Showing posts with label Management Masti Main.... Show all posts
Showing posts with label Management Masti Main.... Show all posts

Tuesday, October 2, 2018

Rupiyon ki Kabr...

Miya... Main to accounts ko rupiyon ki kabr samajhata hun...
Ab yeh tumhare upper hai ki kabr ko kitna aachi tarah sajao, chaho to Sangemarmar ka TajMahal bana do ya fir Mitti se Lipai-Putai kar lo... Tamam tarah ke statements banao, ledgers banao, vouchers banao ya fir sirf Bill kaagaz par chaspa kar ke rakh do...

Bas yeh hona chahiye ki kabr aapne aap bolni chahiye ki yeh kiski kabr hai...

#RomilWrites

Saturday, September 29, 2018

Mistakes....

Agar kaam karoge to Clerical Mistakes to hogi hi... 
Like... Mistri ke haath to kaale hone hi hai....

Bas dhyan yeh rakhna chahiye ki harmful mistakes na ho... 
Company ka Nuksaan nahi hona chahiye kisi bhi keemat par... 

Bas yahi accountancy mein dhyan rakho... 
Baki jaise time beetata hai mistakes authomatically reduced hoti jaati hai...

#RomilWrites

Thursday, September 27, 2018

Kich-Kich...

Are Miya... 100/- Rupiya Begum ko subah do aur shaam ko hisaab mango... 
To woh kich-kich karti hai...

Yeh to fir bhi Pvt. Ltd. Company hai...
Crores ka Utilization dena hai...
To saale kich-kich to karenge hi...

Accountancy agar karni hai Miya to... 
Jhamele to jhelne hi padenge....

#RomilWrites

Sunday, September 23, 2018

Fund Raising...

Business Baap-Dada ka hi kyon na diya ho...
Ya fir khud ka khada kiya hua ho...

Upscaling ke liye Fund Raising to karni hi padti hai...

"Jholi to fehlaani hi padegi..."

#RomilWrites


Saturday, September 22, 2018

Friday, August 27, 2010

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

~MANAGEMENT MASTI MAIN~
------------


Management main is baat par jyada zor diya jata hai ki
aapki soch positive ho
aapki soch innovative ho
aapki soch main new ideas ho
aapki soch problem solve kar sakti ho
*
Aaj ke samay jarurat hai aaise logon ki
jo innovative soch ke, kar sake
jo is duniya ko new ideas de sake
jo aane wali problem ko solve kar sake.

Wednesday, August 11, 2010

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

~MANAGEMENT MASTI MAIN~
------------------------------------  
कर्मचारियों में INVEST करिए 
अच्छे RETURNS मिलेंगे...
---------------------
bOSS ko ek MAALI ki tarah hona chaiye...
Jo pehle pauda (भर्ती) lagaye
Fhir uski raupiye (प्रशिक्षण, कार्यशाला, शिक्षा) kare 
Fhir usko khaadh (वेतन, सुविधाएं) de
Keeth-Keethanu (कुसंगत) se usko bachaiye
unko fhalte-fhulte (उन्नति) dekhe
fhir
usse praptah fhal (रिजल्ट, सफलता) ka anand le
---------------------

Tuesday, July 27, 2010

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

~MANAGEMENT MASTI MAIN~
---------------------
MAIN APNI
HAR KHUSHI, HAR GHUM,
HAR JEET, HAR HAAR
MAIN
ALLAH KO APNA PARTNER BANA LAITA HOON!
***
AB JESUS KO YEH TAIYE KARNA HAI KI USKA PARTNER KAISA JEEVAN JIYE??? 
-----------------------
Yeh management ka bahut hi famous aur khoobsurat funda hai...

Main isme apko Mahabharat ka example dena chahta hoon.
Jab sarthi, Sri Krishna ban jaye to fhir Arjun ko kaun haara sakta hai???
Jeet to 100% sunichit hai...
Arjun ko fhir koiye bhi nahi haara sakta hai... kyunki uske saath Sri Krishna jee hai...
*
Apni zindagi main bhagwan ko partner bana lejeiye... aur fhir us ishwar ke bataiye hue rastee par chaliye... dekheiyega aapki hamesha jeet hogi...
agar kabhi jeevan main dukh-haar ka samna bhi karna padata hai, tab bhi ishwar aapke saath rehta hai, tab woh ishwar aapko woh shakti, woh energy dega jisse aap har dukh-haar ka samna khushi-khushi kar payega aur jeet jayenge...
*
Yeh sach hai... RABB KABHI BHI APNE BANDE KO HARANE NAHI DETA HAI...

Monday, July 26, 2010

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

~MANAGEMENT MASTI MAIN~
---------------------
Internet ki sabse khaas baat hai ki isme FREE OF COST FACILITY milati hai... 
Chahe KNOWLEDGE ho... FRIENDSHIP ho... ENTERTAINMENT ho... ya fhir ADVICE, IDEA, SOLUTION, RESOURCES etc.
---------------
FREE OF COST FACILITY...

Management main ek baat seekhaye jati hai ki "FREE OF COST FACILITY ka upyog kaise kiya jaata hai???" aur yeh samajhana aaj ke samay main bahut jaruri bhi hai...

Aaj ke samay jab har cheezh ki keemat hai...
har choti-choti cheezh ki keemat hai...
har cheezh ke rates high hote ja rahe hai...
tab aapko INTERNET ek aaisa sadhan mila hain jispar aapko FREE OF COST FACILITY milati hai... Jiske liye aapko EK PAISA bhi nahi expenditure karna padata hai...

Agar aap chahe to internet ki madad se bahut si ADVICE le sakte hai... NEW IDEA le sakte hai... apni PROBLEM ka SOLUTION logon se maang sakte hai... bahut se RESOURCE aapko mil sakte hai... E-BOOKS read kar sakte hai...

 Agar aap zindagi main INTERNET KA SAAHI UPYOG nahi kar paye to mera yakeen maano aapko agar CRORE RUPIYA bhi mil jaye, tab bhi aap uska saahi upyog nahi kar payenge...
-----------------------
FREE OF COST FACILITY KA 100% SAHI UPYOG KARE...  

Friday, July 23, 2010

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

Is FORMULA ko samajhane ke liye kisi DEGREE ki jarurat nahi hoti hai...

keep learning... keep walking... keep growing...
---------------
bahut simple si baat hai... koiye jaruri nahi hai ki business karne ke liye kisi degree ki jarurat hai... magar shiksha jarur hai... hamesha seekhate rehna jaruri hai... 

agar aap kisi bhi wajah se school/ college main padh nahi paye to yeh mat sochiye ki aap business nahi kar sakte...

Mere hisaab se har woh insaan business kar sakta hai, jisse....
Yeh pata hai ki PROFIT kya hota hai???
PROFIT nikala aata hai???
Yeh pata hai kaise customer ki pocket main se apne saaman ka RIGHT PRIZE nikal sakte hai???

Business ke liye bahut jaruri hai ki aap business ko samjhe... aap business ki gehraiye tak jaye... jitna jyada prize analysis kar sake utna aacha hota hai... hamesha seekhate rahe... innovation karte rahe... aur MANN SE SUNDAR RAHE...

Monday, March 29, 2010

असफल इंसान जब सफलता के बातें बताते हैं तो कभी - कभी ऐसा लगता हैं....


MANAGEMENT MASTI MAIN...

असफल इंसान जब सफलता के बातें बताते हैं तो कभी - कभी ऐसा लगता हैं की जैसे कोइए नीम हकीम, कैंसर बीमारी का उपचार बता रहा हो!

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं

MANAGEMENT MASTI MAIN!

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं, जबकि वेतन खर्चा करके बचत करना मुश्किल होता हैं! इसलिए पहले बचत करे!

Saving karne ka sabse aasan tarika hain hain... Aapki income chahe jo bhi ho, yeh baat important nahi daite, IMPORTANT DETI HAIN AAPKI SAVING KI AADAT...

Thoda example dekar samjhane ki koshish karunga...

Aapki income Rs. 3000/- per month hain...
Aap decide karlo ki aapko per month kitni saving karni hain... Chalo yeh baat maan laite hain ki aapko 10% saving karni hain... yani Rs. 300/- per month...
Is hisaab se ab aapki income Rs. 2,700/- per month hue...
Rs. 2,700/- ko dhyan main rakh kar apna monthly budget banaye... Aap aur aapka parivar yeh soch le ki monthly income Rs. 2,700/- hain aur isme aapko apna monthly budget banana hain...
Is tarah aap per month Rs. 300/- ki saving kar payenge...

Agar aap full income Rs. 3,000/- expenditure kar doge to fhir kaise saving kar payoge baba???
Ya yeh kahe ki Rs. 3,000/- ka monthly budget banate ho to kisi month main aap Rs. 100/- ki saving kar payoge aur kisi month main Rs. 250/- ki aur kisi month main ZERO ki... Kyunki family budget bahut hi jyada diversified hota hain... Ishthiti har month ki alag-alag hoti hain... Is month main aapko baache ki fees daine hoti hain, kisi month main birthday hota hain, kisi month main festival hota hain to fhir kisi month main koiye relative aapke ghar aa jata hain...

Yaad rakhe...
Pehle bachat kare, fhir expenditure kare...

Thursday, March 25, 2010

यह अच्छा रहेगा! आप अपने दिमाग को कचरे का डिब्बा मत बनाइये ! बल्कि नए विचारों की प्रोडक्टसन यूनिट बनाइये!

MANAGEMENT MASTI MAIN~~~

यह अच्छा रहेगा! आप अपने दिमाग को कचरे का डिब्बा मत  बनाइये ! बल्कि नए विचारों की प्रोडक्टसन यूनिट बनाइये!

Main aapse yeh nahi keh raha hu ki aap mahapurusho ke kahe hue vicharon ka anupalan na kare... balki main yeh kehna chah raha hu ki aap naye vichar laaye... naye soch vikshit kare... naye rasthe khole... duniya ko naye raahe dhikhaye...

Apne dimaag ko kachare ka dibba na banane se mera matlab hain...
Ki aap bekar ki baaton se durr rahe... Ki aap gupshup se durr rahe...Ki aap bekar ki vicharon se durr rahe...  


Ki aap logon ko neecha dekhane ki soch se durr rahe...
Ki aap yeh soch kar pareshan na ho ki usne mujhko bura kahan...
"AAP BRIDGE KO TABHI PAAR KARE, JAB WOH BRIDGE AAYE"... Faltu ke vichar soch kar khud ke dimaag ko kachara mat banaye...
"CHINTAN KARE... MAGAR CHINTA NA KARE... 

Thoda example dekar samjhane ki koshish karunga short main...
Jab bahut saalon pehle SINTEX PANI KI TANKI ki baat INDIA jaise desh main hue... Jahan Ganga, Yamuna, Godavari, Brahmaputra river hain... Punjab State main five rivers hain... Jahan lakhon kuwaan hain, talaab hain, pokhare hain... Us desh main PANI KI TANKI...
WOH BHI KAALE RANG KI...
WOH BHI KAALE RANG KI TANKI GHAR KE UPPER... Poore ghar ki shobha hi kharab kar de...
Pehle sabne is baat ka virodh kiya... Kisi ko bhi yeh vishwas nahi tha ki yeh VICHAR SAFAL HOGA...
Magar YEH VICHAR SAFAL HUA... Aaj urban area main sabke ghar main pani ki tanki aapko dekh jayegi... aaj sabko pani ki tanki ki jarurat hain...   
KYUNKI YEH VICHAR NAYA VICHAR THA...
KYUNKI YEH VICHAR DOORDARSHI VICHAR THA...
KYUNKI YEH VICHAR INDIA KE LIYE NAYE RASHTEE KHOLANE KA VICHAR THA...

ISSI TARAH CHAHE FOOD CHAIN KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE RETAIL STORES KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE SHOPPING MALL KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE MULTIPLEX KA BUSINESS HO...

NAYE VICHAR SA SAB SWAGHAT KARTE HAIN...

Yaad Rakhe...
Apne dimaag ko naye vichar sochane main lagaye... Naye avishkar banane main lagaye... Usko ek naye vicharon ki production unit banaye... 
Naye vichar, naye soch ek naya rastaa dekhate hain... aur aapko safal insaan banate hain... aapki ek alag pehchan dekhate hain...
Aap bridge ko tabhi paar kare jab bridge aaye... Bematlab ki baaton ko soch kar pareshan mat ho...
Chintan kare.... Chinta mat kare...

Asha hain ki aap meri koshish se santusht honge...

POSITIVE socho... MANN SE SUNDAR raho...

Saturday, March 20, 2010

अपना फटा जूता देखकर मैं हमेशा अपनी किस्मत को बुरा भला कहता था...

MANAGEMENT MASTI MAIN...

अपना फटा जूता देखकर मैं हमेशा अपनी किस्मत को बुरा भला कहता था... कल एक ऐसे इंसान को देखा जिसके दोनों पैर नहीं थे... मैं रब्बा को सुक्रिया कहने लगा...

Jab insaan apni success ki door kismat ke haaton main de deta hain... ya fhir resources ki kaami ki baat hamesha karta rehta hain... ya fhir yeh kehta hain ki meri kismat hi kharab hain, jo karta hu woh hi fail ho jata hain... AAISE INSAAN JEEVAN MAIN SAFAL NAHI HO PAATE HAIN...

Kuch short main example dekar samjhane ki koshish karta hu...

1. Krishna Ji ne apni guru shiksha 13 ya 14 age main suru ki thi... fhir bhi unhone Bhagavat Gita kahi... jisko aaj saara sansar padata hain...

2. Sabhi avishkarak jyadatar pehle asafal hote hain... uske baad safal hote hain...

3. Jinke pass resources nahi hote hain, wohi hi resources ka asali matlab samaj paate hain aur uska sahi upyog kar paate hain...

4. Chance ussi ko milta hain jo Chance par Dance karna janta hain... Agar Dance nahi kar sakte to aaya Chance bhi haath se nikal jayega... 

5. Agar aapki age 50 years ke ho gaye hain aur aapko abhi tak safalta nahi mili hain to yeh kahe "Abhi 100 saal ki umar main se 50 saal mere hi pass hain aur mere pass 50 saal ka experience bhi hain..."

6. Agar aapke pass aankhen nahi hain to yeh kahe "mere pass hoonton hain main aacha bol sakta hu, aacha ga sakta hu..." agar aap bol nahi sakte to yeh kahe "mere pass haanth hain main aacha likh sakta hu..." agar aapke pass haanth nahi hain to yeh kahe " mere pass aankhen hain main aacha padh sakta hu aur logon ko aacha paada sakta hu..." ISSI TARAH APNI STRENGTH PAR HAMESHA DHYAN DE... weakness par nahi... ya fhir apni weakness ko apni strength main convert kare...  

Hamesha yaad rakhe...

1. Safalta NA AGE, NA CASTE, NA GENDER, NA RESOURCES, NA KISMAT ki mohtaz hoti hain... Safalta sirf Safal Logon ki mohtaz hoti hain...

Asha hain ki aap meri koshish se santusht honge... 

POSITIVE socho... MANN SE SUNDAR raho...

Friday, March 12, 2010

अगर आपकी सीडी गलत दीवार पर टिकी हैं तो आपका हर कदम गलत पड़ेगा !

MANAGEMENT MASTI MAIN!
_______________________________
अगर आपकी सीडी गलत दीवार पर टिकी हैं तो आपका हर कदम गलत पड़ेगा !

Bahut simple si baat hain, bas samajhane ki jarurat hain...

Har insaan ki zindagi main LAKHSYA JARUR HONA CHAHIYE.... Agar aapki zindagi main lakhsya nahi hain to aapka har kadam galat manzil ki taraf hi padega... Ya yeh kahe ki aap banna to Doctor chahate ho aur work Computer Programmer ka kar rahe ho to aapka har kadam galat padh raha hain...

Lakhsya na hone ki ishthiti main insaan bina manzil ke chalate jaata hain... jiski wajah se woh kahan pahuchega yeh usko khuda pata nahi.... CONFUSION main zindagi bhar rahega...

Thoda example dekar samjhane ki koshish karta hu...

Jaise meri zindagi ka lakhsya saachi mohabbat ko paana hain...

Main hamesha saachi mohabbat ki talash main raha... Mujhe dhoka mila, fhir bhi mera qadam nahi dagmagaya... na hi maine zindagi se haar maani... Bahut se mohabbat main failure insaan suicide kar laite hain... ya fhir apne lover ka qatal kar daite hain... ya fhir depression main chale jaate hain... ya fhir zindagi se rishta toodh laite hain... YA FHIR MOHABBAT KE LIYE APNI RAAYE YEH QAAYAM KAR LAITE HAIN KI MOHABBAT KEVAL SEX AUR RUPIYA HAIN...  

Agar meri zindagi main lakhsya nahi hota to shayad aaj main bhi kuch aaisa hi kar chuka hota....

Lakhsya hone ki wajah se mera har qadam saache pyar ki taraf badata raha... Mushkil ke baad bhi main aagey badata raha... Failure ke baad bhi main aagey badata raha... Aur mujhe yakeen hain ki mujhe ek din jarur sacchi mohabbat naseeb hogi...

Isliye zindagi main lakhsya jarur banaiye... 

Yaad rakhe...
1. Mahabharat main Arjun ne Machali ki Aankh ko Lakhsya bana kar Teer chalaya tha, jiski wajah se ghumati hue machalli par bhi teer ek dum uski aankh main laga tha...
2. Lakhsya agar clear hain to aap lakhon mushkilon ke baad bhi hamesha aagey badate jayenge aur ek din jarur jeetenge...
3. Agar aap bina manzil ke chalenge to aap kahan pahuchenge yeh aapko bhi nahi pata...
4. Agar aap confusion main hain to pehle chote-chote lakhsya banaiye... usko poora karne ki koshish kare... jiski wajah se aap main CONFIDENCE aayega aur aap ek BAADA LAKSHYA bana payenge... JAISE EK BAADI BUILDING KO BANANE KE LIYE PEHLE BASEMENT BANAYA JATA HAIN... FHIR FIRST FLOOR BANAYA JATA HAIN... FHIR SECOND FLOOR BANAYA JAATA HAIN... IS TARAH POORI BUILDING KHADI HO JAATI HAIN...

Asha hain ki aap meri koshish se santush honge...

POSITIVE socho... MANN SE SUNDAR rahe... 

Saturday, February 13, 2010

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

MANAGEMENT MASTI MAIN...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

Humko yeh hamesha pata hona chahiye ki humko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur humko kaun sa kaam karna hain... humko kis tarah ka support apne junior staff ko dena hain...

Example: -
Agar main koiye kutta palata hu to mujhe yeh pata hona chahiye ki usko kis darwaze par baithana hain...
Usko kab aur kis samay bhojan dena hain...
Usko kab-kab vaccination lagwana hain...
Usko kab-kab baahar thelane le jaana hain...
MAGAR MAIN BHOOK NAHI SAKTA... KYUNKI BHOOKHANE KA KAAM US KUTTE KA HAIN... 
JO AAPKA KAAM HAIN WOH HI AAP KARE... AGAR AAP BHI KUTTE KI JAGAH BHAUKANE LAGOGE TO FHIR KUTTA PALANE SE KYA FAIDA???

Second example dena chahunga...
Agar mere koiye mithai ki shop hain... To mujhe yeh pata hain ki halwai ko kab aur kitni sugar purchase karke daine hain, kitna milk purchase karke dena hain, kaun-kaun se usko utensils purchase karke dena hain... MAGAR MAIN MITHAI NAHI BANAUNGA... KYUNKI YEH KAAM HALWAI KA HAIN... AGAR MUJHE HI MITHAI BANANI HAIN TO FHIR MAIN KYON HALWAI KO RAKHU... FHIR HALWAI RAKHANE SE KYA FAIDA???

Isliye main kehta hu ki aapko hamesha pata hona chahiye ki aapko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur aapko kaun sa kaam karna hain... kis tarah ka support aapko, apne junior staff ko dena hain... Dono ki responsibilities ek dum clear honi chahiye...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

Friday, February 12, 2010

"YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU"


प्रबंधन की कुछ दिलचस्प बातें बताने की कोशिश करूँगा. आशा हैं की आप इससे सकारात्मक लेंगे, नकारात्मक नहीं लेंगे. अगर गलती हो तो कृपया इससे सुधारने में मेरी मदद करे.