Showing posts with label Waafa.... Show all posts
Showing posts with label Waafa.... Show all posts

Monday, August 19, 2019

sar-e-aam qatal hi kar diya hota mujhko...

jis wafa ke sheesh-mehal mein saja ke rakha tha usko
badi zor se thokar maar kar gaya tha woh usko...

badi hi salamati se rakha hai maine usko 
jis waafa ke sheesh-mehal ne ghayal kiya tha mujhko...
***
agar bewafai hi karni thi jo usko
sar-e-aam qatal ki kar diya hota mujhko...
***
kisko sunau apni wafa ka kissa
Rab bhi to samajhata hai kasoorvaar mujhko...

#RA

Monday, July 30, 2018

Main Galat Tha!

mujhse na sahi kam se kam khudse to wafaadari se pesh aaya karo 
Mehboob Mere...

mere Sar pe apna haath rakhkar qasam khake keh sakogi ki
Main Galat Tha!

- RaJ

Saturday, June 11, 2011

चुप -चुप कर दीवारों संग रोना पड़ता हैं

चुप -चुप  कर दीवारों संग रोना पड़ता हैं
हर खवाब को मिटा कर सोना पड़ता हैं 
कोइए नहीं होता गम में अपने साथ 
बस रब से गिला करना पड़ता हैं...
***
चहरे को झूठी हंसी के साथ सजाना पड़ता हैं
रास्तों को अपना घर बनाना पड़ता हैं 
किस लिए तुम्हें माफ़ कर दूं रोमिल
वफा का इल्जाम तो उम्र भर सहना पड़ता हैं...

Monday, March 29, 2010

waafadaar tha...

wafadaar tha to koi naam nahi janta tha mera
bewafa ho gaya to ghar-ghar mein naam ho gaya...
***
zara si baat ka tamasha bana diya usne
gumnaami mein jeete the, 
duniya mein janne wala bana diya usne...
***
itni baar milane ko kahan... yakeen na hua usko... 
ek juda hone ko keh diya... yakeen ho gaya usko...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, March 25, 2010

USKO KABHI DEKHA NAHI MEHSUS KIYA HAIN MAINE...

AA MERI PATHAR AANKHON KO ROSHANI KAR DE...
***

fark bas itna hain...
PEHLE AANSOO USKI WAAFA KO DEKH KAR AATE THE...
AB AANSOO USKI BEWAFAI KO DEKH KAR AATE HAIN...
***

zinda hain woh fhir bhi kehte ho marr gaye hain mujhse...
aur kitna gunaah karaoge mujhse...
nahi hona hain mera to saaf maana kyun nahi kar daite...
roz-roz intezaar kyon karwate ho mujhse...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 16, 2010

हर कोइए वफादार नहीं होता..

हर कोइए वफादार नहीं होता
हर सीप में मोती नहीं होता...
हर किसी को मत सुनाया करो अपना हाल-ए-दिल रोमिल
हर कोइए दर्द-ए-साथी नहीं होता...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 6, 2010

waafa ke sheesh-mahal

jis waafa ke sheesh-mahal main saaja ke rakha tha usko
baadi zor se thokar maar kar gaya tha woh usko...
***
baadi hi salamati se rakha hain maine usko 
jis waafa ke sheesh-mahal ne ghayal kiya tha mujhko...
***
agar bewafai hi karni thi jo usko
saar-e-aam qatal ki kar diya hota mujhko...
***
kisko sunau apni waafa ka kissa Romil
Rabb bhi to samajhata hain kasoorvaar mujhko...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Monday, February 1, 2010

waafa

woh meri waafa dekh kar hans kar bola Romil
ek aur aa gaya qurbaan hone...
***
unki galiyoon main yeh soch kar hum chale jaate hain Romil
gulab nahi to pathar marane ke bahane hi woh khidki main aayenge aur unke chand se chehara ka deedar humko ho jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 30, 2010

waafa ka deepak...

waafa ka deepak woh aaj bhi jalaye baitha hain
chandani raaton ko apne intezaar ki roshani se sajaye baitha hain...
***
yakeen hain usko aaj bhi tum aayoge jarur
is yakeen par woh teri bewafai bhulaiye baitha hain...
***
mile jab koiye usse tera zikr chedh deta hain
woh toote rishtee ko aaj bhi jodhe baitha tha...
***
puch na le koiye usse tanhai ki wajah
isliye hoonton par muskaan sajaiye baitha hain...
***
tujhse durr hokar bhi hain usse apni ibadat ka khayal
woh tere khaton ko apni geeta, apna quran banaiye baitha hain...
***
waafa ka deepak woh aaj bhi jalaye baitha hain
chandani raaton ko apne intezaar ki roshani se sajaiye baitha hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 9, 2010

waafadar se bewafai karna galat hota hain...


waafadar se bewafai karna galat hota hain
is zamane main bahut kaam ke pass waafa ka hunar hota hain...
***
khushi to dikhati hain roshani ke maakano main
gum ka bhi apna aashiana hota hain...
***
yunh to bik jaate hain har rishtee is zamane main
magar kahan daulat se mohabbat ka sauda hota hain...
***
kehte hain zamane wale usko paagal
kahan sabko mohabbat ka rog pata hota hain...
***
tanha rehna to uska muqaddar hain
mehfilon se kahan dil ka behalna hota hain...
***
chod kar chal diya woh saath sabka
intezaar ka aakhir yahi sila hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 1, 2009

sab ek se hain...

sab ek se hain NAAZ...
kya GUNN
kya SHEE
ek sa dard...
ek sa dhoka...
ek sa mujhe tanha chod dena...
ek sa meri bebasi par muskurana...
***
NAAZ tere jaise hi waafadaar hai teri kabr...
choote-choote paudhey lagau to phool khila daite hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, September 21, 2009

waafa

waafa ka koiye matlab humko samjha de romil

naam to bahut suna hain waafa ka!

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, April 7, 2009

waafa...

waafa ka naam sunate hi tum kyon mooh pher laite ho
yeh kitabon ki baatein hain
hakeekat ki nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 26, 2009

waafa

"jab meri kismat main mohabbat thi hi nahi $ultan

fhir allah ne mujhe dil kyon diya"

~~

"Uske aandar waafa ki aadat nahi thi $ultan

fhir usne bewafai kaise itni waafa se nibha li"

[written by romi arora-copyright reserved]

Tuesday, February 24, 2009

koiye to seekhe...


bewafao se wafa karna koiye to seekhe
andheroon main ujala karna koiye to seekhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

Monday, January 19, 2009

mera haath....


jab koiye tujhe thukrayega tab tujhe meri wafa ka ehsaas hoga
jab magegi tu mera haath, tab mera haath kisi aur ki baahon main hoga!
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, January 17, 2009

wafa kaun karega....

tere liye apni zindagi fanaa kaun karega
ki paagalon ki tarah tujhse mohabbat kaun karega
apne haanton ki laakeren dekh kar puch rabb se "romil" ki tarah tere saath wafa kaun karega
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 28, 2008

Yeh Sila Milta Hai....

Meri Wafao Ka Mujhe Yeh Sila Milta Hai,
Hamesha Tanhaiyoon Ka Saath Milta Hai!
*~*
WOH KEHTI HAI MUJHSE
KHUDA KE LIYE...
MERA NAAM BHOOL JAYO,
MERI TASVEER JALA DO,
MUJHE KYON HAMESHA INTEZAAR KA YEH SILA MILTA HAI!
*~*
Dil Ne Uska Naam Khud Mere Naam Se Joda Hai,
Jab Tak Maut Nahi Aati, Zindagi Bhar Isse Naam Ke Sahare Jee Lunga,
Shayad Meri Duaon Ka Asar Mujhe Bas Itna Milta Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, September 8, 2008

Waafa...

~*~
Waafa Ke Silsile Kyon Is Tarah Toot Jaate Hai,
Kyon Tumhari Yaadon Mein Yeh Aankh Bheeg Jaate Hai...
~*~
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED] 

Tuesday, August 12, 2008

Samajhate Hai Woh....

Husn Pakar Khud Ko Khuda Samajhate Hai Woh,
Hamari Zara Si Baat Par Bhi Khafa Ho Jaate Hai Woh...

Mohabbat Sirf Naam Reh Gaya Hai Dil Ka,
Hamari Waafa Ko Hamari Bhul Samajhate Hai Woh.
[written by romil arora - copyright reserved]