Showing posts with label Bhakti Sangeet. Show all posts
Showing posts with label Bhakti Sangeet. Show all posts

Saturday, February 27, 2010

Tere-Meri prem-preet amar kar jaye...

Bolo Radhe...
Tumko kaun sa rang lagau...
Kis rang se karu aaj tumhara singhar...
Kis rang se aaj teri maang sajau...
Kis rang se tere sang holi manau...
Bolo Radhe...
*______*
Mere Shyam...
Yeh gulal to kuch pal mein utar jayega...
Yeh rang to keval sharir ko rang payega...
Kuch aisi kar prem-rang-baarish
jo mann ko rang jaye
Tere-Meri prem-preet amar kar jaye...
Mere Shyam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 25, 2010

Allah ka karam rahe

Woh kehta hai, haraam ki roti se
Ghar mein mere fhakha lakh guna aacha hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi hai uske pass koi mehal
Woh apni tooti jhopadi mein shehansha ki tarah rehta hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi karta kisi shaitan ki bandagi
Woh Allah ka banda bana rehta hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi chahiye use duniya ki shaan-o-shauqat
Woh Allah hi mehfil mein badshah bana rehta hai...
Allah ka karam rahe!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, February 19, 2010

sabse bada woh hi bhawanta..

uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane...
*
usse bada na koi
sabse uccha ek bhagwant wohi...
*
woh hi mata
woh hi pita
uske siwa jhoota har rishta...
*
kaise rishte
kaise naate
sab hai bas aate-jaate...
*
do pal ki zindagi
maya duniya saari
jhooti shaan na dikha, kar nadani...
***
kaisa krodh
kaisa ahankar
meetha bol...bole sab sansar...
darbaar uske sar jhukao... na kar abhimaan...
*
uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane
uske aage bas nahi chalta
sabse bada woh hi bhawanta...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 11, 2010

mann mein sharaddha bhar le...

woh pooja bhi kaisi pooja
jisme sharaddha na hoye
baade-baade mandir mein
bhakt na aaye koi...
***
roz-roz japta rahe ram ka naam
par ram ka darshan na hoye
mara-mara keh kar bhi likh di ramayan
valmiki ki sharaddha aisi hoye...
***
bin mandir bhi ghanshyam dekhe
meera thi aisi diwani.

bin aakhiyan ke krishna dikhe
surdas ke mann ki aankhen suhani.

bin guru-darshan hi dhanudhar bane
aklavya ki bhakti nirali.

mann mein sharaddha bhar le
prem-pooja ki yahi hai nishani...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 19, 2009

jai jai jai jagdamba bhawani...

tu hai mamta ki murat 
kitni pyari teri surat 
tu rakhti apne baachon ka dhyan 
tu hi karti sabka kalyan... 
~*~ 
tu veedon ki bani hai
tu kashton ko harne wali hai 
tu hi shakti 
tu hi kaali
tu hi maa durga khapper wali hai 
~*~ 
tu hi kaal-mund ko marati hai
tu hi dushton ko sangharati hai
tu hi jwala 
tu hi jyoti ambe
gauri tu hi kehlati hai... 
~*~ 
teeno lokon mein tera danka baaje
shiv, brahma, vishnu tere gunn gaye 
tu hi saraswati tu hi laxmi 
tu hi anna, dhan dete hain... 
~*~
maa dhiyaave tumko jo naar-naari 
tu uska kalyan karti hai
prem purwak suno veenati hamari 
jai jai jai jagdamba bhawani... 
jai jai jai jagdamba bhawani...
jai jai jai jagdamba bhawani... [written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 4, 2009

ramzan hai...ramzan hai...

ramzan hai...ramzan hai...

allah ki bandagi ko jee chahta hai

uske dar par sar jhukane ko jee chahta hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

usne jo kaha

usne jo likhwaya

uska paigam har bande tak pahuchane ko jee chahata hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

zameen uski

aasmaan uska

yeh saansein uski

usi ki chahat mein jeene ko jee chahta hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

paak mahina hai

duaon ka mahina hai

chand khushiyon ka paigam lekar aaya hai

qabool ho jaye sabki dua bas yahi jee chahata hai

ramzan hai...ramzan hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 24, 2009

Ganpati Suno Vandana Sabki...

Ganpati Suno Vandana Sabki 
Dono Haath Jodkar Aaye Sharan Tumhari!
~*~
Veenati Itni Hai Daata
Rakhna Sabka Dhyan
Poori Karna Sabki Iccha
Aye Gajanan, Dayanidaan!
~*~
Pratham Pujya Aap Ho
Sab Mangal Karte Daata
Siddhi-Buddhi Dene Wale
Sukh Daayak Bhagyavidhata!
~*~
Modak Ka Bhog Lagaye
Phool Chadhaye Sab Nar-Naari
Ganpati Suno Vandana Sabki 
Dono Haath Jodkar Aaye Sharan Tumhari!

#Romil

गणपति सुनो वंदना सबकी 
दोनों हाथ जोड़कर आए शरण तुम्हारी 

विनती इतनी है दाता 
रखना सबका ध्यान 
पूरी करना सबकी इच्छा 
ए गजानंद दयानिदान

प्रथम पूज्य आप हो 
सब मंगल करते दाता 
सिद्धि-बुद्धि देने वाले 
सुखदायक भाग्यविधाता 

मोदक का भोग लगाए 
फूल चढ़ाए सब नर-नारी 
गणपति सुनो वंदना सबकी 
दोनों हाथ जोड़कर आए शरण तुम्हारी

#रोमिल

Thursday, August 13, 2009

krishna, krishna, krishna murari

krishna, krishna, krishna murari

krishna, krishna, krishna murari

yasodha nandan krishna murari

devki nandan krishna murari

nand putra krishna murari

vasudev putra krishna murari

har swaroop krishna murari

nath narayan krishna murari

dhenu charaiya krishna murari

dahi-maakhan churata krishna murari

prem sagar krishna murari

karuna nidaan krishna murari

dukh harta krishna murari

sukh karta krishna murari

gopi vallabha krishna murari

moor mukut dharak krishna murari

bansi bajaiya krishna murari

mohani surat krishna murari

leela rachaita krishna murari

raas rachaiya krishna murari

sudama sakha krishna murari

arjuna saarthi krishna murari

radha ke shri krishna murari

meera ke shri krishna murari

kansa vadhkarta krishna murari

kaale naag nathaiya krishna murari

geeta updeshak krishna murari

jag paalak krishna murari

krishna, krishna, krishna murari

krishna, krishna, krishna murari

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 9, 2009

tu mere dataa

tu mera daata
tu antaryami
tu hi jaane sab kuch swami
dukh harta
sukh karta
tu hi thakur mera
tu hi jaane har chahat meri...
~*~
tu hi poorankarta
tu hi guru mera...
tu hi karta poora har kaaraj mera
tera naam simru
tujhko hi har pal dhiyaun
tu hi mehboob mera...
~*~

#Romil

तू मेरा दाता 
तू अंतर्यामी 
तू ही जाने सब कुछ स्वामी 
दुख हरता 
सुख करता 
तू ही ठाकुर मेरा 
तू ही जाने हर चाहत मेरी... 

तू ही पूरनकर्ता 
तू ही गुरु मेरा... 
तू ही करता पूरा हर कारज मेरा 
तेरा नाम सिमरु 
तुझको ही हर पल ध्याऊँ 
तू ही महबूब मेरा... 

#रोमिल

Monday, April 6, 2009

ALLAH TO HAIN....

koi nahi hai mera
itna kaafi hai ALLAH TO HAI...
~*~
nahi sunta koi meri baat
itna kaafi hai ALLAH TO SUNTA HAI...
~*~
nahi chahiye mujhe kisi ki reham-o-dua
itna kaafi hai ALLAH KA MUJHPAR HAATH TO HAI...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, February 2, 2009

Mere Nanaka, Mere Sahiba...

"Mere Nanaka, Mere Sahiba,
kya nahi dar tere,

Mangate khade hai,
kholo darwaje,
Mangate khade hai re,
kholo darwaje,

kab honge darshan tere..

Mere Nanaka, Mere Sahiba,
kya nahi dar tere,

Deta hai usnu,
jo jape naam tere,
(Bas ek hi shart hai mere nanak ki keval naam jap satnaam waheguru)

sabke dukho ko harte
waheguru mere,

Mere Nanaka, Mere Sahiba,

kya nahi dar tere"

#Romil

Mujhe lag gaya shyam rang...

(Radha) 
Mujhe lag gaya shyam rang,
mujhe koi roko na,
roko na, ab mujhe koi toko na,

Main to ho gai,
shyam prem mein diwani,
mujhe koi roko na,
roko na, ab mujhe koi toko na,

Main to ghirdhari sang lagi,
nachane,
mujhe koi roko na,
roko na, ab mujhe koi toko na,

Areeee shyam rang hai sabse sundar,
isme khokar, ho jaye, mann paawan,
Main to,, Are main to,,,, hoooooooo main to,
Ratne lagi, shyam ka naam,
mujhe koi roko na,
roko na, ab mujhe koi toko na!!!!!!!!!

[written by romil arora - copyright reserved]

tum hi ho krishna mere...

bhaktoon ke kaaraj tum hi poore kare
tum hi ho rakhwale
tum hi prabhu mere
tum hi ho data ram
tum hi ho krishna mere!
[written by romil arora - copyright reserved]

dukh bhanjan tera naam ji

dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam
simroh-simroh
har pal
har pal
ek bas tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
harte hai pal bhar mein saare dukh-santaap ji
sukh karta tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
~*~
tere siva na koi hai mera
ek hi mujhe tera sahara ji
dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
~*~
tere sevak ko kuch nahi chahiye
bas ek tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji

~*~
har pal
har pal
mann naam jape re
ek bas tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji
dukh bhanjan tera naam ji

[written by romil arora -copyright reserved]

Wednesday, January 21, 2009

Main to shyam-shyam hi kehne lagi...

"Saara jag yeh kahe Meera diwani
Shyam ke prem mein bhool gai zindgani
Kuch bhi wo Shyam se na maange
Bas kehti rahe main naam diwani.
http://www.sunny-raj.blogspot.com/

Main to shyam-shyam hi kehne lagi!
Main to shyam-shyam hi kehne lagi!

Shyam ki murat khud maati se banaye
Usko apne dupatte se saja
ye
Shyam se hi karti rahe baatein
Shud - bhud sab, jag bhulaye


Main to shyam-shyam hi kehne lagi!
Main to shyam-shyam hi kehne lag!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, January 20, 2009

tujhse juda hai kuch aisa mera naam...jaise Radha sang Shyam...

tujhse juda hai kuch aisa mera naam
jaise radha sang shyam.
jaise radhashyam...


har pal tujhko pukare shyam
lekar tera naam...
jaise radha sang shyam.
jaise radhashyam...


basuri ki dhun mein radha,
payalo ki gunn mein shyam,

dono hai ek dusare ke hi naam
chahe radha kaho,
chahe kaho shyam...

aise juda hai dono ka naam
jaise radha sang shyam.

jaise radhashyam...

#Romil

तुझसे जुदा है कुछ ऐसा मेरा नाम 
जैसे राधा संग श्याम... 
जैसे राधाश्याम... 

हर पल तुझको पुकारे श्याम 
लेकर तेरा नाम... 
जैसे राधा संग श्याम... 
जैसे राधाश्याम... 

बांसुरी की धुन में राधा 
पायलों की गुन में श्याम... 

दोनों है एक दूसरे के ही नाम 
चाहे राधा कहो, 
चाहे कहो श्याम...

ऐसे जुदा हैं दोनों का नाम
जैसे राधा संग श्याम,
जैसे राधाश्याम...

#रोमिल

Monday, January 12, 2009

mere khawaja....mere khawaja...

mere khawaja....mere khawaja...khawaja....
mere khawaja....mere khawaja...khawaja....
khawaja ji...khawaja ji....
kuch to mujhe re tu re bata
mujhse hue hai re kya khata...
mujhse hue hai re kya khata...
~
kyon mehboob mein dekha hai re khuda
kyon sajde ke liye sar jhuka,
maine ki hai kya aisi khata,
kyon mili mujhe judai ki sazaa...
~
mere khawaja....mere khawaja...khawaja....
khawaja ji...mere khawaja ji....

tujhse maanga tha,
kya hai mila
kya yahi hai dua ki sazaa
kuch to mujhko tu re bata
kyon hua diwana main khuda....
khawaja mere khawaja...
mere khawaja ji...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, October 10, 2008

Main Hoon Woh...

Na Meri Koi Jaat Hai,
Na Mera Koi Dharm Hai,
Na Main Koi Rishte Mein Bandhata Hu!
~~~
Main Hoon Woh
Jo Majdoor Ke Paseene Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Logon Ke Dhukhon-Sukhon Mein Saath Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Mandir, Masjid, Gurudware, Church, Is Duniya Ke Karn-Karn Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Pyar, Satya, Aahinsha, Shanti, Vishwas Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Khet Ki Hariyali Ke Saath Lehrata Hu,
Pawan Ke Saath Dolta Hu,
Suraj Ki Kirano Mein Tej Bankar Rehta Hu,
Chand Ki Chandani Ki Sheetala Mein Rehta Hu,
Phool Ki Khushboo Mein Rehta Hu!
Main Hoon Woh
Jo Karmo Ke Hisab Par Naseeb Likhta Hu!
Main Hoon Woh
Jisse Jeevan, Mrityun Hai!
Main Hoon Woh
Log Jise Bhagwan, Rab, Allah, Jesus, Waheguru aur Hazaron Naam Se Jaante Hai!
~~~
Na Meri Koi Jaat Hai,
Na Mera Koi Dharm Hai,
Na Main Koi Rishte Mein Bandhata Hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, October 8, 2008

Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,


Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,
Aaja Aaja Re Raghupati Rama,
Aaja Aaja Re Raghuveera,
Aaja Aaja Re.
~_~
Rama-Rama Japta Hoon,
Sun Le Re Vinati Hamari,
Charo Taraf Baj Raha Satya Ka Danka,
Jal Gai Aasatya Ki Lanka,
Fir Pehno Apna Taj,
Jag Mein Layo Rama-Raj.
Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,
Aaja Aaja Re.
~_~

Jag Mein Sabse Uttam Ho Tum,
Maryada Purshottam Ho Tum,
Sabse Shakti-Saali Ho Tum,
Daya Ke Sagar Ho Tum,
Sabko Dikhate Satya Ka Marg Ho Tum.
Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,
Aaja Aaja Re.
~_~
Sita Ji Ko Saath Layo,
Sang Mein Laxman aur Hanuman Ke Aayo,
Aasatya Par Satya Ki Jeet Sunao,
Aao Rama Aao...
(Rama To Satya Mein Hai,
Jeevan Ke Karan-Karan Mein Hai,
Shanti Mein Rama Hai,
Rama To Pragati Mein Hai,
Ekta Mein Rama Hai,
Rama To Sach Mein Hai,
Dheeraj Mein Rama Hai,
Rama To Shristi Mein Hai,
Maryada Mein Rama Hai,
Rama To Shakti Mein Hai,
Bhakti Mein Rama Hai,
Rama Tere Mann Mein Hai,
Rama Mere Mann Mein Hai)
Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,
Aaja Aaja Re.
~_~
Suno Rama Ji Vinati Hamari,
Aaja Aaja Re Ramachandra Aaja,
Aaja Aaja Re Ramaji Aaja,
Aaja Aaja Re Raghu-Raayi,
Aaja Aaja Re Raghupati Rama,
Aaja Aaja Re Raghuveera,
Aaja Aaja Re...
[inspired...written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, October 7, 2008

Maiya Ji Ke Aangan Mein





!!Sheron Wali Maiya Rani Teri Saada Hi Jai!!
!!Jyoti Wali Maiya Rani Teri Saada Hi Jai!!
~*~
Nau Din Re Amrit Barse,
Maiya Ji Ke Aangan Mein!
~*~
Suraj, Chand, Sab Aarti Utare,
Maiya Ji Ke Aangan Mein!
~*~
Brahma, Vishnu, Shiv Ji Bhajan Sunaye,
Maiya Ji Ke Aangan Mein!
~*~
Lag Gaya Bhakton Ka Mela,
Maiya Ji Ke Aangan Mein!
~*~
Har Saal Aaye Maiya Ji Ke Navrate,
Sajaa Rahe Darbar,
Maiya Ji Ke Aangan Mein!
~*~
!!Prem Se Bolo Jai Mata Di!!
!!Saare Bolo Jai Mata Di!!
!!Aate-Jaate Bolo Jai Mata Di!!
!!Kastha Nivare Jai Mata Di!!
!!Bhar De Jholi Jai Mata Di!!
!!Sab Dukhade Door Bhagaye Jai Mata Di!!
!!Sabka Beda Paar Lagaye Jai Mata Di!!
!!Taqdeer Saware Jai Mata Di!!
!!Sabki Sunti Jai Mata Di!!
!! Prem Se Bolo Jai Mata Di!!
!!Saare Bolo Jai Mata Di!!
~*~
Tere Aangan Mein Mujhe Hai Re Rehna,
Oh Sheron Wali Maiya,
Oh Jyoti Wali Maiya!
Nau Din Main Tujhko Hi Dhiyaun,
Oh Sheron Wali Maiya,
Oh Jyoti Wali Maiya!
De Do, De Do, Apne Charno Mein Rehne Ka Vardaan,
Oh Sheron Wali Maiya,
Oh Jyoti Wali Maiya!
~*~
!!Sheron Wali Maiya Rani Teri Saada Hi Jai!!
!!Jyoti Wali Maiya Rani Teri Saada Hi Jai!!
[written by romil arora - copyright reserved]