Jaise mohabbat hone ka pata hi nahi chalta kab aur kaise ho jaati hai.
Usi tarah faaslon ka bhi pata nahi chalta kab aur kaise badh jaate hai.
Tarjuma
Aajkal khud ko insan bada gyanchand aur bhagwanchand samajhata hai.
Jab koi kisi toote dil aashiq ko samjhata hai ki...
"tumhara breakup sirf itni si baat par hua, baithkar sulja lete...
Yeh koi masla thodi na hua dil todne ka...
Sirf itni si baat par tumdono alag ho gaye...
pyar nahi tha, sirf attraction tha... nahi to bebaat ka batangadh na banate...
bewajah shak karne ki jarurat kya thi...
Itni chhoti si gal da siyapa hi pa litta tum dono ne..."
Sach to yeh hai jab faasle badte hai to koi wajah saamne nahi hoti... Bas dooriyan badati chali jaati hai. Insan jab akela baitha un baaton ko yaad karta hai to use khud bichhadne ki wajah samaj nahi aati... Balki apne bachpane pe hasta hai...
Dusare ko samjhana bahut asaan hai, par jab khud pe bitati hai, tab akal ghas charne chali jaati hai... hahaha...