Showing posts with label waqt.... Show all posts
Showing posts with label waqt.... Show all posts

Saturday, March 28, 2020

Apne guzarne ke nishan chhod gaya...

Waqt tarashta raha mujhko...
Apne guzarne ke nishan chhod gaya...

Main apni takleef usse kya kahu...
Main usse apni takleef kya kahu...
Jo mujhe tanha chhod gaya...

aur

Kya kuch nahi dekha is zamane ne Professor Sahab...
Kaun si badi baat ho gai... Jo woh masoomo ko besahara chhod gaya...

#SuLTaN

Monday, September 3, 2018

Shayad iska jawab Mohabbat hoga...

kutte ke uske diye hue naam se zara pukar le uska maalik, aise dum hilate, juban latkaye kareeb aa jaata hai... aur pyar jatane lagta hai...

(usne yahi soch rakha hai... RaJ sirf naam tak hi nahi seemit hai, balki ek zariya hai ishq, bandagi jatane ka....

mujhe aaj tak yeh nahi samaj aaya jab koi shaitan insaan kisi masoom insaan ke saath jattie karta hai to khuda use usi pal sazaa kyon nahi de dete...

Shayad iska jawab Mohabbat hoga...

Woh apne har Bande ke saath Mohabbat karta hai, tabhi use uski karni ke liye Taqdeer, Jehannam, Karm, Re-Birth, Aakhirat, Qayamat ke liye chhod deta hai...)

main kutta nahi hu... Khush hu, log mazaron, patharon ko pujte hai aur maine to insaan ko puja hai...

Waqt jarur zaaya kiya hai maine, shayad ho sakta hai Rab ne jyada de diya ho mujhe zaaya karne ke liye...

#RaJWrites

Wednesday, July 25, 2018

Bada waqt ka khayal rakhte ho hamare...

NaaZ keh rahi thi... Keh do...

Bada waqt ka khayal rakhte ho hamare...
Kahi aisa na ho jaye... Waqt se pehle hi Khuda se milna pad jaye...

- Sultan

Thursday, September 29, 2011

बस जिंदा रहने के पैमाने बदल जाते हैं.

वक़्त के साथ हमराज़ बदल जाते हैं
हर एहसास बदल जाते हैं
किसी के बिछड़ने से कोइए मर नहीं जाता
बस जिंदा रहने के पैमाने बदल जाते हैं.

Friday, May 27, 2011

waqt

usse mere hisse ka waqt nikalana padata hai romil
ek hum hai jo har waqt uske naam se guzarte hai...

Saturday, April 16, 2011

वक़्त के तराजू

वक़्त के तराजू से किसी का दर्द नहीं तौला जाता रोमिल 
जितना दर्द मिलता है वोह शख्स उतना मुस्कुराता चला जाता...

#रोमिल

Friday, April 16, 2010

kuch...

kehte hain ki shaam ka maaza liya jaata hain...

AANKHON KO NARM NAHI KIYA JAATA HAIN...
aaise hi nahi computer ke samne APNA SAR FHODA jaata hain...
***
do-char ghut CHAI ke piye jaate hain...
fhir thodi dair baad rabb ko yaad kiya jaata hain...
***
park main sair-sapata kiya jaata hain...
chaat par bhi ghuma ja sakta hain...
***
Jab BAACHE PYAR SE NAHI SAMAJHATE
TO ZOR SE THAPPAD MAARA JAATA HAIN....

hehehehehehe
______________

chalo thoda sa muskurao...

chalo thoda sa gungunao...
chalo gum ko bhul jao...


dekho hum laaye hain KITKAT


thoda tum khao.
thoda humko khilao...


hehehehehe
______________

Maana doston se milane ka bahut kam rehta hain tere pass waqt Romil

Itna bhi kam nahi
Mere Yaar ka sandesha jo laaye usse Salaam bhi na keh saku.... rabba rakha...
______________

Kitna jhuk chuka hu uski chahat main Romil

Kitna khud ko jaleel karwa chuka hu uski chahat main Romil
Ab to bas ek saawal reh gaya dil main
Kya hum bhi kabhi Khuddar hua karte the???
______________
Log kehte hain ki tu us par JOKE kyon kehta hain Romil...

Jab itna pyar karta hain to fhir usko bewafa kyon karta hain Romil...
Kaise samjhau unko,
Jo jaara si baat nahi samajhate hain
zakhamo ko kuredane par hi to uske chehara-e-noor dekhate hain...
______________

Pardadaari itni bhi thik nahi thi Romil

mujhko tarafta dekhate rahe
aur pardadaari bhi karte rahe...
______________

Main Chillata Raha

Main Pukarata Raha
Main Rota Raha...




Gunah kya tha mera
Jo woh durr khada


BAS


HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
HASTA RAHA...
mujhpar HASTRA RAHA...
__________________

Maine yeh kab kahan tha usse chod kar duniya mere saath chal Romil

Lekin bewafa ho jaana... yeh faisala uska tha...

Wednesday, March 10, 2010

waqt

Sochata hu ki uska naam waqt rakh du Romil...
Woh bhi guzare hue waqt ki tarah kabhi wapas na aaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 13, 2010

~WAQT~

USKI MAUT KI KHABAR SUN KAR BHI AANSOO NAHI AAYE ROMIL
EK WAQT THA USKE DARD PAR BHI RO-RO KAR BEHAL HO JAATE THE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Saturday, January 30, 2010

~Dil Se~

Rote-Rote hoonton par muskaan aa jaati hain Romil
jab kitabon main koiye sukha hua phool nazar aa jaata hain...
***
Koiye Allah se puch kar yeh bata de Romil
Beta hua waqt kis tarah wapas aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 23, 2009

waqt ki gehraiyoon main

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

~*~

yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam

jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...

woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain

jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...

~*~

pehle tumhare khat aate rehte the

in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi

un khaton ko main seene se laga laita tha

raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha

jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain

ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue

aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...

~*~

ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue

tera woh khil-khila kar baatein karna

woh dheemhe se aansoon ko gira dena

bahut din beeth gaye

teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main

aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...

~*~

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 21, 2009

dil ki kalam se....

teri bewafai ki kahani suna-suna kar dil bhi khali ho chala hain
ab to kuch kehne ko shabad hi nahi hain...
~*~
rabb woh waqt na laye
ki tu meri wafa main pagal ho jaye
kosane lage teri bewafai tujhe
ki tu bewafa se bhi wafadar ho jaye...
~
gum tujhe lage pyara
khushiyoon main jeena mohaal ho jaye
tanhaiyee tujhe lage apni
mefhil main rehna duswaar ho jaye
~
rabb woh waqt na laye....
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, January 17, 2009

waqt....

waqt ke saath humraaz badal jate hain
har ehsaas badal jate hain
kisse ke bicharane se koiye marr nahi jata
bas zinda rehne ke paimane badal jate hain.
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 11, 2008

Sab Waqt-Waqt Ki Baat Hai...

Sab Waqt-Waqt Ki Baat Hai,
Ek Waqt Tha Jab Woh Humse Milne Ki Fariyad Karti Thi,
Aaj Ek Waqt Hai Jab Woh Humse Door Rehne Ki Fariyad Karti Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 5, 2008

har sapne gamo main beh gaye....

Waqt ki leharon main pyar ke moti beh gaye,
Aansoo ke saagar main yaadon ke moti beh gaye,
Aapne hi jagaya tha pyar is zindagi main,
Jab se tootha hai yeh rishta, har sapne gamo main beh gaye!
[written by romil arora - copyright reserved]