"Tumhare Jaane Ke Baad"
Dost Tumhare Jaane Ke Baad Bahut Samay Tak Main Gumsum Raha,
Teri Yaadein Liye Main Unhi Bachpan Ki Galiyon Mein Fhirta Raha.
Din-Din Guzarte Gaye,
Aur Main Teri Aas Liye Chup-Chap Roota Raha.
Fir Kho Gaya Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Raha.
Kai Baar, Bahut Haseeno Se Dillagi Hui,
Magar Dil Tumhari Dosti Ke Bina Kisi Ke Saath Na Raha.
Fir Ek Din Ek Pyari Si Pari Aai,
Bhanware Ka Gunjan Thi Woh,
Mann Mein Mohabbat Hi Khushiyan Liye,
Sab Se Alag Thi Woh,
Ek-Dum Tumhare Jaisi Thi Woh.
Jaisi Tum Bachpan Mein,
Meri Pari Ke Baare Mein Bataya Karti Thi,
Waisi Hi Thi Woh.
Woh Madhosh Kar Dene Wala Ehsaas Uska,
Woh Dilnasheen Baatein Uski,
Woh Pyar Bhare Shabd Uske,
Woh Pyari Si Aawaz Uski,
Wo Hanskar Mujhse Baatein Karna Uska,
Wo Rooth Kar Mujhse Baatein Karna Uska,
Woh Rona,
Woh Hasna.
Magar, Mujhse Kehti Thi Woh,
Ki Mujhe Bhool Jayo, Mera Intezar Na Karo,
Ki Mere Bina Reh Legi Woh,
Mujhse Bina Baat Kiye Jee Legi Woh,
Chahti Thi Mujhe Fir Bhi Aisa Kehti Thi Woh.
Na Jaane Kis Baat Se Darti Thi Woh.
Shayad Meri Mazboori Se, Meri Garibi Se Darti Thi Woh.
Sach Hai Dost, Zaruri Toh Nahi Zindagi Ka Koi Sahara Ho,
Hum Kisike Aur Koi Hamara Ho,
Tumhare Bina Bhi Chaudah Saal Beet Chuke Hai,
Uske Bina Bhi Beeth Jayenge,
Kuch Pal Gumsum Rahunga,
Uski Yaadein Liye Galiyon Mein Fhirta Rahunga.
Din-Din Guzarte Jayenge,
Aur Main Uski Aas Liye Chup-Chap Roota Rahunga.
Fir Kho Jayunga Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Rahunga.... Sach Hain Na Dost.
[written by romil arora - copyright reserved]