani main beh gaye hain haazaron ghar "$ultan"
ab to ghar basane se darta hu main!
~*~
khet pade hain shookhe, baarish hoti nahi "$ultan"
fhir bhi tabah ho jaate hain laakhon insaan, har baras baadh main "$ultan"
aaisi haalat hain zameen, asmaan khud bhi duhaai de raha
kab sunega fariyad, rabb apne bandoon ki "$ultan"
ab to rabb ka naam laine se bhi darta hu main!
[written by romil arora - copyright reserved]
Tuesday, August 25, 2009
bhookh
din bhar dhoop main
hal chalakar
mehnat se aanaj paida karta hain kissan!
fhir bhi bhookha kyon sota hain kissan?
~
Bhookh se roota-tarapta hua ek baacha aur uski maa
ghar-ghar do roti ki bheekh magate hue
koiye na unki fariyad sunne wala
dhikkar, apmaan ke siwa woh kuch nahi pate....
maine dekha aur bola
"sach main kalyug aa gaya"
woh boli
"kalyug kya, satyug kya
ram kya, raheem kya
sab suna-suni baatein hain
na maine jaana kabhi, na dekha kabhi
main to bas itna jaanu
yeh duniya hain, lakhon log dhanwaan hain yahaan
usme mera baccha bhukha hain
roti ke liye tarafta hain
main ek majboor maa kuch na kar pati hu"
[written by romil arora - copyright reserved]